Wahan Dil Jalaa Karta Hai...

by Alam Qazi on October 05, 2009, 05:51:43 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 904 times)
Alam Qazi
Guest

Na Koi Yaad Aata Hai, Aur Na Yaad Karta Hoon
Par Kabhi Kabhi Khud Se, Ek Fariyad Karta Hoon

Dil Ke Kone Mein Kahin, Tapish Jab Uth_ti Hai
Apni Sanso'n Se Mai, Sholo'n Ko Hawaa Karta Hoon

Chalta Hoon Mai, Aur Kabhi Thehar Jaata Hoon
Pal Mein Rota Hoon, Pal Mein Hansaa Karta Hoon

Bhook Lagti Hai Tou, Faako'n Pe Guzar Karte Hain
Aur Dil Ki Hawas Ko, Aaho'n Se Bharaa Karta Hoon

Fark Itna Hai Mehfil Mein, Aur Meri Tanhai Mein
Wahan Dil Jalaa Karta Hai, Yahan Mai Jalaa Karta Hoon

Laut Aati Hai Dua Maut Ki, Kyun Arsh Se   ALAM
Aur Phir Se Dua Wo Hi, Har Baar Kiya Karta Hoon...




__________________Alam
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
yehan bhi too wahan bhi too by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
mazzar pe diya jalaa by Azedmeer in Shayri-E-Dard
Aye Police Beth Ja Wahan Ja Ker by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Ujaale Ke Liye Duniya Jalaa Do by betukh_ bakbaki in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kagaz samjkar jalaa diya by saahill in Shairi - E - Zindagi
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: October 05, 2009, 11:39:27 PM »
Very touching n wonderful creation Alam ji,bahut bahut khoob,excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #2 on: October 06, 2009, 12:03:05 AM »


Dil Ke Kone Mein Kahin, Tapish Jab Uth_ti Hai
Apni Sanso'n Se Mai, Sholo'n Ko Hawaa Karta Hoon

Chalta Hoon Mai, Aur Kabhi Thehar Jaata Hoon
Pal Mein Rota Hoon, Pal Mein Hansaa Karta Hoon

Bhook Lagti Hai Tou, Faako'n Pe Guzar Karte Hain
Aur Dil Ki Hawas Ko, Aaho'n Se Bharaa Karta Hoon

Fark Itna Hai Mehfil Mein, Aur Meri Tanhai Mein
Wahan Dil Jalaa Karta Hai, Yahan Mai Jalaa Karta Hoon

Laut Aati Hai Dua Maut Ki, Kyun Arsh Se   ALAM
Aur Phir Se Dua Wo Hi, Har Baar Kiya Karta Hoon...
Alam bhai ..excellent ..umda ..i am really happy to see such a beautiful ghazal here..speechless ,,but here i exclude ur first shair as my knwldge it is not goog to put it here,,plz dn't mind..just consider on it.



__________________Alam

Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: October 06, 2009, 08:36:39 AM »
Nice and excellent Aalam Ji Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 09:01:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer