Reh-Guzar...!!!

by Delicate_Doll on February 05, 2007, 12:55:41 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3208 times)
Delicate_Doll
Guest
Apni Marzi se kahan apne Safar ke Hum hain
Rukh Hawaaon ka jidhar hai, udhar ke Hum hain

Pehle her Cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar mai kisi Dusre Ghar ke Hum hain

Waqt ke saath hai Mitti ka Safar Sadiyon tak
Kisko Maloom kahan ke hain, kidhar ke Hum hain?

Chalate rehte hain k chalna hai Musaafir ka Naseeb
Sochte rehte hain k kis Reh-Guzar ke Hum hain

Gintiyon mai hi gine jate hain her Daur mai Hum
Her Qalam-kaar ki Benaam khabar ke Hum hain
nm
Logged
pinky
Guest
«Reply #1 on: February 05, 2007, 07:08:06 PM »
Nice Sharing Salma..!!
Usual Smile
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #2 on: February 05, 2007, 07:34:12 PM »
wondeful  sharing Salma.........   bahot  acchi ghazal  likhi  ho......

Na  gila hai  kisi  na  khush  gumani  hai
kayee dino se  yeh dil udaas rahta hai
bure waqt mein bhala koi saath kya dega
har ek saans mein mere dard bhara rahta hai.....
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #3 on: February 06, 2007, 09:41:07 AM »
bahut ache salma. .waheed


kabhi saya hai kabhi dhoop mukadder mera
hota rahta hai yu hi karz baraber mera
toot jaate hai kabhi mere kinaare mujh me
doob jaata hai kabhi mujh me samunder mera
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: February 06, 2007, 05:39:25 PM »
Nice one salma, waheed and samnoj...............


Kis Kadar Siyaah Hai Din,
Aur Safed Raatein Hai,
Maut Ki Khamoshi Mein,
Zindagi Ki Baatein Hai,
WaQt Ruk Gaya Hai Aur
Chand Taare Chalte Hai,
Bujh Gaya Hai Ye Suraj
Jism Saare Jalte Hai,
Dekhte Hai Haath Aur Pair
Aankh Sochti Hai Ab
Lab Sile Hue Hai Aur
Sach Bolte Hai Ab,
Sach Bolte Hai Ab,
Saans Ab Dhadakte Hai
Dil Lahoo Mein Behta Hai,
Jism Mein Mera Lekin,
Koi Aur Rehta Hai,
Dard Hai Mere Lekin,
Koi Aur Sehta Hai,
Dushamni Hai Yaaron Se,
Bolti Hai Tasveerein,
Raaz Saari Duniya Ke,
Kholti Hai Tasveerein,
Khaar Mein Hai Khushbu Aur
Phool Khoon Rulate Hai,
De Sakun Angaare,
Honth Ab Jalaate Hai,
Raaste Bhi Sidhe Hai,
Manzilein Bhi Aasan Hai,
Na Koi Musafir Hai
Na Hi Koi Samaan Hai,
Khwahishein Nahi Hai Aur,
Na Hi Hai Koi Maksood,
Jism-O-Rooh Ka Rishta,
Ab Kahin Nahi Maujood...
* * * * *


nm
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #5 on: February 07, 2007, 07:23:35 AM »
Quote from: "pinky"
Nice Sharing Salma..!!
Usual Smile


thanks a lot pinku
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #6 on: February 07, 2007, 07:30:49 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
wondeful  sharing Salma.........   bahot  acchi ghazal  likhi  ho......

Na  gila hai  kisi  na  khush  gumani  hai
kayee dino se  yeh dil udaas rahta hai
bure waqt mein bhala koi saath kya dega
har ek saans mein mere dard bhara rahta hai.....


thanks waheed ..ya mujhe bahut pasand aayi ..aur meri soch pe militi julti thi :-P issliye socha share karne ko

bahut khoob

duinya sirf mathalb pe yaad karti hai
yahan rona bhi ek tamasha hi hai
koun kisi k dard ko samjhega dost
yahan har ek shaks gham ka maare hai
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #7 on: February 07, 2007, 07:37:00 AM »
Quote from: "samnoj"
bahut ache salma. .waheed


kabhi saya hai kabhi dhoop mukadder mera
hota rahta hai yu hi karz baraber mera
toot jaate hai kabhi mere kinaare mujh me
doob jaata hai kabhi mujh me samunder mera


thank u mateen n bahut hi khoob likha hai

kabhi roshini kabhi andhera hai
har ek roz umeedon se bhara hai
kab jaane khuda hum pe mehrban hoga
bas uski rehemat ka hi ek sahara hai
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #8 on: February 07, 2007, 07:38:21 AM »
Quote from: "angel4u"
Nice one salma, waheed and samnoj...............


Kis Kadar Siyaah Hai Din,
Aur Safed Raatein Hai,
Maut Ki Khamoshi Mein,
Zindagi Ki Baatein Hai,
WaQt Ruk Gaya Hai Aur
Chand Taare Chalte Hai,
Bujh Gaya Hai Ye Suraj
Jism Saare Jalte Hai,
Dekhte Hai Haath Aur Pair
Aankh Sochti Hai Ab
Lab Sile Hue Hai Aur
Sach Bolte Hai Ab,
Sach Bolte Hai Ab,
Saans Ab Dhadakte Hai
Dil Lahoo Mein Behta Hai,
Jism Mein Mera Lekin,
Koi Aur Rehta Hai,
Dard Hai Mere Lekin,
Koi Aur Sehta Hai,
Dushamni Hai Yaaron Se,
Bolti Hai Tasveerein,
Raaz Saari Duniya Ke,
Kholti Hai Tasveerein,
Khaar Mein Hai Khushbu Aur
Phool Khoon Rulate Hai,
De Sakun Angaare,
Honth Ab Jalaate Hai,
Raaste Bhi Sidhe Hai,
Manzilein Bhi Aasan Hai,
Na Koi Musafir Hai
Na Hi Koi Samaan Hai,
Khwahishein Nahi Hai Aur,
Na Hi Hai Koi Maksood,
Jism-O-Rooh Ka Rishta,
Ab Kahin Nahi Maujood...
* * * * *


nm


thank u angel ..sach me wonderful one ..
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: February 07, 2007, 09:29:14 AM »
bahut achche salma :D
Logged
paani
Guest
«Reply #10 on: February 08, 2007, 12:33:17 PM »
Nice One Doll
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: February 08, 2007, 06:41:56 PM »
Thanks Salma.. One More ofcourse NM... :D:D:D




Mansoob The Jo Log Meri Zindagi Ke Sath
Aksar Wohi Mile Hai Badi Berukhi Ke Sath

Yun To Main Hans Pada Hoon Tumhare Liye Magar
Kitne Sitare Toot Pade Ek Hansi Ke Sath

Fursat Mile To Apna Gereban Bhi Dekh Le
Aye Dost Yun Na Khel Meri Bebasi Ke Sath

Majburio Ki Baat Chali Hai To Maine Kaha
Hum Ne Pia Hai Zehar Aksar Kushi K Sath

Ek Sajda Khaloos Ki Qimat Fazay-E-Khald.
Ya Rab Na Kar Mazak Meri Bandagi Ke Sath

Mohsan Karam Ke Liye Bhi Ho Jis Mein Kahlos Bhi
Mujh Ko Gazab Ka Pyar Hai Is Dushmani K Sath
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #12 on: February 08, 2007, 07:09:26 PM »
bahot  khoob Husena..........   dono  poem  acchi lagi ....
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #13 on: February 09, 2007, 01:02:38 PM »
Thanks salil  n paani jee Usual Smile

wow again nice one angel
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #14 on: February 09, 2007, 01:03:14 PM »
Dilagi karke parega pachtana
Yeh to socha bhi na tha
Itna mushkil hoga phir palken uthana
Yeh to socha bhi na tha

Masat rehte the bas apne hi khayalon mein
Kabhi hakikat se bhi parega takrana
Yeh to socha bhi na tha

Katrane lage har aapno se parayon se
Kabhi tanhaion mein parega man ko bahalana
Yeh to socha bhi na tha
nm
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 17, 2024, 06:19:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer