songwriter_123
Guest
|
|
|
Khatam Karo Baal Majduri
Tera beta tujhko sabse accha lagta hai Teri beti tujhko sabse acchi lagti hai Roz khilone roz chocolates tu unke liye laata hai Har ghari tu unhe apne dil me basata hai
Jis bacchey se tu kaam karata, kya woh kisi ka beta nahi Jis bacchi se tu ghar saaf karata, kya woh kisi ki beti nahi Majboori ka fayda tu kyu unka uthata hai Unhe do paise de kar, kyu unka bhagwaan ban jaata hai
Wey bhi bacchey hai, maan ke saachey hai Takdeer se kacchey hai, par phir bhi acchey hai
Kabhi tu unki jagah apne baccho ko toh rakh ke dekh Phir samajh aayega tujhko, un baccho ki badnasibi ka lekh Padhna chahte, likhna chahte , khelna woh bhi chahte hai Par kya kare ,tum jaise aamir unhe apna gulaam banate hai
Wey bhi bacchey hai , maan ke saachey hai Takdeer se kacchey hai ,par phir bhi acchey hai
Sarkar ne jo neeyam banaye , usey todne me tum maahir ho Kuch paise de kar kaam karane waale tum unke dil ke kaatil ho Mat chodo sarkar pe aur kadam badhao us gareeb parivaar ki aur Kuch paise do unhe inki padhai ke liye, taaki woh bh keh sake yeh ki
Mera beta mujhko sabse accha lagta hai Meri beti mujhko sabse acchi lagti hai Main galat tha jo inse itna kaam karata tha Aur inke khelne ki umar se hi khelta jaata tha
Yeh bhi bacchey hai , maan ke saachey hai Doctor engineer banauga inhe , yeh mere bacchey hai
Composed by Aamit
|