!!!!!!!!!!!.......SochtA HooN..............!!!!!!!

by Pushkar_singh on January 29, 2007, 10:32:14 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3296 times)
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile


Jab akela hota hoon kuch sochta hoon,
Bas kisike baare main sochta hoon,
Uske saath bitae har pal ke baare main sochta hoon,
Kabhi sochta hoon.. kyun sochta hoon itna,
Phir baat aati hai ke shayad,
Pyaar karta hoon isliye sochta hoon...

Kya yahi pyaar hai?

Agar nahi hota to itna khayal kyun karta,
Is bheed bhaad se bhari zindagi main,
Jahan apne thikano ka pata nahi,
Vahan kisi aur ke baare main sochna,
Kyu mumkim sochta hoon...
Vo gair nahi vo to apna hai,
Isliye to khyala sirf uska hai,
Band aankhon main bhi intazaar uska hai,
Vo apna he hai shayad,
Shayad koi dil ke kareeb,
Isliye to itna khayal karta hoon,
Ab samjha kyu itna sochta hoon...



 :!: ******* :cry: *******( IAM NOT GAURAV)******* :cry: ****** :!:

*********************************************
Hum toh sirf "shayar" the......pyar par likha
karte the.....
jab mili be-waafai to sirf be-waafi par likhte
hai...
doston ko jab hum apni dukh bhari dastaan sunate
hai.....
tab humare dost hume "badnaam shayar" khete hai....!!!!


***********************************************
dard kii baarish sahii maddham zaraa aahistaa chal
dil kii miTTii hai abhii tak nam zaraa aahistaa chal

tere milane aur phir tere bichhar jaane ke biich
faasalaa rusvaaii kaa hai kam zaraa aahistaa chal

apane dil hii mein nahiin hai us kii maharuumii kii yaad
us kii aankhon mein bhii hai shabanam zaraa aahistaa chal

koii bhii ho ham-safar 'Badnaam Shayar' na ho Khush is qadar
ab ke logon mein vafaa hai kam zaraa aahistaa chal



**************************************************
Jab kabhi tera dil ghabraye laut aana,
Agar kabhi meri yaad sataye to laut aana,
Aaj mujh ko thukra diya hai tuney,
Agar zamaana tujhe thukra de to laut aana,
Kuch din to hum ne bhi achche guzaare hain,
Agar achcha waqt kabhi yaad aaye to laut aana,
Tu kehti hai ke saari duniya yeh teri hai,
Agar duniya tujhe na apnaye to laut aana,
Jaane wale kab aate hain,yeh sach hai,
Agar kismat wo waqt laye to laut aana,
Jaan tujhi par qurban hai meri,
Agar jaan ki zaroorat pesh aaye to laut aana.


**************************************************



Ek pal kiye baat nahi.
Do pal ka ye sath nahi.
Waise to zindagi ek safar si ban gayi hai mere liye.
Par wo safar hi kya jis me tum saath nahi............




***************************************************



Yad Karne Ke Liye Koi Cheej Chahiye
Aap Nahin Toaap Ki Tasver Chahiye
Par Tasveraap Ki Hamara Dil Bana Na Sakega
Kyunki Woh Aap Ki Tarah Muskura Na Sakega......


****************************************************



Dhoka pyaar mein mile to khana chahiye
Zehar jaam mein mile to pi lene chahiye
Bewafaa tere marne ke baad roye, Shayad "badnaam Shayar"
Isliye zehar pi ke muskurana chahiye...........



****************************************************

************( ये सोच'ना मेरी भूल थी.......)*****************


मुझे माफ़ कर मेरे हम'सफ़र,
तुझे चाह'ना मेरे भूल थी,
किसि राह पर वो एक नज़र,
तुझे देख'ना मेरी भूल थी....

कोइ नज़्म हो या कोइ गज़ल,
कहीं रात हो या कहीं शहर,
वो गलि गलि वो शहर शहर,
तुझे ढूढ्ना मेरी भूल थी....

मेरे गम की कोई दवा नहीं,
मुझे तुझ'से कोई गिला नहीं,
मेरा कोई तेरे सिवा नहीं,
ये सोच'ना मेरी भूल थी.......




**************************************************


Muje jindagi se koi gujaris nahi,
Tute dil ko sanam se koi chahat nahi

Dilake dilasa diya he dhoka muje
haste huye tune mere dil ko toda he
apne aasuo se mene ese joda he

Muje jindagi se koi gujarish nahi
Tute dil ko sanam se koi chahat nahi
tute dil ko sanam se koi...


***************************************
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jab bhi main kuch sochta hoon by sarafz in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sochta hoon ussey neend bhi aati hogi by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Jab sochta hoon... by kamran_bombay in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sochta Hoon Main,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
sochta hoon........kabhi samajhta hoon by Syed Mohd Mahzar in Ghazals « 1 2  All »
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #1 on: January 29, 2007, 11:29:41 AM »
bahut ache badnaam
Logged
paani
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2007, 11:46:44 AM »
nice samoj
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #3 on: January 29, 2007, 12:09:26 PM »
dear paani,

maaf ki jiye lekin maine sirf badnaam ki tarif ki thi, maine to kuch likha hi nahi, shayed aap galti se badnam ki jagah mera naam likh gayi

tc
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #4 on: January 29, 2007, 05:36:05 PM »
bohat ache gaurav,hindi wali poem to bohat hi achi lagi.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2007, 05:49:31 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
bohat ache gaurav,hindi wali poem to bohat hi achi lagi.


Well Brilliant JOb New Badnaam Saahab....and Nidhi this is not me....  :D
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #6 on: January 29, 2007, 05:59:37 PM »
ohhh sorry sorry,yaar main kya karun,just similiar ID's tongue3 .
Logged
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #7 on: January 30, 2007, 08:00:53 AM »
Iam not gaurav..............plz friends.........
Logged
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #8 on: February 06, 2007, 10:48:02 AM »
Pyaar nahi hai tumse
par phir bhi yaad ate ho tum

Har din pal chin kiu hamey satate hotum
Tum hari bewafai ne kyn hame iss tarha se barbad kar diya

kyn ab tumhari yaadon ne
hamara picha karna shuru kar diya....
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #9 on: February 07, 2007, 11:55:58 AM »
:D Nice Pushkar ji ........!!!!!
Logged
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #10 on: February 08, 2007, 02:08:18 PM »
Hum to saath hi nikle the iss safar main
par tumne humara saath chordiya
safar shuru hua nahi aur tumne mu morliya

Ab hum jaye kaha
manzil to the tum
lot ke bhi jaye kaha zindagi jo the tum

safar a safal hua
humsafar bewafa hua
tere bharose nikle the aur tuhi bewafa hua...


**************************************
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #11 on: February 08, 2007, 07:16:15 PM »
bahot khoob Gaurav  Brother.........
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #12 on: February 09, 2007, 02:16:28 AM »
good one pushkar...
Logged
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #13 on: February 09, 2007, 05:22:27 AM »
thanx manju ji......!!!!!!!!!!!!!1
Logged
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #14 on: February 11, 2007, 06:40:10 AM »
Khushnaseeb hain hum ki mile aap mujhe
Tanha zindagi ki safar mein mila saathi anmol mujhe
Gum ke badalon ne kabhi gher rakha tha mujhe
Ab badalon ko cheer ke bhi suraj deti hai roshni mujhe
Ae dost kismat mein mere iss se pehle itni khushi kabhi na thi
Aap ne saath humara deke dard ko bhulana sikha diya mujhe
Hum to rote the uski yaad mein
Dost aap ne aansuon ko peena sikha diya mujhe
Uss dhokebaaz ne to maar hi dala tha humein
Dosti ki taqat se jeena sikhaya aap ne mujhe..!!!!


******************************************
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 02:32:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer