viiraanaa thaa nazar me.n jahaa.N tak nazar ga_ii

by qakhs on October 02, 2004, 03:49:41 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 8911 times)
qakhs
Guest
is kaa gilaa nahii.n ki duaa be-asar ga_ii
ik aah kii thii vo bhii kahii.n jaa ke mar ga_ii



ai ham-nafas na puuchh javaanii kaa maajaraa
mauj-e-nasiim thii, idhar aa_ii, udhar ga_ii



daam-e-Gam-e-hayaat me.n ulajhaa ga_ii umiid
ham ye samajh rahe the ki ehasaan kar ga_ii



is zindagii se ham ko na duniyaa milii na dii.n
taqadiir kaa mushaahidaa karate guzar ga_ii



bas itanaa hosh thaa mujhe roz-e-vidaa-e-dost
viiraanaa thaa nazar me.n jahaa.N tak nazar ga_ii
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
nazar se nazar by sahil_17n in Shayri for Khumar -e- Ishq
nazar nazar mai by majid in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
nazar se aksar nazar ko hum ne by taheer_khaja in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri Nazar...Meri Nazar by KOYAL46 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Halaat pe zara tu,apni nazar karde..(nazar ghouri) by nazar ghouri in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
qakhs
Guest
«Reply #1 on: October 07, 2004, 07:02:11 AM »
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta,
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta ....
chahti hoon main tujhe aaj bhi par,
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta...
tamasha naa ban jaaye kahin mohabbat meri .....
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta.....
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main....
tere liye khuda se taqraar nahi karta ....
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim...
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta....
Logged
akela
Guest
«Reply #2 on: October 07, 2004, 08:36:43 PM »
bahoot khoob qakhs
bahoot khoob



thak kar doob gayi lahre jab dekha ,na koi kinara hai
gir ke khud hi sambhal ja 'akela' yaha ,na koi sahara hai,
diye kabhi hum bhi roshan kiya karte thae bahoot,
par aaj toophan mai woh bujhta 'Deepak' hamara hai.
Logged
qakhs
Guest
«Reply #3 on: October 08, 2004, 06:13:54 AM »
Thanx Akela Ji



++++++++++++++
Mujhe Talash Hai...

Na wo farishta ho na farishtey jaisi ho...
Mujhey talash hai uski jo merey jaisi ho...

Merey kholos ko pehchanti ho bus kafi hai...
Wo koi bhi ho kahin bhi ho kesi bhi ho...

Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisi ho...
Meri khatir marney ka hosla bhi rakhti ho...

Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to...
Muskra key manayee woh aisi ho...

Jo baat karey to woh nibha bhi sakey...
Iradon mein woh apney chatanon jaisi ho...

Dukhon mein hansney ka hunar janti ho...
Ik aisa hamsafar jo samandar ki tarah gehrah ho...

Us key pyar ki thandak ho merey liye aisi...
Key wo to bilkul aasman kai chand jaisi ho...

Mujhe talash hai...
Woh sirf meri ho jo nigahon mein haya rakhti ho
Logged
akela
Guest
«Reply #4 on: October 08, 2004, 09:19:43 PM »
nice one qakhs ji
Logged
qakhs
Guest
«Reply #5 on: October 09, 2004, 04:34:14 AM »
Thanx Akela Ji


 


vahii taaj hai vahii taKht hai vahii zahar hai vahii jaam hai
ye vahii Khudaa kii zamiin hai ye vahii buto.n kaa nizaam hai


ba.De shauq se meraa ghar jalaa koii aa.Nch na tujhape aayegii
ye zubaa.N kisii ne Khariid lii ye qalam kisii kaa Gulaam hai


mai.n ye maanataa huu.N mere diye terii aa.Ndhiyo.N ne bujhaa diye
magar ik juganuu havaao.n me.n abhii raushanii kaa imaam hai
Logged
akela
Guest
«Reply #6 on: October 09, 2004, 08:06:47 AM »
bahoot khoob qakhs .
Logged
qakhs
Guest
«Reply #7 on: October 10, 2004, 06:49:43 AM »
aaj koi bhoola howa phir se yaad aya

woh ajnabi jo bewafa tha phir yaad aya

bhool gay hum bohat kuch os ke jane se

aaj os ka dhundla chera phir se yaad aya

ru baru ho ker bhi os ne nahi pehchana humain

os ne bhoolne ka wada kiya tha phir se yaad aya

woh pukarta tha humain humare hi naam se

woh bhola choka hai humara naam phir se yaad aya

kuch dair ke liy ho tu gai thi ankh nam meri lekin

woh bewafa tha os ka kiya howa wada phir se yaad aya
Logged
qakhs
Guest
«Reply #8 on: October 11, 2004, 04:00:32 PM »
le chalaa jaan merii ruuTh ke jaanaa teraa


le chalaa jaan merii ruuTh ke jaanaa teraa
aise aane se to behatar thaa na aanaa teraa

apane dil ko bhii bataa_uu.N na Thikaanaa teraa
sab ne jaanaa jo pataa ek ne jaanaa teraa

tuu jo ai zulf pareshaan rahaa karatii hai
kis ke uja.De hue dil me.n hai Thikaanaa teraa

ye samajh kar tujhe ai maut lagaa rakhaa hai
Logged
akela
Guest
«Reply #9 on: October 12, 2004, 08:49:29 PM »
socha woh bewaffa hai,
ye to ab jahhir ho gaya
par phir dekhkar hume woh muskarayi,
tho mai kaffir ho gaya .
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: October 13, 2004, 08:54:22 PM »
wah!!!!
Logged
qakhs
Guest
«Reply #11 on: October 17, 2004, 07:28:58 AM »
nice all one
Logged
qakhs
Guest
«Reply #12 on: October 20, 2004, 11:20:00 AM »
us ko mera halka sa ehsaas to hai

be dard sahi woh meri humraaz to hai



woh aaye na aaye mere paas lekin

shidat se mujhe us ka intezaar to hai



abhi nahi to kya hua mil hi jayengi kabhi

mere dil main us se milan ki Aas to hai



pyaar ki gawahi mere aanoon se na maang

barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai
Logged
akela
Guest
«Reply #13 on: October 20, 2004, 08:04:28 PM »
good one qakhs
Logged
qakhs
Guest
«Reply #14 on: October 21, 2004, 06:48:23 AM »
Thanx Akela Ji
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 02:02:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer