~*Yaadoon Se Rishta~*

by honeyrose on December 01, 2008, 02:02:22 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2432 times)
honeyrose
Guest
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai

Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai

Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein
Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai

Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai

Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai

Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai

Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai

_______________NM________________
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaadoon Kay Sitarey by Fawad in Shayri-E-Dard
tumhari yaadoon ke zakhm... by isha_verma7 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai by jaffartaufique in Shayri for Khumar -e- Ishq
Yaadoon ka Rishta by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Yaadoon ke siwa...................anmol arora by anmolarora in Shayri for Khumar -e- Ishq
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 36 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #1 on: December 01, 2008, 03:08:45 PM »
nice words, fery touching. kuch yaad aagaya...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: December 01, 2008, 04:43:39 PM »
insaan, insaan se rishta nibahaye na nibhaye
yaadein her rishta nibhati hai
chah kar bhi jo atte nahi zindagi main
unko dil tak yah yaadein le atti hai

kabhi aho main, kabhi ansoo main
yaadein ghul jaati hai
hai umarbhar ka meet apna
jo avchatan main sath nibhati hai

Logged
N.R.MALIK
Guest
«Reply #3 on: December 01, 2008, 04:58:27 PM »
POOJA SISTER..
FANTASTIC AND VERY REALISTIC..
PLZ KEEP SHARING..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: December 01, 2008, 05:22:46 PM »
shukaria Malik JI..Honey ji ne itani achi poem share ki, kalam apne app kuch likh gai...
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #5 on: December 01, 2008, 05:33:07 PM »
Yade hi to hain jo hame ek dusare ke kareeb rakhti hain...
Jo dil na kah sake, vo bate aankhe yadon ki zabani kahti hain...
Kabhi mithi kabhi kadvi , chahe jaisi ho ye dil me hi kahin rehti hain ...
Dil me ho dard yaadon ka toh ye yaden aankhon se behti  hain...
~~~~~
Muskilo ke ho chahe hazaron raste, koi Bandish nahi hai yadon ke waste...
~~~~~

Very Nice Pooja ji !!!
Bahut Khub Anjan Sahab !!!
Bahut Achha Miss Rose !!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: December 01, 2008, 05:44:16 PM »
Thanks Pank ji!!!

Yaaadein kabhi apni to kabhi jaan ki dushman ho gai
bhool kar bhi na chahe jisko karna yaad, uski dost ho gai
laaye kabhi ankhon main ansoo, to kabhi kkhushi ho gai
sanso ki tarah chalati hai sath sath, na chate hue bhi, manmeet ho gai
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #7 on: December 01, 2008, 06:03:00 PM »
Thanks anjaana ,,Thanks malik ji,,Thanks pooja..pankshivam

Bohat khoob pooja ..

Bohat khoob pankshivam...



Hasrat mein beet jaayege zindagi aise kyun lagta hai
Zindagi mein unse bichad jaane ka dar kyun lagta hai

Koshish karte hai unke paas jaane ki aise kyun lagta hai
Zindagi ko na paa sake hum zindagi ek sawal sa kyun lagta hai

______________honeyrose______________-
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #8 on: December 01, 2008, 06:16:25 PM »
Thanks Pank ji!!!

Yaaadein kabhi apni to kabhi jaan ki dushman ho gai
bhool kar bhi na chahe jisko karna yaad, uski dost ho gai
laaye kabhi ankhon main ansoo, to kabhi kkhushi ho gai
sanso ki tarah chalati hai sath sath, na chate hue bhi, manmeet ho gai
Bahoot Khub Pooja ji

Yadon ke aansuo ko pyar ke aanchal me tham lo ...
Jab tadapne lage dil, to thoda sabr se kaam lo...
Ummid ki sama jalaye rakho dil me, aur sachhe dil se apne naseeb ka naam lo...


~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: December 01, 2008, 06:18:47 PM »
wah kaya baat hai, bahoot khoob Pank ji!!

Kaya such kaya jhooth
yaadein sab antar bhoola deti hai
jab bhi yah dil roya
yaadein her anchal urra deti hai
Ummid ka kheil kab tak kheile koi
yaadein jab sabar ko jala deti hai..

Logged
pankshivam
Guest
«Reply #10 on: December 01, 2008, 06:38:41 PM »
wah kaya baat hai, bahoot khoob Pank ji!!

Kaya such kaya jhooth
yaadein sab antar bhoola deti hai
jab bhi yah dil roya
yaadein her anchal urra deti hai
Ummid ka kheil kab tak kheile koi
yaadein jab sabar ko jala deti hai..


Ye yaaden hi hai aye dost, jo bichade hamdam se mila detin hai...
Gamo ke sehra me ummidon ke phool khila deti hain...
Gam na kar judayi ka kisiki, ye yaaden khud-b-khud apni yaadon ko bhula deti hain...

~Pank~
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #11 on: December 01, 2008, 06:54:43 PM »
 Applause Applause

Bohat khoob wah sunder likha hai aapne pooja ...

Very nice pankshivam ji khoob likha hai aapne
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: December 01, 2008, 07:00:06 PM »
Ye yaaden hi hai aye dost, jo bichare hamdam se mila detin hai...
Gamo ke sehra me ummidon ke phool khila deti hain...
Gam na kar judayi ka kisiki, ye yaaden khud-b-khud apni yaadon ko bhula deti hain...

~Pank~


BAHOOT SAHI KAHA PANK JI....

Thanks Honey!!

yah yaadein he hai jo bichar kar bhi bicharne nahi deti
jitna bhi chaho unke bin jeena, yaadein jeene nahi deti
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: December 01, 2008, 07:04:32 PM »
BAHOOT SAHI KAHA PANK JI....

Thanks Honey!!

yah yaadein he hai jo bichar kar bhi bicharne nahi deti
jitna bhi chaho unke bin jeena, yaadein jeene nahi deti

Thanks Pooja...nice lines...

Yaadein yaadein hoti hai haqeeqat nahi kabhi sachai usmein hota nahi
Hum khwab dekhte rahete hai aur zindagi mein kabhi aapnapan hota nahi

_________honeyrose________
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: December 01, 2008, 07:18:42 PM »
khwabo aor yaadein main yahi to antar paaya hai
Haqiqat ke saaye tale, yaadon ko humne paya hai
Haqiqat atti hai ek baar, yaadein baar baar satati hai
yaadon se yah mera rishta, yaadon main jeevan bitaya hai
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:25:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer