Sona Chahti hu*****

by Pooja on May 11, 2006, 06:16:28 PM
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Author  (Read 4253 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #30 on: March 06, 2008, 07:47:59 PM »
bahut bahut khooob poojaji...bahut hi acha likha hai aapne
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kabar Me Chain Se Sona Nahin Aya by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
sona hai by Dr Maqsood Hasni in Shairi - E - Zindagi
Maut ki god mein jis din sona hoga... by vivek.agrawal83 in Shairi - E - Zindagi
Sona tha... by brokenbyluv in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #31 on: March 06, 2008, 07:48:37 PM »
apke jawab ka intzaar hai!!

Shukaria apko acha laga!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #32 on: March 06, 2008, 07:54:15 PM »
Tere har hukm ko sar aankhon par bithaate rahenge
tere har raah par phool hum bichaate rahenge

yeh maana humne ke naseeb mein insaan ka koi zor nahi
par mile tujhse kabhi,yeh waqt ka reham-o-karam hai humpar,
yeh haqeeqat ko khud se roobaroo karaate rahenge...

kaash jo dil kehta hai woh kabhi zubaan bhi kahe
kabhi aisa bhi hoga,yeh yakeen dil ko dilaate rahenge...

koi paas hokar bhi door rehta hai
aur koi door hokar bhi paas rehta hai
yeh baat sach hai,hum apne dil ko yeh samjhaate rahenge.....

"KHWAISH" Kabhi khwaab dekhna na chodna
khwaab sach bhi hote hai,
yeh tasalli bhari umeed dil mein jagaate rahenge...



Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: March 06, 2008, 07:55:42 PM »
wah kaya baat hai!!! bahoot khoob khwaish ji!! bahoot dil se likhte hai app, apni her ek kavita ko!@!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: March 06, 2008, 07:59:22 PM »
Teri yahi baatein yaad teri dilaati hai
Her wo hansi ke pal, ansoo ban jaati hai

Wo mere intzaar main tera raahein takna
Khayalo mai tera intzaar ab karaati hai

Naseeb per maana na zor hai kisi ka
Per khayalo ko yah baatein, kaha samjh aati hai

Dil aor zuban ek ho bhi jaaye, to kaya
Yakeen-e-umeend, kai baar dagmagati hai

Dil mai bas kar, Rooh mai basane wale
Her roj, teri yaadein hi mujhe sulaati hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #35 on: March 06, 2008, 08:15:13 PM »
bahut khooob poojaji...aap jo likhte ho woh dil ko chu jaati hai..bahut hi acha ho aap...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: March 06, 2008, 08:18:08 PM »
shukaria khwaish ji!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: March 06, 2008, 08:18:35 PM »
kisi ki yaad ek nishaani ban jaati hai
ansuo se likhi gayi kahani ban jaati hai...

kisi ka intezaar karna bhi ek saza jaisa hi hai
intezaar karte-karte kitni baar saansein apni tham jaati hai...

jo baat dil mein ho zubaan se keh dena chahiye
yeh baat samajkar bhi chup rehte hai
aise mein apne hi khayalat apni dushman ban jaati hai

jab aankhon mein kisi ki yaad ho to
neend ki jagah kahan rehti hai
raat bhi din ke jaise guzarta hai
"KHWAISH" yehi apni zindegaani ban jaati hai...

kisi ki yaad nishani ban jaati hai
aansuo se likhi gayi kahani jaati hai....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: March 06, 2008, 08:24:27 PM »
wah kaya baat hai khwaish ji!!!!

Apni hi kahani ko na jaane kitani baar dohraate hai
Khayalo mai tujhe roj, ek ek baat sunaate hai

Intzaar hai wo, jo janate hai, nahi hoga poora
Phir bhi kisi umeend per, intzaar kiye jaate hai

Dil ki baat ko zubaan per laana nahi hai itna asaan
Kin kin tariko se, apni baat, hum samjhate hai

Yaad ko uski nishani samjh kar
Khayalo se khud ko behkaate hai

Shabdo se dil mai utarne wale
Tere shabdo mai kho kar, khud ko sulate hai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: March 10, 2008, 06:25:05 PM »
So kar ab nahi uthna chahti
Kho ke hosh, hosh main nahi anna chahti
Bahoot dekh li teri di hui zindagi E-Rub
Bas ab aor main jeena nahi chahti

Yahi hai teri duniya to nahi rahna chahti
Bebsi main dukho ka yah dard nahi pina chahti
Dono hath khaili aai thi, waise hi hu jaana chahti
So jaau ab jab mai, wapis nahi uthna chahti....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: March 14, 2008, 05:13:01 PM »
Ab na koi subah aye
Ab na koi mujhe jagaye
Andhero mai kahin yah Pooja kho jaaye
Na koi awaz lagaye

Umeend ka har diya koi bujhaye
Is jalati agg main shola sulgaye
Sare jahan ko agg lag jaaye
Meri tadap mai, sab jal jaaye

In ashqo main sab beh jaaye
Kyun kisi haal sakoon na mujhko aye
Ab na koi subah ayye
Andhero main kahin yah Pooja kho jaaye!!!!
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #41 on: March 15, 2008, 06:11:11 AM »
pooja ji kitna dard samete hai aap apne me

Hue thi juda rahein kabhi
Ajj lo juda hum ho gaye
Tum chale gaye na jaane kaha
Hum bhi tanha tanha se kahin kho gaye


in lines ne to mere dil ko rone par majbur kar diya
bahut dino se apne aasu chupa rakhe the lekin aapki is shayri ne hamein rula hi dala
thanks to written for this wonderful poetry
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #42 on: March 15, 2008, 06:28:03 AM »
very heart touching lines
Hue thi juda rahein kabhi
Ajj lo juda hum ho gaye
Tum chale gaye na jaane kaha
Hum bhi tanha tanha se kahin kho gaye

thanks to written for this sweet poetry
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #43 on: March 15, 2008, 07:14:21 AM »
waah pooja ji...aaj maiN kutchh  puraani tehreerooN per nazer daal rha tha..toh aapki ye rachna saamen aayii....ek be-misaal ahsaas dikhaya hai aapnee....bahoot khoob....Is mehfil-eyarana ko aapne khaas aayaam diya.......hamari our se dili daad kabool kareiN dost....daad kareiN....Harash

Tere seene se lag kar rona chahti hu
Chain ki nind ajj sona chahti hu

Raho pass mere, bas yahi khawahish hai
Khamosh tere sung, bas rahna chahti hu

Chahata hai yah dil ajj kaya mujse
Teri jubani, sunana chahti hu

Tere seene se lag kar rona chahti hu
Chain ki nind ajj sona chahti hu
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #44 on: March 15, 2008, 12:23:59 PM »
wah kaya baat hai khwaish ji!!!!

Apni hi kahani ko na jaane kitani baar dohraate hai
Khayalo mai tujhe roj, ek ek baat sunaate hai


Intzaar hai wo, jo janate hai, nahi hoga poora
Phir bhi kisi umeend per, intzaar kiye jaate hai

Dil ki baat ko zubaan per laana nahi hai itna asaan
Kin kin tariko se, apni baat, hum samjhate hai

Yaad ko uski nishani samjh kar
Khayalo se khud ko behkaate hai

Shabdo se dil mai utarne wale
Tere shabdo mai kho kar, khud ko sulate hai!!


WAH! WAH! WAH!  BAHUT KHOOOOB POOJAJI..BAHUT HI KHUBSURAT KAVITA LIKHI HAI YEH..
HAR EK LINE ITNI ACHI LIKHI HAI AAPE KE KYA KAHOON?? BAHUT KHOOOB Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 12:56:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer