- Pocha Tanhai Ne Mujhse -

by Meena is back on August 02, 2007, 12:37:53 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2309 times)
Meena is back
Guest
abhi thoda free time time to ek aur poem ban gayi. meri ek aur koshish pesh hai:

Pocha mujhse tanhai ne, kyu mera saath tujhe itna payara hai,
Kaha maine ke duniya ki beedh me mujhe kisi ne apnaya hi nahin,

Pocha umeed ne ke kyu rehne nahin deti tum mujhe apne pas,
Kaha main, ek toote sapne ke baad maine aur koi sapna sajaya hi nahin,

Pocha vishwas ne kyu dam tood raha hoon mai teri zindagi me pal bar me,
Kaha main ke tum to nazuk  ho, tume kisi ne majbood banaya hi nahin,

Pocha mayusi ne kyu humesha mera daman pakde baithi rehti ho,
Kaha maine kisi ne koi aur tareeka jeena ka mujhe sikhaya hi nahin,

Pocha Khuda ne kyu aab tera mujh pe vishwas na raha “Meena”,
Kaha maine tumne dukh ka saya meri zindagi se kabhi hataya hi nahin!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
na fir mujhse khatkhataana hua by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
JO TUNY POCHA HA AJ MUJH SY ...TO SUNO by SADIQA JAWED in Shayri for Khumar -e- Ishq
mujhse naraZ by tushar_4u_im in Shairi - E - Zindagi
mujhse kaho by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Dekh Kar Tanha Mujh Se Pocha Baharon Ne.! by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: August 02, 2007, 01:59:35 PM »
Bahut hi Khoob... Meena..
Very Deep and True Feelings from Life Usual Smile
Very Good Work.... =D> =D>


Ek-do chhoti chhoti si typing errors thi, main theek kar rahi hoon....
I hope You don't Mind... sad5 (I am not so good in Writing sad5 )

Quote

Pocha mujhse tanhai ne, kyu mera saath tujhe itna payara hai,
Kaha maine ke duniya ki beedh me mujhe kisi ne apnaya hi nahin,

Pocha umeed ne ke kyu rehne nahin deti tum mujhe apne pas,
Kaha maine, ek sapna tootne ke baad aur koi sapna sajaya hi nahin,

Pocha vishwas ne kyu dam toot raha hai mera pal pal teri zindagi se,
Kaha maine tum to nazuk ho, tumhe kisine majboot banaya hi nahin,

Pocha mayusi ne kyu humesha mera daman pakde baithi rehti ho,
Kaha maine kisi ne koi aur tareeka jeena ka mujhe sikhaya hi nahin,

Pocha Khuda ne kyu ab tera mujh pe vishwas na raha “Meena”,
Kaha maine, Tumne Dukh ka saya kabhi meri zindagi se hataya hi nahin!
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: August 02, 2007, 03:13:31 PM »
Very nice Meena...bohot din baad likha dekha hai tumhara....beautiful....!! Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: August 02, 2007, 03:35:36 PM »
Good One Meena...
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #4 on: August 02, 2007, 05:57:59 PM »
Ofcourse it is good but I am late to respond. !!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: August 02, 2007, 06:01:56 PM »
BAHUT KHOOB MEENAJI...GEHRAI KE SAATH LIKHA HAI AAPNE.. =D>  =D>
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #6 on: August 03, 2007, 04:49:40 AM »
gr8 meena ji

mujhe gira kar ajj khud ko utha lo mehfil mein tum
aitbar jhoothla kar khud ko suna lo mehfil mein tum

waqt bewaqt koi toh khayal mera tumhein sata jayega
kuch pal aor mere dil ko jala lo mehfil mein tum

aksar dekha karte hain,mayuusi mein hamdard dhoondte logo ko
ajj phir se ek aor tamasha dikha do iss mehfil mein tum

socha kiye kabhi ahh na bhareyein teri sangdilli ki "Manasi"
par jane anjaane "Manav" ashq baha lo iss mehfil mein tum
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: August 03, 2007, 08:05:10 AM »
Wonder ful feeling . meena ji.. kafi gehrai se likha hai...

manav.. wonderful lines by u tooo .. keep writing lk this...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: August 03, 2007, 11:50:23 AM »
Bahoot Khoob LIkha Hai,..
Meena Ji Aur Manav Ji,,..
Yunhi Likhte rahiye,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: August 03, 2007, 11:54:56 AM »
Dard Ki Haddein Kuch Is Tarah Bardhi Zindagi Mein,..
Ke Zindagi Roothi Hai Ab Bhi Khushi Se Aur Mehfilon Se Anjaan Hai,..

___________________________________________---Jaanasheen---
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: August 03, 2007, 02:36:08 PM »
too good meena. nice manav and jaanasheen ji!!
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #11 on: August 05, 2007, 02:07:55 PM »
Thanks Deepika, janasheen and pooja .. happy to get comments from the senior members of this forum
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: August 07, 2007, 10:24:10 AM »
Shukriya Pooja Ji And U Are Welcome Manav Ji,,,
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: August 07, 2007, 10:27:17 AM »
Na Dard Ki Parawaah Kar Tu "Azeem...
Ke ye To Zindagi Ka Hissa Hai,..
Ye To sabki Kahaani Hai,..
Aur Har Ek Ka Khissa hai,..

_____________________-Jaanasheen-
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #14 on: August 08, 2007, 09:57:39 AM »
Shika sis: shukirya aur thanks meri mistakes ko correct karne ke liye. woh kya hai jaldi jaldi me lihkti hoon na. Usual Smile

Talat, Aryaan ji, Ricky ji, khwaish ji, deepika kuddiye...thanks a lot for reading and liking my poems!!!

Manav ji and Janasheen ji...shukriya meri poem pasand karne ka aur apka likha hua bhi bohot hi acha hai!!! mai zaroor ispe jawab likhongi.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 03:41:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer