
Doston kai baar achi baat ko aadmi samajhke bhi nahi samjhta hai ya nahi samjhna chahta hai,yahan tak to theek hai lekin biased hoke baat karna ya ghalat baat rakhne se mudda mudda nahi rahta,well this poem is written on the basis of such a chat between me and a reader,he has come as a reader in this link/url
http://www.yoindia.com/shayariadab/tanziya-aur-tehreekbaksh-shayariyan/khraab-bolenge-sunenege-lekin-achi-baat-ko-bhi-acha-nahi-kahenge-t61577.0.html;msg1114452;topicseen#newi thank him to make me write this poem
Achi maansikta laayi nahi jati samajhne se aati hai
Achi maansikta sabko acha samajhe se aati hai
Achi maansikta apne adhikaaron ka sahi upyog karne se badhti
Achi maansikta khud ke guno ko badhane se bhi badhti
Achi maansikta avgun nahi sabme gun hai dekhti
Achi maansikta samasya ke saath samadhaan bhi deti
Achi maansikta tyaag aur tapasya se aur hai badhti
Achi maansikta aatma me anand dhoondhne se aur badhti
Achi maansikta hamare baudhik istar ke saath charitrik istar bhi uthati hai
Achi maansikta ilzaam nahi lagati balki khud me sudhaar karti hai
Charitra upar uthega agar Sachhai se hum jeeyenge
Charitra upar uthta hai gar sachhai ko sachha samjhenge
Charitra ke uar uthne se hi hum samaaj ke zyada kaam aayenge
Charitra apna utha ke hi hum samaaj ko disha de payenge
Achi maansikta baaton ko ache dhang se kahne samajhne se badhti hai
Achi maansikta ache sidhaant banake un par amal karne se badhti hai