Songs close to my heart..

by brokenbyluv on August 14, 2009, 06:36:29 PM
Pages: 1 ... 51 52 53 54 [55] 56 57 58
Print
Author  (Read 41793 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #810 on: August 25, 2010, 05:09:13 PM »
ye meri bhi fav gazal hai khwaish ji..thnx for sharing

One Of My Most Fav Nazm..Sung By Jagjit Singh

Baat niklegi to Phir

Door talak jaayegi

Log bewajah Udaasi

Ka sabab poochenge

Ye bhi poochenge ki tum itni

Pareshaan kyon ho

 

Ungiliyaan uthengii

Sukhey huye baalon ki taraf

Ik nazar dekhenge

Guzare hue saalon ki taraf

Choodiyon par bhi

Kayi tanz kiye jaayenge

Kaampthe haathon pe bhi

Fikre kase jaayenge

 

Log zalim hain

Har ek baat ka Taanaa denge

Bathon bathon mein mera

Zikr bhi  ley aayenge….

Unki baaton ka

Zara sa bhi asar math lena

Varna Chehre ke

Taasur se samaj jaayenge

 

Chaahe kuch bhi ho

Savaalaat na karnaa unse...

Mere baare me koi

Baat na karnaa unse

Baat niklegi to fir
Door talak jaayegi

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
My fav lyrics N songs which touches my heart ! by Delicate_Doll in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
ghazals.........close to my heart by aaina in Ghazals « 1 2 ... 9 10 »
Touching heart all Songs..............Rishi by Rishi Agarwal in Songs & Lyrics « 1 2 ... 9 10 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
Rajesh Harish
Guest
«Reply #811 on: August 25, 2010, 05:11:16 PM »
Bahut sundar Ghazal share ki hai aap ne Khwaish Ji
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #812 on: August 25, 2010, 05:14:20 PM »
do char aur sunao na khwaish ji......
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #813 on: August 25, 2010, 05:28:43 PM »
mohabbat ke dhokhe me.n ko_ii na aa_e
ye ek din ha.Nsaa_e to sau din rulaa_e -2
mohabbat ke dhokhe ...

mujhe jab kisii se ( mohabbat nahii.n thii ) -2
to aa.Nkho.n ko rone kii ( aadat nahii.n thii ) -2
mohabbat ne aa.Nkho.n se aa.Nsuu bahaa_e
mohabbat ke dhokhe ...

mere dil ko dekho jo ( dhokhe me.n aayaa ) -2
mohabbat kaa ek giit ( bhuule se gaayaa ) -2
magar raat-din ab kare haay-haay
mohabbat ke dhokhe ...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #814 on: August 25, 2010, 05:33:52 PM »
chaa.Ndanii raat me.n, ek baar tujhe dekhaa hai
Kud pe itaraate hue, Kud se sharmaate hue
chaa.Ndanii raat me.n ...

niile ambar pe kahii.N jhuule me.n
saat ra.Ngo.n ke hasiin jhuule me.n
naaz\-o\-a.ndaaz se laharaate hue
Kud pe itaraate hue, Kud se sharmaate hue
ek baar tujhe dekhaa hai ...

jaagatii thii leke saahil pe kahii.n
leke haatho.n me.n koii saaz\-e\-hasii.n
ek ra.Ngii.n Gazal gaate hue
phuul barasaate hue, pyaar chhalakaate hue
ek baar tujhe dekhaa hai ...

khulake bikhare jo mahakate gesu
ghul ga_ii jaise havaa me.n Kushabuu
merii har saa.Ns to mahakaate hue
Kud pe itaraate hue, Kud se sharmaate hue
ek baar tujhe dekhaa hai ...

tuune chahare pe jhukaayaa chaharaa
mai.nne haatho.n se chhupaayaa chaharaa
laaj se sharm se ghabaraate hue
phuul barasaate hue, pyaar chhalakaate hue
ek baar tujhe dekhaa hai ...
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #815 on: August 25, 2010, 11:19:53 PM »
Ye ghazal mujhe bhi behad pasand hai..

One Of My Most Fav Nazm..Sung By Jagjit Singh

Baat niklegi to Phir

Door talak jaayegi

Log bewajah Udaasi

Ka sabab poochenge

Ye bhi poochenge ki tum itni

Pareshaan kyon ho

 

Ungiliyaan uthengii

Sukhey huye baalon ki taraf

Ik nazar dekhenge

Guzare hue saalon ki taraf

Choodiyon par bhi

Kayi tanz kiye jaayenge

Kaampthe Honton pe bhi

Fikre kase jaayenge

 

Log zalim hain

Har ek baat ka Taanaa denge

Bathon bathon mein mera

Zikr bhi  ley aayenge….

Unki baaton ka

Zara sa bhi asar math lena

Varna Chehre ke

Taasur se samaj jaayenge

 

Chaahe kuch bhi ho

Savaalaat na karnaa unse...

Mere baare me koi

Baat na karnaa unse

Baat niklegi to fir
Door talak jaayegi

Logged
ANAAM
Guest
«Reply #816 on: August 27, 2010, 09:07:02 AM »
Tujhse ruKhsat kii vo shaam-e-ashq-afshaaN haaye haaye
vo udaasii vo fizaa-e-giryaa-saamaaN haaye haaye

yaaN kaf-e-paa chuum lene kii bhiNchii sii aarzuu
vaaN bagal-giirii kaa sharmaayaa saa armaaN haaye haaye

vo mere hoNToN pe kuch kahne kii hasrat vaaye shauq
vo terii aaNkhoN meN kuch sunne kaa armaaN haaye haaye

Singer: Jagjit Singh
Lyrics: Hasrat Mohani
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #817 on: August 27, 2010, 09:12:07 AM »
    Awaara hai galiyon meiN main aur meri tanhaayee
     jaayeN to kahan jaayeN har mod pe ruswayee
     main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
 
     ye phool se chehre haiN haNste huye guldaste
     koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
     raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
     main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
 
     armaan sulagte haiN seene meiN chitha jaise
     qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise
     roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
     main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
 
     har rang meiN ye duniya sau rang dikhaati hai
     rokar kabhi hansti hai hanskar kabhi gaati hai
     ye pyaar ki baaheN haiN ya maut ki angDaayee
     main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

       aakaash ke maathe par taaroN ka charagam hai
     pehloo meiN magar mere zakhmoN ka gulistaan hai
     aankhOn se lahoo tapka daaman meiN bahaar aayee
     main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #818 on: August 29, 2010, 06:48:50 PM »
Sung By Hariharan..One of my fav's

Ranjish Hi sahi
Dil Hi Dhukaane Ke Liye Aaaa
Aaa Phir se mujhe chodd ke jaane ke liye Aaa

Kis kis Ko baateyenge judai ka Sabab Hum
Tu Mujhse Khafa Hai to Chodd Zamaane Ke Liye Aaaa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dhukaane Ke Liye Aaaa

Maana Ke mohabbat Ka Chupana Hai Mohabbat
Tu Bhi To kabhi mujhko Jataane Ke Liye Aaaa

Ranjish Hi Sahi
Dil hi Dhukaane Ke Liye Aaa
Ranjish Hi Sahi.........

[/color]
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #819 on: August 29, 2010, 06:51:41 PM »
Jagjit:
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi (2)
Both:
yeh nazarana tera bhi hai mera bhi

Lata:
apne gham ka geet bana kar gaa lena (2)
raag puraana tera bhi hai mera bhi (2)
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

Jagjit:
tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
Lata:
tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
Jagjit:
dil deewana tera bhi hai mera bhi
Lata:
dil deewana tera bhi hai mera bhi
Both:
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

Lata:
shahar mein galiyon galiyon jiska charcha hai (2)
woh afsaana tera bhi hai mera bhi
Jagjit:
maikhane ki baat na kar waiz mujhse (2)
aana jaana tera bhi hai mera bhi
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
Lata:
yeh nazarana tera bhi hai mera bhi
Both:
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #820 on: October 20, 2010, 12:27:28 PM »
Thnx to all my frends for sharing such lovely songs...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #821 on: October 20, 2010, 12:35:01 PM »

Naina Lageeyan Baarishan
Te Sukke Sukke Sapne Vi bhij Gaye
Naina Lageeyan Baarishan
Rove Palkein De Kone Vich Neendh Meri
Naina Laggeyan Baarishan
Hanju Digde Ne Chot Lage Dil Te
Naina Laggeyan Baarishan
Rut Birha De Badlan Di Chaa Gayi..

Kaali Kaali Khaali Raaton Se
Hone Lagi Hai Dosti
Khoya Khoya Inn Raahon Mein
Ab Mera Kuch Bhi Nahi
Har Pal Har Lamha
Main Kaise Sehta Toon
Har Pal Har Lamha
Main Khudh Se Yeh Kehta Rehta Hoon
Tujhe Bhula Diya,
Phir Kyun Teri Yaadon Ne
Mujhe Rula Diya..

Teri Yaadon Mein Likhe Jo Lafz Dete Hai Sunayi
Beetay Lamhe Poochte Hai Kyun Hue Aise Judaa
Khuda, Khuda Mila Jo Yeh Faasla Hai
Khuda Tera Hi Yeh Faisla Hai
Khuda Hona Tha Woh Ho Gaya
Jo Tune Tha Likha
Kaali Kaali Khaali Raaton Se
Hone Lagi Hai Dosti
Khoya Khoya Inn Raahon Mein
Ab Mera Kuch Bhi Nahi..

Do Pal Tujhse Juda Tha
Aise Phir Rasta Muda Tha
Tujhse Mein Khone Laga
Juda Jaise Hone Laga
Mujhse Kuch Mera
Tu Hi Meri Liye Ab Kar Dua
Tu Hi Iss Dard Se Kar De Juda
Tera Hoke Tera Jo Main Na Raha
Main Yeh Khud Se Kehta Hoon
Tujhe Bhula Diya
Phir Kyun Teri Yaadon Ne
Mujhe Rula Diya ...


From: Anjana anjani..........
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #822 on: October 20, 2010, 12:39:49 PM »


Tujhe na dekhoon to chain mujhe aata nahin hai
Ek tere siva koi aur mujhe bhaata nahin hai
Kahin mujhe pyaar hua to nahin hai..

Dil hoke judaa tujhse reh paata nahin hai
Koi bhi mere dil ko samjhaata nahin hai
Kahin mujhe pyaar hua to nahin hai..

Jaagi jaagi soun soye soye jaagoon
Milne ki tujhse duaayein maangoon
Tanha guzarte nahin yeh mere din
Achhi na lage yeh duniya tere bin
Meethi meethi thandi thandi aahein bharoon
Baithe baithe tera intezaar karoon,intezaar karoon
Aise mein koi mujhko behlaata nahin hai
Tujhe na dekhoon to chain mujhe aata nahin hai..

Yaadein teri tera hi khayaal rahe
Dard sataaye bura haal rahe
Aisa pehle to kabhi bhi na hua
Kaise tune meri dhadkan ko chhua
Pal pal dil beqaraar rahe
Mujhe bas tera intezaar rahe,intezaar rahe
Uljhan yeh meri koi suljhaata nahin hai
Ek tere siva koi aur mujhe bhaata nahin hai
Kahin mujhe pyaar hua to nahin hai...

From: Rang...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #823 on: October 23, 2010, 03:45:22 PM »
One Of my Most fav's Ghazal..

Tu nahin toh zindagi mein aur kya reh jayegaa
Tu nahin toh zindagi mei aur kya reh jayega
Tu nahin toh….
Door tak tanhaiyon ka-2
silsila reh jayega
Tu nahin toh

Dard ki saari tahein aur saare guzare haadse-2
Sab dhuaan ho jaayenge, ek waquiyaa reh jaayega
Tu nahin toh zindagi mein aur kya reh jaayega
Tu nahin toh

Yun bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar
Yoon bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar
Ye bhi hoga khud usi mein
Ek khala reh jaayega
Tu nahin toh zindagi mein aur kya reh jayega
Tu nahin toh….

Dayare inkaar ke ikraar ki sargoshiyaan-2
ye agar toote kabhi toh
faasla reh jaayega
Tu nahin to zindagi mein aur kya reh jaayegaa
Tu nahin toh

Chitra Singh

Movie: Arth
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #824 on: October 24, 2010, 10:11:11 AM »
Waah bahut khoob khwaish ji merre bhi dil k bahut kareeb hai ye ghazal...
Logged
Pages: 1 ... 51 52 53 54 [55] 56 57 58
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 05:08:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer