zindagi kar gayi hamse bewafaai~~~`

by ranjana on September 21, 2006, 06:09:50 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3298 times)
ranjana
Guest
zindagi khud kar gayi hai hamse bewafaai
ab hum kisko ilzaam aur saja sunaaye
jab tod diya dil mera apano ne hi
toh kisi aur ko ja ke kya apna haal sunaaye

na mila mujhe wafa karke bhi apni zaindagi ka saaya
luta mujhe usi rahagujar ne jo kabhi thaa haumsafar hamaara
dikhaaye they khawab usne mujhko na jaane kaun se gulisthaan ke
haath jab chhuta veeran si thee zindagi meri aur koi saath na thaa sahara

mera pyaar thaa ek masoom bache sa amrit ki dhara
samajh na sake woh kabhi dil ki baat meri aur kar liya mujhse kinaara
bhari hai meri aaho ne bhi siskiyaan kai baar tanah ho ke
kabhi nahi aaya poochane koi  bhi daaman aansu hamara

bata de mujhe a mere khuda ki mera kasur kua hai
kyu karke wafa seh ke har sitam mujhe naam bewafa ka unhone de daala!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jeene Ki Aarzoo Thi Hamhari, Zindagi Hamse Mukh Mod Liya. by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
zindagi zindagi ho gayi by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindagi hi barbaad ho gayi by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
Kyu zindagi tu tham si gayi he... by sweetie2210s in Shayri-E-Dard
ranjana
Guest
«Reply #1 on: September 21, 2006, 06:24:30 AM »
zindagi kabhi tu bhi mil mujhe apno ki tarah
kisi gair ki tarah kyu sataati hai mujhe
rota hai dil mera teri berukhi dekh kar
teri har baat aaj ruaalati hain mujhe

kabhi thaam thaa daaman hamne khushi ka
kabhi hamne bhi khilte gulo ko dekha thaa
kabhi muskaraaya thaa mera jeevan bhi
kabhi hamne bhi pyaar ka masum dekha thaa

aaj kyu har baat lagati hai sapana
aaj har kisaa kyu daraata hai mujhe
zindagi yun na dikha sangdili apni
ki ab maut bhi thukaarti hai mujhe

ZINDAGI KABHI TU BHI MUJHE MIL APNO KI TARAH
KISI GAIR KI TARAH KYU SATAATI HAI MUJHE!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: September 21, 2006, 06:42:23 AM »
Quote from: "ranjana"
zindagi khud kar gayi hai hamse bewafaai
ab hum kisko ilzaam aur saja sunaaye
jab tod diya dil mera apano ne hi
toh kisi aur ko ja ke kya apna haal sunaaye

na mila mujhe wafa karke bhi apni zaindagi ka saaya
luta mujhe usi rahagujar ne jo kabhi thaa haumsafar hamaara
dikhaaye they khawab usne mujhko na jaane kaun se gulisthaan ke
haath jab chhuta veeran si thee zindagi meri aur koi saath na thaa sahara

mera pyaar thaa ek masoom bache sa amrit ki dhara
samajh na sake woh kabhi dil ki baat meri aur kar liya mujhse kinaara
bhari hai meri aaho ne bhi siskiyaan kai baar tanah ho ke
kabhi nahi aaya poochane koi  bhi daaman aansu hamara

bata de mujhe a mere khuda ki mera kasur kua hai
kyu karke wafa seh ke har sitam mujhe naam bewafa ka unhone de daala!!


Waaah.....!!!!

SaYe bhi kabhi Kaash Wafa Nibha Sakte......
Toh hum bhi aise hee Mahobbat ki Pyas bhuja sakte......

Jo Cheez hee nahi Naam ki......
Batao use Naam kya Dia jaye......

Kyu Rakha jaye uska Ehsaas bhi Dil me apne......
Kyu uske liye Chahane walon ko kinara kia jaye.......

Halat-e-Zakhm me Dard hee Insaan pata hai.......
Jo hai Kami Zondagi me usi se kyu aas lagata hai.......

Yeh Jo Wafa ke raste Samander me mill jate hai......
KAho Tufaano se kya woh Jaan ke Kinara par beh jata hai.......!!!!!!!!!!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: September 21, 2006, 07:36:36 AM »
woo very good ranjana and good one gaurav
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #4 on: September 21, 2006, 07:45:10 AM »
zindgi na hoti itn haseen to sabko uski tammana na hoti
na karta koi shikwa na kisiko koi shikayat hoti
jo mil jaye tumhe zindgi kahi to mera hi pata dena
bahut arsa hua khud aaina dekhe hue dhul ki parte saaf kiye hue
ghar mai roshni bhi aati hai kabhi khud ko adhere se nikle hue
jo mil jaye zindgi tumhe usko mera bhi pata dena....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: September 21, 2006, 09:37:11 AM »
shukriya Vikas ....bahut khoob likha hai ..


mujhse pata jo pocchati kabhi zindagi meri
toh pata usko main tera de deti
bhar leti dard tere apne daaman mein
aur har khushi tujhko de deti
dil ka aaiena bhi fir mere aansu se dhul jaata
mujhe jo na mila apni zindgai se kabhi
kaash un  sab kushiyoon se bas tera daamnan bhar jaata !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: September 21, 2006, 09:49:47 AM »
Ranju, Gaurav and Vikas.....bohot achcha likha hai aap sab ne !!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: September 26, 2006, 10:28:09 AM »
na jaane tu kaun hai aur kahan se aaya hai
mere har dard ka raaz kaise tu jaan paaya hai
kabhi na jo samajh saka mera hamraahi mere dil ki baat
woh dard kaise teri smajah mein aaya hai !!

kaise de du main dard gum aur aahe apani tujhe
abhi tune ek safar lamba zindagi ka taye karna hai
meri saans ab ghut rahi hai mujhse hi tang ho ke
ab toh mujhe bas ek sakoon ki neend mein sona hai...

muddato se roti rahi hain meri yah aankhe
ab inhe de ke sakoon mujhe hamsfar ab maut ka hona hai !!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: September 26, 2006, 10:29:37 AM »
Bahoot Khoob Sis,..

Zindagi To Bewafaa Hai Ek Din Thukraayegi,..
Maut Mehbooba Hai Apne Saath Lekar Jaayegi,..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: September 26, 2006, 10:42:06 AM »
shukriya azeem ............


nadi hun main fir bhi payassi kyu hun
samanader se mil ke fir bhi adhuri si kyu hun
hai aas paas mere duniya ke bheed ke saaye
fir bhi itni tanha akeli si kyu hun!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: September 26, 2006, 10:55:30 AM »
hum chahaye kitne pass rahe
per ek duri si dilo mein palti rahi
main bhgaati rahi khud se
yeh duniya apni chaal chalti rahi

barse kai baar pyaar se badal mujh per
per ek aag is dil mein jalti rahi
neele akash sa faila raha mara mann
aur ek samander ki gherahi si dil mein palti rahi

na jaane kab hogi yeh saanso ki sargam puri
ek andhera sa hai in ankho mein dil mein
har pal koi ek raha ek sakoon paane ko
meri rooh yun hi bhatkati rahi !!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: September 26, 2006, 06:42:13 PM »
All are just fantastic Usual Smile
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #12 on: September 27, 2006, 08:43:28 AM »
bemani hai sab mohabat ki baaten
na yaad dilao wo guzre zamane ki baaten
chubhan hoti hai seene dil to raha nahi jahan
rukne si lagti hai saanse dhadkan to ab rahi nahi...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: September 27, 2006, 08:56:25 AM »
Nice One Ranjana Sis And Vikas Bhai,..
Apne Kuch Likha Nahi Husena
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: September 27, 2006, 11:47:12 AM »
shukriya angle ....azeem bhai....

bahut khoob vikas.....

rishate hote hain ba spal do pal ke
kaun zindagi bhar saath nibhaata hai
yahan kaun kare ab kis se shikava
saaya apna bhi yahan gum ho jaata hai

tutane lagati hain jab saanse yun hi chupke se
yun hi koi puaarni yaad ka saaya aankho mein mandra jaata hai!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 02:12:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer