Kuchh Dil Se...

by angel4u on November 13, 2006, 08:01:00 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2855 times)
angel4u
Guest
Song: Ajeeb Daastan Hai Ye...
Singer: Lata Mangeshkar

Ajeeb Daastan Hai Ye
Kahan Shuru Kahan Khatam
Ye Manzilein Hai Kaunsi
Na Wo Samajh Sake Na Hum...

Ye Roshni Ke Saath Kyon
Dhuwan Utha Chirag Se
Ye Roshnike Sath Kyon
Dhuwan Utah Chirag Se
Ye Khwab Dekhti Hoon Main
Ke Jag Padi Hoon Khwab Se,

Ajeeb Daastan Hai Ye
Kahan Shuru Kahan Khatam
Ye Manzilein Hai Kaunsi
Na Wo Samajh Sake Na Hum...

Mubarakein Tumhe Ke Tum
Kisike Noor Ho Gaye,
Mubarakein Tumhe Ke Tum
Kisike Noor Ho Gaye,
Kisike Itne Paas Ho,
Ke Sabse Door Ho Gaye...

Ajeeb Daastan Hai Ye,
Kahan Shuru Kahan Khatam
Ye Manzilein Hai Kaunsi
Na Wo Samajh Sake Na Hum...

Kisika Pyaar Leke Tum,
Naya Jahaan Basaoge
Kisika Pyaar Leke Tum
Naya Jahaan Basaoge
Ye Shaam Jab Bhi Aayegi
Tum Humko Yaad Aaoge,

Ajeeb Daastan Hai Ye,
Kahan Shuru Kahan Khatam
Ye Manzilein Hai Kaunsi
Na Wo Samajh Sake Na Hum.....
* * * * *
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuchh sikhiye janaab. by munna in SMS , mobile & JOKES
Likho kuchh.. abt. me.. by natural in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3 4 »
Ho rahe jo haadse yuiN baat kuchh to jaroor hai by harashmahajan in Miscellaneous Shayri
Kuchh batein by sunilastin in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jaam sey kuchh, bahut kuchh nazar sey pilaa! by abdbundeli in Ghazals
angel4u
Guest
«Reply #1 on: November 13, 2006, 08:02:05 PM »
Song: Chaand Phir Nikla
Singer: Lata Mangeshkar.

Chand Phir Nikla Magar Tum Na Aaye,
Jala Phir Mera Dil Karoon Kya Main Haaye...
Chand Phir Nikla Magar Tum Na Aaye,
Jala Phir Mera Dil Karoon Kya Main Haaye...

Chand Phir Nikla........

Ye Raat Kehti Hai Wo Din Gaye Tere
Ye Janta Hai Dil Ke Tum Nahi Mere
Ye Raat Kehti Hai Wo Din Gaye Tere
Ye Janta Hai Dil Ke Tum Nahi Mere
Khadi Hoon Main Phir Nigahein Bichhaye
Main Kya Karoon Haaye Ke Tum Yaad Aaye,

Chand Phir Nikla Magar Tum Na Aaye,
Jala Phir Mera Dil Karoon Kya Main Haaye...

Chaand Phir Nikla....

Sulagte Seene Pe Dhuwan Sa Uthta Hai,
Lo Ab Chale Aao Ke Dam Ghutta Hai,
Sulagte Seene Pe Dhuwan Sa Uthta Hai,
Lo Ab Chale Aao Ke Dam Ghutta Hai,

Jala Gaye Tanko Baharon Ke Saaye
Main Kya Karun Haye Ke Tum Yaad Aaye,

Chand Phir Nikla Magar Tum Na Aaye,
Jala Phir Mera Dil Karoon Kya Main Haaye...

Chand Phir Nikla........
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: November 13, 2006, 08:02:40 PM »
Song: Aap Kyon Roye
Singer: Lata Mangeshkar

Jo Humne Daastan Apni Sunayi
Aap Kyon Roye
Tabahi To Hamare Dil Pe Aayi
Aap Kyon Roye

Hamara Dard-O-Gam Hai Ye Ise Kyon Aap Sehte Hai
Ye Kyon Aansu Hamare Aapki Aankhon Se Behte Hai
Gamon Ki Aag Humne Khud Lagayi
Aap Kyon Roye....

Jo Humne Daastan Apni Sunayi
Aap Kyon Roye....

Bahut Roye Magar Ab Aapki Khaatir Na Royenge,
Na Apna Chain Khokar Aapka Hum Chain Khoyenge,
Qayamat Aapke Ashkon Ne Dhaayi
Aap Kyon Roye
Jo Humne Daastan Apni Sunayi,
Aap Kyon Roye.....

Na Ye Aansu Ruke To Dekhiye Phir Hum Bhi Ro Denge
Hum Apne Aansuon Mein Chaand Taaron Ko Dubo Denge,
Fanaa Ho Jayegi Saari Khudayi
Aap Kyon Roye...

Jo Humne Daastan Apni Sunayi
Aap Kyon Roye....
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: November 14, 2006, 03:53:27 AM »
very nice angel......
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: November 14, 2006, 06:07:56 PM »
Thanks Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: November 17, 2006, 08:06:02 PM »
Duniya karein sawaal
to hum kya jawab dein
tumko na ho khayal
to hum kya jawab dein
Duniya karein sawaal....

puchhe koi ke dil ko kahan chhod aaye hai,
puchhe koi ke dil ko kahan chhod aaye hai,
kis kis se apna rishta-e-jaan tod aaye hai,
mushkil ho arz-e-haal, mushkil ho arz-e-haal
to hum kya jawab dein,
Duniya karein sawaal
to hum kya jawab dein
tumko na ho khayal
to hum kya jawab dein
Duniya karein sawaal.....

puchhe koi ke dard-e-wafa kaun de gaya,
puchhe koi ke dard-e-wafa kaun de gaya,
raaton ko jaagne ki saza kaun de gaya,
sehme se ho malaal to hum kya jawab dein,
tumko na ho khayal
to hum kya jawab dein,
duniya kare sawaal
to hum kya jawab dein.....
* * * * *
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: December 01, 2006, 08:06:39 PM »
All are ny favourite songs !! Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: January 11, 2007, 07:30:25 PM »
MINE TOO.... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: January 11, 2007, 07:32:53 PM »
Song: Ghum Hai Kisi Ke Pyaar Mein
Movie: RAAMPUR KA LAKSHMAN
Singer(s): LATA MANGESHKAR, KISHORE KUMAR

Hmm hm hm hmm hmm hmm
Haan, kya kahaa?

Ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye ram
Kuchh likhaa?
Haan
Kyaa likhaa?
Ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye raam
Achchhaa, aage kyaa likhoon?
Aage?

Socha hai ek din main use milke
Keh daalon apne sab haal din ke
Aur kardoon jeevan uske hawale
Phir chhod de chaahe apna bana le
Main to uska re hua deewana
Ab to jaisa bhi mera ho anjaam
Ho ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye raam
Likh liyaa?
Haan
Zaraa padhake to sunaao na

Chaaha hai tumne jis baawri ko
Woh bhi sajanwa chaahe tumhi ko
Naina uthaae to pyaar samjho
Palken jhukaa de to ikraar samjho
Rakhti hai kabse chupa chupa ke
Kyaa?
Apne hoton mein piya tera naam
Ho ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Ho ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin paaon main uska naam
Haaye raam, haaye raam
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: January 11, 2007, 07:43:23 PM »
This is my most favourite song...

Song Title: Ye Dil Tum Bin Kahee Lagta Nahin
Movie: IZZAT
Singer(s): LATA MANGESHKAR, MOHHAMAD RAFI


ye dil tum been kahee lagataa naheen, hum kyaa kare
tasawwoor mein koee basataa nahee, hum kyaa kare
tum hee kah do ab aye jaana-ye-wafaa hum kyaa kare

loote dil mein diyaa jalataa nahee, hum kyaa kare
tum hee kah do ab aye jaana-ye-wafaa hum kyaa kare

kisee ke dil mein bas ke dil ko tadapaanaa naheen achchhaa
nigaahon ko zalak de de kar chhoop jaanaa naheen achchhaa
ummeedon ke khile gulashan ko zulasaanaa naheen achchhaa
humei tum been koee jachantaa nahee, hum kyaa kare

mohabbat kar to lekin  mohabbat raas aaye bhee
dilon ko boz lagate hain kabhee julfon ke saaye bhee
hajaaro gam hain is duniyaan mein apane bhee paraaye bhee
mohabbat hee kaa gam tanahaa nahee, hum kyaa kare

buzaa do aag dil kee yaa ise khulakar hawaa de do
jo is kaa mol de paaye, use apanee wafaa de do
tumhaare dil mein kyaa hain bas humei itanaa pataa de do
ke abh tanahaa safar katataa nahee, hum kyaa kare
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: January 11, 2007, 07:45:38 PM »

Movie: Umrao Jaan
Singer: Alka Yagnik

Kaun kisko yahan bhala samjha,
humne kya samjha tumne kya samjha
bewafa humne tumko samjha sanam,
tumne humko hi bewafa samjha...

Jhuthe ilzaam meri jaan lagaya na karo,
dil hai nazuk ise tum aise dukhaya na karo... (2)
Jhuthe ilzaam.....

Meri aankhon mein jo achhe nahi lagte aansu,
Meri aankhon mein jo achhe nahi lagte aansu,
To jalaya na karo mujhko sataya na karo,
To jalaya na karo mujhko sataya na karo,
dil hai nazuk ise tum aise dukhaya na karo...
Jhuthe Ilzaam....

Tum kisi aur ki kismat mein ho tum mere nahi,
Tum kisi aur ki kismat mein ho tum mere nahi,
Ye agar sach bhi hai to mujhko bataya na karo,
Ye agar sach bhi hai to mujhko bataya na karo,
dil hai nazuk ise tum aise dukhaya na karo...
Jhuthe Ilzaam....

Ya to taabeer batao mere sab khwaabon ki,
Ya to taabeer batao mere sab khwaabon ki,
ya koi khwaab in aankhon ko dikhaya na karo,
ya koi khwaab in aankhon ko dikhaya na karo,
dil hai nazuk ise tum aise dukhaya na karo...
Jhuthe Ilzaam....

Abhi aaye ho abhi baithe, abhi jaate ho,
Abhi aaye ho abhi baithe, abhi jaate ho,
Sirf ek rasm nibhane ko to aaya na karo,
Sirf ek rasm nibhane ko to aaya na karo,
dil hai nazuk ise tum aise dukhaya na karo...
Jhuthe Ilzaam....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: January 11, 2007, 07:50:22 PM »
Song: Tumhe yaad karte karte
Movie: Amrapali
Singer: Lata Mangeshkar.

tumhen yaad karate karate, jaayegee rain saaree
tum le gaye ho apane sang nind bhee humaaree

man hain ke jaa basaa hai, anajaan yek nagar me
kuchh khojataa hain paagal  khoyee huyee dagar me
itane bade mahal me, ghabaraoo main bechaaree
tum le gaye ho apane sang nind bhee humaaree

birahaa kee is chitaa se, tum hee muze nikaalo
jo tum naa aa sako to, muze swapn mein bulaa lo
muze ayese mat jalaao, meree pareet hain kawaanree
tum le gaye ho apane sang nind bhee humaaree
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: January 14, 2007, 05:29:05 PM »
Song: Dil Ki Girah
Singers: Lata Mangeshkar, Mannadey...

Dilki Girah Khol Do Chup Na Baitho Koi Geet Gao
Dilki Girah Khol Do Chup Na Baitho Koi Geet Gao
Mehfil Mein Ab Kaun Hai Ajnabi, Tum Mere Paas Aao
Dilki Girah Khol Do Chup Na Baitho Koi Geet Gao...

Milne Do Ab Dilse Dil Ko, Mitne Do Majbooriyon Ko
Sheeshe Mein Apne Doobo Do Sab Faslo Duriyon Ko
Aankhon Mein Muskuraun Tumhari Jo Tum Muskurao
Mehfil Mein Ab Kaun Hai Ajnabi, Tum Mere Paas Aao
Dilki Girah Khol Do Chup Na Baitho Koi Geet Gao...

Hum Tum Na Hum Tum Rahe Ab, Kuch Aur Hi Ho Gaye Ab
Sapno Ke Jhilmil Nagar Mein, Jaane Kahan Kho Gaye Ab
Humraah Puchhe Kisise Na Tum Apni Manzil Batao
Mehfil Mein Ab Kaun Hai Ajnabi, Tum Mere Paas Aao
Dilki Girah Khol Do Chup Na Baitho Koi Geet Gao...

Kal Humse Puchhe Na Koi, Kya Hogaya Tha Tumhe Kal
Mudkar Nai Dekhte Hum, Dilne Kaha Hai Chala Chal
Jo Door Pichhe Kahin Reh Gaye Ab Unhe Mat Bulao,
Mehfil Mein Ab Kaun Hai Ajnabi, Tum Mere Paas Aao
Dilki Girah Khol Do Chup Na Baitho Koi Geet Gao...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: January 14, 2007, 05:30:46 PM »
Song: Aaja Teri Yaad Aayi
Movie: Charas
Singer: Lata Mangeshkar, Mohd. Rafi.

Dil Insaan Ka Ek Tarazu
Apni Jagah Par Pyar Hai Kayam
Dharti Ambar Dole
Sabse Bada Sach Ek Jagat Mein
Bhed Anek Jo Khole
Prem Bina Jeevan Suna
Ye Pagal Premi Bole

Ke Aaja Teri Yaad Aayi,
Ke Aaja Teri Yaad Aayi
Ke Aaja Teri Yaad Aayi,
O Baalam Harjayi,
Ke Aaja Teri Yaad Aayi

Zalim Kitni Der Laga Di,
Zalim Kitni Der Laga Di,
Tumne Aate Aate,
Ab Aaye Ho Ab Na Aate To Hum Jaan Se Jaate,
Dil Deewane Deewane Ko Hum Kaise Samjhate
Dete Raam Duhayi
Ke Aaja Teri Yaad Aayi
Ke Aaja Teri Yaad Aayi

Fursat Bhi Hai, Mausam Bhi Hai,
Mann Hai Rang-Raliyon Mein,
Chhup Gayi Hai Tu Khushbu Banke
Shayad In Kaliyon Mein
Maine Tujhko Kitna Dhunda Aawara Galiyon Mein
Ye Aawaz Lagayi
Ke Aaja Teri Yaad Aayi
Ke Aaja Teri Yaad Aayi

Mast Hawa Ne Baat Koi
Aisi Keh Di Kaano Mein
Jaise Koi Madira Bhar De
Khali Paimano Mein
Tadpa Daala Aaj Machalte Dilke Armaano Ne
Rutt Ne Li Angdayi,
Ke Aaja Teri Yaad Aayi
Ke Aaja Teri Yaad Aayi
Ke Aaja Teri Yaad Aayi
O Baalam Harjayi
Ke Aaja Teri Yaad Aayi
Ke Aaja Teri Yaad Aayi
* * * * *
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 11:52:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer