Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27
Print
Author  (Read 21714 times)
honeyrose
Guest
«Reply #345 on: September 29, 2008, 11:45:46 AM »
Shukriya Sayyid ji..

Nice lines bhai jaan..
.



Din aa gaye sabaab ke aa.Nchal sambhaaliye
Hone lagii hai shahar me.n hal-chal sambhaaliye

Chaliye sambhal sambhal ke kaThin raah-e-ishq hai
Naazuk ba.Dii hai aap kii paayal sambhaaliye

Saj dhaj ke aap nikale sar-e-raah Khair ho
Takaraa na jaaye aap ka paagal sambhaaliye

Ghar se naa jaao duur kisii ajanabii ke saath
Barasenge zor-zor se baadal sambhaaliye
___________________________________NM______
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #346 on: September 29, 2008, 11:50:19 AM »
Hasrat Hai tujhe Saamne Baithe Kabhi Dekhoon,.
Main Tujhse Mukhatob Hoon Tera Haal Bhi Poochoon,.

Dil Mein hai Mulakhaat Ki Kashish, Ki Dabi Aag,.
Mehandi Lage Haaton Ko, Chupaa Kar Kahaan Rakhoon,.

Jis Naam Se Tune  Mujhe Bachpan Se Pukaara,.
Ek Umar Guzarne Pe Bhi Tera Naam na Bhooloon,.

Tu Ashq Hi Banke Mere aankhon Mein Samaa Jaa,.
Main Aaina Dekhoon To Tera Ask Bhi Dekhoon,.

Poochoon Kabhi Gooncho Se, Sitaaron Se, Hawaa Se,.
Tujhse Hi Magar Ye Ke, Tera Naam na Poochoon,.

Aye Mere Tamanna Ke Sitaare Tu kahaan Hai,..
Tu Aaye To ye Jism Shab-e-Gham Na Saupoon,.

________________________-Khwaja Mir Dard-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #347 on: September 29, 2008, 12:03:06 PM »
Shukriya Sayyid ji..

Nice lines bhai jaan..
.



Din aa gaye sabaab ke aa.Nchal sambhaaliye
Hone lagii hai shahar me.n hal-chal sambhaaliye

Chaliye sambhal sambhal ke kaThin raah-e-ishq hai
Naazuk ba.Dii hai aap kii paayal sambhaaliye

Saj dhaj ke aap nikale sar-e-raah Khair ho
Takaraa na jaaye aap ka paagal sambhaaliye

Ghar se naa jaao duur kisii ajanabii ke saath
Barasenge zor-zor se baadal sambhaaliye
___________________________________NM______


Good Sharing Sis,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #348 on: September 30, 2008, 09:54:35 AM »
Dum Labon Par Hai Agar Ab Bhi Nahi Aaaoge,.
Laash Paaoge Meri, Mujhko Nahi Paaoge,.

Behtar Hai Tum Mujhse, Mera Haal Na Poocho,.
Mera Haal sunoge Tum To Tadap Jaaoge,.

__________________________-Jaanasheen-
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #349 on: September 30, 2008, 10:02:50 AM »
Bohat khoob nice lines bhai jaan... Thumbs UP
Logged
Roja
Guest
«Reply #350 on: September 30, 2008, 04:02:12 PM »
Fantastic sharing Jaanasheen ji  Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #351 on: September 30, 2008, 04:05:15 PM »
Ek aur baat mani
Ek aur zakham khaya
Khud hum ne apne hathoon
Dil ka diya bujhaya

Hum bhi the kitne nadaan
Kaisa freeb khaya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya

Kabhi aye dil zubaan par
Koy shikwa na lana
Mohabbat k moqadar main
Likha hay umar bhar
Aansu hi bahana

Hay roshani k piche
Lakhon ghamon ka saya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya

Hain yun armaan dil main
K hoon kaydi kafas main
Tumain ab bhul jana
Naheen hay apne bas main

bhala deen ge kahan tak
Dil pe pehra sangdil
Duniya ki rasmain
Tum aur yaad aye
Jitna tumain bhulaya

Humain yeh kiya khabar thi
Tumain khona pare ga
Tumain apna bana k
Dil laga k
Aik din rona bhi pare ga

Joothi hansi ki khatir
Ashkoon ko hay chupaya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya

(NM)
Logged
Roja
Guest
«Reply #352 on: September 30, 2008, 04:06:24 PM »
Ajnabi hai to mery zehan main rehta q hai,
Wo jo pather hai to sheeshon ka maseeha q hai,

Wo hwa hai to guzar hay vo hwaun ki trah,
Wo samunder hai to thehra rahy behta q hai,

Mery aangn main nahi koi umeedon ka gulab,
Phir ye mausam mery aangan main utarta q hai,

Jis k chehry pe saji jhoot ki tehreerain hain,
Dil ussi shakhas k waadon se behlta q hai,

Ye mera dil ye mausam ye anjan sa dil,
Phir najany tery naam se dharkta q hai,

(NM)
Logged
Roja
Guest
«Reply #353 on: September 30, 2008, 04:08:16 PM »
Soo baras ki zindagi main aik pal
Tu agar kar le koy ache amal
Tuj ko duniya main mile ga us ka phaal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

gham ko sene se lagana sekh le
gair ko apna banana sekh le
Dard sah kar muskarana seekh le
Choor khudgarzi wafa ki rah chal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

Aik aadam ki sabhi olaad hain
Kuch to khush hain aur kuch nashad hain
jurm un ka kiya hay jo barbaad hain
Tu zamane k asuloon ko badal

Dusaron k waaste zinda raho
Jaan bhi jaye to hans kar jaan do
Mout k aage bhi sharminda na ho
Tu sada insaniyat rah chal
Aaj jo kuch boye ga kate ga kal

(NM)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #354 on: October 01, 2008, 09:26:49 AM »
Shukriya Jaya Sis,.
And Nice One Roja sis,.'
Thansk For Sharing It Here,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #355 on: October 01, 2008, 09:28:39 AM »
Pyaar Ka sauda Hum Kar Na Paaye,.
Keemat Hi Kuch Aisi Thi,.

Jeeti Baazi Haar gaye Hum,.
Kismat Hi Kuch Aisi Thi,.

__________________-Jaanasheen-
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #356 on: October 02, 2008, 05:27:12 AM »
 Applause :clap
nice all  Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #357 on: October 02, 2008, 10:44:03 AM »
Nice Sharing Sayyid, Azeem, Honey sis and Roja  icon_thumleft
Logged
Talat
Guest
«Reply #358 on: October 02, 2008, 10:44:56 AM »
Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na mang

Maine samjha tha ke tu hai to darakhshan hai hayat
Tera gham hai to gham-e-dehar ka jhagra kya hai
Teri surat say hai aalam mein baharon ko sabat
Teri aankhon ke siwa dunya main rakha kya hai
Tu' jo mil jaye to taqdeer nugoon ho jaye
Youn na tha maine faqat chaha tha youn ho jaye
Aur bhi dukh hain zamane main mohabbat ke siwa
Rahatein aur bhi hain vasal ki rahat ke siwa
Anginat sadyoun ki tareek behimana tilsm
Resham wa atlas wa kamkhwab main bunwaye hue
Ja baja bikte hue koocha-o-bazar mein jism
Khaak mein lithre hue khoon mein nehlaye hue
Jism nikle hue imraz ke tanuron se
Peep behti huee gulte hue nasooron se
Lot jatee hai udhar ko bhi nazar kya kejeeye ?
Ab bhi dilkash hai tera husn magar aya kejeeye ?
Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
Rahatain aur bhi hain vasal ki rahat ke siwa

Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na mang


Faiz Ahmad Faiz
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #359 on: October 05, 2008, 09:16:46 AM »
Thank You Bekaraar Ji,.
And Talat Ji,.

And Nice Sharing Yaar,.
Logged
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 04:45:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer