~~"WO BEWAFA NAHI"~~

by k.shael on June 28, 2008, 11:52:40 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 7721 times)
k.shael
Guest
KYA KAHO USS SHAQS SE WO MUJHE BEWAFA
LAGTA NAHI,
AISA LAGTA HAI JAISE WAFA NIBHANA USKE
BASS MEIN NAHI,

KYA ILJAAM LAGAO USPAR MUJHE CHOD JAANE
KA,
AISA LAGTA HAI JAISE MERE SAATH CHAL PAANA
USKI KISMAT MEIN NAHI,

KYA GUJARISH KARO USSE PYAR KI AISA LAGTA
HAI,
JAISE USKE PASS GAM KE SIWA KUCH BHI NAHI,

HASTA HAI WO BASS JAISE DUNIYA KO DIKHANE
KE LIYE,
PAR SACHHAI YE HAI USKE PAAS AANSOO KE SIWA
KUCH NAHI,

KABHI-KABHI BAANT LETA THA KHUD KO MUJHSE
JABSE CHOD GAYA HAI MUJHKO,
AAB USKE GAMO KA RAAJDAR KOI BHI NAHI,

SABKO KHUSH RAKHNE KI KOSHISH KARTA HAI
HAR PAL,
PAR KHUD KI KHUSHIYO SE JAISE KOI WASTA
NAHI,

JANTA HAI WO HAR KISI KE DIL KI BAAT
PAR KABHI KHUD KE DIL KI BAAT KISI SE
KEHTA NAHI,

DIKHATA HAI JAISE WO MUJHE CHOD KAR KHUSH
HAI BAHUT,
PAR PATA HAI MUJHE MUJHSE CHOOT JAANE KA DARD
AAJ BHI DABA HAI USKE DIL MEIN KAHI,

WO CHAHE KUCH NA KAHE,HAR BAAT USKE DIL KI
MUJHE CHHUPI TO NAHI,
KARLE DIKHAWA WO KHUSH HONE KA PAR MALOOM HAI
MERE DIL KO WO MERE BINA KHUSH NAHI,

AEY KHUDA USE DENA HAR KHUSHI ISS JAHA KI WO
BADLA HAI KISI WAJAH SE,
MALOOM HAI MUJHE WO BEWAFA NAHI....

WO BEWAFA NAHI.....

BY. K.SHAEL


Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: June 28, 2008, 12:01:28 PM »
Bohot Khoob K.Shael !!
Logged
sagar_0777
Guest
«Reply #2 on: June 28, 2008, 01:57:14 PM »
kya baat hai yaar bahut dard hai aapki shayri me kasam se dost dil me ek kasak si paida ho jati hai........... Applause
Logged
Taasir siddiqui
Guest
«Reply #3 on: June 29, 2008, 08:03:28 AM »
hi you have good thoughts but you are little poor in putting them in words and so you shayari is spoiled by you. like you write iljaam istead of ilzaam similarly you have used gujaarish istead of guzaarish.I am ghazal writer i can understand you have great potential to write good poetry but your pronunciation makes your poetry dull,otherwise your thoughts are excellent. I am sure you wont be hurt by my advice.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: June 29, 2008, 10:05:18 AM »
kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k


mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k
 
__________________________-Ehsaan Daanish-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 29, 2008, 10:09:39 AM »
Nice One Shael Ji,.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #6 on: June 30, 2008, 07:08:56 AM »
Shally Aapa

Aapka Dil Bahot Chanchul Hai,
Jaise Ek Phool hai,
Jaise Hi Hawao Ka Rukh Badalta Hai,
Khusbu Bhi Badal Jaati Hai,
Jis Mod Pe Rukti Hai,
Wahi Dil Ko Sukun Deti hai,
Kabhi Wo Ba-wafaa Nahi,
Kabhi Wo Be-wafaa Nahi,

Khuda Jaane Ye Kaisi Muhabbat hai..?

Jo Zakm Deti Bhi Nahi,
Jo Marham Bhi Nahi,
Kabi Hasti Bhi Nahi
Kabhi Rulati Bhi Nahi,
Kabhi Labo'n Pe Dua,
Kabhi Rab Se Shikayat,
Karam Bhi Uska,
Sitam Bhi Uska,
Uske Saaye Se Bhi Nafrat,
Magar Taswwur Me Wo Har Pal,
Dil Me Sadaa Ye Hasrat,
Mil Jaye Unse ek Pal Muhabbat,
Nahi Uski Aaas,
Rehata Hai Wo Paas,
Dil Me Jagah He Khaas,
Har Pal Karta Hai Wo Udaas,

Khuda jaane Kaisi Muhabbat Hai..?
 
                             -- Raza

 



Logged
Muhammed
Guest
«Reply #7 on: June 30, 2008, 07:24:37 AM »
kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k


mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k
 
__________________________-Ehsaan Daanish-


Bhai Azeem Bahot Hi Achchha Kalaam Pesh Kiya Hai,
Matle Se Makte Tak,
Nice Too,
Ehsaan Danish Saab Liye Bhi
Logged
k.shael
Guest
«Reply #8 on: June 30, 2008, 11:55:09 AM »
THANK YOU SO MUCH,
CELMIRA JI,
SAGAR JI,
TAASIR JI,
JAANASHEEN JI,
MUHAMMED JI,
THANX FRIENDS FOR APPRICIATE MY WORK,
BY. K.SHAEL
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 30, 2008, 01:10:52 PM »
Shukriya Shael ji Amd Raza bhai,.
And Nice One Raza Bhai jaan,.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #10 on: June 30, 2008, 01:21:11 PM »
kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake

koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k


mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k
 
__________________________-Ehsaan Daanish-

Mujhe bahut accha laga padkar... Applause Good sharing Jaanasheen jee.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #11 on: June 30, 2008, 01:23:04 PM »
Shally Aapa

Aapka Dil Bahot Chanchul Hai,
Jaise Ek Phool hai,
Jaise Hi Hawao Ka Rukh Badalta Hai,
Khusbu Bhi Badal Jaati Hai,
Jis Mod Pe Rukti Hai,
Wahi Dil Ko Sukun Deti hai,
Kabhi Wo Ba-wafaa Nahi,
Kabhi Wo Be-wafaa Nahi,

Khuda Jaane Ye Kaisi Muhabbat hai..?

Jo Zakm Deti Bhi Nahi,
Jo Marham Bhi Nahi,
Kabi Hasti Bhi Nahi
Kabhi Rulati Bhi Nahi,
Kabhi Labo'n Pe Dua,
Kabhi Rab Se Shikayat,
Karam Bhi Uska,
Sitam Bhi Uska,
Uske Saaye Se Bhi Nafrat,
Magar Taswwur Me Wo Har Pal,
Dil Me Sadaa Ye Hasrat,
Mil Jaye Unse ek Pal Muhabbat,
Nahi Uski Aaas,
Rehata Hai Wo Paas,
Dil Me Jagah He Khaas,
Har Pal Karta Hai Wo Udaas,

Khuda jaane Kaisi Muhabbat Hai..?
 
                             -- Raza

Superb .... bahut khoob  Raza jee  Applause
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #12 on: June 30, 2008, 01:27:29 PM »
Quote
WO CHAHE KUCH NA KAHE,HAR BAAT USKE DIL KI
MUJHE CHHUPI TO NAHI,
KARLE DIKHAWA WO KHUSH HONE KA PAR MALOOM HAI
MERE DIL KO WO MERE BINA KHUSH NAHI,

AEY KHUDA USE DENA HAR KHUSHI ISS JAHA KI WO
BADLA HAI KISI WAJAH SE,
MALOOM HAI MUJHE WO BEWAFA NAHI....

WO BEWAFA NAHI.....

Bahut accha likha hai aapne Shael siso  Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: June 30, 2008, 08:59:50 PM »
wah kaya baat hai shally.. bahoot khoob: yah lines sabse kamal ki lagi apki kavita main:
KYA KAHO USS SHAQS SE WO MUJHE BEWAFA
LAGTA NAHI,
AISA LAGTA HAI JAISE WAFA NIBHANA USKE
BASS MEIN NAHI,
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: June 30, 2008, 09:00:40 PM »
Shally Aapa

Aapka Dil Bahot Chanchul Hai,
Jaise Ek Phool hai,
Jaise Hi Hawao Ka Rukh Badalta Hai,
Khusbu Bhi Badal Jaati Hai,
Jis Mod Pe Rukti Hai,
Wahi Dil Ko Sukun Deti hai,
Kabhi Wo Ba-wafaa Nahi,
Kabhi Wo Be-wafaa Nahi,

Khuda Jaane Ye Kaisi Muhabbat hai..?

Jo Zakm Deti Bhi Nahi,
Jo Marham Bhi Nahi,
Kabi Hasti Bhi Nahi
Kabhi Rulati Bhi Nahi,
Kabhi Labo'n Pe Dua,
Kabhi Rab Se Shikayat,
Karam Bhi Uska,
Sitam Bhi Uska,
Uske Saaye Se Bhi Nafrat,
Magar Taswwur Me Wo Har Pal,
Dil Me Sadaa Ye Hasrat,
Mil Jaye Unse ek Pal Muhabbat,
Nahi Uski Aaas,
Rehata Hai Wo Paas,
Dil Me Jagah He Khaas,
Har Pal Karta Hai Wo Udaas,

Khuda jaane Kaisi Muhabbat Hai..?
 
                             -- Raza


Bahoot khoob Raza!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 05, 2024, 11:47:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer