~I LIKE THESE SONGS~

by bhambra on July 25, 2005, 08:26:25 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 34
Print
Author  (Read 26913 times)
bhambra
Guest
«Reply #75 on: July 30, 2005, 08:25:12 AM »
Thanx ISHA, my favo. too. The next song is from KASAk, the forthcoming film of Lucky Ali. :D
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
Songs that I Like...... by natural in Songs & Lyrics « 1 2 ... 23 24 »
Songs of Love by P K Padhy in English
bhambra
Guest
«Reply #76 on: July 30, 2005, 09:39:59 AM »
I love this song...........

Chhotee see kahaanee se, baareeshon kee paanee se
saaree waadee bhar gayee,
naa jaane kyo, dil bhar gayaa,
naa jaane kyo, aankh bhar gayee

shaakho pe patte the,patton pe boonde thee
boondo mein paanee thaa,paanee mein aansoo the

dil mein geele bhee the,pahale mile bhee the
milake paraaye the,do humasaaye the
Logged
bhambra
Guest
«Reply #77 on: July 30, 2005, 09:40:46 AM »
katra katra milti hai
katra katra jeene do
zindgi hai, bahne do
pyaasi hoon main pyasi rahne do

Tumne to aakash bichhaya
mere nange pairo main zameen hai
dekhe to tumhaari aarzoo hai
shayad aisi zindagi haseen hai
aarzoo main bahne do
pyaasi hoon main pyaasi rahne do
...
Logged
bhambra
Guest
«Reply #78 on: July 30, 2005, 09:41:08 AM »
is tarah aashiqii kaa asar chhod jaauungaa -3
tere chehare pe apanii nazar chhod jaauungaa -2
is tarah aashiqii kaa ...

main diivaanaa ban gayaa huun kaisii ye muhabbat hai
zindagii se badhakar ab terii zaruurat hai
mujhako tuu chaahiye teraa pyaar chaahiye
ek baar nahiin sau baar chaahiye
har saans main apanii tujhape lutaaungaa
dil ke lahuu se terii maang sajaauungaa
tere chehare pe apanii ...

pyaar kyaa hai dard kyaa hai diivaane samajhate hain
ishq mein jalane kaa matalab aashiq hii samajhate hain
main tadapataa huun tujhase kuchh na kahuun
bin kahe bhii magar main to rah na sakuun
is bekhudii mein aakhir kahaan chain paauungaa
mar ke bhii main tujhase judaa ho na paauungaa
tere chehare pe apanii ...
Logged
bhambra
Guest
«Reply #79 on: July 30, 2005, 09:41:35 AM »
roz shaam aatii thii magar aisii na thii
roz roz ghataa chhaatii thii magar aisii na thii
ye aaj merii zindagii mein kaun aa gayaa
roz shaam aatii thii ...

daalii mein ye kisakaa haath karen ishaare bulaaye mujhe
jhuumatii chanchal hawaa chhuuke tan gudagudaae mujhe
haule haule dhiire dhiire koii giit mujhako sunaae
priit man mein jagaaye
khulii aankh sapane dikhaae
dikhaae dikhaae dikhaae
khulii aankh sapane dikhaae
ye aaj merii zindagii mein kaun aa gayaa ...

aramaanon kaa rang hai jahaan palake uthaatii huun main
hans hansake hai dekhatii jo bhii muurat banaatii huun main
jaise koii mohe chhede dil kho aur bhii jaatii huun main
jagamagaatii huun main
diiwaanii huii jaatii huun main
diiwaanii diiwaanii diiwaanii
diiwaanii huii jaatii huun main
ye aaj merii zindagii mein kaun aa gayaa ...
Logged
bhambra
Guest
«Reply #80 on: July 30, 2005, 09:42:28 AM »
(Hum rahe ya na rahe kal
Kal yaad aayenge yeh pal
Pal, yeh hain pyaar ke pal
Chal, aa mere sang chal
Chal, soche kya
Chhoti si hai zindagi
Kal mil jaaye to hogi khushnaseebi
Hum rahe ya na rahe, yaad aayenge yeh pal) - 2
Shaam ka aanchal odhke aayi
Dekho voh raat suhaani
Aa likh de hum donon milke
Apni yeh prem kahaani
Hum rahe ya na rahe, yaad aayenge yeh pal
Aane waali subha jaane
Rang kya laaye deewaani
Meri chaahat ko rakh lena
Jaise koi nishaani
Hum rahe ya na rahe, yaad aayenge yeh pal
Hum rahe ya na rahe kal
Kal yaad aayenge yeh pal
Pal, yeh hain pyaar ke pal
Chal, aa mere sang chal
Chal, soche kya
Chhoti si hai zindagi
Kal mil jaaye to hogi khushnaseebi
Hum rahe ya na rahe, yaad aayenge yeh pal - 2
Logged
bhambra
Guest
«Reply #81 on: July 30, 2005, 09:44:29 AM »
Aankhon Ne Tumhari Meethi Baton Ne
Aankhon Ne Tumhari Meethi Baton Ne
Meri Neend Udayi Mera Chain Churaya
Sapna Sajaya Apna Banaya
Apna Banake Sapna Sajake
Chupke Se Sikhaya Pyaar
Dheere Dheere Is Dil Ka Cheena Hai Karaar
Dheere Dheere Is Dil Ka Cheena Hai Karaar
Aankhon Ne Tumhari Meethi Baton Ne
Aankhon Ne Tumhari Meethi Baton Ne
Meri Neend Udayi Mera Chain Churaya
Sapna Sajaya Apna Banaya
Apna Banake Sapna Sajake
Chupke Se Sikhaya Pyaar
Dheere Dheere Is Dil Ka Cheena Hai Karaar
Dheere Dheere Is Dil Ka Cheena Hai Karaar

Deewana Ishq Ka Main To Hone Laga
Zulfon Ki Uth Mein Jana Dhone Laga
Mera Kehna Na Mane Meri Pyaas Na Jane
Dhak Dhak Dhadke Dil Mera Tadpe
Rangeen Safar Mein Aisi Amar Mein
Dard Utha Pehli Baar
Dheere Dheere Is Dil Ka Cheena Hai Karaar
Dheere Dheere Is Dil Ka Cheena Hai Karaar

Yaadon Mein Aaj Kal Kaatoon Main Raat Din
Jhoota Sa Jahan Lagat Hai Tere Bin
Kya Haal Jiya Ka Main Tujhse Bataon
Ek Pal Kahin Main Tujhe Bhool Na Paaon
Shaam Savere Dil Ko Mere Rehta Hai Kyon Interzar
Dheere Dheere Is Dil Ka Cheena Hai Karaar
Dheere Dheere Is Dil Ka Cheena Hai Karaar
Aankhon Ne Tumhari Meethi Baton Ne
Aankhon Ne Tumhari Meethi Baton Ne
Meri Neend Udayi Mera Chain Churaya
Sapna Sajaya Apna Banaya
Apna Banake Sapna Sajake
Chupke Se Sikhaya Pyaar
Dheere Dheere Is Dil Ka Cheena Hai Karaar
Dheere Dheere Is Dil Ka Cheena Hai Karaar
Logged
bhambra
Guest
«Reply #82 on: July 30, 2005, 09:45:37 AM »
Boy:
Suno Jara
Suno Jara
Havaoon Mein Ye Kaisi Hai Sadaa
Koi To Hai Jo Hai Ye Keh Rahaa
Ke Raha Mein Mein Woh Mod Aa Gaya
Ke Jiske Aage Hai Zameen Na Aasman
Na Manzilein Na Raasta

Girl:
Suno Jara
Suno Jara
Havaoon Mein Ye Kaisi Hai Sadaa
Koi To Hai Jo Hai Ye Keh Rahaa
Ke Raha Mein Mein Woh Mod Aa Gaya
Ke Jiske Aage Hai Zameen Na Aasman
Na Manzilein Na Raasta...

Boy:
Yadoon Ke Gam Hi Taraane
Gaati Hai Tanhaiyaan
Haan, Dil Din Dhal Raha Hai To Kitni
Lambi Hain Parchaiyaan
Bas Ek Pal MEin Hoga Sabh Dhua Dhua
Hai Aarzoo Ki Ye Sadaa

Girl:
Suno Jara
Suno Jara
Havaoon Mein Ye Kaisi Hai Sadaa
Koi To Hai Jo Hai Ye Keh Rahaa
Ke Raha Mein Mein Woh Mod Aa Gaya
Ke Jiske Aage Hai Zameen Na Aasman
Na Manzilein Na Raasta...

La La La La La La
La La La La La La...

Dhoondla Gaye Hain Sitare
Phoolon Ko Neend Aa Gayi
Goom Soom Se Hum Sochte Hain
Baatein Adhuri Kayee
Hui Na Puri Kyoon Koi Bhi Dastan
Kise Khabar Kise Pataa

Boy:
Suno Jara
Suno Jara
Havaoon Mein Ye Kaisi Hai Sadaa
Koi To Hai Jo Hai Ye Keh Rahaa
Ke Raha Mein Mein Woh Mod Aa Gaya
Ke Jiske Aage Hai Zameen Na Aasman
Na Manzilein Na Raasta.

Girl:
Suno Jara
Suno Jara
Havaoon Mein Ye Kaisi Hai Sadaa
Koi To Hai Jo Hai Ye Keh Rahaa
Ke Raha Mein Mein Woh Mod Aa Gaya
Ke Jiske Aage Hai Zameen Na Aasman
Na Manzilein Na Raasta.

Boy:
Na Manzilein Na Raasta

Girl:
Hoom Hoom Hoom Hoom
Hoom Hoom Hoom Hoom

Boy:
Hoom Hoom Hoom Hoom
Hoom Hoom Hoom Hoom
Submitted by: Rakesh Mehta
Logged
bhambra
Guest
«Reply #83 on: July 30, 2005, 09:48:42 AM »
--MALE--
(Suraj hua maddham, chaand jalne laga
Aasmaan yeh haai kyoon pighalne laga) - 2
Main thehra raha, zameen chalne lagi
Dhadka yeh dil, saans thamne lagi
Oh, kya yeh mera pehla pehla pyaar hai
Sajna, kya yeh mera pehla pehla pyaar hai

--FEMALE--
Ho oh oh, oh oh oh oh oh, aa aa aa aa aa aa
Suraj hua maddham, chaand jalne laga
Aasmaan yeh haai kyoon pighalne laga
Main thehri rahi, zameen chalne lagi
Dhadka yeh dil, saans thamne lagi
Haan, kya yeh mera pehla pehla pyaar hai
Sajna, kya yeh mera pehla pehla pyaar hai

--MALE--
Hai khoobsurat yeh pal, sab kuch raha hai badal
Sapne haqeeqat mein jo dhal rahe hai
Kya sadiyon se puraana hai rishtaa yeh hamaara
Ke jis tarha tumse hum mil rahe hai

--FEMALE--
Yunhi rahe har dam pyaar ka mausam
Yunhi milo humse tum janam janam

--MALE--
Main thehra raha, zameen chalne lagi

--FEMALE--
(La la la, la la la, la la la)

--MALE--
Dhadka yeh dil, saans thamne lagi

--FEMALE--
Haan, kya yeh mera pehla pehla pyaar hai
Sajna, kya yeh mera pehla pehla pyaar hai

Tere hi rang se yun main to rangeen hoon sanam
Paake tujhe khud se hi kho rahi hoon sanam
O maahiya, ve tere ishq mein
Haan doobke paar main ho rahi hoon sanam

--MALE--
Saagar hua pyaasa, raat jagne lagi
Sholo ke dil mein bhi aag jalne lagi

--FEMALE--
Main thehri lagi, zameen chalne lagi
Dhadka yeh dil, saans thamne lagi

--MALE--
Kya yeh mera pehla pehla pyaar hai

--FEMALE--
Sajna

--BOTH--
Kya yeh mera pehla pehla pyaar hai

--MALE--
Suraj hua maddham

--BOTH--
Chaand jalne laga

--MALE--
Aasmaan yeh haai

--BOTH--
Kyoon pighalne laga

--MALE--
Sajna, kya yeh mera pehla pehla pyaar hai
Logged
jyothi
New Member


Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.
Posts: 26
Member Since: Jul 2005


View Profile
«Reply #84 on: July 30, 2005, 10:16:58 AM »
hi bhambra i am new to this Yoindia. ur collections are good nice songs
Logged
bhambra
Guest
«Reply #85 on: July 30, 2005, 10:57:18 AM »
Thanx jyoti, and welcome to yoindia. hope u will love it. And plz keep watching this forum and make comments. :D
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #86 on: July 30, 2005, 08:28:27 PM »
Yo bhambra nice songs........will u do me favor whenever  u write songs can u just write from which movie/album these songs are!!!!

I like this song

dil hai chota sa choti si asha
Masti bhara dil main udna ke asa..sth sth sth
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #87 on: July 31, 2005, 07:27:10 AM »
Bhambra...... coooool collection

This one i like much...... Usual Smile

Quote from: "bhambra"
is tarah aashiqii kaa asar chhod jaauungaa -3
tere chehare pe apanii nazar chhod jaauungaa -2
is tarah aashiqii kaa ...

main diivaanaa ban gayaa huun kaisii ye muhabbat hai
zindagii se badhakar ab terii zaruurat hai
mujhako tuu chaahiye teraa pyaar chaahiye
ek baar nahiin sau baar chaahiye
har saans main apanii tujhape lutaaungaa
dil ke lahuu se terii maang sajaauungaa
tere chehare pe apanii ...

pyaar kyaa hai dard kyaa hai diivaane samajhate hain
ishq mein jalane kaa matalab aashiq hii samajhate hain
main tadapataa huun tujhase kuchh na kahuun
bin kahe bhii magar main to rah na sakuun
is bekhudii mein aakhir kahaan chain paauungaa
mar ke bhii main tujhase judaa ho na paauungaa
tere chehare pe apanii ...
Logged
bhambra
Guest
«Reply #88 on: August 01, 2005, 05:23:48 AM »
Well thanx Saba and Ish for appriciating my job, And isha from now i will write the movie name with the song, now this is for u..............


Film : ROJA

Dil hai chhota sa chhoti si aasha
Masti bhare man ki bholi si aasha
Chaand taaron ko chhoone ki aasha
Aasmaan mein udne ki aasha

Dil hai chhota sa chhoti si aasha
Masti bhare man ki bholi si aasha
Chaand taaron ko chhoone ki aasha
Aasmaan mein udne ki aasha
Dil hai chhota sa chhoti si aasha

Mehak jaoon main aaj to aise
Phool bagiya mein mehke hain jaise
Badalon ki main odhoon chunariya
Jhoom jaoon main banke baavariya
Apni choti mein baabul ughaiya

Dil hai chhota sa chhoti si aasha
Masti bhare man ki bholi si aasha
Chaand taaron ko chhoone ki aasha
Aasmaan mein udne ki aasha
Dil hai chhota sa chhoti si aasha
Masti bhare man ki bholi si aasha

Swarg si dharti khil rahi jaise
Mera manna bhi to khil raha vaise
Koyal ki tarah gaane ka armaan
Bijli ki tarah machloon ye armaan
Jawaani hai laayi rangeen sapna

Dil hai chhota sa chhoti si aasha
Masti bhare man ki bholi si aasha
Chaand taaron ko chhoone ki aasha
Aasmaan mein udne ki aasha
Dil hai chhota sa chhoti si aasha
Masti bhare man ki bholi si aasha .
Logged
bhambra
Guest
«Reply #89 on: August 01, 2005, 05:24:44 AM »
I like this song too ......

Film : ROJA

Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi

Tere honthon pe hain husn ki bijliyaan
Tere gaalon pe hain zulf ki badliyaan
Tere baalon ki khushboo se mehke chaman
Sangmarmar ke jaisa ye tera badan

Meri jaanejaan ye hai teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna

Ye bandhan hai pyaar ka dekho toote na sajni
Ye janmon ka saath hai dekho chhoote na sajna
Tere aanchal ki chhaaon ke tale meri manzil mujhe mil gayi
Teri palkhon ki chaaon ke tale mohaabat mujhe mil gayi

Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna

Jee karta hai saajna dil mein tumko bitha loon
Aa masti ki raat mein apna tumko bana loon
Uthne lage hain toofan kya meer seene mein ay sanam
Tumhein chaahoonga dilon jaan se meri jaanejaan teri kasam

Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
 
Meri jaanejaan ye hai teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 34
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 16, 2024, 05:40:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer