TERI CHAHAT

by TANHA on August 17, 2004, 10:49:11 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1962 times)
TANHA
Guest
Teri chahat meri maut ka sabab na ban jaye darti hoo..
tujhe paane ki zid mere kabr ki jeenat na ban jaye darti hoo...

TANHA
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ke teri chahat hai itni by Ricky in Shayri-E-Dard
teri chahat by Harleyboy1 in Shayri for Khumar -e- Ishq
-:: FaKeer HoOn TeRi ChAhAt ki LaKeer ka ::- by nirbhay in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
chahat he teri chahat paneki......... by jyuthika in Shayri for Khumar -e- Ishq
teri chahat teri nafrat by Dineshkumarjonty in Shayri for Khumar -e- Ishq
lovely_amez
Guest
«Reply #1 on: August 17, 2004, 11:01:30 AM »
hiii
 
    nice one kya khub kahi kya mai puch sakta hu app ka dard karj ?
Logged
muneeb
Guest
«Reply #2 on: August 17, 2004, 11:26:31 AM »
"Main teri ankhon se nahi
In may doob janey se darta hoon

Main teri muhabat se nahi
Teri intaha se darta hoon

Main raat ki tareeqi se nahi
Is tareeqi main basi apni tanhaiee se darta hoon
Logged
mateen govindvi
Guest
«Reply #3 on: August 17, 2004, 02:38:46 PM »
nice tanha &muneeb
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: August 17, 2004, 02:41:48 PM »
nice tanha & muneeb.
Logged
muneeb
Guest
«Reply #5 on: August 17, 2004, 03:35:18 PM »
****Thank you**** Pooja jee and mateen



""rukh pe aanso baha rahi ho tum
kya mujhey aazma rahi ho tum

aaj sharmain nam per uske
kya hameen choor ja rahi ho tum

mere zano pe sar hey or phir bhi
hijr ka geet ga rahi ho tum

guzreen yuoon pas se ke ruk na sakeen
door kyuon hum se ja rahi ho tum

aankh main dosri saja ke shabih
kon sa gum chupa rahi ho tum

kuch to bolo ke yuuon hi chup reh ker
kyuuon sitam hum pe dha rahi jo tum

yad ker mujh ko, meri jan dil ko
roog kaisa laga rahi ho tum

umar guzri hey aik, per ab bhi
dil ka dar khatkhata rahi ho tum

meri aankhoon ka pani pi pi ker
or mujh ko rula rahi ho tum

is shajar per jo nam like hain
kyuoon inhain ab mita rahi ho tum

jis ko tanha kiya tha, us jan per
aaj kyuuon haq jata rahi ho tum

khoon de de ke jo banaya tha
wo makan kyuuon jala rahi ho tum

raah se main tumhari hat to gaya
ab mujhey kyuuon sata rahi ho tum

aankh main, main hoon lab pe or koi
ye mujhey kya bata rahi ho tum

hijr ki subha sar pe aa pohnchi
seej ab kyuoon saja rahi ho tum

sare mosam to Rast dekh chuka
ab use kyuuon bula rahi ho tum
Logged
sanju
Guest
«Reply #6 on: August 17, 2004, 03:40:38 PM »
bahut khoob..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: August 17, 2004, 03:43:18 PM »
bahoot khoob Muneeb>>> jis ko tanha kiya tha, us jan per
aaj kyuuon haq jata rahi ho tum >>> WAH!!! really good one.
Logged
muneeb
Guest
«Reply #8 on: August 17, 2004, 04:04:19 PM »
**************THank you AGAIn*******************




Mujh ko ghamay jana kee haqiqat nahee maloom

Mujh ko to khabar kuchh ghamay doraan kee nahee hay

Mujh ko ghamay doraan ghamay jana kee khabar kiyon?

Yeh ishqay haqeeqee hay nahee ishqay majazee

Phir kiyon ghamay jana ghamay doraan kee fikar ho?

Gar uss say muhabat mujhay uss ko bhee hay mujh say

Mehboob mera wo hay to main uss ka hoon mehboob
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: August 17, 2004, 04:08:48 PM »
payar mai kayun yah hamesha hota hai
rahty hai dono bakhabar
or sare zamanae ko pata hota hai
Logged
muneeb
Guest
«Reply #10 on: August 17, 2004, 04:22:22 PM »
"Dil se dil ka rabta acha laga
Aaj us ko sochna acha laga
Jate jate akhri lamhaat main
Mur ker us ka daikhna chas laga
Zindagi bhar us ne jo kuch bh kia
Us ka har ik faisla agha laga
Her taraf thi bawafa logon li bheer
Aik wo hi bewafa acha laga
Wo haya ki her ada main so hijab
Paas rah ker bhi fasla acha laga
Kiyon mohabbat ho gai us say
Kya bataiyan hum ko us main kya kya acha laga
Logged
TANHA
Guest
«Reply #11 on: August 18, 2004, 06:25:52 AM »
Pooja, Muneeb, Sanju, Lovly & Mateen ji..

aap sab ko namskaar..

bahut bahut shukriya ki aap sab ko meri ye do lines itni acchhi lagi..

muneeb ji kya baat hai...aap ne to afsana hi likh dala...

kya khoob jawab hai...

hamne to u hi likhe the do shabd kagaz per
khabar na thi zamane ki nigaho.n ki...
afsanai jo dilo-dimag me chal rahe the...
khabar na thi ki vo ankho se par gaye...

TANHA
Logged
nishita
Guest
«Reply #12 on: August 18, 2004, 06:29:06 AM »
likhne baithti jab kagaz par uska naam'
to kalam ne bhi chalne se inkaar kar diya...uff
Logged
mateen govindvi
Guest
«Reply #13 on: August 18, 2004, 11:54:04 AM »
wah sabhi ne acha likha hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: August 18, 2004, 02:21:43 PM »
good  tanha  &  muneeb..............

Daayam(always)  Pada  Huaa  Tere  Dar  Par Naheen  Hoon Main
Khaak 'Eisee Zindagee Pe Ke Patthar Naheen Hoon Main .
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 12:37:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer