Payaar ka lafz, Nafarat sa mujko lagta hai!!!

by Pooja on March 16, 2006, 04:38:20 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 12
Print
Author  (Read 7940 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: March 16, 2006, 07:03:56 PM »
Bahoot khhob Jeet!!

Gilla kisse karu, jab khud ke aitbaar ne mara hai
Dil nahi manta, aor ajj bhi wo lagta payara hai

Tarap itani hai ki, sab kuch khamosh ho gaya
Ek cheekh hai dil mai, aor jisam sunn ho gaya

Dikh raha tha her rang uska, maine hi najarandaaz kiya
Ajj sochati hu kayun, maine usko apne payaar ka izhaar kiya

Dard hai, anhein hai, subakati hai mere din raat
Roj kahti hu khud se, nahi karani ab uski koi baat!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
PAYAAR by Amit Janglan in Shairy-E-Watan « 1 2 3  All »
PAYAAR by SAMA in Shayri for Khumar -e- Ishq
mohabbat - bas ek lafz sa lagta hai by diya786 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Nafarat na kare hamse....mann by mann.mann in Miscellaneous Shayri
Payaar Moran Di Nahin, Batoran Di Cheese Eh.... by surindarn in Miscellaneous Poetry in Punjabi
HumTum is back
Guest
«Reply #16 on: March 17, 2006, 02:55:35 AM »
Quote from: "Pooja"
Ajj toot kar bikharna acha lagta hai
Na pukare koi, yah andhera acha lagta hai

Kitne payaar se koi, daman churra kar chal diya
Ab to yah Payaar ka lafz, Nafarat sa mujko lagta hai

Baraso bitaye sath sath ke pal, kayun usko buchpna sa lagta hai
Sooraj doobane ke sath sath, muje apna jeevan khatam hua sa lagta hai!!


waah waah waah !!


Chand se keh do ke apni roshni iss ghar mein na laye
Ab meri ankhoon ko anderoon se  pyaar sa ho gya hai

Jis ke liye humne kabhi sare zulam uthaye they woh hi
Aaj dekh ke humey mehfil mein sharamsaar ho gya hai


Baitha jo aaj mein baag mein to har kali ne mujhe kha
Dekh lo "HumTum" Ji bevffa aap ka talabgaar ho gya hai  !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #17 on: March 17, 2006, 03:00:29 AM »
Quote from: "Meena is back"
wah didi... a very emotional poem!!!

roshni ki kirne jab naseeb me nahin hoti,
to andhere se hi nata chodna parta hai,
door laga raha jab bin manzil ke,
umeed ke diye jala kar rasta kojna parta hai!


waah waah waah !!


Bujha gya woh ummed ka akhiri diya bhi
Jab se woh chod ke hume sar e bazar gya
Andero se ab to apni ik dosti si ho gyii hai
Jab se pyaar ki shamma se aitbaar gya !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #18 on: March 17, 2006, 03:09:54 AM »
Quote from: "Pooja"
her rasta ajj anjaan sa lage
apna hi dil, bejaan se lage

jisko samjha tha zindagi apni
ajj wo hi be-imaan sa lage

tarap hai, dard hai, ansoo bhi hai
kayun khud per rona, mujko sharmsaar sa lage!!



waah waah waah !!


Dil mein ab mere koi tamana nahi baaqi
Jab se tamana e ishq woh tod ke cla gya

Ab kissi se dil lagana nahi munasib dost
Jab se dil mein reh ke woh dil ko tod gya !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #19 on: March 17, 2006, 03:19:21 AM »
Quote from: "Meena is back"
wah i just love ur shayari didi!!!

anjan rasto ko tum apnana sikho,
bejan dil ko tum samjhana sikho,
mana sangil ke basti me pattar hi milenge,
par apne vishwas se unko piglana sikho!



waah waah waah !!


Ik bevffa se dil lagaya hai jab se meiney
kya khe ke ab kudh pe bhi aitbaar na rha
Bejan  se dil ko hum samjhaye bhi to kya
aisa lage hai ke duniya mein pyaar na rha !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #20 on: March 17, 2006, 03:23:46 AM »
Quote from: "nikki"
super hit hai ...both of urs shayari behno...

kayamat ke din unki yaad aayi
jo milkar hasaya karte the

aaj aanso bhare hain aankhon mein
jin aankhon mein kabhi raat bhar unke sapne aaya karte the


waah waah waah !!

Ansuu meri taqdeer mein hi likhe hai shayaad
Ab kare bhi to hum kaseey uss se koi gila kare
Sapne sajaye the milan ke kabhi jis ke sath
Woh chod ke cla gya to ab hum kis se mila kare !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #21 on: March 17, 2006, 03:30:10 AM »
Quote from: "Meena is back"
wah ek aur sis ki shayari super hit hogayi!!!  :D  i really enjoy reading ur shayari nikki...bohot emotional hoti hai i like it!! keep it up kuddiye!!  :D

kabhi ian ankhon ko sapne dikahya karte te woh,
aaj unko ko tood kar unme zakhm de gaya,
har ghav se khoon ko to niklana hi hota hai,
par zamana hume anson pohonchne ke liye namak ka marham de gaya!


waah waah waah !!


Us namak ko bhi humne zakhmo pe lagya hai
Bikre sapno ke sheso se apna ghar banaya hai
Kahi tujh ko koi bewffa na keh de  kafir sanam
Tera kiya hua har gunaah apne sir pe uthaya hai !!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #22 on: March 17, 2006, 03:32:19 AM »
Quote from: "Pooja"

Gilla kisse karu, jab khud ke aitbaar ne mara hai
Dil nahi manta, aor ajj bhi wo lagta payara hai

Tarap itani hai ki, sab kuch khamosh ho gaya
Ek cheekh hai dil mai, aor jisam sunn ho gaya

Dikh raha tha her rang uska, maine hi najarandaaz kiya
Ajj sochati hu kayun, maine usko apne payaar ka izhaar kiya

Dard hai, anhein hai, subakati hai mere din raat
Roj kahti hu khud se, nahi karani ab uski koi baat!!!

Pooja JI bahut dard hai in lines mein,

Aitbaar rakhiye aapne aap per
aane wala saathi saacha hoga
dua karenge har pal ye rub se
aapka aanewala kal gujare kal se aacha hoga.
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #23 on: March 17, 2006, 03:34:21 AM »
Quote from: "nikki"
Thanx a million sis....again hit one..

yaadon ka karwan
gum ki baraat nikli hai

aaj mere muh se reh kar aah nikli hai
uske aane ki jab aas na rahi..
to yeh dekho aaj mere jism se meri jaan nikli hai


waah waah waah !!


Kash usko kabhi meri waffao ka aitbaar hota
Jasia kiya meieny usse bhi mujh se pyar hota
Har pal jaan jati hai uss ke intzaar mein dost
Mujhey kya bura tha marna agar ik bar hota !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #24 on: March 17, 2006, 03:39:49 AM »
Quote from: "Pooja"
na apno ka bharosa, na hi anjaan ko ajmana hai
yah dil ho gaya hai bahoot tanha, jakar kahin mar jana hai

kis kaam ki yah zindagi, jab na koi unka afsaana hai
dil ko kitna pathar kar lu, nadiyion ko to paharo se bhi nikal jana hai!!!



waah waah waah !!


Ab humne bhi apne dil ko patthar bna liya
Jab se ik bewffa se humne apna dil lga liya
Aitbaar kissi shai pe na rha baaqi "HumTum"
shamma ko pakd ke  kudh ko zinda jla liya !!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #25 on: March 17, 2006, 03:40:59 AM »
Quote from: "HumTum is back"

Us namak ko bhi humne zakhmo pe lagya hai
Bikre sapno ke sheso se apna ghar banaya hai
Kahi tujh ko koi bewffa na keh de  kafir sanam
Tera kiya hua har gunaah apne sir pe uthaya hai !!


Yadi koi yahan ka gunah hai to pyaar hai
kisi ka iqraar to kisi ka inkaar hai
dil deker dard humne bhi liya hai.
saza humein bhi mile payar humne bhi kiya hai.
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #26 on: March 17, 2006, 03:45:50 AM »
waah waah waah !!

Sazza mangte ho pyaar mein yeh kudh mein ik sazza hai
Lekin aisa kyun hai dost ke iss sazza mein bhi mazza hai
Kar jau kuch aisa mein uske pyaar mein ke mar jane pe
allah bhi puche ke bol "HumTum" kis baat min teri razza hai !!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #27 on: March 17, 2006, 03:50:25 AM »
Quote from: "HumTum is back"

Ab humne bhi apne dil ko patthar bna liya
Jab se ik bewffa se humne apna dil lga liya
Aitbaar kissi shai pe na rha baaqi "HumTum"
shamma ko pakd ke  kudh ko zinda jla liya !!


"Tum" dil ko pathar bana lo
"Hum" usay pighlaker jaayenge
kya soochti ho ho "Tum" marne se mukti mil jaayegi
"Hum" to dil mein aise base hai ki marker bhi yaad aayenge
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #28 on: March 17, 2006, 03:56:36 AM »
Quote from: "HumTum is back"

Sazza mangte ho pyaar mein yeh kudh mein ik sazza hai
Lekin aisa kyun hai dost ke iss sazza mein bhi mazza hai
Kar jau kuch aisa mein uske pyaar mein ke mar jane pe
allah bhi puche ke bol "HumTum" kis baat min teri razza hai !!


Pyaar kerne ka "bhondu" mausam ajab hota hai.
aur.. virah ka bhi ehsash gajab hota hai
aapke pyaar se sab yaar ban jaaye
khuda ke paas jaao to wo bhi aapka pyaar ban jaaye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: March 17, 2006, 04:06:31 PM »
wah wah wah humtum@lajawaab.com @ wah wah wah!!

bahoot khoob bhondu ji!!!

Khuda ke pass hi ab to jaana hai
duniya mai bacha na koi aor thikana hai
kis tarah ke duniya is khuda ne banai hai
Pyaar se ho gai nafrat, baat itani hi samjh mai aai hai!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 12
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 07:56:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer