Woh meri zindagi ka sauda karne aaya tha

by Qazaa on February 23, 2021, 05:30:28 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 361 times)
Qazaa
Newbie


Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
43 minutes.
Posts: 2
Member Since: Feb 2021


View Profile
Woh meri zindagi ka sauda karne aaya tha,
Jise maine kabhi toofaanon se bachaaya tha,

Hairat hui jab raqeeb ne mera raaz kaha mujhse,
Phir yaad aaya maine apno ko yeh raaz bataaya tha,

Yun chupke chupke rone ka sabab hum jaante hain,
Humne bhi kisi harjaai se kabhi dil lagaaya tha,

Jaane kyun phoont-phoont ke rone lagi woh,
Maine to abhi ghazal ka matla hi sunaaya tha,

Uski bewaafaai ne mujhe samajdaar kar diya,
Jis ko maine mohabbat ka matlab samjaaya tha,

Woh chhaud ke chali gayi to kya, uski galti nahin,
Maine josh mein aa kar usse pura naksha dikhaaya tha,

Das gaya mujhe mere hi sehan mein woh kambakht,
Haaye! ke bebas samaj kar kisi saanp ko saath laaya tha,

Afsos mehlon mein ab buzurgon ke liye kona nahin,
Jinhone ghar bech ke bacchon ko padhaaya tha,

Is wahem mein tha 'Qazaa' ke sab humraahi hain,
Peeche dekha dhoop hi dhoop thi aur bas mera saaya tha,

- 'Qazaa'
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 02:55:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer