ÿµÑ ©|-|Ó®ÑÅ |-|î ±|-|Å !!!!!

by anu_love91 on January 19, 2007, 08:53:47 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 545 times)
anu_love91
Guest
Yun Chorna He Tha Humay Beech Rah May Ager
Aik Bar Anjanay May Hum Say Kehh He Dia Hota
Yun Pal Pal Maar Maar Kay Jeenay Say Too Bach Patay
Kon Sa Hua Tha Kasur Ik Bar Gila Too Kia Hota
Teri Yadoon Ko Kasay Bhulaa Dun Bata Mujh Ko Tuu
Is Dil Paay Kar Kay Waar Is Ko Mita Hee Dia Hota
 
Ek hawa ka jhonkaa aaya
Sung hazaroon yaddien laya
Teri khusbo ki sogatein laya
Meray daman mein chupaay khayalon ko baha layaa
Ek hawa ka jhonkaa aaya
Bhooli beesri baatoon ko samnay laya
Bund kitab kaay har warq ko ultaya
Deekha jo main ne too wahan teri tasveer ko paaya
Ek hawa ka jhonkaa aaya
Bahh gayaa woh sab jo mian nay tha ankhon mein chupaya
Ek ek ansuu nay teraa naam lay kar tujhay bhoolaya
Aaj bhi waqt hay teraay intezeer mein ab tak na kasi ko apnayaaa
EK hawa ka jhonka aayaa
 
Manzilain bhi uski thi,rasta bhi uska tha
Ik mein akeli thi kaafla bhi uss ka tha
Saath saath chalnay ki soch bhi uss ki thi
Phir rasta badalnay ka feslaa bhi uska tha
Aaj kyun akeli hun,dil sawaal karta hai
Log too uss kay the,kia khuda bhi uska tha...!

diya jal raha hay
per roshni nahi hay
Aankhain namm hay
per beheta pani nahi hay
Hijar ki raat hay
Aur tanhai mujhay dhoond rahe hay
Itni tanha hoon kay
saaya bhi saath nahi hay
Khuwab dekh rahi hoon par
khuwaboo ki koi haqeeqat nahi hay
Jo kuch maangaa rab say
wo meray naseeb say mila nahi
Mujhay es leya Ess haqeeqat-e-zindagi
may jeena nahi hay
Jinhey apni dil-e-gehrayoun say maana tha
Jin par Khod say ziyada athbaar-e-yaqeen tha
Jin par fakro-e-naaz tha
Wohi saathi meray saath nahi hay
har kesi kay saath koi humsafar hay
per mera hee yaar-e-humsafar meray saath nahi hay!!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #1 on: January 19, 2007, 08:59:18 PM »
ßŧ ÿµÑ |-|î |-|Åѧî |-|Åѧî mêîÑ £Ó9!!!

Bus yunhi
Hansi Hansi Main Loug
Diloun Se Khail Jatey Hain
Koi Teekhi Baat
Koi Chubhta Hua Lehja
Koi Zeher Alood Jumla
Koi Zoo Mani Si Baat
Dil Main Zakham Laga Jati Hai
Bus Yunhi Hansi Hansi Main Loug
Ye Jantey Huay Bhi
Keh Jism Ka Zakham Gehra Naheen Hota
Bhar Hi Jata Hai
Per Zaban Sey Lagaya Hua Zakham
Dil Main Uter Jata Hai
Phir Kitney Hi Talaafi Key Marham Lagao
Madham Naheen Hota
Bus Yunhi Hansi Hansi Main Loug
Diloun Se Khail Jatey Hain
Logged
anay
Guest
«Reply #2 on: January 21, 2007, 10:12:02 PM »
Itne bade bade kalaam, umda mehnat kee hai aapne.
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #3 on: January 22, 2007, 08:47:12 PM »
JI jise mohabbat mein beewafayi milti hai uske liye yeh kuch badi baat nahi haiii....!!!!!!!!!!!1
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 27, 2026, 06:41:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8523 Real Poets and poetry admirer