' Taish ' paagal hai ISHQ meN unke...!!

by ghayal_shayar on September 04, 2013, 01:32:23 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1542 times)
ghayal_shayar
Guest
jaan lena kabhi pata kar ke,
kya hue hum tujhe bhula kar ke...

hausla zindagi ko barsoN raha,
ishq ka ek falsafaa kar ke...

chain saaNsoN ko ab mile na kahiN,
marr gaye hum to dil lagaa kar ke...

darmiyaaN chilmaneN zamaane ki,
dekhna mujhko sab hataa kar ke...

zindagi bikhre kaaNch si hai chubhi,
lamha-lamha zara-zara kar ke...

zakhm ka dard ab nahiN humko,
hans diye jo mujhe rulaa kar ke...

dhuNde tanhaaiyoN meN usko hum,
chip gaya jo mujhe bulaa kar ke...
'
bewafaayi ki jisne rota raha,
aur hum ro rahe wafa kar ke...

'taish' pagal hai ishq me unke,
chott khaata hai iltijaa kar ke...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Paagal Nazm Paagal SmaajoN Ke Naam by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
Taish- mujhe ishq hi BEWAFA se hua hai...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
Taish- ulfat ne yuN PAAGAL kar diya hai...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
Taish- BEADAB ishq hai...!! by ghayal_shayar in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Taish- naya-naya PAAGAL...!! by ghayal_shayar in Ghazals « 1 2  All »
Bishwajeet Anand Bsu
Guest
«Reply #1 on: September 04, 2013, 01:36:34 PM »
Waah Taish Saahab, Har ahsaar gazab dha rahe hai...Bahut Bahut Khoob... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #2 on: September 04, 2013, 02:02:11 PM »
Musaahib saaheb tah-e-dil se aapka shukragizaar huN is izzat afzaayi ke liye, umeed karta huN ki aapka saath hume aage bhi yuNhi milta rahegaa...
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #3 on: September 04, 2013, 02:39:05 PM »
bewafaayi ki jisne rota raha,
aur hum ro rahe wafa kar ke...

waah waah taish ji bohut umda kalam lajawaab ,

mujhe sirf uper wale ashaar me aisa laga ke,
 wo aisa hona chahiye tha,,

bewafaayi ki jisne hasta raha ,
aur hum ro rahe wafa kar ke.

bas laga mujhe aise ,,wwaise apka kalam  zabardast hai,
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #4 on: September 04, 2013, 02:49:06 PM »
bewafaayi ki jisne rota raha,
aur hum ro rahe wafa kar ke...

waah waah taish ji bohut umda kalam lajawaab ,

mujhe sirf uper wale ashaar me aisa laga ke,
 wo aisa hona chahiye tha,,

bewafaayi ki jisne hasta raha ,
aur hum ro rahe wafa kar ke.

bas laga mujhe aise ,,wwaise apka kalam  zabardast hai,
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause

Sahal saaheb pehle to ise padhne aur daad ka shukriya...

ab aate hain aapki baat pe, darasal khayaal aapka bhi apni jagah bilkul durust hai, par main halka so twist diya hai us regular khayl ko, ye to sabhi kehte haiN ki bewafaayi karne wlaa rota hai, par mera maan.na ki badi tragedy to tab ho, jab wafaa karn wala bhi roye aur bewafaayi karne wala bhi, isse ye pata chalta hai ki bewafaayi karne wale ki bhi apni kuch majburiyan rahin hoNgi... Mere khayaal se ab baat aap tak pahuNch gayi hogi, waise yakeen maaniye bhaut khushi mili dekh kar ki aap ye baat uthaayi, yuNhi saath dee rahiye saaheb...
Logged
Bhupinder Kaur
Guest
«Reply #5 on: September 04, 2013, 03:00:49 PM »
Bahut Bahut Khoob Taishji icon_flower....
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #6 on: September 04, 2013, 03:03:17 PM »
bahot khoob Applause Clapping Smiley Applause
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #7 on: September 04, 2013, 03:11:51 PM »
Sahal saaheb pehle to ise padhne aur daad ka shukriya...

ab aate hain aapki baat pe, darasal khayaal aapka bhi apni jagah bilkul durust hai, par main halka so twist diya hai us regular khayl ko, ye to sabhi kehte haiN ki bewafaayi karne wlaa rota hai, par mera maan.na ki badi tragedy to tab ho, jab wafaa karn wala bhi roye aur bewafaayi karne wala bhi, isse ye pata chalta hai ki bewafaayi karne wale ki bhi apni kuch majburiyan rahin hoNgi... Mere khayaal se ab baat aap tak pahuNch gayi hogi, waise yakeen maaniye bhaut khushi mili dekh kar ki aap ye baat uthaayi, yuNhi saath dee rahiye saaheb...
Taish sahab shuker is baat ka mana raha hun ke apko bura nahi laga,,,jee ye bhi khyaal aapka achha raha,,
waise isse ye bhi sabit hota hai ke likhnewale ka khyaal alag hota hai aur pahdne wale ka alag aur use apne uper lene wale ka khyaal alag, waise ye bhi sach hai ke majbooriyan bhi
bewafai karwaati hain, bewafa aksar halaat nahi hote,,

bohut shukriya ,,khushi hui apse baat karke,
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: September 04, 2013, 03:19:04 PM »
jUST EXCELLENT
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 14 hours and 9 minutes.
Posts: 18588
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #9 on: September 04, 2013, 03:26:09 PM »
WAAH WAAH TAISH JI WAAH
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #10 on: September 04, 2013, 03:35:11 PM »
बहुत खूब.....क्या बात है....
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #11 on: September 04, 2013, 04:04:08 PM »
beshaq bahut bahut khoob taish ji.. khayaal o jazbaat khoob rahe.. Usual Smile

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #12 on: September 04, 2013, 05:21:59 PM »

Taish Sahaab Aadaab...!


Wallaah janab kia kahne waaH behad khoobsurat aur behad umdaa kalaam kahi hai janab... bade hi gazab ke ashaar rahe...

Is umdaa aur khoob kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile



jaan lena kabhi pata kar ke,
kya hue hum tujhe bhula kar ke...

Umdaa matla hua hai janab daad daad...

hausla zindagi ko barsoN raha,
ishq ka ek falsafaa kar ke...

WaaH waaH waaH janab umdaa sher hai daad ...

chain saaNsoN ko ab mile na kahiN,
marr gaye hum to dil lagaa kar ke...

Bahut khoob janab Taish sahaab bahut khoob...

darmiyaaN chilmaneN zamaane ki,
dekhna mujhko sab hataa kar ke...

bahut khoob jee bahut khoob...

zindagi bikhre kaaNch si hai chubhi,
lamha-lamha zara-zara kar ke...

Bahut umdaa janab daad daad daad..

zakhm ka dard ab nahiN humko,
hans diye jo mujhe rulaa kar ke...

Umda sher hua hai janab .. shayari huyi hai khoob..

dhuNde tanhaaiyoN meN usko hum,
chip gaya jo mujhe bulaa kar ke...

Bahut khoob janab bahut umdaa ..

bewafaayi ki jisne rota raha,
aur hum ro rahe wafa kar ke...

WaaH waaH waaH bahut khoob janab bahut khoob...

'taish' pagal hai ishq me unke,
chott khaata hai iltijaa kar ke...

Bahut umdaa maqta hua hai janab daad daad daad...

Logged
aqsh
Guest
«Reply #13 on: September 04, 2013, 05:46:47 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Waaaaaaaaaah taish ji... bahut hi umda peshkash rahi... kya kehne is ghazal ke.. bahut bahut pasand aayi.. hazaron hazaron dili daaaaaaaaad...

chain saaNsoN ko ab mile na kahiN,
marr gaye hum to dil lagaa kar ke...

zindagi bikhre kaaNch si hai chubhi,
lamha-lamha zara-zara kar ke...

zakhm ka dard ab nahiN humko,
hans diye jo mujhe rulaa kar ke.

'taish' pagal hai ishq me unke,
chott khaata hai iltijaa kar ke...

In ashaaron ke kya kehne.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #14 on: September 04, 2013, 05:53:35 PM »
waah waah kya baat hai Ta
jaan lena kabhi pata kar ke,
kya hue hum tujhe bhula kar ke...

hausla zindagi ko barsoN raha,
ishq ka ek falsafaa kar ke...

chain saaNsoN ko ab mile na kahiN,
marr gaye hum to dil lagaa kar ke...

darmiyaaN chilmaneN zamaane ki,
dekhna mujhko sab hataa kar ke...

zindagi bikhre kaaNch si hai chubhi,
lamha-lamha zara-zara kar ke...

zakhm ka dard ab nahiN humko,
hans diye jo mujhe rulaa kar ke...

dhuNde tanhaaiyoN meN usko hum,
chip gaya jo mujhe bulaa kar ke...
'
bewafaayi ki jisne rota raha,
aur hum ro rahe wafa kar ke...

'taish' pagal hai ishq me unke,
chott khaata hai iltijaa kar ke...
ish ji.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 03:26:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.173 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer