A Forgotten Song

by Imaandaar on August 05, 2005, 08:05:13 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 8636 times)
Imaandaar
Guest
Im listening to this song and will type, its a nice song:)

Film - Begaana 1986
Singer - Kishore Kumar
Lyrics -  Anjaan
Music - Anu Malik

Matlabi hai log yahan par
matlabi zamaana, socha
saaya saath dega nikhla
woh begaana..

Khushiyan churake guzre
woh din, kaante chubhaa ke
bhichde woh din. Aankhon
Se aansoon behne lagge,
behte yeh aansoon kehne
lagge yeh kya huwa kyun
huwa kaise huwa maine
na jaana..

Matlabi hai log yahan par
matlabi zamaana, socha
saaya saath dega nikhla
woh begaana..

Zinda hai laashein, Murda
zameen hai, jeene ke qaabil
duniya nahin hai. Duniya ko
tokkar kyun na laga doon,
khud apni hasti kyun na
mitaa doon. Jee ke yahan
jee bhar gaya, dil toh ab
marne ka doonde bahaana.

Matlabi hai log yahan par
matlabi zamaana, socha
saaya saath dega nikhla
woh begaana..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Forgotten Love by gum in English
Imaandaar
Guest
«Reply #1 on: August 07, 2005, 12:56:09 PM »
A fun kinda song am listening to right now, again will be typing the lyrics myself...they arent that gr8 but song is catchy..music by the legend RD Burman.

Movie - Ek Se Bhale Do
Song - Band Toh Bajega
Lyrics: Anjaan
Music - Rahul Dev Burman


Band toh bajjega, dhoom toh
machegi neend toh urregi aaj
ki raat.


kabse tarse hai ab na tarsenge
pyaar barsega jaani, milke
jhoomenge milke naachegi
yeh jawaani deewani. Dil deewane
mil gaye toh honge na door, aaj hogi
teri meri shaadi zaroor.


Lagta bunty hai 420 hai iss ko bhola
na jaano, arre yeh jo mota hai dil ka
kohta hai iss ki baatein na maano. Iss
ne kitni ladkiyon ko dokha diya, koi
ladki na mili toh yeh jall marra..

Band toh bajjega, dhoom toh
machegi neend toh urregi aaj
ki raat.
Logged
Imaandaar
Guest
«Reply #2 on: August 14, 2005, 08:04:07 PM »
Adding another song to this thread of mine, very popular in its time!

Film - Dushman (1971)
Singer - Kishore Kumar
Lyrics - Anand Bakshi
Music - Laxmikant Pyarelal


Sachchaai Chhup Nahin Sakti, Banaavat Ke Usoolon Se
Ki Khushboo Aa Nahin Sakti, Kabhi Kaagaz Ke Phoolon Se
Maein Intezaar Karoon, Ye Dil Nisaar Karoon
Maein Tujhse Pyaar Karoon, O Magar Kaise Aitbaar Karoon
Jhootha Hai Tera Vaada
Vaada Tera Vaada, Vaada Tera Vaada
Vaade Pe Tere Maara Gaya, Banda Maein Seedha Saadha
Vaada Tera Vaada...

Tumhari Zulf Hai Ya, Sadak Ka Mod Hai Yeh
Tumhari Aankh Hai Ya, Nashe Ka Tod Hai Yeh
Kaha Kab Kya Kisi Se, Tumhein Kuchh Yaad Nahin
Hamaare Saamne Hai, Hamaare Baad Nahin
Kitaab-E-Husn Mein To, Vafa Ka Naam Nahin
Arey Mohabbat Tum Karogi ,Tumhaara Kaam Nahin
Akadti Khoob Ho Tum, Meri Mehboob Ho Tum
Nigaah-E-Gair Se Bhi, Magar Mansoob Ho Tum
Kisi Shaayar Se Poochho, Ghazal Ho Ya Rubaai
Bhari Hai Shaayari Mein, Tumhaari Bewafaai Ho...
Daaman Mein Tere Phool Hain Kam, Aur Kaante Hain Zyaada
Vaada Tera Vaada...

Taraane Jaanti Hai, Fasaane Jaanti Hai
Kai Dil Todne Ke, Bahaane Jaanti Hai
Kahin Pe Soz Hai Tu, Kahin Pe Saaz Hai Tu
Jise Samjha Na Koi, Vahi Ek Raaz Hai Tu
Kabhi Tu Rooth Baithi, Kabhi Tu Muskuraai
Are Kisi Se Ki Mohabbat, Kisi Se Bewafaai
Udaae Hosh Tauba, Teri Aankhen Sharaabi
Zamaane Mein Hui Hai, Inhin Se Har Kharaabi
Bulaae Chhaanv Koi, Pukaare Dhoop Koi
Tera Ho Rang Koi, Tera Ho Roop Koi Ho...
Kuchh Phark Nahin Naam Tera, Raziya Ho Ya Raadha
Vaada Tera Vaada...
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: August 14, 2005, 08:59:33 PM »
nice songs Imaandaar ji..............first one bahut hi acha laga...even one of my favts.
Logged
Imaandaar
Guest
«Reply #4 on: August 18, 2005, 10:54:13 AM »
Thanks Nikki the first song is indeed a good one.
Todays song lyrics am adding are from a masterpiece by Kishore Kumar.

Film - Piya Ka Ghar (1972)
Singer - Kishore Kumar
Lyrics - Anand Bakshi
Music - Laxmikant Pyarelal


Yeh Jeevan Hai, Is Jeevan Ka
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Rungroop
Thode Ghum Hain, Thodi Khushiyan
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Chaon Dhoop
Yeh Jeevan Hai...

Yeh Na Socho Isme Apni Haar Hai Ke Jeet Hai
Ise Apna Lo Jo Bhi Jeevan Ki Reet Hai
Yeh Zid Chodo, Bandhan Yuh Na Todo
Har Pal Ek Darpan Hai
Yeh Jeevan Hai...

Dhan Se Na Duniya Se, Ghar Se Na Dwar Se
Saason Ki Dor Bandhi Hai, Preetam Ke Pyar Se
Duniya Choote, Par Na Toote, Yeh Aisa Bandhan Hai
Yeh Jeevan Hai...

Yeh Jeevan Hai, Is Jeevan Ka
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Rungroop
Thode Ghum Hain, Thodi Khushiyan
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Chaon Dhoop
Yeh Jeevan Hai...
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: August 19, 2005, 03:40:22 PM »
such a lovely n true song.........................old songs r really very beautifull........................
Logged
Imaandaar
Guest
«Reply #6 on: August 20, 2005, 07:36:47 PM »
I agree Nikki, old songs are beautiful.

Im going to type out a song from 1973 which am currently listening to. Song is by Kishore Kumar.

Movie - Jugnu (1973)
Song - Tera Peecha Na Chhodunga
Lyrics: Anand Bakshi
Music - Sachin Dev Burman


Arre wohi toh hai...

Pyaar ke iss khel mein,
do dilon ke mehl mein.
Tera peecha na main
chhodunga soniye, bejh de
chaahe jail mein
pyaar ke iss khel mein do
dilon ke mehl mein.

Darta main nahin, chaahe
ho zameen. Chaahe aasman
jahan bhi tu jaayegi wahan
challa aoon mein, Tera peecha
na main chhodunga soniye,
bejh de chaahe jail mein
pyaar ke iss khel mein do
dilon ke mehl mein.

O Jaan-e-Jigar din mein tu
agar mujhse na milli, sapnon
mein aake saari raat jaguanga..
Tera peecha na main
chhodunga soniye, peecha na
chhodunga soniye..bejh de
chaahe jail mein pyaar ke iss
khel mein do dilon ke mehl
mein.
Logged
Imaandaar
Guest
«Reply #7 on: August 23, 2005, 07:34:39 PM »
Adding another classic! This is a meaningfull song, will type it now.


Film - Hera Pheri (1976)
Singer - Kishore Kumar
Lyrics - Anjaan
Music - Kalyanji-Anandji


Dushman Na Kare Dost Ne
Woh Kaam Kar Diya, Ke Dosti
Ke Naam Ko Badnaam Kar
Diya.....

Barson Purana Yeh Yaraana
Ek Pal Mein Kyun Toota, Yaar
Mere Tu Aise Roota Jaise Mera
Rab Roota.. Jaise Mera Rab
Roota..

Tera Jahan Bhi Girra Pasina Maine
Khoon Bahaaya....Tera Lahoo Banna
Kyun Paani Yeh Kaisa Din Aaya. Woh
Teri Dosti Thi Meri Zindagi, Banke
Pujari Pyaar Mein Tu Ne Yaar Ka
Mandir Loota, Jaise Mera Rab Roota.

Barson Purana Yeh Yaraana
Ek Pal Mein Kyun Toota, Yaar
Mere Tu Aise Roota Jaise Mera
Rab Roota.. Jaise Mera Rab
Roota..
Logged
sanya310
Guest
«Reply #8 on: August 27, 2005, 08:32:12 PM »
beautiful songs....                                                                                       Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: August 28, 2005, 12:49:55 PM »
Quote from: "Imaandaar"
Adding another song to this thread of mine, very popular in its time!

Film - Dushman (1971)
Singer - Kishore Kumar
Lyrics - Anand Bakshi
Music - Laxmikant Pyarelal


Sachchaai Chhup Nahin Sakti, Banaavat Ke Usoolon Se
Ki Khushboo Aa Nahin Sakti, Kabhi Kaagaz Ke Phoolon Se
Maein Intezaar Karoon, Ye Dil Nisaar Karoon
Maein Tujhse Pyaar Karoon, O Magar Kaise Aitbaar Karoon
Jhootha Hai Tera Vaada
Vaada Tera Vaada, Vaada Tera Vaada
Vaade Pe Tere Maara Gaya, Banda Maein Seedha Saadha
Vaada Tera Vaada...

Tumhari Zulf Hai Ya, Sadak Ka Mod Hai Yeh
Tumhari Aankh Hai Ya, Nashe Ka Tod Hai Yeh
Kaha Kab Kya Kisi Se, Tumhein Kuchh Yaad Nahin
Hamaare Saamne Hai, Hamaare Baad Nahin
Kitaab-E-Husn Mein To, Vafa Ka Naam Nahin
Arey Mohabbat Tum Karogi ,Tumhaara Kaam Nahin
Akadti Khoob Ho Tum, Meri Mehboob Ho Tum
Nigaah-E-Gair Se Bhi, Magar Mansoob Ho Tum
Kisi Shaayar Se Poochho, Ghazal Ho Ya Rubaai
Bhari Hai Shaayari Mein, Tumhaari Bewafaai Ho...
Daaman Mein Tere Phool Hain Kam, Aur Kaante Hain Zyaada
Vaada Tera Vaada...

Taraane Jaanti Hai, Fasaane Jaanti Hai
Kai Dil Todne Ke, Bahaane Jaanti Hai
Kahin Pe Soz Hai Tu, Kahin Pe Saaz Hai Tu
Jise Samjha Na Koi, Vahi Ek Raaz Hai Tu
Kabhi Tu Rooth Baithi, Kabhi Tu Muskuraai
Are Kisi Se Ki Mohabbat, Kisi Se Bewafaai
Udaae Hosh Tauba, Teri Aankhen Sharaabi
Zamaane Mein Hui Hai, Inhin Se Har Kharaabi
Bulaae Chhaanv Koi, Pukaare Dhoop Koi
Tera Ho Rang Koi, Tera Ho Roop Koi Ho...
Kuchh Phark Nahin Naam Tera, Raziya Ho Ya Raadha
Vaada Tera Vaada...


Its a very nice song !!!
Logged
Imaandaar
Guest
«Reply #10 on: September 01, 2005, 12:31:02 PM »
Thanks Talat I agree with you, its a very nice song.

Im going to type a song now which probably not many here have
heard. it was recorded in 1978 in the vocals of Kishore Kumar for the
film Phool Khile Hain Gulshan Gulshan.

Film - Phool Khile Hain Gulshan Gulshan (1978)
Singer -  Kishore Kumar, Chorus
Lyrics - Rajinder Krishan
Music - Laxmikant Pyarelal

He Ilaahi Yeh Kaisi Kaisi Suratein Tu Ne
Banaayi, Ke Har surat kaleje se lagaane
ke qaabil hai.

Kaisa parda hai, jalwa jalwa hai.
Haan Jalwa Jalwa hain, kaisa
parda hai. Seene mein dil bhi haiye
haiye haiye dhadkak kar bechaara
haiye machal ke pukaara haiye
tadap kar pukaara ..Kaise parda
hai jalwa jalwa hai......

Haseen na hote, Mohabbat na hoti.
Mohabbat na hoti toh duniya na hoti.
Haseenon ke dum se hai yeh nazaare.
Yeh Mehfil yeh jalwe yeh theeke ishaare.
Chhupte bhi nahin saamne aate bhi
nahin, kya Qayamat hai ke chilman se
lage baite hai....Kaisa parda hai, Jalwa
Jalwa hai.....

Haiye Chehre pe zulfein bhikraane
walo, Dil aashiqon ka tadpanon walo.
Surat tumhaari qayamat qayamat, hum
aashiqon ki Hajaamat hajaamat..Iss
saadegi pe koun na marr jaaye ae Khuda
larte hai aur haath mein talwaar bhi nahin..


Kaisa parda hai, jalwa jalwa hai.
Haan Jalwa Jalwa hain, kaisa
parda hai. Seene mein dil bhi haiye
haiye haiye dhadkak kar bechaara
haiye machal ke pukaara haiye
tadap kar pukaara ..Kaise parda
hai jalwa jalwa hai......
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #11 on: September 02, 2005, 07:05:48 AM »
Adding another lovely song
Film-Seema
Singers- Mohd. Rafi/Sharda

Jab bhi yeh dil udaas hota hai
Jaane kaun aas paas hota hai

Hont chup chaap bolte ho jab
Saans kuch tez tez chalti ho
aankhen jab de rahi ho awaazein
thandi aanhon mein saans jalti ho
thandi aanhon mein saans jalti ho..
Jab bhi yeh dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai

Aankh mein tairti hain tasveerein
tera chehra tera khayal liye
aaine dekhta hai jab mujhko
ek masoom sa sawaal liye
ek masoom sa sawaal liye

Jab bhi yeh dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai..

Koyi vaada nahi kiya lekin
kyon tera intezaar rehta hai
bewajeh jab qarar mil jaaye
dil bada beqarar rehta hai
dil bada beqarar rehta haii

Jab bhi yeh dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai...

Aapkii......Aarzuu...........
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #12 on: September 02, 2005, 07:07:38 AM »
And another one
Film-Khamoshi
Singer-Lata mangeshkar

hum ne dekhee hai, un aakhon kee mahakatee khushaboo
haath se chhuke ise, rishto kaa ilzaam naa do
sirf ehasaas hai ye, ruuh se mahasoos karo
pyaar ko pyaar hee rahane do koee naam naa do

pyaar koee bol nahee, pyaar aawaaz naheen
ek khaamoshee hai sunatee hai, kahaa karatee hain
na ye bujhtee hai, na rukatee hai, na thhaharee hain kaheen
noor kee boond hai, sadiyon se bahaa karatee hain

muskuraahat see khilee rahatee hain aankho mein kaheen
aaur palakon pe ujaale se jhuke rahate hain
honth kuchh kahate nahee, kaapate hothhon pe magar
kitane khaamosh se afasaane ruke rahate hain
sirf ehasaas hai ye, ruuh se mahasoos karo
pyaar ko pyaar hee rahane do koee naam naa do
Logged
Imaandaar
Guest
«Reply #13 on: September 04, 2005, 02:03:00 PM »
Thank You Aarzuu for your songs, I started this thread with a forgotten song but then kept adding anything I was listening to....

Today Im adding a song from film Zakham (1989)...will type while Im listening to the song...

Film - Zakham (1989)
Singer - Bappi Lahiri
Lyrics - Anjaan
Music - Bappi Lahiri


Phir Zakham Huwe Taaza, Phir Dard Ubhar Aaye
Ik Phool Pe Maali Ne Kya Kya The Sitam Daaye.

Aukaat Meri Kya Hai, Yeh Main Jo
Bata Doon...Parda Jo Utaa Doon,
Kahin Khull Jaaye Na Tumhari
Aukaat.

Jo Kuch Bhi Aaj Hoon Mein,
Yeh Hai Kis Ki Meherbaani..Kaise
Yahan Mein Sunaoon Tumhe
Kal Ki Woh Kahaani.

Khull Gayi Jo Meri Zubaan
Kahin Khull Jaaye Na Tumhari Aukaat...  
Aukaat Meri Kya Hai, Yeh Main Jo
Bata Doon...Parda Jo Utaa Doon, Kahin
Khull Jaaye Na Tumhari Aukaat. Aukaat
Meri Kya Hai.....

Rishta Toh Tumse Hai Janam
Se Hai Hamara,  Meri Bhi Inn Raghon
Mein Yeh Lahoo Toh Hai Tumhaara.
Lahoo Yeh Agar Gohl Utaa, Kahin
Khull Jaaye Na Tumhaari Aukaat....Yeh Main
Jo Bata Doon... Parda Jo Utaa Doon, Kahin
Khull Jaaye Na Tumhari Aukaat.

Aukaat Meri Kya Hai, Yeh Main Jo
Bata Doon...Parda Jo Utaa Doon,
Kahin Khull Jaaye Na Tumhari
Aukaat.
Logged
Imaandaar
Guest
«Reply #14 on: September 06, 2005, 10:08:52 PM »
My next addition is a very catchy rare song which many here might not know. Mohammed Rafi & Manna Dey the  versatile singers and best friends come together under the baton of Shankar-Jaikishan in this one.


Film - Around The World (1967)
Singers -  Mohd Rafi & Manna Dey
Lyrics - Shailendra
Music - Shankar-Jaikishan

Aao Aao Aate Kyun Nahin, Jao
Jao Jaate Kyun Nahin....

Phool Sa Rookh, Aur Shabnam
Shabanam.. Lutke Reh Gaye Hum.
Wah Re Din Wah Re Mausam, Wah
Re Din Wa Re Mausam....

Dekh Ke Pehla Pehla Taara, Humne
Tumhe Har Shaam Pukara. Aaye Na
Tum Toh Chand Na Nikhla, Dass Ke
Gaya Shab Ka Andheraya.

Aao Aao Aate Kyun Nahin, Jao
Jao Jaate Kyun Nahin....Phool Sa
Rookh, Aur Shabnam Shabanam..
Lutke Reh Gaye Hum. Wah Re Din
Wah Re Mausam, Wah
Re Din Wah Re Mausam....
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 01:24:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer