<>*Tujhe bhulne ki hasrat me*<>

by *KasaK*....Dil Ki on October 27, 2010, 05:58:26 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3612 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Tujhe bhulne ki hasrat me*<>


Tujhe bhulne ki hasrat me jiye ja rahi hun main
Roz yaad karti hun roz hi mare ja rahi hun main

Teri yaadein hi hain jo mujhe jeene k bahane deti hain
Inhi bahanon k  sahare hi jiye ja rahi hun main

Dhadkan k sath chalti hai tera dard tera gum sanam
Har saans k sath ye mitha zehar piti ja rahi hun main

Tujhe dard deke maine khudko bari kiya magar
Aaj apne aap ko baddua diye ja rahi hun main

Aaj bhi kaha hai kuch tune ee dil ki kasak aur
Logon k bich tamasha bani ja rahi hun main

Uske naseeb me jo tha use mila hai magar
Mere naseeb me jo hai tere naam kiye ja rahi hun main

Kai bar kuch khwaishein yunhi  adhuri reh jati hain
Kasak un adhuri khwaishon ki sehti ja rahi hun main…!!!

Logged
dead heart
Guest
«Reply #1 on: October 27, 2010, 08:30:31 PM »
Bahaut dard mehsoos hua iss nazm main di..
bahaut bahaut khoob..!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #2 on: October 28, 2010, 07:11:21 AM »
bahut badhya thoda sudhar ki jarurat hai ..bas baki bahut achhi lagi ...

mast dheeer saaaari daaad~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: October 28, 2010, 07:59:17 AM »
bahut khoobsurti se aapne apne dard ko bayan kiya hai.. kuch alag hi baat hoti hai aapke dard bhare nagmon me... kuch khaas sa .. kuch apna sa ... kuch likhne ki koshish ki hai maine iske jawaab me...


dard ke daayron me yun ghira hua hoon main,
ki ja nahi sakta baahar in daayron se main,

chaah ke tujhe kabhi maanga tha bas apne liye,
ab apne hi chaahat ko har pal kosta hoon main,

khata isme teri nahi ki tu ho nahi sakti meri,
kasoor kismat ka hai kismat ko kosta hoon main,

chaahta hoon bhulaana tujhe main hamesha ke liye,
par yaadon ko seene se laga k bas rota hoon main,

ghum teri judaai ka kahun ya kahun teri bewafai ka,
tu jo dur hai uski har pal wajah dhundta hoon main,

na samajh paaya aaj tak ki kya gunaah kiya maine,
har lamha har pal apni bebasi ko kosta hoon main,

naseeb me kya likha hai ye kisko hai pata, magar
jo chaaha wo na mila, bas isi liye tadapta hoon main,

'kasak' si uth_ti hai mere dil me tere pyaar ki,
mil nahi sakti tu 'Hriday' ko samjhaata hoon main,

tanha akele apne dard ke daayron me rehta hoon main,
dard ko geeton me sajaake har pal gungunaata hoon main...
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #4 on: October 28, 2010, 09:06:43 AM »
Ek aur alag pehlu zindagi ka.....wah wah wah.... Applause Applause Clapping Smiley icon_king


 Is it SO! Is it SO! Is it SO!
Sakhee ye kya afsaana keh rahi ho tum
Izhaare dard tamaasha ban rahi ho tum

Baant-ta nahi dard koi jaantee ho tum
Fir kyu naahak aansu baha rahi ho tum

Jo hua he kismat ka likha maan lo tum
Jo mila hai usi me khushi jaan lo tum

Beetee baat ko ab bhula-beesra lo tum
Jise chaha tha use aur dukh na do tum

Tumhe rota hua q dekhe wo soch lo tum
Hasne hasaane ka wada yaad kar lo tum

Kab hoti khwaishen puri batlao to tum
Kasak adhure pyar ki kyu jatlati ho tum

<>*Tujhe bhulne ki hasrat me*<>


Tujhe bhulne ki hasrat me jiye ja rahi hun main
Roz yaad karti hun roz hi mare ja rahi hun main

Teri yaadein hi hain jo mujhe jeene k bahane deti hain
Inhi bahanon k  sahare hi jiye ja rahi hun main

Dhadkan k sath chalti hai tera dard tera gum sanam
Har saans k sath ye mitha zehar piti ja rahi hun main

Tujhe dard deke maine khudko bari kiya magar
Aaj apne aap ko baddua de rahi hun main

Jab bhi kaha hai kuch tune ee dil ki kasak
Logon k bich tamasha bani hun sirf main

Uske naseeb me jot ha use mila hai magar
Mere naseeb me jo hai tere naam kar rahi hun main

Kai bar kuch khwaishein yunhi  adhuri reh jati hain
Kasak un adhuri khwaishon ki sehti ja rahi hun main…!!!

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: October 28, 2010, 10:00:01 AM »
bahut khoob likha hai aapne Koyal...!!!
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #6 on: October 28, 2010, 12:13:27 PM »
Thanku bade kavi ji.....aapki nazar padi tou....

bahut khoob likha hai aapne Koyal...!!!
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: October 28, 2010, 02:05:43 PM »
Bahut khoob kasak ji...
Logged
haan
Guest
«Reply #8 on: October 29, 2010, 06:50:04 PM »
EK ACHCHA KALAAM  MANZAR E AAM PAR LAANE KA SHUKRIYA ...BAHUT ACHCHA KAHA HAI AAPNE ... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
raajaindra
Guest
«Reply #9 on: October 30, 2010, 06:22:15 PM »
Wah! bahut Khub Kasak ji! kitna dard le kar jee lete hain log

aise tutana hi shaayad aap ko yahan tak le aaya

mai upar wale se dua karunga ki aapki shayari me jhalakti ye khoobsoorti, ye kasak aur khoobsoorat ho.

 icon_salut
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: October 31, 2010, 12:25:26 AM »
Usual Smile

Thanku bade kavi ji.....aapki nazar padi tou....

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: October 31, 2010, 02:17:22 AM »
yunhi kch time pass likha daala...

is jahaan me pyaar jurm hai kya,
log kyun ise chori chhupe karte hain,
kehne to kehte hain tum mere sab kuch ho,
fir bhala zamaane se kyun wo darte hain,

kuch palon ki jhoote saath ke liye,
jaane kitne dil tute honge yahaan,
kuch logon ke niji swaarth ke liye,
jaane kitne ghar barbaad huye,

main ye nahi kehta ki pyaar na karo,
par karo to nibhaane ki koshish to karo,
chhod jaate ho bich raah pe aise,
ki na ji paata hai na mar paata hai koi,

tum to khush ho kisi ko paake apne liye,
pra kya kabhi socha hai uska kya hoga,
jisne chaaha hai tumhe saare jahaan se badhke,
is tanhaayi me haal uska kya hoga,

jaana tha to bhala aaye hi kyun tum,
ab aaye ho to na jao dur ab,
jee nahi paayenge tumhaare bina,
tumhi to meri saansen ho ab..
Logged
zarra
Guest
«Reply #12 on: November 01, 2010, 06:25:45 PM »
pathos aur irony ki thoughts bahaut acchhi tarah saamne aayeen hain
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #13 on: November 29, 2010, 05:40:03 AM »
Bahaut dard mehsoos hua iss nazm main di..
bahaut bahaut khoob..!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut badhya thoda sudhar ki jarurat hai ..bas baki bahut achhi lagi ...

mast dheeer saaaari daaad~
Bahut khoob kasak ji...
pathos aur irony ki thoughts bahaut acchhi tarah saamne aayeen hain
Wah! bahut Khub Kasak ji! kitna dard le kar jee lete hain log

aise tutana hi shaayad aap ko yahan tak le aaya

mai upar wale se dua karunga ki aapki shayari me jhalakti ye khoobsoorti, ye kasak aur khoobsoorat ho.

 icon_salut

shukriya aap sabka ji k mujhe padha aur itni tareef ki...isi tarah sath dete rahiyega........
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #14 on: November 29, 2010, 06:24:10 AM »
<>*Tujhe bhulne ki hasrat me*<>


Tujhe bhulne ki hasrat me jiye ja rahi hun main
Roz yaad karti hun roz hi mare ja rahi hun main

Teri yaadein hi hain jo mujhe jeene k bahane deti hain
Inhi bahanon k  sahare hi jiye ja rahi hun main

Dhadkan k sath chalti hai tera dard tera gum sanam
Har saans k sath ye mitha zehar piti ja rahi hun main

Tujhe dard deke maine khudko bari kiya magar
Aaj apne aap ko baddua diye ja rahi hun main

Aaj bhi kaha hai kuch tune ee dil ki kasak aur
Logon k bich tamasha bani ja rahi hun main

Uske naseeb me jo tha use mila hai magar
Mere naseeb me jo hai tere naam kiye ja rahi hun main

Kai bar kuch khwaishein yunhi  adhuri reh jati hain
Kasak un adhuri khwaishon ki sehti ja rahi hun main…!!!


hmm kasak ji bht hi payra andaaj he likhne ka as usal ur theme and words are wonderfull......bht dard he isme ....good one .....
few lines from my side

Muje Bhulane Ki Nakam Koshish
Ek Koshish He Teri Khud Ko Aajmane Ki

Hum Wo He Jo Bar Bar Yaad Aayenge
Jo Kare Koi Koshish Hume Bhul Jane Ki

Ishq To Bas Khel He Nasib Ka Sanam
Haar Jeet Isme Nahi Ye To Rasm He Bas Nibhane Ki

Na Kar Parwah Is Begairat Duniya Ki
Zamane Ko To Adat He Aajmane Ki  
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:21:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer