Songs that I Like......

by natural on November 28, 2005, 10:21:24 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 24
Print
Author  (Read 24570 times)
natural
Guest
«Reply #15 on: November 28, 2005, 12:23:16 PM »
One more nice Song............ Usual Smile

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
fun with songs by mudassirali in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Some My Fav. Songs.................... by waheed_rose2004 in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
songs.... by desikurri in Songs & Lyrics
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
~I LIKE THESE SONGS~ by bhambra in Songs & Lyrics « 1 2 ... 33 34 »
natural
Guest
«Reply #16 on: November 28, 2005, 12:31:10 PM »
Saagar Kinare Dil Yeh Pukare
Tu Jo Nahin To Mera Koi Nahin Hai...............

Jaage Nazaare Jaagi Havaaein
Jab Pyar Jaaga Jaagi Fizaaein
Pal Bhar Ko Dil Ki Duniya Soyi Nahin Hai
Saagar Kinare Dil Yeh Pukare...

Lehron Pe Naache Kirnon Ki Pariyaan
Maein Khoi Jaise Saagar Mein Nadiya
Tu Hi Akeli To Khoi Nahin Hai
Saagar Kinare Dil Yeh Pukare........
[/b]
Logged
natural
Guest
«Reply #17 on: November 29, 2005, 05:14:47 AM »
tujhse naaraaz nahin zindagi hairaan hoon main
hairaan hoon main
tere masoom sawaalon se pareshaan hoon main
oooooooo pareshaan hoon main......

jeene ke liye socha hi nahi, dard sambhaalne honge
muskuraaun to, muskuraane ke karz utaarne honge
muskuraaun kabhi to lagta hai
jaise honton pe karz rakha hai
tujhse ...

aaj agar bhar aayi hain, boonden baras jaayengi
kal kya pata kinke liye aankhen taras jaayengi
jaane kahaan gum hua kahaan khoya
ek aansu chupaake rakha tha
tujhase ...
[/b]
Logged
natural
Guest
«Reply #18 on: November 29, 2005, 05:34:32 AM »
Lag ja gale se ki phir ye haseen raat ho na ho
Shayad phir is janam me mulaaqaat ho na ho
Lag ja gale se ............

Humko mili hain aaj ye ghadiyaan naseeb se
Ji bhar ke dekh lijiye humko qareeb se
Phir aapke naseeb main ye baat ho na ho
Shayad phir is janam me mulaaqaat ho na ho
Lag ja gale se ............


aaiye ki hum nahin aayenge baar baar
Baahen gale me daal ke hum ro len zaarozaar
Ankhon se phir ye pyar ki barsaat ho na ho
Shayad phir is janam me mulaaqaat ho na ho
Lag ja gale se ............
[/color]
Logged
natural
Guest
«Reply #19 on: November 29, 2005, 06:12:37 AM »
Logged
natural
Guest
«Reply #20 on: November 29, 2005, 07:00:49 AM »
Beete hue lamhon ki kasak saath to hogi
Khwaabon hi main ho chahe mulaaqat to hogi
Beete hue lamhon....

Ye pyar me doobi hui rangeen fizaain
Ye chehre ye ankhain ye jawan rut ye nazare
Hum jaayen kahin inki mahak saath to hogi..
Beete hue lamhon....


Phoolon ki tarah dil me basaye hue rakhna
Yaadon ke chiraaghon ko jalaye hue rakhna
Lamba hai safar isme kahin raat to hogi...
Beete hue lamhon....


Ye saath guzaare hue lamhaat ki daulat
Jazbaat ki daulat ke khayaalat ki daulat
Kuch saath na ho saath ye saughaat to hogi
Beete hue lamhon....
Logged
natural
Guest
«Reply #21 on: November 29, 2005, 07:32:44 AM »
Dil ke tukde, tukde kar ke, muskurake chal diye
Dil ke tukde, tukde kar ke, muskurake chal diye
jaate jaate, yeh to bata ja, hum jiye ge kiske liye
Dil ke tukde, tukde kar ke, muskurake chal diye

Chaand bhi hoga taare bhi honge
Phool chaman me pyare bhi honge
lekin humara dil na lagega
bheegegi jab jab raat suhani
aag lagayegi rut mastani
tu hi bata koi kaise jiyega
dil ke maaro dil ke malik, thokar laga kar chal diye
Dil ke tukde, tukde


Roothe rahenge aap jo hum se
mar jayenge hum bhi kasam se
sun le haath chhurane se pehle
jaan humari naam pe tere
jaaygi ek din dilbar mere
soch samajh le jaane se pehle
yu agar tum dil ki tamanna ko mitake chal diye
Dil ke tukde, tukde...............
Logged
natural
Guest
«Reply #22 on: November 29, 2005, 07:40:34 AM »
Yuun zindagi ki raah me majboor ho gaye
itne huye kareeb ke hum duur ho gaye
yuun zindagi ki raah mein...

Aisa nahi ke hum ko, koi bhi khushi nahi...
lekin yeh zindagi bhi to, koi zindagi nahi....
Aisa nahi ke hum ko, koi bhi khushi nahi...
lekin yeh zindagi bhi to, koi zindagi nahi...
Kyu iske faisle hume manzoor ho gaye...
itne huye kareeb ke hum duur ho gaye..
yuun zindagi ki raah me...


Paaya tumhe to yeh laga, tumko kho diya..
hum dil pe roye aur yeh dil, hum pe ro diya..
Paaya tumhe to yeh laga, tumko kho diya..
hum dil pe roye aur yeh dil, hum pe ro diya..
Palko se khwab kyu gire, kyu choor ho gaye..
itne huye kareeb ke hum duur ho gaye..
kyu zindagi ki raah me.......
Logged
natural
Guest
«Reply #23 on: November 29, 2005, 07:57:26 AM »
Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz
Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz

Na koi hai na koi tha zindage mein tumhaare siva
Tum dena saath mera o humnawaaz
Tum dena saath mera o humnawaaz

Ho chaandni jab tak raat deta hai har koi saath
Tum magar andheron mein na chhodna mera haath
Ho chaandni jab tak raat deta hai har koi saath
Tum magar andheron mein na chhodna mera haath


Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz
Na koi hai na koi tha zindage mein tumhaare siva
Tum dena saath mera o humnawaaz

Wafadaari ki vo rasmein nibhayenge hum tum kasmein
Ek bhi saans zindagi ki jab tak ho apne bas mein
Wafadaari ki vo rasmein nibhayenge hum tum kasmein
Ek bhi saans zindagi ki jab tak ho apne bas mein


Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz
Na koi hai na koi tha zindage mein tumhaare siva
Tum dena saath mera o humnawaaz

Dil ko mere hua yakeen hum pehle bhi mile kahin
Silsila ye sadiyon ka koi aaj ki baat nahin
Dil ko mere hua yakeen hum pehle bhi mile kahin
Silsila ye sadiyon ka koi aaj ki baat nahin


Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz
Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz
Na koi hai na koi tha zindage mein tumhaare siva
Tum dena saath mera o humnawaaz
Tum dena saath mera o humnawaaz.............
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #24 on: November 29, 2005, 02:18:44 PM »
I love almost all the songs but specially aanewala pal and najane kyun and jab koi baat bigad jaaye and sach mere yaar hai. Sach mere yaar hai is my fav from these songs since it was sung by Qazi...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #25 on: November 29, 2005, 02:46:10 PM »
Quote from: "natural"
Like all the other friends I too will post the songs that I like....... although most of the songs of my choice have already been posted by other friends.... but just to make all the songs of my choice at one place, I will post here....

Yeh Jeevan Hai, Is Jeevan Ka
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Rang roop
Thode Ghum Hain, Thodi Khushiyan
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Chaon Dhoop
Yeh Jeevan Hai..........

Yeh Na Socho Isme Apni Haar Hai Ke Jeet Hai
usey Apna Lo Jo Bhi Jeevan Ki Reet Hai
Yeh Zid Chodo, Bandhan Yuh Na Todo
Har Pal Ek Darpan Hai
Yeh Jeevan Hai.......

Dhan Se Na Duniya Se, Ghar Se Na Dwar Se
Saason Ki Dor Bandhi Hai, Preetam Ke Pyar Se
Duniya Choote, Par Na Toote, Yeh Aisa Bandhan Hai
Yeh Jeevan Hai...
Yeh Jeevan Hai, Is Jeevan Ka
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Rang roop
Thode Ghum Hain, Thodi Khushiyan
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Chaon Dhoop
Yeh Jeevan Hai...


nice collection natural....n dis one is ma fav....lol
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #26 on: November 29, 2005, 05:14:18 PM »
nice collection naturbhai... and all my dear friends...
don't mind i added once ok...
this is my fav8...

Kisiki muskuraahaton pe ho nisaar
Kisika dard mil sake to le udhaar
Kisike waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena issi ka naam hai

Maana apni jeb se fakeer hain
Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hain
Mitte jo pyaar ke liye woh zindagi
Jale bahaar ke liye woh zindagi
Kisi ko ho na ho hamein to aitbaar
Jeena issi kaa naam hai

Rishta dil se dil ke aitbaar ka
Zinda hai hameen se naam pyaar ka
Ke mar ke bhi kisi ko yaad aayenge
Kisi ke aansuon mein muskuraayenge
Kahega phool har kali se baar baar
Jeena issi kaa naam hai
Kisiki muskuraahaton pe ho nisaar..
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #27 on: November 29, 2005, 05:20:17 PM »
one more....... ha....:wink:

Oh Re Taal Mile Nadi Ke Jal Mein
Nadi Mile Saagar Mein
Saagar Mile Kaunse Jal Mein
Koi Jaane Na...

Suraj Ko Dharti Tarse
Dharti Ko Chandrama
Paani Mein Seep Jaise Pyaasi Har Aatma
Boond Chhipi Kis Baadal Mein
Koi Jaane Na
Oh Re Taal...

Anjaane Hothon Par Kyon Pehchane Geet Hain
Kal Tak Jo Begaane The Janmon Ke Meet Hain
Kya Hoga Kaunse Pal Mein
Koi Jane Na
Oh Re Taal...
Logged
Rishi Soumya
Guest
«Reply #28 on: November 30, 2005, 03:53:39 AM »
Nice songs
Logged
natural
Guest
«Reply #29 on: November 30, 2005, 05:32:05 AM »
Quote from: "Rishi Soumya"
I love almost all the songs but specially aanewala pal and najane kyun and jab koi baat bigad jaaye and sach mere yaar hai. Sach mere yaar hai is my fav from these songs since it was sung by Qazi...


Thanks Rishi, Milind, & Salma.........  and milind the two songs you have shared are really excellent.....

This song is really very nice.........
Oh Re Taal Mile Nadi Ke Jal Mein
Nadi Mile Saagar Mein
Saagar Mile Kaunse Jal Mein
Koi Jaane Na...
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 04:21:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer