Dhomrpan- Cigarette Alcohal Drugs - AatmSankalp Se Har Nasha Chhora Ja Sakta Hai

by @kaash on March 31, 2010, 10:12:18 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 180195 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
doston we can see that dhoomrapaan hamare samaaj me kitna vyaapt hai,aaj kitne hi log nashe ki aadat ka shikaar hoke marte hain,kitne cigrrte se apni jaan se haath kho dete hain,kitne tobacco sevan se cancer jaisi jaanleva beemari se bach nahi pateprastut rachna me maine Dhoompan,alcohal,tobacco aur nashon par likha hai


http://www.uoguelph.ca/research/apps/news/pub/article.cfm?id=5



















dhoomrapan ek aisa nasha hai jo insaan ko khokhla kar deta hai
tan ko to barbaad karta hi savedansheelta bhi bhang kar deta hai
nashe me ghira aadmi sahi ghalat me bhed nahi kar pata
shareer ka har hissa nashe se prabhavita hota ye nahi samajh pata
log kabhi fashion kabhi impression ke chakkar me nasha karte hain
cigarette sharaab ko samajik hone ka ek ang maante hain
college se leke school ke bachhon me bhi nashe ki badhti pravatti dekh sakte hain
ladkiyun me bhi adhunikta ke naam par iska sevan dekh sakte hain
partiyun clubon se leke kasbon dehaton me ye aam raha hai
kahin angrezi daaru to kahin deshi tharron me iska chalan raha hai
aaj hamara samaaj nashe se yun ghir chuka hai
nashe se door rahne vaalon ko samaaj ke saath nahi maan raha hai
cigrette peene se cigrette ke jalne se zyada hum khud jalte hain
iske sevan se hum apne paas kahde logon ki bhi life kum karte hain















aaj sarkaar ko bhi isse kuch lena dena nahi raha
tambaku ke packet pe nuksaandayak chhapwana uske lie bahut raha
sarkaar ke lie smoking cigarette drinking se use fayda ho raha hai
sarkari khazana jo dhadadhad uske rajaswa kosh me bhi jo paisa aa raha hai
parantu sarkaar hamari azaad hoke bhi ye nahi jaan rahi hai
aane vali peedi vartmaan peedi me vo zahar khuleaam baant rahi hai
iske ghatak parinaamon ko sarkaar kyun nahi jaan pa rahi
kitne ghar barbaad hue kitni zindagaani nahi maan rahi
saare vishwa me nashe ke badhte chalan ka bol-bala hai
jeevan me nashe ka aavashyak hona sabne mana hai
lekin nashe ki haani ko jaanke bhi samaaj jaanna nahi chahta
tambaku se naak kaan gale ke cancer ke rogon ko samajhke sajhna nahi chahta
cancer jaisi beemari ho sakti inse,jaanke bhi nasha chhorna nahi chahta
dheere dheere has durvyasan maut ki oor le ja raha maanke bhi maanna nahi chahta






sharaab ke haathon kitno ke lever kharab ho jate hain
apni zindagi se pehle log kaal ke garbh me sama jate hain
tambaku sevan se tan ke saath man-mastishk bhi dheela padta hai
desh me roz hi koi na koi inke dushparinaamo se marta hai
kitne log sharaab karz le leke peete hain
kitne ghar sharaab ki vajah se barbadi ka shikaar hote hain
kitne chhatra ma-baap ke paison ko sharab cigarette me uda dete hain
kitne ma-baap boodhe kandhon pe jawaan bete ki laash dhote hain
kitne logon ne gham-e-ishk ka ise zariya bana rakha hai
sharab ke gaane sun sun ke sharaab ko peena bana rakha hai
kitne neta gaon kasbon shaharon me sharab ki bhatti khulvate hain
apne logon ko nashe me dhutt rakhke vote pane ka upaay banaye rakhe hain
kitni business partiyaan sirf sharaab ka jaam khulne pe shuru hoti
kitni multi national companiyan apne yahan sharaab ki party ko tavajjo deti
lekin iske dushprabhaon ko jaanta maanta har koi hai
phir bhi ise chhorne ke pryaapt sankalp nahi utha pata koi hai












parantu iske parinaamo me jab kisi ka jeevan khatm hota hai
samaaj thoda sa chet.ta phir andhanukaran me nikal padta hai
nasha vyakti ke jeevan ko andheron se bhar deta hain
shareer ke saath saath uske aatm-bal ko bhi durbal kar deta hai
desh koi bhi tabhi badhta hai jab uske logon me aatm-bal prabal ho
deshwasi tabhi to desh ki vishwa ki behtati ki sochenge jab ragon me khoon ho nahi jal ho




zaruri hai ki aaj Bharat hi nahi saara vishwa is par dhyaan de
drugs heroine afeem ganje ki smuggling ko lagaam de
sarkaar ko chahiye vo desh ke karndhaaron ke saath deshvasiyun ko bachaye
iske rozgaar ko protsahan iske bhatton ko avaidh karaar dene ka sankalp uthaye
samaaj ko bhi zaruri hai ise leke kisi ke status ko na taule
cigratte sharaab tambaku ke sevan ke fashion ko fashion me na rakhe
insaan ki zindagi ki ahmiyat faqat jeeke guzar jana nahi hai
Ye zindagi Khuda ne Bhagwaan ne insaan ko nashe ke lie nahi di hai
isme fase logon ko bhi isse nikalne ki sochni chahiye
nashe ki lat me doobkar apni zindagi kharaab nahi karni chahiye
aatm-sayyam aatm sankalp se insaan nashe se mukt ho sakta hai
aatm-sankalp nashamukti kendra se behtar hota hai
aatm-sankalp se har nasha chhora ja sakta hai






Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Cigarette Smoking by Friend_4uall in Quotable Phrase and Quotes
drugs,.... by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Give up Alcohal(A Nazm By Deepak Sharma....Kavi,Shayar) by kavyadharateam in Share:Poetry of Separation
PAHELWAN KA CHHORA ................. HASAN by F.H.SIDDIQUI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
MOOT DI SULI............( PLZ AVOID DRUGS ) by RAJAN KONDAL in Devotional poetry in Punjabi
sideffect assured
Guest
«Reply #1 on: April 01, 2010, 11:40:46 AM »
Reply with quote
Bahut achhi rachna hai yeh aur tasveerein to dil dahla dene wali....kabhi socha bhi na tha ki itni achhi rachnaein padhne ko mileingi is site per....
doston we can see that dhoomrapaan hamare samaaj me kitna vyaapt hai,aaj kitne hi log nashe ki aadat ka shikaar hoke marte hain,kitne cigrrte se apni jaan se haath kho dete hain,kitne tobacco sevan se cancer jaisi jaanleva beemari se bach nahi pateprastut rachna me maine Dhoompan,alcohal,tobacco aur nashon par likha hai


http://www.uoguelph.ca/research/apps/news/pub/article.cfm?id=5



















dhoomrapan ek aisa nasha hai jo insaan ko khokhla kar deta hai
tan ko to barbaad karta hi savedansheelta bhi bhang kar deta hai
nashe me ghira aadmi sahi ghalat me bhed nahi kar pata
shareer ka har hissa nashe se prabhavita hota ye nahi samajh pata
log kabhi fashion kabhi impression ke chakkar me nasha karte hain
cigarette sharaab ko samajik hone ka ek ang maante hain
college se leke school ke bachhon me bhi nashe ki badhti pravatti dekh sakte hain
ladkiyun me bhi adhunikta ke naam par iska sevan dekh sakte hain
partiyun clubon se leke kasbon dehaton me ye aam raha hai
kahin angrezi daaru to kahin deshi tharron me iska chalan raha hai
aaj hamara samaaj nashe se yun ghir chuka hai
nashe se door rahne vaalon ko samaaj ke saath nahi maan raha hai
cigrette peene se cigrette ke jalne se zyada hum khud jalte hain
iske sevan se hum apne paas kahde logon ki bhi life kum karte hain















aaj sarkaar ko bhi isse kuch lena dena nahi raha
tambaku ke packet pe nuksaandayak chhapwana uske lie bahut raha
sarkaar ke lie smoking cigarette drinking se use fayda ho raha hai
sarkari khazana jo dhadadhad uske rajaswa kosh me bhi jo paisa aa raha hai
parantu sarkaar hamari azaad hoke bhi ye nahi jaan rahi hai
aane vali peedi vartmaan peedi me vo zahar khuleaam baant rahi hai
iske ghatak parinaamon ko sarkaar kyun nahi jaan pa rahi
kitne ghar barbaad hue kitni zindagaani nahi maan rahi
saare vishwa me nashe ke badhte chalan ka bol-bala hai
jeevan me nashe ka aavashyak hona sabne mana hai
lekin nashe ki haani ko jaanke bhi samaaj jaanna nahi chahta
tambaku se naak kaan gale ke cancer ke rogon ko samajhke sajhna nahi chahta
cancer jaisi beemari ho sakti inse,jaanke bhi nasha chhorna nahi chahta
dheere dheere has durvyasan maut ki oor le ja raha maanke bhi maanna nahi chahta






sharaab ke haathon kitno ke lever kharab ho jate hain
apni zindagi se pehle log kaal ke garbh me sama jate hain
tambaku sevan se tan ke saath man-mastishk bhi dheela padta hai
desh me roz hi koi na koi inke dushparinaamo se marta hai
kitne log sharaab karz le leke peete hain
kitne ghar sharaab ki vajah se barbadi ka shikaar hote hain
kitne chhatra ma-baap ke paison ko sharab cigarette me uda dete hain
kitne ma-baap boodhe kandhon pe jawaan bete ki laash dhote hain
kitne logon ne gham-e-ishk ka ise zariya bana rakha hai
sharab ke gaane sun sun ke sharaab ko peena bana rakha hai
kitne neta gaon kasbon shaharon me sharab ki bhatti khulvate hain
apne logon ko nashe me dhutt rakhke vote pane ka upaay banaye rakhe hain
kitni business partiyaan sirf sharaab ka jaam khulne pe shuru hoti
kitni multi national companiyan apne yahan sharaab ki party ko tavajjo deti
lekin iske dushprabhaon ko jaanta maanta har koi hai
phir bhi ise chhorne ke pryaapt sankalp nahi utha pata koi hai












parantu iske parinaamo me jab kisi ka jeevan khatm hota hai
samaaj thoda sa chet.ta phir andhanukaran me nikal padta hai
nasha vyakti ke jeevan ko andheron se bhar deta hain
shareer ke saath saath uske aatm-bal ko bhi durbal kar deta hai
desh koi bhi tabhi badhta hai jab uske logon me aatm-bal prabal ho
deshwasi tabhi to desh ki vishwa ki behtati ki sochenge jab ragon me khoon ho nahi jal ho




zaruri hai ki aaj Bharat hi nahi saara vishwa is par dhyaan de
drugs heroine afeem ganje ki smuggling ko lagaam de
sarkaar ko chahiye vo desh ke karndhaaron ke saath deshvasiyun ko bachaye
iske rozgaar ko protsahan iske bhatton ko avaidh karaar dene ka sankalp uthaye
samaaj ko bhi zaruri hai ise leke kisi ke status ko na taule
cigratte sharaab tambaku ke sevan ke fashion ko fashion me na rakhe
insaan ki zindagi ki ahmiyat faqat jeeke guzar jana nahi hai
Ye zindagi Khuda ne Bhagwaan ne insaan ko nashe ke lie nahi di hai
isme fase logon ko bhi isse nikalne ki sochni chahiye
nashe ki lat me doobkar apni zindagi kharaab nahi karni chahiye
aatm-sayyam aatm sankalp se insaan nashe se mukt ho sakta hai
aatm-sankalp nashamukti kendra se behtar hota hai
aatm-sankalp se har nasha chhora ja sakta hai







Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #2 on: October 11, 2012, 06:23:02 PM »
Reply with quote
Kaabil e Taareef  Kaash Ji  Applause
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #3 on: September 04, 2013, 04:04:59 PM »
Reply with quote
Bahut achhi rachna hai yeh aur tasveerein to dil dahla dene wali....kabhi socha bhi na tha ki itni achhi rachnaein padhne ko mileingi is site per....

Aapka bahut shukriya jo aapne aise remarks diye!
thanks so much! khush rahen!
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #4 on: September 04, 2013, 04:05:50 PM »
Reply with quote
Kaabil e Taareef  Kaash Ji  Applause

Bahut shukriya aapka, khush rahen aur padhte rahen!
Logged
pallavi g meshram
Guest
«Reply #5 on: September 23, 2013, 10:16:19 PM »
Reply with quote
bohot achha likha hi, aapne... muze par kar bhot achha laga... thankyou...!
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #6 on: September 24, 2013, 01:03:33 AM »
Reply with quote
bohot achha likha hi, aapne... muze par kar bhot achha laga... thankyou...!
Pallavi ji aapka tahe dil se shukriya! Aap jaise log jo post ko padhte aur samjhte hain to likhne waale ki mansha aur  mehnat saarthak hoti hai!
Logged
Dineshkumarjonty
Guest
«Reply #7 on: September 24, 2013, 01:52:37 AM »
Reply with quote
I agree with u i want to walk on your advize thanks  icon_salut
Logged
Neeraj verma
Guest
«Reply #8 on: March 25, 2014, 12:54:08 AM »
Reply with quote
 Winking sunny :hello:Sir bahut badiya..pr jaise hr koi insaan ye padker bhi ke smoking kills.....sharab seht ke liye hanikark hai...... padker bhi use andekha kr dete hai vaise apki baat padker bhi bhool jayenge. Is liye  kuch aisa kren ke poora world apki baat sunker nasha chod de. Or sarkaar ko bhi majbooaar h :clapping:ona pade ..vote krna band kro sarkaar se faida mango nasha band krvayo....beedi peene vale se leker koi bhi nashe vale viyakti ko free me nasha mukti kender me le ke jaye..or nashe ki koi bhi chij bikni nahi chahiye...har ik insaan dukhi hai.. amer bhi gareeb bhi, ladke bhi ladkiyan bhi, ma baap ,beta beti,.....har nagrik kisi na kisi vajah se dukhi hai jiski vajah se vo nasha krte hai pr vo haar maanker aisa krte hai unme himat nahi ladne ki sarkaar ke saath koi panga nahi lena chahta..hr ek nagrik ek ho..vote mat dalo.fir apke peeche sarkaar dodegi naki aap sarkaar ke piche dodege.....


Logged
neha chandwani
Guest
«Reply #9 on: June 28, 2014, 12:14:49 AM »
Reply with quote
thank you very much mujhe isse bahut help milli Crying Applause Clapping Smiley icon_salut
Logged
Parmeshwar sahu
Guest
«Reply #10 on: February 18, 2015, 07:56:29 AM »
Reply with quote
Thanks for u. Quite & nice msg smaj ke prti hone vale dusprbhavo ke prti bhut achhi jankari diye ho
Logged
Miss.naqash
Guest
«Reply #11 on: November 18, 2016, 06:54:30 PM »
Reply with quote
Muj b baty k mere husband ki drugs ki adat kesy choty gi plzz
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 02:02:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.194 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer