My All Time Favourite Songs...................

by Talat on May 20, 2005, 07:08:13 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 30
Print
Author  (Read 34240 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #105 on: June 18, 2005, 09:12:38 AM »
nice  song..............talat..............saba........ ................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My favourite songs............. by khushiiiii in Songs & Lyrics « 1 2 ... 26 27 »
My Favourite songs by redwhitegang in Songs & Lyrics
Your Favourite Songs by pandit in Songs & Lyrics
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #106 on: June 18, 2005, 09:47:25 AM »
Quote from: "Talat"
I have nt heard this song........ but the lyrics are toooo good !!!

Thanks Saba happy9


Thanx Waheed...........

Thanx Talat..... this song is from Film Aakhir kyu... sung by Mohd. Aziz....

i like this song....cauz its near to life...........
Logged
Talat
Guest
«Reply #107 on: June 18, 2005, 02:46:47 PM »
Thanks Waheed !!.............. and very true Saba !!!!!
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #108 on: June 18, 2005, 07:45:08 PM »
Chal chalein aye dil....karein chal ker kisi ka intezaar.....
jheel ke us paar............
shaayad koii pardesi aa jaaye suune des mein
mil jaaye bhagwaan mujhko aadmi ke bhes mein......
kya ho jaaye, kya hai aitbaar....
jheel ke us paar..........
Logged
dolly
Guest
«Reply #109 on: June 19, 2005, 01:53:56 PM »
Main bhi ek apna fav. song add kar deti hoon Talat sis.......itti lambi list mein ........Gud list....


Tora mann darpan kehlaaye,
tora mann darpan kehlaaye,

bhale bure saare karmon ko
dekhe aur dikhaye....

mann hi dewta,mann hi dewata mann hi Ishwar,mann se bada naa koi,
mann ujiyara jab jab faile..jag ujiyaara hoi,
iss ujle darpan par prani
dhul naa jamne paaye.....

sukh ki kaliyan,dukh ke kaante,mann sabka aadhar,
mann se koi baat chupe naa mann ke nain hazaar
jag se chahe bhaag le koi,mann se bhaag naa paaye.......

tora mann darpan kehlaaye,
tora mann darpan kehlaaye,
Logged
Talat
Guest
«Reply #110 on: June 19, 2005, 06:41:16 PM »
Thanks Aarzuu forur contribution......n Dolly its a very beautiful n soothing song !!!!
Logged
shakeel_saif
Guest
«Reply #111 on: June 19, 2005, 07:19:44 PM »
this ones too my favrt
the singer is mohd.rafi

teri galiyon mein naa rakhenge kadam aaj ke baad
teri galiyon mein naa rakhenge kadam aaj ke baad
tere milne ko naa aayenge sanam aaj ke baad, aaj ke baad,Teri galiyon mein.

tu mera milnaa, tu mera milnaa samaz lenaa, ek sapanaa thaa
tuz ko ab mil hee gayaa, jo teraa apanaa thaa
tu mera milnaa, tu mera milnaa samaz lenaa, ek sapanaa thaa
tuz ko ab mil hee gayaa, jo teraa apanaa thaa.

hum ko duniyaan mein samazanaa naa sanam aaj ke baad
teri galiyon mein naa rakhenge kadam aaj ke baad
teri galiyon mein.

gheer ke aayengee, gheer ke aayengee ghataayen, fir se saawan kee
tum to baahon mein rahogee, apane saajan kee
, gheer ke aayengee ghataayen, fir se saawan kee
tum to baahon mein rahogee, apane saajan kee

gale hum gam ko lagaayenge sanam aaj ke baad
teri galiyon mein naa rakhenge kadam aaj ke baad
tere milne ko naa aayenge sanam aaj ke baad, aaj ke baad,Teri galiyon mein
Logged
Talat
Guest
«Reply #112 on: June 19, 2005, 07:30:56 PM »
Thanks Shakeel... bohot achcha song hai !!

Here is another one....


Ho ke majboor mujhe usne bhulaya hoga
Zehar chupke se dawa jaan ke khaya hoga
Ho ke majboor mujhe.....

Dil ne aise bhi kuch afsaane sunaye honge
Ashk aankhon ne piye aur na bahaye honge
Band kamre main jo khat mere jalaye honge
Ek ek harf jabeen par ubhar aaya hoga
Ho ke majboor mujhe......

Usne ghabra ke nazar laakh bachaai hogi
Dil ki lut ti hui duniya nazar aayi hogi
Mez se jab meri tasveer hataai hogi
Har taraf mujhko tadapta hua paaya hoga
Ho ke majboor mujhe....

Cherh ki baat pe armaan machal aaye honge
Ghum dikhaawe ki hansi main na chupaaye honge
Naam pe jab mere aansu nikal aaye honge
Sir na kaandhe se saheli ke uthaaya hoga
Ho ke majboor mujhe.....

Zulf zid kar ke kisi ne jo banayi hogi
Aur bhi ghum ki ghata mukhde pe chaayi hogi
Bijli nazron ne kai din na giraayi hogi
Rang chehre pe kai roz na aaya hoga
Ho ke majboor mujhe.....
Logged
shakeel_saif
Guest
«Reply #113 on: June 19, 2005, 07:36:04 PM »
my fvrt songs r either sad hindi songs or english hip hops.

here's another one

Bejaan Dil Ko
Bejaan Dil Ko
Bejaan Dil Ko Tere Ishq Ne Zinda Kiya
Phir Tere Ishq Ne Hi Is Dil Ko Tabah Kiya

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Ajab Hai Ishq Yaara
Pal Do Pal Ki Khushiyaan
Gam Ke Khazaane Milte Hain
Milti Hai Tanhaiyaan
Kabhi Aansoon Kabhi Aahein
Kabhi Shikve Kabhi Naalein
Tera Chehra Nazar Aaye
Tera Chehra Nazar Aaye Mujhe Din Ke Ujaalon Mein
Teri Yaadein Tadpayein
Teri Yaadein Tadpayein Raaton Ke Andheron Mein
Tera Chehra Nazar Aaye
Machal Machalke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Agar Mile Khuda To
Poochhoonga Khudaya
Jism Mujhe Deke Mitti Ka
Sheeshay Sa Dil Kyon Banaya
Aur Us Pe Diya Fitrat
Ke Woh Karta Hai Mohabbat
Wah Re Wah Teri Kudrat
Wah Re Wah Teri Kudrat Us Pe De Diya Kismat
Kabhi Hai Milan Kabhi Furqat
Kabhi Hai Milan Kabhi Furqat Hai Yehi Kya Vo Mohabbat
Wah Re Wah Teri Kudrat
Sisak Sisakke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di Pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein

Tadap Tadapke Is Dil Se Aah Nikalti Rahi Hai
Mujhko Saza Di pyaar Ki Aisa Kya Gunaah Kiya
To Lut Gaye Haan Lut Gaye
To Lut Gaye Hum Teri Mohabbat Mein
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #114 on: June 19, 2005, 07:37:03 PM »
Quote from: "Talat"
Thanks Shakeel... bohot achcha song hai !!

Here is another one....


Ho ke majboor mujhe usne bhulaya hoga
Zehar chupke se dawa jaan ke khaya hoga
Ho ke majboor mujhe.....

Dil ne aise bhi kuch afsaane sunaye honge
Ashk aankhon ne piye aur na bahaye honge
Band kamre main jo khat mere jalaye honge
Ek ek harf jabeen par ubhar aaya hoga
Ho ke majboor mujhe......

Usne ghabra ke nazar laakh bachaai hogi
Dil ki lut ti hui duniya nazar aayi hogi
Mez se jab meri tasveer hataai hogi
Har taraf mujhko tadapta hua paaya hoga
Ho ke majboor mujhe....

Cherh ki baat pe armaan machal aaye honge
Ghum dikhaawe ki hansi main na chupaaye honge
Naam pe jab mere aansu nikal aaye honge
Sir na kaandhe se saheli ke uthaaya hoga
Ho ke majboor mujhe.....

Zulf zid kar ke kisi ne jo banayi hogi
Aur bhi ghum ki ghata mukhde pe chaayi hogi
Bijli nazron ne kai din na giraayi hogi
Rang chehre pe kai roz na aaya hoga
Ho ke majboor mujhe.....


hmmmmmmmm...............very  sad  song  talat..:oops:..................nice  song ......shakeel  bhai.......
Logged
Talat
Guest
«Reply #115 on: June 19, 2005, 07:38:24 PM »
Thanks Waheed..... n again a good one Shakeel...

I love sad songs :-(
Logged
shakeel_saif
Guest
«Reply #116 on: June 19, 2005, 07:50:02 PM »
if u like sad songs then this one is too good

Dil Ke Armaan Aansuon Mein Beh Gaye
Hum Wafa Karke Bhi Tanha Reh Gaye

Zindagi Ek Pyaas Bankar Reh Gayi
Pyar Ke Kisse Adhoore Reh Gaye

Shayad Unka Aakhri Ho Yeh Sitam
Har Sitam Yeh Sochkar Hum Seh Gaye

Khudko Bhi Humne Mita Daala Magar
Faasle Jo Darmiyaan The Reh Gaye
Logged
shakeel_saif
Guest
«Reply #117 on: June 19, 2005, 08:03:01 PM »
i have a collection of sad songs

this one is also a good one.

Sach Keh Raha Hai Deewana Dil
Dil Na Kisi Se Lagaana
Jhoothe Hain Yaar Ke Vaade Saare
Jhoothi Hain Pyaar Ki Kasmein
Maine Har Lamha Jise Chaaha Jise Pooja
Usi Ne Yaaron Mera Dil Toda Toda
Tanha Tanha Chhoda

Sach Keh Raha Hai Deewana Dil
Dil Na Kisi Se Lagaana...

Mausam Mausam Tha Suhana Bada
Mausam Mausam Maine Dekha Use
Hua Maein Paagal Bas Palbhar Mein
Aake Basi Hai Woh Mere Mann Mein
Uski Kami Hai Ab Jeevan Mein
Woh Door Hai Meri Nazron Se
Kyun Use Maein Chaahoon
Sach Keh Raha Hai Deewana Dil
Dil Na Kisi Se Lagaana...

Sundar Sundar Woh Haseena Badi
Sundar Sundar Main To Khone Laga
Uske Nashe Mein Bin Piye Behka
Ek Din Use Bhula Doonga Maein
Uske Nishaan Mita Doonga Maein
Chaahonga Na Maein Us Patthar Ko
Jaa Use Bata De...
La Lai Lai Lai Lai Lai Le...
Maine Har Lamha Jise Chaaha Jise Pooja
Usi Ne Yaaron Mera Dil Toda Toda
Tanha Tanha Chhoda
Logged
shakeel_saif
Guest
«Reply #118 on: June 19, 2005, 08:14:52 PM »
this one is from border

Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro - 2
Main bhi to chalta hoon, zara unse milta hoon
Jo ek baat dil mein hai, unse kahoon
(To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun) - 2
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
(Unke chehre ki yeh narmiyaan
Unki zulfon ki yeh badliyaan
Unki aankhon ke roshan diye
Unke honton ki yeh surkhiyaan) - 2
Sab unke hain jalwe, main chalne se pehle
Saanson mein, aankhon mein, khwaabon mein, yaadon mein
Aur is dil mein unko chhupaake rakhoon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
(Main kahin bhi rahoon ae sanam
Mujhko hai zindagi ki kasam
Faaslein aate jaate rahe
Pyaar lekin nahin hoga kam) - 2
Jinhe chaahoon, jinhe poojoon, unhe dekhoon, unhe chhoo loon
Zara baatein to kar loon, zara baahon mein bhar loon
Main is chaand se maathe ko choom loon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun
Ae jaate hue lamhon zara thehro, zara thehro
Main bhi to chalta hoon, zara unse milta hoon
Jo ek baat dil mein hai, unse kahoon
To chalun, to chalun, hm hm hm hm hm
To chalun, to chalun, to chalun
Logged
shakeel_saif
Guest
«Reply #119 on: June 19, 2005, 08:37:03 PM »
check this out

Ye Pyaar Mein Kyun Hotaa Hai
Hun Aa Aa Aa Aa Haan

La La La La La La La La La La La, La La La
Kyun Kisi Ko Vafaa Ke Badle Vafaa Nahin Milti
Kyun Kisi Ko Duaa Ke Badle Duaa Nahin Milti
Kyun Kisi Ko Khushi Ke Badle Khushi Nahin Milti
Ye Pyaar Mein Kyun Hotaa Hai
Ye Pyaar Mein Kyun Hotaa Hai
Kyun Kisi Ko Vafaa Ke Badle Vafaa Nahin Milti

Ishq Kitnaa Rulaaye Saari Duniyaa Bhulaaye
Beqaraari Badaaye Chain Ek Pal Na Aaye
Log Ishq Mein Kyaa Se Kyaa Hue
Mil Gaye Kabhi Phir Judaa Hue
Bas Khizaan Mili Is Bahaar Mein
Umr Kat Rahi Intazaar Mein..
Kyun Kisi Ko Hansi Ke Badle Hansi Nahin Milti
Kyun Kisi Ko Vafaa Ke Badle Vafaa Nahin Milti

Aa Aa Aa Aa Aa Aa Aa Aa Aa Aa

Ni Dha Ni Sa Sa Ga Re Ma Pa Ga Re Ga Sa
Ni Dha Ni Sa Ga Sa
Ye Pal Kahin Thahraa Nahin
Yaadon Pe To Pahraa Nahin
Jab Davaa Se Bhi Zakhm Na Bhare
Aise Haal Mein Socho Koi Kyaa Kare
Kyun Kisi Ko Khushi Ke Badle Khushi Nahin Milti
Kyun Kisi Ko Vafaa Ke Badle Vafaa Nahin Milti
Ye Pyaar Mein Kyun Hotaa Hai
Ye Pyaar Mein Kyun Hotaa Hai
Kyun Kisi Ko Vafaa Ke Badle Vafaa Nahin Milti
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 17, 2024, 01:40:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer