| 
			| 
					
						| Intezar 
								Guest
 | 
 Milne de mujhe aaj khud se kal to ye faasla apne darmayaan hoga
 Aaj hun teri palko mein qaid phir jaane kaha mera aashiyaan hoga
 
 Milengi mujhe beshak in andheron ki gumnaamiya tere baad Lekin
 jalta rahunga mar kar bi aur teri mehfil me roshni ka kaarwaan hoga
 
 apne jism se meri khushbu mitaa kar bhi khud se juda kaise karoge
 mitti me mil jayegi raakh, fiza me roshan mere naam ka dhuaan hoga
 
 tum khud ko bachaa kar rakhna mere chahne waalon ki mehfil se
 tere aansu tera daaman bhiga denge jab bhi mera zikra jahaan hoga
 
 jee raha hun teri firaaq me aaj bhi tanha hi aur baad mar kar bhi
 tanha hi mashroof rahunga hisaabo me tab saath mere koi kahaan hoga
 
 tu hi bata koi ahad tujhse, tujhe bhool jaane ka main kaise karun
 fana hokar milungaa khuda se aur phir tujhe chahne ka gunaah hoga
 
 katro.n me bahaa kar tum chaahe to aaj beshak mujhe zaaya kar do
 kal aaina dekhoge to aankhon me tumhaari, ‘Intezar’ Rawaa.n hoga..!
 
 
 Shukriya
 Intezar !
 
 
 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
			|  | 
	| 
			| 
					
						| nirala 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #1 on: February 24, 2011, 08:16:40 PM »  |  | 
 kya ho agar aisa hodil me tufan tere hadon ke jesa ho!!
 
 faaslon me kese jeyenge bin tere
 raakh se bhi duan uthega baad marne ke bhi mere!!
 
 sauk se chahunga hazaar sitamo ke baad bhi, tujhe
 azmaish e fitrat hai teri to intehaan kar aajma le ab tu bhi, mujhe !!
 ""
 Intezaar ji aapka ek aur superhit peshkash.
 gustaakhi ye hui ki mene apna faltu dimaag laga dia yaha--don mind
 ""
 aapka post as usual bemishal hai ji
 bas aate rahiye ham jese naadano ki khateer ehsaanmand rahunga ji aapka
 ""
 thanx
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| Intezar 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #2 on: February 24, 2011, 08:22:51 PM »  |  | 
 nirala ji sabse pehle to aapka dher saara bahut saara shukriya...
 aur jo aapne reply kiya hai wo bhi bahut khub kiya hai... bahut achha likha hai aapne... mujh par ehsaan hai ki aapne kuch reply likha hai warna hum kis kaam ke hain...
 
 aur aapko kyon ehsaan mand hote hain... ehsaan to hume aap sabka maan na chaahiye ki aap log hume pasand karte ho itne saare umda shaayar hote huye bhi...
 
 niraala ji aap ke comments ka intezar rehta hai... bas yun hi mehfilon me aate rehiye bulaate rehiye...
 
 Intezar !
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| nirala 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #3 on: February 24, 2011, 08:31:42 PM »  |  | 
 aaree kya sachhi me mene reply me kuch likh dia !!!!!ufff mai to ab likhna band kr dia he kyunki ab mujhe parhne ki ichha bahut zoro se lag gai he--bas parhte jaata hun jab bhi time milta hai ji.
 aap bas likhte rho--aate raho--
 mehfil ko sajaate rahi--
 ham naadano ko khush hone ka--
 mauke pe mauka dete raho--
 aapke lie bas duayen nikalti hain--
 duyan humse lete raho--
 zindadili se har din ko--
 jeete raho jeete raho aur bas sada khus raho--:)
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| manzil-e-ishq 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #4 on: February 24, 2011, 08:34:53 PM »  |  | 
 bht khoob intezaar ji....sply last one....
 tooooo... goood...
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| Matrix Guy 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #5 on: February 24, 2011, 08:42:08 PM »  |  | 
 whaa intzar ji.........
 kya kamal ka kalaam he apka..........bas dil ko chu gaya sidha........har baat jis khubsurati se kahi uski tarif karna mumkin nahi..........dil se hajaro daad........keep it up ji
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| khwahish 
								WeCare 
								Khaas Shayar
								    
								Rau: 166
								  Offline 
								Gender:   Waqt Bitaya: 272 days, 6 hours and 33 minutes.
								 
								Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
			 
			 
								
								
								
								
								   | 
                                                                    |  |   «Reply #6 on: February 24, 2011, 08:44:00 PM »  |  | 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| Rishi Agarwal 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #7 on: February 24, 2011, 09:18:38 PM »  |  | 
 BAhut Khub Intezar Bhai Bahut Hi Sundar Aur Lajawaab Likha Hai  Yuhi Humesha Likhte Rahiye Aur Khush Rahiye     |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| brokenbyluv 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #8 on: February 24, 2011, 11:22:55 PM »  |  | 
  Bahut hi umda intezar ji har lafz mhbt ki tadap ka kissa bayan kiye hai...bahut khoob... |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| dead heart 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #9 on: February 25, 2011, 02:18:54 AM »  |  | 
 Hamesha ki tarha lajawab mere dost.. Mujhe 3rd, 4th aur last behad pasand aye..         Dil se nikli baatein dil tak ponchi.. Khush rahiye..! |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| AbhiTamrakar 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #10 on: February 25, 2011, 11:45:09 AM »  |  | 
 kya baat haii...
 bahut khoob intezar ji..
 
 
 dhers aari daad~
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| khamosh_aawaaz 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #11 on: February 25, 2011, 03:49:32 PM »  |  | 
 
 Milne de mujhe aaj khud se kal to ye faasla apne darmayaan hoga
 Aaj hun teri palko mein qaid phir jaane kaha mera aashiyaan hoga
 
 Milengi mujhe beshak in andheron ki gumnaamiya tere baad Lekin
 jalta rahunga mar kar bi aur teri mehfil me roshni ka kaarwaan hoga
 
 apne jism se meri khushbu mitaa kar bhi khud se juda kaise karoge
 mitti me mil jayegi raakh, fiza me roshan mere naam ka dhuaan hoga
 
 tum khud ko bachaa kar rakhna mere chahne waalon ki mehfil se
 tere aansu tera daaman bhiga denge jab bhi mera zikra jahaan hoga
 
 jee raha hun teri firaaq me aaj bhi tanha hi aur baad mar kar bhi
 tanha hi mashroof rahunga hisaabo me tab saath mere koi kahaan hoga
 
 tu hi bata koi ahad tujhse, tujhe bhool jaane ka main kaise karun
 fana hokar milungaa khuda se aur phir tujhe chahne ka gunaah hoga
 
 katro.n me bahaa kar tum chaahe to aaj beshak mujhe zaaya kar do
 kal aaina dekhoge to aankhon me tumhaari, ‘Intezar’ Rawaa.n hoga..!
 
 
 Shukriya
 Intezar !
 
 
 
bahut khoob intezar sb |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| Intezar 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #12 on: February 25, 2011, 11:29:11 PM »  |  | 
 shukirya Manzil ji dil se bahut bahut shukriya... Intezar ! bht khoob intezaar ji....sply last one....
 tooooo... goood...
 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| Intezar 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #13 on: February 25, 2011, 11:30:28 PM »  |  | 
 MG ji bahut bahut shukriya aapne pasand kiya lekin aap me jo baat hai wo yahan kahan...  Intezar ! whaa intzar ji.........
 kya kamal ka kalaam he apka..........bas dil ko chu gaya sidha........har baat jis khubsurati se kahi uski tarif karna mumkin nahi..........dil se hajaro daad........keep it up ji
 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| Intezar 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #14 on: February 25, 2011, 11:31:47 PM »  |  | 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	|  |