Songs that I Like......

by natural on November 28, 2005, 10:21:24 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 24
Print
Author  (Read 24591 times)
mili_genie
Guest
«Reply #30 on: November 30, 2005, 06:36:11 AM »
thax a lot nattu ji.... gussa to nahi aayan nattu bola to gussa to nahi aaya na......:wink:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
fun with songs by mudassirali in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Some My Fav. Songs.................... by waheed_rose2004 in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
songs.... by desikurri in Songs & Lyrics
:: songs i like / my favorite songs :: by myheart_ursonly in Songs & Lyrics « 1 2 3  All »
~I LIKE THESE SONGS~ by bhambra in Songs & Lyrics « 1 2 ... 33 34 »
natural
Guest
«Reply #31 on: December 01, 2005, 06:30:16 AM »
Arrey milind bhai....... Mujhey bura nahi lagega.....

One more song of my choice..........

Waqt ne kiya kya haseen sitam
Tum rahe na tum ham rahe na ham
Waqt ne kiya…

Beqaraar dil is tarha mile
jis tarha kabhi ham juda na the
Tum bhi kho gaye, ham bhi kho gaye
Ek raah par chalke do qadam
Waqt ne kiya…

Jaayenge kaha sujhta nahi
chal pade magar raasta nahi
Kya talaash hai kuchh pata nahi
Bun rahe hain dil khaab dam-ba-dam
Waqt ne kiya…
[/i]
Logged
natural
Guest
«Reply #32 on: December 01, 2005, 06:38:04 AM »
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya -2
Jo likha tha................aa aa a
Jo likha tha aansoon ke sang beh gaya
Mera jeevan
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya

Ik hawa ka jhoonka aaya -2
Toota dali se phool -2
Na pavan ki na chaman ki
Kiski hai ye bhool -2
Kho gayi.... kho gayi...........
Khushboo hawa mein kuch na reh gaya
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya


Udte panchi ka thikana -2
Mera na koijahan -2
Na dagar hai na khabar hai
Jana hai mujhko kahan -2
Ban ke sapna -2
Humsafar ka saath reh gaya
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya

Dukh ke andar sukh ki jyoti
Dukh hi sukh ka gyan -2
Dard sah ke janm leta
Har koi insan -2
Vo sukhi hai -2
Jo khushi se dard sah gaya
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #33 on: December 01, 2005, 06:51:34 AM »
nice nattu bhia..... gr8 song of choice..Usual Smile

one more added

Wohh tere pyaar ka gam
Ek bahana tha sanam
Apni kismaat hi kuch aise thi
Ki dil toot gaya

Ye na hota to koi dusra gam hona tha
main ti wohh hoon jise har haal mei bas rona tha
muskarataa bhi agar to chalak jate nazaar
apani kismet kuch aise thi ki dil toot gay

warna kya baat hai tu koi sitamgar to nahin
tere seene mei bhi dil hai koi pattar to nahin
tunne dhaya hai steam to yahi samjhenge hum
apni kismet hi kuch aise thi
ke dil toot gaya

Wohh tere pyaar ka gam
Ek bahana tha sanam
Apni kismaat hi kuch aise thi
Ki dil toot gaya
Logged
natural
Guest
«Reply #34 on: December 01, 2005, 06:56:51 AM »
Kisi raah main kisi mod par
Kahin chal na dena tu chorh kar
Mere humsafar mere humsafar
Mere humsafar mere humsafar

Kisi haal main kisi baat par
Kahin chal na dena tu chorh kar
Mere humsafar mere humsafar
Mere humsafar mere humsafar

Mera dil kahe kahin ye na ho
Nahin ye na ho nahin ye na ho
Kisi roz tujhse bicharh ke main
Tujhe dhoondti phirun darbadar
Mere humsafar mere humsafar
Mere humsafar mere humsafar

Tera rang saaya bahaar ka
Tera roop aaeena pyaar ka
Tujhe aa nazar main chupa loon main
Tujhe lag na jaaye kahin nazar
Mere humsafar mere humsafar
Mere humsafar mere humsafar

Tera saath hai to hai zindagi
Tera pyaar hai to hai roshni
Kahan din ye dhal jaaye kya pata
Kahan raat ho jaaye kya khabar
Mere humsafar mere humsafar
Mere humsafar mere humsafar...........
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #35 on: December 03, 2005, 06:35:37 AM »
nice song..... nattu bhai..
one more added....:wink:
from :- chitchor

aaj se pahale, aaj se jyaadaa, khushee aajatak naheen milee
itanee suhaanee, ayesee mithhee, ghadee aajatak naheen milee

is ko sanjog kahe yaa, kismat kaa lekhaa, hum jo achaanak mile hain
manachaahe saathee paake, hum sab ke chehare dekho to kaise khile hain
takadeeron ko jod de ayesee kadee aajatak naheen milee

sapanaa ho jaaye wo pooraa, jo hum ne dekhaa, ye mere dil kee duwaan hain
ye pal jo beet rahe hain, in ke nashen mein, dil meraa gaane lagaa hain
isee khushee ko dhoondh rahe the, yahee aajatak naheen milee

dil mein toofaan uthhaa hain, hothhon pe nagmaa, aakhon mein aansoo khushee ke
sapanon ke paas pahoochake, sapanon se dooree, ayesaa naa ho sang kisee ke
koee kahe naa manjil muz ko milee aajatak naheen milee
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #36 on: December 08, 2005, 06:39:53 AM »
Hey mere bhi kuch fav song ka list de rahi hu...

koi mere liye lyrics la do bhai....lolzzzz


Papa Kehte Hain : Ghar se nikalte he...kuch durr chalte he...raste mein hai uska ghar....kal shubha dekha to baal banati hai....

Hum Hain Rahi Pyaar Ke : Mujse mohabbat ka izahar karta..khaas koi ladka mujhe pyaar karta...

Gulam : Ab naam mohabbat ke ilzam to aaya hai...
tum jo bhi saza de doo..sar humne jhukaya hai...tumne he hasi de thi..tumne he rolaya hai...
kya pyaar me socha tha ..kya pyaar me paya hai...

Ashique : Ab tere bin jee lenge hum...zeher zindagi ka pee lenge hum....

Ashique : nazar ke saamne ..jigar ke pass koi rehta hai..woho tum..........beetabhi kya hoti hai poocho mere dil se..tanha tanha lauta hu mein to bhari mehfil se....

Gupt: Ye pyaar kya hai.. kisine na jaana...sab ki zuban pe hai ye fasana...jaadu hai ye kya paata kab kis pe ye chal gaya..shola hai ye kya kabar kab kis ka dil jal gaya...yeh pyaar kya hai...kisine na janaa...

Gupt:Mere sanam mujko teri kasam...tujse bichad ke maar jayenge hum...ke maarne se phele..jee le zara hum...

Barsat : nahin ye ho nahin sakta..ke teri yaad na aaya...

Barsat: Humko srif tumse pyaar hai..


Filhal itne he yaad hai...nxt list phir kabhi doongi...
jab tak aap log ko ye home work diya maine..jab yahan aaye to class work ye  i mean lyric le ke aana...lolzzz
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #37 on: December 08, 2005, 01:22:34 PM »
itne saare kyu salma ji kya baat hai....:wink:

ok ye meri taraf se aapke liye ye mera bhi fav8 hai ....

from barsaat..

Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai

Keh rahi hai dil ki bekhudi
Bas tumhara intezaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai

Dhoonte hain hum tumko dar badar
Jaane kab kahan miloge humse humsafar
Dhoonte hain hum tumko dar badar
Jaane kab kahan miloge humse humsafar

Kaisi dooriyaan kaisa faasla
Hum yahaan pe aaye sun ke pyaar ki sada
Ab na tumse door honge hum
Tumpe dil kya jaan nisaar hai
Tumpe dil kya jaan nisaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai

Jaagte rahe hum to raat bhar
Ek lamha ek pal bhi soyi na nazar
Jaagte rahe hum to raat bhar
Ek lamha ek pal bhi soyi na nazar
Tum nigahon mein, tum khayal mein
Haal hai bura humara aise haal mein
Youn to humpe na karo sitam

Humko tumpe aitbaar hai
Humko tumpe aitbaar hai
Keh rahi hai dil ki bekhudi
Bas tumhara intezaar hai

Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai

Keh rahi hai dil ki bekhudi
Bas tumhara intezaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Humko sirf tumse pyaar hai
Logged
nikss
Guest
«Reply #38 on: December 08, 2005, 04:27:56 PM »
Tum Bin
 
Tum Bin jiya jaey kaise
kaise jiya jaey tum bin
sadiyon si lambi hein ratein
raton se lambey hue din
aa jao lot kar tum
yeh dil keh raha hai
aa jaooo lot kar tum
phir sham-e-tanhaey jagi
phir yaad tum aa rahe ho
phir jaan nikalney lagi hai
phir mujh ko tarpa rahe ho
aa jaoo lot kar tum
yeh dil keh raha hai
aa jaoo lot kar tum
kya kya na socha hai meine
kya kya na sapne sajaey
kya kya na chaha hai is dil ne
kya kya na armaan jagaey
is dil se tufaan nikaltey hein
tum bin tu jeetey na marte hein
aa jaoo lot kar tum
yeh dil keh raha hai
aa jaoo lot kar tum
tum Bin jiya jaey kaise
kaise jiya jaey tum BIN
   



I Q R A R
 
Love & Romance" src="images/topics/poetry.gif" align=right border=0 " @~*(I Q R A R)*~@

CHAMAN KI MEHAKTI KALIYON SE

ASMAN KE CHAND SITARON SE

BAHARON SE KHIZAON SE

ZAMEEN KE KUCH NAZARON SE

SAHIL SE SAMANDAR SE

BEHTEY ABSHARON SE

ZAMANE SE GHATAON SE

JAHAN KI HAR PARWAZON SE

MUJHY SIRF ITNA KEHNA HAI

MUJHY SIRF SURRYIA TUM SE MOHABBAT HAI

SIRF TUM SE
Logged
natural
Guest
«Reply #39 on: December 09, 2005, 11:18:06 AM »
Thanks Milind & nikss........... both the songs are nice........... Usual Smile

& Salma one more nice song from this movie(barsaat).........

Jindagee bhar naheen bhoolegee wo barasaat kee raat
yek anajaan musaafir se mulaakaat kee raat

haay jis raat mere dil ne dhadakanaa sikhaa
shaukh jajabaat ne seene mein bhadakanaa sikhaa
meree takadeer se nikalee wahee, sadamaat kee raat

dil ne jab pyaar ke rangeen fasaane chhede
aankhon aakhon mein wafaaon ke taraane chhede
sog mein doob gayee aaj wo, nagamaat kee raat

ruthhanewaalee meree baat se maayoos naa ho
bahake bahake se khayaalaat se maayoos naa ho
khamt hogee naa kabhee tere mere, saath kee raat

Logged
natural
Guest
«Reply #40 on: December 09, 2005, 11:22:00 AM »
Salma's Choice.................... :D

Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas
Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas
Koi Rehta Hai Vo Ho Tum

Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas
Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas
Koi Rehta Hai Vo Ho Tum

Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas

Betaabi Kya Hoti Hai Poochho Mere Dil Se
Betaabi Kya Hoti Hai Poochho Mere Dil Se
Tanha Tanha Lauta Hoon Main To Bhari Mehfil Se
Mar Na Jaoon Kahin
Mar Na Jaoon Kahin Hoke tumse Juda

Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas
Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas
Koi Rehta Hai Vo Ho Tum

Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas

Tanhai Jeene Na De Bechaini Tadpaaye
Tanhai Jeene Na De Bechaini Tadpaaye
Tumko Main Na Dekhoon To Dil Mera Ghabraye
Ab Mujhe Chhodke
Ab Mujhe Chhodke Door Jaana Nahin

Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas
Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas
Koi Rehta Hai Vo Ho Tum

Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas
Nazar Ke Saamne Jigar Ke Paas

Koi Rehta Hai Vo Ho Tum
Logged
natural
Guest
«Reply #41 on: December 09, 2005, 11:23:43 AM »
Again Salma's Choice...................... :wink:

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum
Kya Hua Jo Ek Dil Toot Gaya
Kya Hua Jo Ek Dil Toot Gaya

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum

Teri Aashiqui Bhi Kya Rang Layi
Wafa Maine Ki Tune Ki Bewafai
Meri Bhool Thi Main Ye Kya Chahta Tha
Kisi Bewafa Se Wafa Chahta Tha
Tu Jaane Kya Bekaraari
Bedard Bemuravvat
Ja Sangdil Haseena
Dekhi Teri Mohabbat
Ab Maine Jaana Tujhko Beraham

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum

Sanam Tod Deta Mohabbat Ke Vaade
Agar Jaan Jaata Main Tere Iraade
Kise Maine Chaaha
Kahan Dil Lagaya
Main Naadaan Tha Kuchh Samajh Hi Nahin Paaya
Mere Aansuon Ke Moti
Aankhon Se Behta Paani
Mere Toote Dil Ke Tukde
Tere Pyaar Ki Nishaani
Kaisa Main Bhoolonga Tere Sitamb

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Peelenge Hum
Kya Hua Jo Ik Dil Toot Gaya
Kya Hua Jo Ik Dil Toot Gaya
Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Peelenge Hum
Jeelenge Hum
Jeelenge Hum
Jeelenge Hum
Jeelenge Hum..
Logged
natural
Guest
«Reply #42 on: December 09, 2005, 11:27:25 AM »
I too liked this song..................... Usual Smile

(Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi
raste main hai uska ghar, kal subah dekha to
baal banati vo, khidki main aayi nazar ) -2
Ghar se nikalte hi ..

Masoom chegra, neechi nigahain
bholi se ladki, bholi aadayan
ja apsara hai, na vo pari hai
lekin yeh uski, jadoogari hai
deewana kar de vo, ik rang bhar de vo
sharma ke dekhe jidhar.
ghar se nikalte hi...

Karta hoon uske, ghar ke main phere
hansne lage hain, ab dost mere
sach kah raha hoon, uski ki kasam hai
main phir bhi khush hoon, bus ek gam hai
jisse pyaar karta hoon, main jispe marta hoon
usko nahi hai khabar.
ghar se nikalte hi...

Ladki hai jaise, koi paheli
kal jo mili mujhko, uski saheli
maine kaha usko, jake yeh kahna
achha nahi hai, yoon door rahna
kal shaam nikle vo, ghar se tahelne ko
milna jo chahe agar.
Ghar se nikalte hi ...
Logged
natural
Guest
«Reply #43 on: December 14, 2005, 11:39:25 AM »
One of my all time favourite..............


Aaja ho aaja, Aaja ho aaja, Aaja ho aaja, Aaja ho aaja,
ke mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara, mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara,
kahan se na jaane chala aaya ye mausam pyara pyara,
mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara, mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara,

Tere raste pe main, ankhe bichhaye baitha hoon, tere intzaar ki main duniya sajaye baitha
tere raste pe main, ankhe bichhaye baitha hoon, tere intzaar ki main duniya sajaye baitha
dekhe teri nazron ko bhaye na bhaye ye nazara,
mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara, mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara

Tera mera pyar ik raaj hi rahta to accha tha, soj na banta ye saaj hi rahta to accha tha
tera mera pyar ik raaj hi rahta to accha tha, soj na banta ye saaj hi rahta to accha tha
jane kya hoga jab hoga ye milan hamara,
mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara, mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara

Dhadak raha hai, dil ko main kaise samjhaoon, tujhse miloon ya mile bin yahan se chala jaaoon,
Dhadak raha hai, dil ko main kaise samjhaoon, tujhse miloon ya mile bin yahan se chala jaaoon,
aisa na ho tu ye dil tode zamana hanse sara
mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara, mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara
kahan se na jaane chala aaya ye mausam pyara pyara,
mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara, mere dil ne tadap ke jab naam tera pukara,
Aaja ho aaja, Aaja ho aaja................
Logged
natural
Guest
«Reply #44 on: December 14, 2005, 11:48:08 AM »
This song is also very nice................. Usual Smile

Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar
Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar

Meri Subahon Ko Teri Shaamon Ka
Meri Shaamon Ko Tere Vaadon Ka
Meri Raaton Ko Tere Khaabon Ka
Meri Neendon Ko Teri Baahon Ka
Mere Jazbon Ko Teri Chaahon Ka
Bahaki-Bahaki Si Kuchh Khataaon Ka
Khoobasoorat Se Kuchh Gunaahon Ka
Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar

Apane Dilabar Ka Apane Hamadam Ka Apane Jaanam Ka Intazaar
Surkh Phoolon Se Mahaka Rasata Hai
Dil To Mera Magar Zard Patta Hai
Paas Aankhon Ke Sabz Manjar Hai
Dil Ka Mausam To Phir Bhi Banjar Hai
Mahaki-Mahaki Si Kuchh Hawaaon Ka
Bheegi-Bheegi Si Kuchh Ghataaon Ka
Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar
Apane Baadal Ka Apani Baarish Ka Apane Saawan Ka Intazaar
Apani Dhadakan Ka Apani Saanson Ka Apane Jeene Ka Intazaar

Koi Badali Kabhi Is Tarah Aayegi
Pyaas Sadiyon Ki Pal Men Bujh Jaayegi
Tujhako Lauta Ke Meri Aagosh Men
Dekhana Vaqt Ki Nabz Tham Jaaegi
Aisa Hone Ke Kuchh Duaaon Ka
Umr Bhar Jo Milen Un Panaahon Ka
Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar
Tere Aane Ka Tujhako Paane Ka Phir Na Jaane Ka Intazaar
Tere Aane Ka Tujhako Paane Ka Phir Na Jaane Ka Intazaar
Intazaar Intazaar Intazaar Intazaar
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 24
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 07:38:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer