WAQT...

by -Kashish- on September 22, 2010, 10:32:35 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 732 times)
-Kashish-
Guest
Gardish me he jo dunia toh raat aur din hai
in andhero ujalo ka har lahza waqt kelata hai

kabhi meethi yaad bankar hasaata hai
toh kabhi guzra waqt humko rulata hai

dunia ke har shai hai waqt ke kabze me
har cheez ko waqt apna ghulam banata hai

maana kismat me jo likha hai woh milega
lekin waqt se pehle kahan kuch milta hai

jis waqt saans chale us lamha zindagi hai
jab waqt khatam hojaye toh maut kehlata hai

jis par waqt meherbaan hai who abad hua
tabaah kar deta hai jo qahar dhata hai

karlo tum bhi is wakt ki qadar Rafat
ye khwabo ko haqeeqat banaata hai {NM}

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
waqt by ilu in Shayri-E-Dard
Waqt by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
WAqt by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
Waqt jab ... by Just_Hate_Love in Shayri-E-Dard
Jindagii se hammne waqt be-waqt unka saath manga........... by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
KOYAL46
Guest
«Reply #1 on: September 22, 2010, 10:57:31 AM »
Nice sharing Kashish...jisne bhi likha hai mast likha hai.... Clapping Smiley

Lo hum bhi kuchh share kar dete hain ji.......its not mine...

Har Khushi H Logo K Daman Me,
Par Ak Hansi K Liye Waqt Nhi.
Din Raat Daudte Hain Dunia Me,
Zindgi K Liye Hi Waqt Nhi.
Maa Ki Lori Ka Eshash To Hai Sbhi Ko,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Risto Ko To Hum Maar Chuke,
Par Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nhi.
Garion Ki Kya Baat Kare,
Jab Apno K Liye Hi Waqt Nhi
Aankhoo Me Hai Neend Badi,
Par Sone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison Ki Daud Me Aise Doude Ki,
Thakne Ka Bhi Waqt Nahi.
Praaye Eshasho Ki Kya Kadar Kare,
Jab Apne Spno K Liye Hi Waqt Nahi

                         ------NM-------
Gardish me he jo dunia toh raat aur din hai
in andhero ujalo ka har lahza waqt kelata hai

kabhi meethi yaad bankar hasaata hai
toh kabhi guzra waqt humko rulata hai

dunia ke har shai hai waqt ke kabze me
har cheez ko waqt apna ghulam banata hai

maana kismat me jo likha hai woh milega
lekin waqt se pehle kahan kuch milta hai

jis waqt saans chale us lamha zindagi hai
jab waqt khatam hojaye toh maut kehlata hai

jis par waqt meherbaan hai who abad hua
tabaah kar deta hai jo qahar dhata hai

karlo tum bhi is wakt ki qadar Rafat
ye khwabo ko haqeeqat banaata hai {NM}


Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #2 on: September 22, 2010, 11:00:45 AM »
bahut badhiya sharing he jiii mast....likhte rahiye yunhiii~
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #3 on: September 22, 2010, 11:31:03 AM »
Waqt waqt ki baat hai....aap Mast...mastammmmmmmmmmm kehte rahiye
hum aap se share kar lenge......
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #4 on: September 22, 2010, 11:32:40 AM »
theek he fir agese nahi kahuga~
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #5 on: September 22, 2010, 02:26:54 PM »
dekha kitni jaldi waqt badal gaya....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 09:17:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer