Usski Udaasi...

by Aryaan on September 26, 2005, 01:02:19 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3063 times)
Aryaan
Guest
Suna hai ab keh woh udaas rehta hai
Uss se kaho ke woh udaas na ho Kyun keh!
Uss ki udaasi ke sath
Uss ki aankhein bhi num num si lagti hain
Uss ke honth bhi Chup chup se lagte hain
Uss ke yeh chup honth aur num aankhein
Meri kamzori hain
Uss se kaho!
Woh udaas na ho
Jo woh chahta hai
mujh se le le
Be-shak Chahe mujhe na,
Apne mann pasand sathi ke sang ho jaye
Kyun keh!
Uss Ki Udaasi Meri Kamzori Hai...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
EK AANSU TO USSKI AANKH MAIN BHI DEKHA THA by akela in Shayri-E-Dard
udaasi by sumir in Love Poetry in Punjabi
muje talash he usski jo mere jesa ho... by monamithiya in Other Languages
Ada usski mujhko aisee lubhayee by prashad in Shayri for Khumar -e- Ishq
Usski kano ki bali by prashad in Shayri for Khumar -e- Ishq
Delicate_Doll
Guest
«Reply #1 on: September 26, 2005, 01:29:03 PM »
sahi kaha aryaan kiski udasi apni kamzoori hoti hai  :oops:

bahut badiya likha hai...............!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: September 26, 2005, 05:15:39 PM »
toooooo gud Aryaan................
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: September 26, 2005, 06:09:57 PM »
Nice Aryaan,

Uski udaasi mera dil torr jaati hai
kayun ki, uski udaasi muje apna hissa nahi banati hai
jab bhi wo dard bhari najaro se muje dekhata hai
kisi aor ka dard uske chehare per,
mere jakhmo ko aor harra bana jaati hai!!!
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #4 on: September 26, 2005, 08:21:10 PM »
awwwwwwwwww so sweet........good one Aryaan as usual and nice one pooja!!!!!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: September 26, 2005, 11:17:14 PM »
Thanx a lot Salma, Nikki, Pooja & Isha...

Nice Reply Pooja....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: September 27, 2005, 03:53:51 PM »
thanks Isha and Aryaan!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: September 29, 2005, 03:55:10 AM »
Udaas aankhon mein sirf udaasi ki parchaiyan lehra rahi hain
Woh khabrein teri judai ki, kab se dil mera dehla rahi hain

Udaas kar ke, udaasi de ke, udaas ho ke, na jaao yun tum
Pyar kiya hai hum ne tum se hum se bhi sirf pyar karo tum

Udaas din, udaas shamein, udaas neendein udaas raatein
Udaas lamhon, udaas yaadon ke siwa kaun kare ga hum se baatein

Udaas chehre ki be-qaraari, woh soorat teri pyari pyari
Tujhe bhool jayein yeh na ho sake ga magar koshish hogi yeh hamari
 
Udaas samander udaas dariya, udaas chaman, udaas sehra
Laga hai mujhpe najaane kab se tere diye huwe ghamon ka pehra

Udaas aansoo, udaas baarish, udaas bijli, udaas baadal
Dekh ke meri yeh udaasi apne bhi kehne lage hain pagal

Udaas dil ki udaas nasson ke udaas mann mein hai sirf udaasi
Sahe ja rahe hain najaane kab se, keh gham ki shiddat hai achi khaasi

Udaas reh kar Ghamon ko seh kar, maut ko gale laga hi lein ge
Meri maut par kaun udaas ho ga yeh hum kabhi na jaan sakein ge
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: September 29, 2005, 05:05:57 PM »
wowowwow!!! bahoot hi khoobsoorat aor dil se likha hai apne aryaan!! Ati Sunder... shabad nahi mil rahe hai.....magar bahoot hi sunder likha hai apne!!!!

Udaas rato ke udaasi, meri nigahen roj subah bolati hai
mere dard ki kahaniyan, takiyen ki silwate kholati hai!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #9 on: September 29, 2005, 05:28:38 PM »
Quote from: "Aryaan"
Udaas aankhon mein sirf udaasi ki parchaiyan lehra rahi hain
Woh khabrein teri judai ki, kab se dil mera dehla rahi hain

Udaas kar ke, udaasi de ke, udaas ho ke, na jaao yun tum
Pyar kiya hai hum ne tum se hum se bhi sirf pyar karo tum

Udaas din, udaas shamein, udaas neendein udaas raatein
Udaas lamhon, udaas yaadon ke siwa kaun kare ga hum se baatein

Udaas chehre ki be-qaraari, woh soorat teri pyari pyari
Tujhe bhool jayein yeh na ho sake ga magar koshish hogi yeh hamari
 
Udaas samander udaas dariya, udaas chaman, udaas sehra
Laga hai mujhpe najaane kab se tere diye huwe ghamon ka pehra

Udaas aansoo, udaas baarish, udaas bijli, udaas baadal
Dekh ke meri yeh udaasi apne bhi kehne lage hain pagal

Udaas dil ki udaas nasson ke udaas mann mein hai sirf udaasi
Sahe ja rahe hain najaane kab se, keh gham ki shiddat hai achi khaasi

Udaas reh kar Ghamon ko seh kar, maut ko gale laga hi lein ge
Meri maut par kaun udaas ho ga yeh hum kabhi na jaan sakein ge


Wah Aryaan...........bohat hi khoob....ek ek alfaaz dil ko chuaa,bohat hi ache Usual Smile .
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #10 on: September 30, 2005, 02:37:39 AM »
Bohat shukriya Pooja & Nidhi.....
Logged
sanya310
Guest
«Reply #11 on: September 30, 2005, 12:19:20 PM »
bohot achhe aryaan!! too good!

jaane kisne shakh-e-gul kareeb-e-aashiyaan rakh di
ki shauk-e-gulbosi mein hamne kaanton pe zubaa rakh di.
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #12 on: September 30, 2005, 12:44:28 PM »
Quote from: "Aryaan"
Suna hai ab keh woh udaas rehta hai
Uss se kaho ke woh udaas na ho Kyun keh!
Uss ki udaasi ke sath
Uss ki aankhein bhi num num si lagti hain
Uss ke honth bhi Chup chup se lagte hain
Uss ke yeh chup honth aur num aankhein
Meri kamzori hain
Uss se kaho!
Woh udaas na ho
Jo woh chahta hai
mujh se le le
Be-shak Chahe mujhe na,
Apne mann pasand sathi ke sang ho jaye
Kyun keh!
Uss Ki Udaasi Meri Kamzori Hai...


aww.. khool ! so sweet  !buddy
Logged
nikki
Guest
«Reply #13 on: September 30, 2005, 04:46:18 PM »
bahut ache Aryaan ji......itni udaasi.....

iss udaasi ka sabab kya hai
bata tuzhe udaas rehkar mila kya hai

uski yaad ko udaasiyon mein basaane wale
woh seh nahi payega teri iss halat ko
khud ko gamgeen banane wale

tujhe yaad karne wale bahut hain
magar bahut kum hain tujhe yaad aane wale

maut ki baat kamzoor log kiya karte hain
tumhare jaise dost nahi..jo hote hain sabka haunsla badhane wale

kissi ki yaad ko hass kar gale lagao
jindagi jindadili ka naam hai..jeete jao
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #14 on: September 30, 2005, 05:05:59 PM »
Waaaaaaaahhhhh sis,kya baat hai,superbbb Usual Smile .

Yun to bohoton ke haunsle badhaye hain hamne,
     lekin jab khud toote to sambhal na paaye,
     aaj jaana aasaan hai duniya me keh dena kuch,
     beeti jo khed pe,ham aaj jee naa paaye,
     itna asaan nahi is udaasi se ab baahar aana,
     itna asaan nahi tere bina is duniya me muskurana,
     koshish ki hai maine bohat bhool jaaun tujhe,
     na jaane kya kashish,udaasi nahi chodti mujhe."
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 03:59:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer