zindagi kar gayi hamse bewafaai~~~`

by ranjana on September 21, 2006, 06:09:50 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 3309 times)
ranjana
Guest
«Reply #30 on: October 27, 2006, 06:55:48 AM »
wah !! bahut khoob .........


talasha hai hamne bhi tujhe har manzil per sanam
ek tere dedaar ko hum jaane kahan kahan se gujare hain

har pal ko jeeya hai bas teri hi aarzoo mein
tujhe paane ki tamana liye har anjaam se hum gujare hain

dil dukha jaayenge tera bhi mere yeh sawal
teri intezaar mein ke har pal hum per kayamat se gujare hain!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jeene Ki Aarzoo Thi Hamhari, Zindagi Hamse Mukh Mod Liya. by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
zindagi zindagi ho gayi by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindagi hi barbaad ho gayi by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
Kyu zindagi tu tham si gayi he... by sweetie2210s in Shayri-E-Dard
Naya_Daur
Guest
«Reply #31 on: October 27, 2006, 07:07:07 AM »
ajj phir udhass hu...


gum nahi koi akele chord gaye ho app
baddi shid'at se aapko pooja tha maine

dard nahi tanha kar gaye ho phirse app
maana tha tujhe hi aapna khuda maine

afsos nahi ashq girte ja rahein hain mere
likha hi jab aap ne meri kismat mein yeh

bas ajj phirse udhass hu aapke jane ke baad
do pal ki khushi aor bas intezar hi paya maine
Logged
ranjana
Guest
«Reply #32 on: October 27, 2006, 09:53:22 AM »
Puzzled ! kyu udaas ho ? bahut accha likha hai .....udaasi mein  Usual Smile


sach toh yeh hai ki kuch udas hum mein bhi
tu nahi hai yahan toh kahan hun main bhi

saans lete hue kyu chubate hain dil mein nashtar se
kya hoi imthaan zindagi ka baaki hai abhi bhi

ek baar mil ke phir na mili dil ki rahe.n
ajnabi se kyu ho gaye woh pechaan kar mujhe bhi

apne safar mein ab akele hain hum is qader
ki apana saaya hi  dhoka deta hai aksar hame bhi !!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #33 on: October 27, 2006, 10:14:35 AM »
Quote from: "ranjana"

apne safar mein ab akele hain hum is qader
ki apana saaya hi  dhoka deta hai aksar hame bhi !!


behadh khoobsurat lines....

kuch pal ke liye hi dhadkan muje sunai deti hai
ek mehak kahin se,hawa mein ehsaas dilati hai
woh pal tujhse shuru,tujhpar khatam ho jata
phir tanhai hi tanhai,mujjhe nazar aati hai ....!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #34 on: October 27, 2006, 10:32:01 AM »
Quote from: "burniing_desiires"
Quote from: "ranjana"

apne safar mein ab akele hain hum is qader
ki apana saaya hi  dhoka deta hai aksar hame bhi !!


behadh khoobsurat lines....

kuch pal ke liye hi dhadkan muje sunai deti hai
ek mehak kahin se,hawa mein ehsaas dilati hai
woh pal tujhse shuru,tujhpar khatam ho jata
phir tanhai hi tanhai,mujjhe nazar aati hai ....!!!


wah wah ..bahut acche


main har chehare mein tera hi aqs talash karti hun
har lafaz apni ghazal ka  tujhko hi le kar bunati hun
jab bhi joda hai teri tasveer ke tukado ko dil mein
aksar us tasveer ko pura karne ke liye aakhri tukada dhoonda karti hun !!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: October 27, 2006, 05:43:32 PM »

Kuch Tabiyat Hi Mili Thi Aisi Chain Se Jeene Ki Surat Na Hui,
Jisko Chaha Use Apna Na Sake Jo Mila Usse Mohabbat Na Hui,

Jisse Jab Tak Mile Dil Hi Se Mile Dil Jo Badla To Fasana Badla,
RasMein Duniya Ki Nibhane Ke Liye HuMse Rishton Ki Tijarat Na Hui,

Dur Se Tah Wo Kayi Chehron Me Paas Se Koi Bhi Waisa Na Laga,
Bewafai Bhi Usi Ka Tha Chalan Phir Kisise Hi Shikayat Na Hui,

Waqt Rutha Raha Bachhe Ki Tarah Raah Mein Koi Khilauna Na Mila,
Dosti Bhi To Nibhayi Na Gayi, DushMani Mein Bhi Adaavat Na Hui...
* * * * *
Logged
ranjana
Guest
«Reply #36 on: October 28, 2006, 10:35:22 AM »
jab dard had se gujat jaata hai
yeh dil pathar sa ho jaata hai

takati hai aankhe kisi ko
har aahat per kisi ke aane ka andesha ho aata hai

kuch zaham dil ke ander ander hi risate hain
bahaar jhoote labo se koi muskarata hai

yeh sooni sooni aankhe dard ke lafazo ko keh jaati hai
soona sa sanaata dil ki baat kuch yun ishaaro se keh jaata hai!!
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 11, 2024, 03:25:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer