kisssi ki yaad me ......

by mili_genie on November 18, 2005, 04:54:42 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 814 times)
mili_genie
Guest
Yaad aa rahi hai

Yaad aa rahi hai

Teri yaad aa rahi hai, teri yaad aa rahi hai
Yaad aane se, tere jaane se
Jaan jaa rahi hai
Yaad aa rahi hai, teri yaad aa rahi hai

Pehle yeh naa jaana
Tere baad yeh jaana pyaar mein
Jeena mushkil kardega
Yeh dil deewana pyaar mein
Jaane kaise saans yeh aise
Aa jaa rahi hai
Yaad aa rahi hai, teri yaad aa rahi hai

Bante bante dulhan
Preet hamaari uljhan ban gayi
Mere dil ki dhadkan
Meri jaan ki dushman ban gayi
Kuch keh kehke, mujhe reh rehke
Tadpaa rahi hai
Yaad aa rahi hai, teri yaad aa rahi hai

Yeh rut ki rangaraliyaan
Yeh phoolon ki galiyaan ro padi

Mera haal suna to
Mere saath yeh kaliyaan ro padi

Ek nahin tu, duniya aansu
Barasaa rahi hai
Yaad aa rahi hai

Teri yaad aa rahi hai

Yaad aane se, tere jaane se
Jaan jaa rahi hai

Yaad aa rahi hai, teri yaad aa rahi hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
yaad by Sonu in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Na Salaam Yaad Rakhna, Na Paigaam Yaad Rakhna, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Yaad Yaad yaad bas yaad reh jati hai by Cma in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Aae na tere yaad kabhi yaad ki tarah by khalidrawat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
mili_genie
Guest
«Reply #1 on: November 19, 2005, 12:39:58 PM »
Jaane Jahan Rootha Na Karo
Koi Jee Na Sakey Aisa Na Karo

Do Hi Pal Mein Bhoole Mera Pyar
Tum Kya Jaano Kya Hai Intezaar
Nadaan Ho Abhi Samjha To Karo

Jaane Jahan Rootha Na Karo
Koi Jee Na Sakey Aisa Na Karo

Ab Do Hum Ko Chaahe Jo Sazaa
Ho Gayi Ab To Hum Se Yeh Khata
Jaane Do Sanam Jhagda Na Karo

Jaane Jahan Rootha Na Karo
Koi Jee Na Sakey Aisa Na Karo

Aisa Na Karo Aisa Na Karo
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #2 on: November 19, 2005, 12:45:50 PM »
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha
Aakar mujhe tum tham lo
Manzil teri dekhe rasta
Mud ke zara ab dekh lo
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha


Bichhde bhi ham jo kabhi raston main
To sang sang rahungi sada
Kadmon ki aawaaz sun ke chalungi
Tumhe dhoond loongi sada
Bhooli mohabbat ki yeh khushbuye hain
Hawaon main phaili hui
Chhu kar mujhe aaj mahsoon kar lo
vo yadein meri unchhui
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha

Aaa.. Aaa..
Vadon ke dhagon main hum tum bandhe hain
Zara dor tum tham lo
Bahon main aise pighal jane do mujhko
Aise mera naam lo
Main vo shama hoon jo roshan tumhe karke
khud to pighal jaungi
Subah ka sooraj tumhare liye hai
Main hoon raat dhal jaungi
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha
Mud ke zara ab dekh lo
Aisa milan phir ho na ho
Sab kuch mera tum hi to ho
Bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
O bapanah pyaar hai aaja
Tera intezaar hai aaja
Soona soona lamha lamha
Meri rahein tanha tanha
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #3 on: November 19, 2005, 12:47:49 PM »
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Ho ke judaa hai saath bhi
Tu door bhi tu paas bhi
Jaise zameen se hai yeh aasmaan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan

Us se alag ho ke bhi main
Us se alag ho na paaya
Dharti pe jitna gagan hai
Utna hi hai tera saaya
Us se alag ho ke bhi main
Us se alag ho na paaya
Dharti pe jitna gagan hai
Utna hi hai tera saaya
Yaadein teri, baatein teri
Din hain tere raatein teri
Paoon tujhe hi main jaoon jahan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan

Haanthon se haanth hai chhoote
Dil se bhi chhoote nahin hain
Rishton ke phool abhi tak
Chaagon se toote nahin hain
Haanthon se haanth hai chhoote
Dil se bhi chhoote nahin hain
Rishton ke phool abhi tak
Chaagon se toote nahin hain
Khushiyaan teri, gham hain tere
Dil mein mere mausam tere
Mehka tujhi se hai yeh gulsitaan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Ho ke judaa hai saath bhi
Tu door bhi tu paas bhi
Jaise zameen se hai yeh aasmaan

Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Jaan-e-jaan, jaan-e-jaan, jaan-e-jaan
Tujhse bhichar ke main jaoon kahan
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 16, 2024, 09:33:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer