Teyri Yaad Ahyee

by Sonu on May 15, 2006, 07:36:25 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1015 times)
Sonu
Guest
Meyley mey jub sajhey huye bajar ko deykha to teyri yaad ahyee,
Khavaba mey jenat key nazaro ko deykha to teyri yaad ahyee.

Raat mey train ki khidki sey jub door kahi akeyley ghar ki roshni ko deykha to teyri yaad ahyee.

Yaad ata hai vo serkari kuvater ka purana jharuka,
Vo rajnigandha ki beyley vo khushboo ka jhukaa,
teyri her yaad paney sath bahvnaow ki ek bersat layee.

Meyri manjil vohi hai jidhar teyrey rastey hai,
Meyri her khushi teyrey vastey hai,
Kabhi thuker bhi mili mujhye to teyri yaad ahyee.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teyri negahey by Sonu in Shayri-E-Dard
Sirf teyri kami by Sonu in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Na Salaam Yaad Rakhna, Na Paigaam Yaad Rakhna, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Yaad Yaad yaad bas yaad reh jati hai by Cma in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Aae na tere yaad kabhi yaad ki tarah by khalidrawat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Sonu
Guest
«Reply #1 on: November 16, 2006, 05:38:31 AM »
Kub khatam hoti hai koi raat, jindagi mein
Kub najam hoti hai koi sath, jindagi mein.
 
Kub kasak hoti hai koi aah, jindagi mein
Kub asal hoti hai koi raah, jindagi mein.
 
Kub fasal hoti hai koi abhisar, jindagi mein
Kub gazal hoti hai koi pyar, jindagi mein.
 
Kub najar hoti hai koi tyohar, jindagi mein
Kub asar hota hai koi bekarar, jindagi mein.
 
Kub samay hota hai koi yaar, jindagi mein
Kub hriday hota hai koi dhar, jindagi mein.
 
Kub guman hota hai koi samman, jindagi mein
Kub seyhna  hota hai koi apamaan, jindagi mein.
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #2 on: November 16, 2006, 06:12:16 AM »
nice sonu ji ............kuch hatkar likha hai hai ,acha hai.........

zindagi ke har kadam mai koi baat hoti hai
laane ko ek naya savere aksar raat hoti hai

mile dilko beshak zamane, bhar se ruswaaiya
per yahi jafa to wafa ki nayi suruaat hoti hai

ho na agar dard ka, namonishaan zindagi mai
jaanenge hum kaise, kya,khusi ki aaukat hoti hai

.......................@fahi@.......................
Logged
Sonu
Guest
«Reply #3 on: November 17, 2006, 06:29:44 AM »
Shukiryaa PJAG ji....

bahut khoob bahut acha likha hai apney...

Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
nice sonu ji ............kuch hatkar likha hai hai ,acha hai.........

zindagi ke har kadam mai koi baat hoti hai
laane ko ek naya savere aksar raat hoti hai

mile dilko beshak zamane, bhar se ruswaaiya
per yahi jafa to wafa ki nayi suruaat hoti hai

ho na agar dard ka, namonishaan zindagi mai
jaanenge hum kaise, kya,khusi ki aaukat hoti hai

.......................@fahi@.......................
Logged
Sonu
Guest
«Reply #4 on: November 17, 2006, 06:59:29 AM »
Ho ker Zameen Ki, Aasmaan Ki Chaah Kyun Karoon
Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kyun Karoon

Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpayegi Tujhe Har Pal
Is hi liye Bata de Main Tujh se Wafa Kyun Karoon

Aman Ko Mere Chot Lagay gi Gar Tu Na Mila Mujhe
Tujhe Apna Bana ne Ki Phir Dua Kyun Karoon

Teri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaaya Hai Mohabbat Ke liye
Tujhe Na Chahne Ki Phir Main Khata Kyun Karoon

Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa
Main Phir Teri Banjanay Ki Aarzoo Kyun Karoon

Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam Tera
Main Tera Naam Apne Naam Se Milanay Ki Justajoo Kyun Karoon

Meri Baatain Tere Dil Mein Hamesha Bass Jaati Hain
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyun Karoon

Batoon Batoon Main Benaam Fasaanay Banjaate Hain
Aur Aisi Adhuri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon

joo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hain
Yeh Bataoo Ke Main Unka Zikar Dubara Kyun Karoon

Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai
Usay Pyaar Se Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kyun Karoon

Mere Liye Yeh Mumkin Nahi Ke Main Teri Banjaoun Kabhi
Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyun Karoon

Itna Dukhaaya Dil Ko Tunay Mere, Itna Rulaaya Hai Mujhe
Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujhse Bay intiha Pyar Kyun KAROON...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: November 17, 2006, 10:30:40 PM »
Bohat khoob Sonu & Fahi...
Logged
Sonu
Guest
«Reply #6 on: November 18, 2006, 04:48:41 AM »
shukriyaa Aryaan ji...

Quote from: "Aryaan"
Bohat khoob Sonu & Fahi...
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #7 on: November 22, 2006, 01:30:00 PM »
very nice suno ji...............

karna khuda se dua jab lab tere fariyaad lagaye
woh pal akhiri ho mera jisme na teri yaad aaye

......................@fahi@......................
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: November 22, 2006, 05:44:36 PM »
Har pal mein yaad aayi tumhari,
har pal hum intezaar karte rahe,
kis pal mein aa jao tum,
kabr mein bhi us pal ki talab hum karte rahe.
Logged
nikki
Guest
«Reply #9 on: November 23, 2006, 07:50:25 PM »
subhaan allah kya likha hai sabne.....keep posting everyone....Kamaal kitta hai Sonu sis

uski yaad mein aanso bahane ka mujhe bahana chahiye
hardam ussiko dhondti hain aankhein
yeh usse bhi to samajh aana chahiye
mera kya kasoor tha jo woh mujhse juda hua
khata sirf itni hai ki pyar karo to izhaar karne ka dhang bhi aana chahiye
Logged
Sonu
Guest
«Reply #10 on: November 29, 2006, 07:09:36 AM »
shukriyaa Majid bahi...

bahut acha likha hai apney wonderful...

Jab jab aapse milane ki ummid nazar ayi,
Mere paav mai janjir nazar ayi,
Gir pade aasun aakhon se ,
Aur har ek aasun mai aapki tasvir nazar ayi..
 


Quote from: "majid"
nice 2 alllllllllll


kabhi kabhi tujhko yaad kar lete hain
shehar dil ka aabaad kar lete hain
dard jab had se badh jaata hai to
haath uttha ke fariyaad kar lete hain
sheikh ki maujoodgi mein to nahin peete
maikashi magar uske baad kar lete hain
dil ka muskurane ko jab bhi jee chahe
koi naye gham izaad kar lete hain
tere bagair youn to aalam soona hai saara
kisi tarah gujar na-muraad kar lete hain
Logged
Sonu
Guest
«Reply #11 on: April 27, 2007, 05:22:49 AM »
Sir se chaddar, badan se hava le gayi,
Zindagi hum fakiro se kaya le gayi,
Meri muththi mein to kuch sukhe hue phool hai,
Khushbo ko udakar hava le gayi,
Maien samandar ke sine mein chali gayi,
Raat ek mauj aayi Usen baha le gayi,
Chand ne raat ko Jagakar kaha,
Kssi ladkee ne tumhari ashaqui  chura le gayi...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 18, 2024, 04:32:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer