Tanhaaiyon ka karb....!!!

by Talat on February 23, 2008, 09:54:12 PM
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Author  (Read 3034 times)
harashmahajan
Guest
«Reply #45 on: March 15, 2008, 03:19:16 AM »
Shukriyaa talat ji and aryan ji...

talat wrote:-

Quote
Tanhaaiyon ka karb sehte hue ek umr guzri
Yaadon ke moti sahejte hue ek umar guzri
Jaane zakhm diya kisne, jaane kisne dil toda
Dil ki karchiyan samet te hue ek umr guzri


AnjaaN sii jab Guzri, Thhodi  si tab Guzri
Hud se toh tab Guzri,Woh Zind se jab Guzri

Harash
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Meri Hayaat Ki Tanhaaiyon Ko Dekho To!!!!!!!!!!!!!! by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Batwaare Ka Karb,. India-Pak,. by Azeem Azaad in Share:Miscellaneous Shayari
Ek Karb E Wafa by raHie in Shayeri for Dard -e- Bewafai
sarthika
Guest
«Reply #46 on: March 15, 2008, 03:21:53 AM »
wah Harsh ji and Talat... bahoot khoob likha!!!!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #47 on: March 15, 2008, 07:29:16 AM »
Shukriya^h sarthika
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #48 on: March 17, 2008, 08:00:15 AM »
Good job everyone ...
It was nice time reading all the posts ...
Keep it up ...
Logged
Talat
Guest
«Reply #49 on: March 17, 2008, 02:29:05 PM »
Bohot khoob Pooja...and Harash....!!

Thanks Pooja, Aryaan, Harash, Sarthika and JHL..!!




Logged
Talat
Guest
«Reply #50 on: August 31, 2008, 01:09:07 AM »

Tanhaaiyon ka silsila khatm hota nahin
Pal koi aisa na guzra ki dil rota nahin

Saanson ke sang hi khatm ho shayad ye karb
Zinda rehte koi pal sukoon milta nahin
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #51 on: August 31, 2008, 02:25:33 AM »
 Applause Applause
excellent  thread......sabhi ne behtreen likha...doston
Logged
Talat
Guest
«Reply #52 on: September 02, 2008, 12:18:23 PM »
Thanks a lot Sanjeev Usual Smile
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #53 on: February 03, 2009, 02:21:48 PM »
Subhan Allah Subhan allah !! Wah wali nahi aah baten kahin hai apne ghazal me !! dard ki eak aisi daastan banadi apne is ghazal ko ke dil halka ho gaya padke aur kasam khuda ki zindagi ki aisi ka-e- yadon ko apne taza kar diya jisko shayad hum bhool gaye the !! subhan subhan allah bahoth umda shayar hain app janab !! allah apko khush rakhe talat ji !!


Qadeer Toopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #54 on: February 03, 2009, 05:42:48 PM »
Subhan Allah Subhan allah !! Wah wali nahi aah baten kahin hai apne ghazal me !! dard ki eak aisi daastan banadi apne is ghazal ko ke dil halka ho gaya padke aur kasam khuda ki zindagi ki aisi ka-e- yadon ko apne taza kar diya jisko shayad hum bhool gaye the !! subhan subhan allah bahoth umda shayar hain app janab !! allah apko khush rakhe talat ji !!


Qadeer Toopchi

Qadeer Ji, shukrguzaar hoon aapki jo aapne itni izzat di aur meri is Shayari ko itna pasand kiya...Ye shayari dil ke behad qareeb hai aur jazbaat se bhari hui....Bohot bohot shukriya aapne is shayari ko padha, mehsoos kiya aur saraha  notworthy notworthy
Logged
ANAAMIKA
Guest
«Reply #55 on: February 03, 2009, 07:02:49 PM »
bahut achhi gazal hai.... Clapping Smiley Clapping Smiley
Per main confused hu aap Celmira hain ya Talat....kya Talat ke upnaam se likhti hain aap...xshma kijiyega main yahan nai hu...aur nahi jaanti kaun kya hai yahan per...
Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Chaandni raaton main hum tum mila karte the
Yunhi pehron baithkar baatain kiya karte the
Yaadon ka karb kar gaya aankhain ashkbaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Bulaayen kis tarah tumko, kahan tum kho gaye
Jism tadapta hai yahan, rooh saath le gaye
Tees uthti hai, aur utar jaati hai dil ke paar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Ishq ko samjha ibaadat, kya yeh uski saza hai
Zindagi bhi to nahin, phir kya yeh qaza hai
Dil bekas aarzuon ka hai jeeta jaagta mazaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar


Qaza = Maut




Logged
Talat
Guest
«Reply #56 on: February 03, 2009, 07:20:01 PM »
bahut achhi gazal hai.... Clapping Smiley Clapping Smiley
Per main confused hu aap Celmira hain ya Talat....kya Talat ke upnaam se likhti hain aap...xshma kijiyega main yahan nai hu...aur nahi jaanti kaun kya hai yahan per...

Shukriya Anamika Ji,

Aap ka Yoindia pe sawagat hai.

Mera naam Talat hai, aur Celmira mera ID hai Yoindia par. Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 01:26:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer