Beete Hue pal par Aansu Bahana, Ek Kamzor ki Nishaani hai

by khwaish on November 17, 2008, 03:18:18 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 7700 times)
23011998
Guest
«Reply #60 on: November 28, 2008, 04:34:34 PM »
Reply with quote
 Applause khoob likh tum ne
kabhi kabhi hum ko bhi scrap kar diya karo
orkut me
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Beete Din by agr_navneet in Shayri-E-Dard
Nishaani....not mine by ishu_singh10 in Shayri for Dard -e- Judai
nishaani by saahill in Share:Love Poetry
KAMZOR INSAAN by surindarn in Shairi - E - Zindagi
kamzor....................A.B by adil bechain in Miscellaneous Shayri
sjid hadayat
Guest
«Reply #61 on: November 28, 2008, 07:28:36 PM »
Reply with quote
Pooja ji bohat acha likha...

Sajid Hadayat
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #62 on: November 28, 2008, 08:10:16 PM »
Reply with quote
POOJA TOH ACCHA LIKHTI HI HAI
TUM BHI KUCH LIKH DIA KARO SAJID JI
GADI AAGEY CHALTI RAHEY
KUCH SHABDOH KOH PIRO DIYA KARO SAJID JI



JASBIR SINGH
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #63 on: November 28, 2008, 09:03:40 PM »
Reply with quote
Lo jasbir ji aap ki, poja ji, JHL, Taher khaja ji, janasheen ji, celmira ji, Raj ji aur baqi sub Yoindia k friends ki nazer meri aik aazad Nazam... Raay zaroor diejiay ga.. Niaz mundhon aap sub ka

Aik tha Sadho, aik tha jogi
---------------------------
Aik kay tan pay raakh mali thee
aik kay tan pay khaq
dono he kay ander bahir
lagi hoi thee aag

aik ki kokh soraj ogly
aik kay lafz chandiaray
aik ki sans sulgi sulgi
aik ki sans angiaray
aik ki aankhien thnda ker dien
aik ki aankhien dharay.....

aik ka mun tha sehra jaisa
aik ka mun shamshan
aik safar mien aur aik musafer
dono ko tha maan....
aik kay paaon jangal dhondien
aik kay paaon sehra
liekan dono kay ooper bhi tha
apna apna pehra.....

aik ko saadh aur aik ko jog
aik ko dukh aur aik ko rog
aik lakeer aur aik lakeerien
kia kertay tadbirien....
dono he they sogi
aik tha sadho
aik tha jogi
-------------

Sajid Hadayat

Logged
naresh kumar
Guest
«Reply #64 on: December 05, 2008, 12:22:10 PM »
Reply with quote
 jab dil kisi par aaye toh kya kijiye,
 bus uske ke haq me dua kijiye,
 samne wala lakh bewafaai kare,
 par khud hamesha wafaa kijiye,
 bhool se mat oose saja dijiye,
 bus oose uski nazro se gira dijiye.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #65 on: December 05, 2008, 04:04:11 PM »
Reply with quote
Lo jasbir ji aap ki, poja ji, JHL, Taher khaja ji, janasheen ji, celmira ji, Raj ji aur baqi sub Yoindia k friends ki nazer meri aik aazad Nazam... Raay zaroor diejiay ga.. Niaz mundhon aap sub ka

Aik tha Sadho, aik tha jogi
---------------------------
Aik kay tan pay raakh mali thee
aik kay tan pay khaq
dono he kay ander bahir
lagi hoi thee aag

aik ki kokh soraj ogly
aik kay lafz chandiaray
aik ki sans sulgi sulgi
aik ki sans angiaray
aik ki aankhien thnda ker dien
aik ki aankhien dharay.....

aik ka mun tha sehra jaisa
aik ka mun shamshan
aik safar mien aur aik musafer
dono ko tha maan....
aik kay paaon jangal dhondien
aik kay paaon sehra
liekan dono kay ooper bhi tha
apna apna pehra.....

aik ko saadh aur aik ko jog
aik ko dukh aur aik ko rog
aik lakeer aur aik lakeerien
kia kertay tadbirien....
dono he they sogi
aik tha sadho
aik tha jogi
-------------

Sajid Hadayat




BAHUT HI BADIYA.


JASBIR SINGH
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #66 on: December 05, 2008, 04:08:46 PM »
Reply with quote
jab dil kisi par aaye toh kya kijiye,
 bus uske ke haq me dua kijiye,
 samne wala lakh bewafaai kare,
 par khud hamesha wafaa kijiye,
 bhool se mat oose saja dijiye,
 bus oose uski nazro se gira dijiye.

kuch maja nahi aaya mere dost.

WOH MERA NAHI RAHA, FIR BHI YEH DIL USKA HAI
USEY MILA KOI AUR, FIR BHI YEH DHADKAN USKI HAI

NAHI GIRA SAKTEY HUM UNHEY UNHI KI NAZROH SEY
KISI DIN WOH NAZREY HAMARI THI


JASBIR SINGH
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #67 on: December 05, 2008, 07:59:56 PM »
Reply with quote

BAHUT HI BADIYA.


JASBIR SINGH

thank u jasbir ji....

adab Erz hay
Sajid Hadayat
Logged
Pooja
Guest
«Reply #68 on: December 08, 2008, 03:18:26 AM »
Reply with quote
NICE WORK
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #69 on: January 05, 2009, 05:09:57 PM »
Reply with quote


Jo hua, achcha, bura, na haasil kuch dohraane main
Jo baatain dukh deti hon, behtar hain bhulaane main

Na itni door chale jaayen, lautna bhi na ho mumkin,
Kyaa mushkil hai saathi ko ek awaaz lagaane main

Haara hai kaun, jeeta kaun, anaa ki sab baatain hain
Jazbon ko roke deewarain, wo behtar hain giraane main

Yaadain, maana dukh deti hain, lekin ab aage badhna hai
Shayad mil jaaye kuch raahat un yaadon ko dafnaane main

Tum gila na rakho ab, hum bhi bhoole shikwe saare,
Kya rakha hai yaara yoon roothne aur manaane main

Chingari bhi na aaye, rishton main koshish karna,
Dhuaan phir chaa jaata hai, laakh aag bujhaane main


Bahut Bahut Bahut Khoob Celmira....Kya Likha hai aapne..
bahut ache.. Applause Applause Applause Applause

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #70 on: January 05, 2009, 05:13:08 PM »
Reply with quote
khata teri nahi khata yeh meri hain
Badi gunahgaar yeh zindagi meri hain

Door hum nahi humse ho jate hain sab
Satana rulana apno ko yeh aadat meri hain

Baat sirf meri ana ki hoti to khud ko mana lete
Deewar kaise woh giraoo jo aangan me teri hain

Yadein buri ho to dukh deti hain mana
Ek teri yaad ke sahare hi muskurahat hothon pe meri hain

Gila na tha koi talluk to tumhi ne toda tha
Na tumhe manne ki aadat na manane ki haisiyat meri hain

Aaj tu kahe to khudh ko jala du agarche roshni ho zindagi me teri
Ghayel to hain parwana shama ke liye jal jaye yeh kismat meri hain

                          -SG-


 


Bahut Bahut Khoob Sajid Saheb..Bahut hi khoobsurat Nazm Pesh ki hai aapne..Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #71 on: January 05, 2009, 05:15:23 PM »
Reply with quote
Yaad aataa hai baar-baar usee kaa cheyhraa:
Jisey bhulaaney kee koshish hazaar kartey hain!
Kabhi to aab jhalaktaa hai surkh aankhoun sey,
Kabhi gouhar hazaar saath-saath jhartey hain!!
                                  - abd bundeli


Bahut Bahut Khoob Abdji..bahut acha likha hai aapne. Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #72 on: January 05, 2009, 05:19:40 PM »
Reply with quote
Kon chahta hai ki zindagi uljhati rahe
na chale bas koi, to koi kaya kare
bade dil se banaya ek ashiana humne
apna he, tinka tinka bikhra de, to koi kaya kare

laskh koshish kar lo, ansoo aa he jaate hai
dekh khush haal ashianein, dil roye to ankhia kaya kare
hai kamjori to yah kamjori he sahi
Kadvi zindagi ki suchai, jab tadpaye to Pooja kaya kare!!!

Bahut Bahut Khoob Pooja.. Clapping Smiley Clapping Smiley
Rajeshji,Jasbirji,sajid Hdayatji..aap sab ne bhi bahut Khoob likha.. Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #73 on: January 05, 2009, 05:38:38 PM »
Reply with quote
Sach hi kehte Hai Log, Yeh Duniya Ajab Hai,
Hai Yahan Par Kuch Nahi Bhi, Aur Sab Hai.....


Zindagi ki raahon par chalte-chalte thak sa gaya musafir,
Jaanta tah Manzil milegi zaroor,Dard ka Anth Nischint hai!!!
Magar Woh Anth kab hai......


Jism Toota Sa hai, Saans Phuli si hai,
Magar phir bhi Halaat se ladne ka Jazba hai,
Mitti ka Putla hai Insaan,Aur Dekho  Himmat Kya Gazab Hai.....


Khel Sukh-Dukh ka Chalta Rahega  "KHWAISH"
Azaadi Na Tab Thi, Na Ab Hai....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #74 on: January 05, 2009, 06:10:49 PM »
Reply with quote
Pooja, Celmira, Rajeshji, Taheerji, Kashishji, sajid Hdayatji, Sajid Ghayel sahebji,Pankshivam ji,Abdji, Jasbirji....

Bahut Bahut aap sab ke Hausle-Afsaai ka.. notworthy icon_salut
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 07, 2024, 12:31:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.173 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer