Faqat Ishk-o-Mohabbat ka zaria nahi hai Kavita

by @kaash on March 23, 2010, 09:56:11 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2152 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
doston vichaaron ko kavita ke roop me likhne ki koshish ki hai,here the poet is trying to say that poetry has different dimensions and its every category is important,but the main eymphasis is that poem can give real peace and freedom to us and can be very beneficial to society also when we utilise our talent and thinking for the same.


faqat ishk-o-mohabbat ka zaria to nahi hai Kavita
sirf dil ki athwa man ki bhadaas nikaalne ko to nahi kahte hain kavita
kavita poem ya ghazal isse bahut aage ki baat kahti hai
kavita jeevan darshan hai
kavita path pradarshak hai
kavita vo bhi hai jo gyan se bhari hoti hai
kavita vo bhi hai watan pe likhi hoti hai
kavita vo bhi hai jo sadguru ki vani se sani hoti hai
kavita vo bhi hai jab kalam jan-kalyan ke lie uthti hai
kavita ek jaagran hai aisi jo mansik aur aatmik jigyasaayon ko shant karti hai
kavita ek anubhuti hai aisi jo likhne ke baad santushti ka ehsaas dilati hai
Logged
Raja Harish
Guest
«Reply #1 on: March 23, 2010, 10:12:52 AM »
Reply with quote
Good effort Kaash Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: March 23, 2010, 10:20:40 AM »
Reply with quote
Aapki baat sahi hai Kaash ji, kavita sirf pyar, muhabbat, judaai,milan, jafa, wafa nahi iska swaroop bahut viraat hai. Kavitayen  desh, samaaj iski samasyaaon, kureetiyon aadi par bhi likhi jaati hain. Haqeeqat ye hai ke kavita mein har vishay samaahit hai sirf ishqo-muhabbat nahin. Nice thoughts Kaash ji. I appreciate it.
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #3 on: March 23, 2010, 12:19:20 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB KAASHJI.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

KAVITA WO BHI HAI JO AURON KE ZAZBAAT SAMAJHTI HAI.
KAVITA WO BHI HAI JO EHSAAS KO EHSAAS SE MILATI HAI.

KAVITA WO BHI HAI JO SOCH BADAL DETI HAI.
KAVITA WO BHI HAI JO JOSH BHAR DETI HAI.

KAVITA WO BHI HAI JO BACHHE JISE LORI KEHTE HAIN.
MAA KE AAGOSH MEIN AAKAR KAVITA SE SOTE HAIN.

KAVITA WO BHI JO YAAD,DAST DURUST RAKHTI HAI.
KAVITA WO BHI JO MUSHKIL SABAK KO YAAD RAKHTI HAI.
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: March 23, 2010, 12:35:09 PM »
Reply with quote
Very nice thoughts Kaash Ji..Bilkul sach kaha aapne...Bohot bohot khoob !!

Nice lines from you also, Suresh Ji
Logged
drpandey
Guest
«Reply #5 on: March 23, 2010, 01:16:00 PM »
Reply with quote
@kaash ji, you are absolutely right.!!!

I think from the view point of poetry that the poet is a communicator of events, incidences, beauty, appreciations, messages and lots more whatsoever it may be in a fantastic way that a common audience can not do. However, the responsibility of the poet also lies in the facts that:
1. the poem should not hurt the sentiments of the audience any way.
2. the poet should not become arrogant on the perceived incidences.
3. the communication skill should be soft, easily accessible & impressive.
4. the non appreciable  or abusive words should be avoided unless much needed.
5. the poem should softly massage the weak and strong impulses of the audience.
 
A good poetry is like an abstract soul in the physical body of humanity...


Logged
ashued
Guest
«Reply #6 on: March 23, 2010, 02:21:25 PM »
Reply with quote
Really Nice one
Logged
drpandey
Guest
«Reply #7 on: March 23, 2010, 04:18:19 PM »
Reply with quote
shukriya Dr.Pandey ji aapne itni achi tarah se poem ko padha aur saraha,aur bahut sahi likha hai aapne
aap jaise senior se to hum ye asha bilkul rakh hi sakte hain ki
kuch kavita roop me bhi vyakt karen as aap apne talent aur anubhav ko mishrit kar bahut hi achi kavita kum samay me bhi tyaar kar sakte hain,i also agree that you know exactly how much to write what to write so that aapka chaha hua message
shrotagano tak jaaye that is why i requested to write a little poem.baharhaal aapke shabdon ko kavita ka roop dene ka prayaas kia hai

kavita vo nahi jisse kisi ka dil dukhane ke lie likhi jaaye
kavita vo nahi jo apne dambh aur abhimaan me bahke likhi jaye
kavita saar lie ho
usme avikaar,durbhaav na ho
kavita me adab ho aisa jisse kalaam prati din nikharta sa ho

Behad achha likha @kaash ji, aapne mera kaam to kar hi diya hai, khair main bhi kuchh koshish karunga aur aap tak pahunchaunga...thanks..
Logged
drpandey
Guest
«Reply #8 on: March 25, 2010, 09:02:41 AM »
Reply with quote
kavita vo nahi jo saral si baat ko goodh shabdon me likhe
kavita vo hai jo goodh arthon ko saralta se vyakt kare
kavita vo nahi jisme vastuvadita aur vaasna ki boo aaye
kavita vo hai jisse aatma aatmik roop se pawan ho jaye
kavita saaz hai jiski awaaz sumadhur bhawnayen hain
kavita awaaz hai aatma ki jisme nihit vandanayen hain
kavita vo hargiz nahi jisme hum baudhik estar se utar jayen
kavita nirmal jal jo samaaj ko aur sabhya maryadit kar jaye
@kaash ji bahut hi marmik dhand se aapne kavita ke prati apni bhavnaon ko vyakt kia hai...Aapki shikayat ko dur karne ki koshish karta hun..dekhiye..!!!

Kavita Kya Hai ?

Kavita kavi ki sadhna hai,
Kavita shayar ki vedna hai,
Ek bhakt ki aaradhana hai,
Nirakaar ki upasana hai...

Kavita premi ki premika hai,
Kavita samaj ki sevika hai,
Hraday virah ki vyanjana hai,
Abhivyakti ki kalpana hai...

Kavita saundray ki devi hai,
Kavita validaan ki vedi hai,
Samay aur samaj ka aaina hai,
Sanskriti ki samvedna hai...

Kavita sahitya ki drishti hai,
Kavita aatmik santushti hai,
Nirvikaar hai vishisht hai,
Prem aadhar jagat ki srishti hai..!!!
Logged
drpandey
Guest
«Reply #9 on: March 25, 2010, 09:16:21 AM »
Reply with quote
waah waah behad hi acha likha hai Dr. Pandey ji  Applause Applause Applause Applause
this is indeed a very good poem,u have given various shades of poem by writing a poem,thanks so much  Usual Smile
Most welcome @kaash ji, aapki shikayat dur hui na?? Thanks for your appreciation..!!!!
Logged
nirala
Guest
«Reply #10 on: April 06, 2011, 04:32:04 PM »
Reply with quote
akash bro…
aapke vichar bhot ache hain.
aapki soch ka mai kaayal hu sir ji.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 08:35:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer