jugaalee / paguraanaa

by masoodhassaas on September 17, 2011, 11:27:04 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 593 times)
masoodhassaas
Guest
Reply with quote
Jugaalee / paguraanaa
Is lafz ko mukhtalif moqaamaat pe mukhtalif naamon se jaanaa jataa hai magar mashriqee u. p. yaanee luknow ke atraaf me is ko PAGURAANAA kahtey hain isee lafz se wo misaal/ mohaawarah mushatq /bana hai jisey shohra e aafaaq  pazeeraayee haasil  huyi  ,, jisey har kaso na kas hattal maqdoor / apnee besaat ke motaabiq  istemala  bhi kartaa hai aor is se apnee fasaahat ki dookaandaaree bhi chakmkaataa hai
Mohaawarah hai

bhaiNs ke aagey ben bajaao bhaiNs baith paguraaey

is tamheed/tafseel ke baad main aap ko us mahfil kaa aankhon dekhaa haal sunaataa hun jo abhi Kuwait ke mashhoor shahr saalmiyah me mun’aqid /barpaa ki gayee , jis me paguraane kaa aalmi moshaayerah barpaa kiyaa gaya
atraaf/ ird gird ke tamaam shaoraa w odabaa ko mad’oo karne /bulaane ke saath bairoon e mamaalik / baaharee mulkon se bhi mashaaheer / mash'hoor logon ko talab kiyaa gayaa thaa jin me hindustaan o paakistaan aor ba’z deegar mamaalik/ doosrey mulkon me qayaam pazeer /thehree mashhoor hastiyaan bhi theen
 
                mahfil kaa aaghaaz/ shuruaat intehaayi ghair shar’ee andaaz me kiyaa gyaa jo mash’hoor jugaalee baaz bheeDoo chhatpataahat ke haq me aayaa ,, maosoof ko paguraane ka ek taweel tajurba haasil hai aap mic pe tashreef laaye aor mukhtasar bahr me aisaa paguraaye ki samaaN baandh diyaa darmeyaan darmeyaan me same;een/sunne waalon ne un ke paguraane ki adaa pe seetiyaan tak bajaayeen aor un ki munfarid /alag thalag adaa se khoob mahzooz / khush huye
 
           naazim e jugaalee ne un ke baad agiley paguraaiye ko aawaaz di to saaraa haall taaliyon se goonj gayaa kiun ki ye mashhoor e zamaanah jugaalee khor w jugaalee band mohtaram janaab phitki nawaaz saiyaan they aap paguraane me mashriqee/ poorabi u. p. ke taajdaar tasauwur kiye jaatey hain kayee baar aalmee paguraane ka amoshaayera bhi mun’aqid karwaa chukey hain un ke talaamezah shikshakon ki taadaad u. p. bihaar se le kar ureesah bangaal tak phialee huyi hai balki kuchh to afriqa ke aadam khor/aadmee khaane waale qabaayil / qabeelon se bhi ta;alluq rakhtey hain
aap ke paguraane ki adaa munfarid/ yaktaa thee qaafiyaa w radeef aap ke yahaan apnee jiddat ki benaa pe qaabil e deed thee jo saalhaa saal reyaazat / mashq pe dalaalat kartee thee maosoof / in saahab ne khoob jugaalee ki aor is aml ko yun aagey barhaayaa ki ek adad banaarsee paan mun me rakh ke paguraane ko nayee adaa se rooshanaash / pahchaan karwaa diyaa
 
        agiley paguraiyaa janaab Dr gaisoo khor malaayi phat they jin ka ta’alluq maharastara ke us mokhsoos elaaqe se hai jahaan har saal sailaab ki wajah se hazaaron log mar jaatey hain aor qahat saalee / sookhaa hai ki kisaan hazraat us ke panja e istibdaad / zaalim panja se bachne ke liye khudkushee / aatm hattiyaa farmaa letey hain

           aap ne mic haath me liyaa aor daahinaa haath jeb men daal ke laal roomaal baraamd kiyaa / nikaala jis se aankhon kaa keechaD saaf kar ke dobaarah muh pe masah kiyaa/pochha  is makhsoos adaa se haazereen mabhoot ho ke /paglaa ke rah gaye aor waah waah ke na’rey buland karne lagey
        aan janaab ne sigrate ka kash leke dhuwaan ka margholaa fezaa me chhoraa aor paguraane key amal kaa aaghaaz kiyaa aor is khaas andaaz se kiya ki wahaan pe maujood sabhi hazraat sehr zadah se ho gaye / un pe jaadoo chaa gayaa aap ke paguraane ke darmeyaan ba’z ba’z aise maqaamaat bhi aaye ki mahfil pe khaamoshi ne apnaa qabza jamaa liyaa goyaa ki log saans lena tak bhool gaye ,, aor aakhir kiun nahee mausoof p. h. d. holder jo they

     aap ki rukhsatee ke baad PRPH, janaab halkat baghlee baal jhaataa ko da’wat e paguraayi di gayee
     aap ki aamad pe taaliyon aor seetiyon ke saath qahqahon ka ek khoobsoorat shor e badtameezee buland huwaa jise camrey ki aabkh se us ki memoree me mahfooz kiya  gaya
             aanjanaab padosee mulk pakistaan ke nawaahi/ qareebee elaaqe seyaalkot ki sanglaakh/pathleeree zameen se hain , bachpan me bakriyaan charaatey they jin ki naqal ki bunyaad pe aisee aadat badee ki paguraanaa shuroo kar diyaa waalid e mohtaram ke gulf chale jaane ke baad aap ne tarqqee ki aor bhains charaanaa shuroo kiyaa to yaheen se aap ne paguraane  me wo moqaam haasil kiyaa ki amreeci aiwaan me bill pass kar ke unhen sadee ka sab se khoobsoorat tareen paguraiyaa qaraar diya gayaa

          in ki khaas adaa ye hai ki kabhi aap baghal khujaa ke paguraatey to kabhi kaan me unglee daal ke ,,,,,,,,,,,ek baar to aap ne naak me kanooyi / chhotee unglee daal ke aisaa paguraaye ki mahfil angusht badandaan/ hairat zadah rah gayee aap ne taqreeban tamaam bahron me jugaalee ki aor har ek ke saath insaaf kiyaa balki ba’z ba’z bahr to aaN hazrat ne bazaat e khud eijaad ki thee / banaayi thi jo bala ki bahren theen 
        daoraan e paguraahat aap pe baar baar haal taaree ho taa jis ka ikhtetaam ek zor daar chheenk pe hotaa thaa

          in hazrat ke ba.d raaqemul horoof / mujh ko paguraane kaa farmaan jaaree kiyaa gayaa uftaan w khezaan / girtey paDtey naacheez mic tak aayaa aor paguraahat me naa waaqifiyat ki benaa pe jamaayi lene lagaa jis se sadr e mahfil ki bhanwen tan gayeen ,,waheen apnee jagah pe baith ke aisaa paguraaye ki us ke chand chhentey logon ke beech bachaao ke baaojood mujh tak aanpahonchey
kisee khair khowaah ne merey muh me chiungam de ke hukm saadir kiya ki ab paguraao aor haqq e paguraayi adaa karo
        janaab yaqeen Karen logon ne bahot kam pasand kiyaa aor akheer me fatwaa bhi diya ki aap garche paguraane ke fan se bakhoobee waaqif hain taaham aap ke yahaan arbee o faarsee ki taraakeeb ka bakasrat/bahot zeyaadah istemaal aalm e paguraahat pe kisee baar e geraan / bojh se kam nahi hai

           merey baad chand moqaami hazraat ko paguraane kea mal se guzaaraa gayaa
              raat bheegee jaa rahee thee hawaayen daryaa ki jaanib se kaafee rotoobat liye chal arhee theen magar log the ki apne mahboob paguraane waalon ki eyk jhalak dekhen aor paguraane key amal se mahzooz hone ke liye der raat tak khule aasmaan taley baithy huye they
                akheer me jab sadre jugaalee mash;hoor saincdaaN janaab chhan man kakarailee muraadaa baadee ko aawaaz di gayee to hall taaliyon se goonj gayaa kuchh logon ne muh se pathaake ki aawaaz bhi khaarij ki jis kaa faayedah uthaa ke ba’z hazraat ne kuchh ghair maanoos aawaaz be baraamd kar lee Usual Smile
               aap bairoon e mulk /baaharee mulk france me muqeem /rahtey hain aor mukhtalif mamaalik me visiting prph, ki haisiyat se zaayad az 75 uniwersitiyon me paguraa ke talaba / shikshakon ke shaandaar musrtaqbil ki zamaanat de chuke hain yahee wajah hai ki aap ne paguraane ke liye laa taadaad akedmiyaan qaayem ki hain aap fann e paguraahat me iste'araah w kenaayah aor tashbeehaat kaa baleeghaanah istemaal kartey hain aozaan o bahoor pe bala aki giraft hai aap ke shaagirdon ki taadaad meelhaa meel tak phailee hai jin me aam to aam khawaas bhi sar e fihrist nazar aatey hain jin me shakeeraa,, raakhi sawant ,,malika sheraawat ,,baba raam dev ,,,helari celonton ,,tak shaamil hain
           balki hindustaanee w paakistaanee tamaam flop filmon ke adaakaron aor adaakaaraaon ne  aap se hi sohbat ikhteyaar karne ke baad hi filmon me paguraa ke us ko shohrat bakhshee hai
                in ke paguraane ka amal badaa ajeeb o ghareeb thaa jis se logon ko apne jism pe chiyuntiyaan nahi balki mendkee rengtee mahsoos honey lagee
aap apnee makhsoos kitaab ka makhsoos safha kholtey aor logon ko mokhaatab kar ke paguraane ke fan se aashnaa karwaatey jis me afriqa ke naapaid bandaron ki khaas qism ka makhsoos tareeqa bhi bataatey tatimmey / aakhiree lafz ke taor pe aap ne apnee beshqeemtee raaye detey huye aap ne farmaayaa ki jab haathee ghodaa gadhey bhais jugaale kar ke sehat ki daolat se maalaa maal ho saktey hain to ham insaan kiun na is azeem kaar e khair se istefaadah Karen / faayedah uthaayen   
aor is tarah ye mahfil ek pur takalluf ehsaaiyah/ shaam ke khaane pe ikhtetaam pazeer huyi / khatm huyi
     

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 03:26:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer