udas hai jindagi ki raat......

by ranjana on June 22, 2006, 01:23:36 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Author  (Read 8137 times)
ranjana
Guest
khoi khoi udas si hai meri jindagi ki raat
dard ki chadar oad ke yaad karti hun teru har baat
tum bin na jeeti hun na marti hun main
hontho per rahti hai mere bas har pal tumse milne ki fariyaad
bahut udas si hai meri jindagi ki raat

rooth gaye mere apne , tut gaye sab mere sapne
tumhi se toh thee meri jindagi mein bahaar
tum they toh thaa mujhe apni jindagi se pyar
sajte they tumhi se mere solah singhaar
ab toh yaad aati hai bas teri har baat
bahut udas si hai meri jindagi ki raat

ab toh apni chhayaa se bhi darti hun main
tumhi batao apne tanhaiyo se kaise ladu main
le gaye tum saath apen meri har baat
bahut udas tanha si hai meri jindagi ki raat
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
udas by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
UDAS HO? by shoukat in SMS , mobile & JOKES
udas by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
udas hun mai by vikas2210 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
*Udas Nahi* by Roja in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Delicate_Doll
Guest
«Reply #1 on: June 22, 2006, 01:26:48 PM »
Excellent Rajana jee...last 4 lines to dil ko chu gai...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #2 on: June 22, 2006, 01:35:03 PM »
tumhari yaad ko dil se juda hone nahi.N deta
tumhara dard raato.N ko mujhe sone nahi.N deta

khiradmandi meri mujhko wafa karne nahi.N deti
ye pagal dil ke mujhko bewafa hone nahi.N deta
nm
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: June 22, 2006, 02:19:17 PM »
wah kay abaat hai Ranju... too good.. bahoot acha.. nice one salma

bani aise uski parchai ki parchai hi rah gai
mit gaya khud ka vajood, gumnaam hi rah gai

puchte hai ajj wo, tu apni haqiqat bata
kaya hai vajood tera, humko bhi jata

khamosh nigahe ajj beeta kal dikha gai
kis tarah se badla gai mai, ek ek roop dikha gai

tanhai ki yah raat, kaate nahi kat rahi
kon si jau raah ab main, mujko nahi dikh rahi
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #4 on: June 22, 2006, 03:08:04 PM »
Quote from: "ranjana"
khoi khoi udas si hai meri jindagi ki raat
dard ki chadar oad ke yaad karti hun teru har baat
tum bin na jeeti hun na marti hun main
hontho per rahti hai mere bas har pal tumse milne ki fariyaad
bahut udas si hai meri jindagi ki raat

rooth gaye mere apne , tut gaye sab mere sapne
tumhi se toh thee meri jindagi mein bahaar
tum they toh thaa mujhe apni jindagi se pyar
sajte they tumhi se mere solah singhaar
ab toh yaad aati hai bas teri har baat
bahut udas si hai meri jindagi ki raat

ab toh apni chhayaa se bhi darti hun main
tumhi batao apne tanhaiyo se kaise ladu main
le gaye tum saath apen meri har baat
bahut udas tanha si hai meri jindagi ki raat

bohot khub ranz-na ji!!!!!!!! :D

Mana teri har baat mere sath hein,
par meri parchayii tere hii paas hein
Aankh ban karke pukarna
Teri tanhayiya mein tujh se baat karunga
Waise to hont tera jab bhi kuch kahega,
dekhna wo meri hii awaz hein
Logged
harshmeet
Guest
«Reply #5 on: June 22, 2006, 03:44:13 PM »
AMAZING!!!!!
U TOUCHED MY SOUL....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: June 22, 2006, 04:07:52 PM »
Quote from: "salma4u"
tumhari yaad ko dil se juda hone nahi.N deta
tumhara dard raato.N ko mujhe sone nahi.N deta

khiradmandi meri mujhko wafa karne nahi.N deti
ye pagal dil ke mujhko bewafa hone nahi.N deta
nm


shukriya Salma ........very nice lines...........

jaane kin uljhano mein uljhi hui hai meri yeh jindgai
apne dard ke saath saath jee rahi hai meri jindagi
kabhi hai yeh khushi ki subeh ,toh kabhi hai gum ki shaam
jaise shukh aur dukh per koi nazm si likhi hui hai meri jindagi
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: June 22, 2006, 04:14:06 PM »
Quote from: "Pooja"
wah kay abaat hai Ranju... too good.. bahoot acha.. nice one salma

bani aise uski parchai ki parchai hi rah gai
mit gaya khud ka vajood, gumnaam hi rah gai

puchte hai ajj wo, tu apni haqiqat bata
kaya hai vajood tera, humko bhi jata

khamosh nigahe ajj beeta kal dikha gai
kis tarah se badla gai mai, ek ek roop dikha gai

tanhai ki yah raat, kaate nahi kat rahi
kon si jau raah ab main, mujko nahi dikh rahi


shukriya pooja ,bahut khub............


ab woh hamse kis kadar begaane hue
paraaye se lagate hain sab chehre pechaane hue

jab tak aap chup they roh lagata thaa ki hogi koi baat
magar aap toh dekh kar bhi na bole ,yeh kya maayne hue

jindagi ko paa kar bhi lagta hai ki kuch kami si hai
aap they toh khushi ke sab rasate they pechaane hue............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: June 22, 2006, 04:19:09 PM »
Quote
bohot khub ranz-na ji!!!!!!!! :D

Mana teri har baat mere sath hein,
par meri parchayii tere hii paas hein
Aankh ban karke pukarna
Teri tanhayiya mein tujh se baat karunga
Waise to hont tera jab bhi kuch kahega,
dekhna wo meri hii awaz hein


shukriya SSshahid ...bahut khub ..........

teri awaz ko maine  apni awaz bana ke dekha hai
aanke band karke bhi tera akas hi maine dekha hai
maine samjha ki tu haqikat hai meri jindagi ki
magar jab khuli toh paaya sirf ek dhokha hai............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: June 22, 2006, 04:20:29 PM »
Quote from: "harshmeet"
AMAZING!!!!!
you TOUCHED MY SOUL....


shukriya  harashmeet ......but who......? Puzzled !
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: June 22, 2006, 05:15:48 PM »
WOW brilliant JOb ranju and all

Armaan the dafn mere Kabr me or hum ro bhi na sake.....
Door kahin thi Saji mehfil unki par hum uss WaQt Dard se ubhare na the......

Shayad Paayi thi Kuch khushian Dard ke ashiaane se humne......
Par sach kahein toh uper likhe lafz humne kabhi likhe na the......

Ab pachtate hai Rok na sake unn badalti hawaon ko......
Jaante the hum ki harr Manzil ka rukhh apni aur maud sakte the......

Par kya kariyega.....apne AaliShaan khawabon ke badle.....Zakhm or Dard bahut saste the......!!!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: June 22, 2006, 05:19:47 PM »
Daal do apne Aanchal ka tukda.....
Hum kafan samajh Jindagi bharko so jayenge.....

Ho jayenge BaDnaam kahin door Fizaon me gumm......
Nahi toh kisi Sookhe Drakht par Sirr rakh ke so jayenge......!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: June 22, 2006, 05:25:00 PM »
wah.........kya baat hai ...dil ki baat keh di tumne Gaurav....

ghutata hai dam mera is duniya ke bazar mein
per kuch lamhe ,kuch saanse apni chuarani hain

dheh gaye hum dard se maaus ho kar kahi
toh dheh jaana toh reit ke teelo jaisi nishaani hai

kab tak woh yun hi hamse rahenge khafa
yeh jindagi toh bas ek behta paani  hai

jis pyaar ke charche ho gaye mehfil mein kabse
woh kehte hain ki abhi yeh baat sabse chipaani hai

hai yeh patharo ka sehar ,yahan kaun samjhega mere dard ko
wahi baase se kisse hain ,wahi puaraani mohabbat ki kahaani hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: June 22, 2006, 05:31:01 PM »
Quote from: "ranjana"
wah.........kya baat hai ...dil ki baat keh di tumne Gaurav....

ghutata hai dam mera is duniya ke bazar mein
per kuch lamhe ,kuch saanse apni chuarani hain

dheh gaye hum dard se maaus ho kar kahi
toh dheh jaana toh reit ke teelo jaisi nishaani hai

kab tak woh yun hi hamse rahenge khafa
yeh jindagi toh bas ek behta paani  hai

jis pyaar ke charche ho gaye mehfil mein kabse
woh kehte hain ki abhi yeh baat sabse chipaani hai

hai yeh patharo ka sehar ,yahan kaun samjhega mere dard ko
wahi baase se kisse hain ,wahi puaraani mohabbat ki kahaani hai


Superb beta....bahut khoob.....

Kahan Chali aye Sanam iska Jawab bhi jara sunti jana......
Jo na bann saki kabhi Kahani toh kya use phjir Zindagi ki Dastaan banana.....

Reit ki teele dehe jaate hai chand hawaon ke jhonke se......
Kya tum ho kamjor iss Bedard jamane se.....

Yahan na rakhna kabhi kisi se koi Aasha.....
Yeh hai Zaalim inhe sirf samajh aati hai Qile Ajmer ki bhasha......

Badlo Zindagi ko iske bhi kayi roop hai.....
Harr Mausam hai kahi Chaav toh kahin khilti Dhoop hai......

Jo na mila use chor tu dusra Rasta apna.....
Aa so jaa Seene pe sirr rakh ke mere....
Meri bahon me bana le apni Jagah......!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: June 22, 2006, 05:42:23 PM »
superabbb . amazing..............


hamne apna har rasata badal kar dekhe
jindagi ki chhawn aur dhup ko dekha

jo paaya thaa ek saya kisi diwar ka
usko apne se hi hamne juda dekha

shikve toh bahut hai magar ab koi gum nahi hai
jab rahe.n  hi alag hai ,toh manzil bhi apni woh  nahi hai

na hum apne dard ko dastaan banane denge
unke diye har zehar ko hans ke pee lenge

sakun milega ab mujhe tab  hi kahi
jab  apni har ebadat mein naam khuda ke lenge
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 02:15:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer