SAMNAY WOH HAIN AUR GULAAL NAHIN

by faiiz_76 on October 16, 2007, 08:08:09 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 768 times)
faiiz_76
Guest
SAMNAY WOH HAIN AUR GULAAL NAHIN
CHAAND TERA BHI KOI HAAL NAHIN

UNN KI DUURI SE HI UTER JAYE
ISHQ AISA KOI UBAAL NAHIN

JANAY ANJANAY HI BHULLA DOON UNHAIN
ISKA HERGIZ KOI SAWAL NAHIN

HUSN KA MAUJZA HAI ISHQ E JUNOON
ISS MAIN KHAKI KA KUCH KAMAL NAHIN

HER KOI MERI TARHA GHAYAL HO
AISA BHI TERA ABB JAMAL NAHIN

SARI HASTI MAIN AIK HAI SAQI
AUR TERI KOI MISAAL NAHIN

HIJER KI DHOOP MAIN JO RAHAT HAI
WESI KOI SHAB E WISAAL NAHIN  

BHOOLNA JHOOT KI ALAMAT HAI
ISHQ KAY CHAAND KO ZIWAL NAHIN
TERI YADOON KI NERM CHAAON TALAY
JEENA AISA BHI KUCH MAHAAL NAHIN

ISHQ KI MANZILAIN BITANAY KO
ISS ZAMEEN PE KOI RIJAAL NAHIN ...




MEANINGS OF DIFFICULT WORDS...

GULLAL ....SURKHI SHARAM KI
UBAAL....UBALNA
KHAKI...INSAAN
JAMAL....HUSN
SHABE WISAAL....MILAN KI RAAT
ZAWAL....DOOB JANA
RIJAAL...INSAAN KA PLURAL
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Udaas Aankhon Se Aansuu Nahin Nikalte Hain by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Raakh ka dheer thee zindagi samnay by sjid hadayat in Shayri-E-Dard
MAL DU GAALO PAR GAALO SE GULAAL…AnAAm by ANAAM in Shayri for Khumar -e- Ishq
laao pyar se unke gulaal laga du by RAAJA1234 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Gulaal.... mann by mann.mann in Shayri-E-Dard
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: October 17, 2007, 05:23:11 AM »
Nice ...

and Thanks for the Meanings of Difficult Words.
They were really needed..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: October 17, 2007, 09:08:34 PM »
Wah wah wah!!! Again... bahoot hi acha likha hai... shabdo ki lari motio ke shabdo se piroee hui hai... good creation!!!

Sawal hai jawab ka arth nahi raha
Zindagi tujhe jeene ka matlab nahi raha

Waqat se bhi ab kaya hum sawal kare
Sath dene ko wo humdum nahi raha

Jeet jaate her haari baji bhi hum pooja
Yakin jo kare mera, wo humdum nahi raha

Kismat ki lakeer ya karmo ko hum dosh de
Dosh bhi dene ka ab to honslla nahi raha

Sawal hai ajj bhi, jawab ka arth nahi raha
Zindagi tujhe jeene ka koi matlab hi na raha!!!!
Logged
faiiz_76
Guest
«Reply #3 on: October 17, 2007, 09:17:07 PM »
pooja ji thanks kahon ya shukriya baat to ek hai laiken main kuch nahin kahon ga
kiyounki     .zaroori nahin her jazbay ko naam den her lamhay ko unwaan dain.


chand ansoo kasak hay ya atish
aye hijer teri intihaa kiya hai?Huh?

fayiiz
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 09:54:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer