...KHUMAAR JOOTO.N KAA

by F.H.SIDDIQUI on July 04, 2011, 06:08:07 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1106 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Chadha awaam pe kaisa khumaar jooto.n  ka ,
Ki hai muza'hira ab baar-baar jooto.n  ka

Hadaf jo bun gaya  bus eik bar jooto.n ka ,
Bana  sada  ke liye  Ishtihar  jooto.n ka

Ajeeb  thhee  teri eejaad  Muntazir  Zaidi ,
Palak jhapakte Chadhaaya bazaar jooto.n ka

Watan ko bech rahe hai.n jo rahbaraan-e-watan,
Gale mei.n daalo zara unnke haar jooto.n ka

Bithha ke unnko Gadho.n per,Siyaah munh karke,
Ghumaao gaao.n-shaher, Daalo haar jooto.n ka

Talab kisee ko hai bus Teen-Chaar jooto.n ki,
Hai mustaheq koi  lekin Hazaar  jooto.n  ka

Dikhe hain jub bhi ye Manhoos chehre Khabro.n mei.n,
Khayaal aaye hai Be-akhtiyaar  jooto.n ka

Sahi nishaana lagaao ki hai.n  bahut  shaatir,
Badee safaai se bachte hai.n waar jooto.n ka
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khumaar by @kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khumaar by salma786 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Khumaar by @kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khumaar! by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
khumaar !!! by sarfira in Shayri for Khumar -e- Ishq
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #1 on: July 04, 2011, 06:52:52 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooob Siddique Saheb!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: July 04, 2011, 08:27:31 AM »
Reply with quote
Chadha awaam pe kaisa khumaar jooto.n  ka ,
Ki hai muza'hira ab baar-baar jooto.n  ka

Hadaf jo bun gaya  bus eik bar jooto.n ka ,
Bana  sada  ke liye  Ishtihar  jooto.n ka

Ajeeb  thhee  teri eejaad  Muntazir  Zaidi ,
Palak jhapakte Chadhaaya bazaar jooto.n ka

Watan ko bech rahe hai.n jo rahbaraan-e-watan,
Gale mei.n daalo zara unnke haar jooto.n ka

Bithha ke unnko Gadho.n per,Siyaah munh karke,
Ghumaao gaao.n-shaher, Daalo haar jooto.n ka

Talab kisee ko hai bus Teen-Chaar jooto.n ki,
Hai mustaheq koi  lekin Hazaar  jooto.n  ka

Dikhe hain jub bhi ye Manhoos chehre Khabro.n mei.n,
Khayaal aaye hai Be-akhtiyaar  jooto.n ka

Sahi nishaana lagaao ki hai.n  bahut  shaatir,
Badee safaai se bachte hai.n waar jooto.n ka
 
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: July 04, 2011, 12:02:48 PM »
Reply with quote
 Khwaish ji,Zarra nawaazi ke liye Shukriya.Hasan

  icon_colors icon_colors icon_colors

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: July 04, 2011, 03:02:07 PM »
Reply with quote
 Bahut Bahut Shukriya,Khujli ji.Hasan
 
         Thankyou !
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: July 09, 2012, 10:51:41 AM »
Reply with quote

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Bahut bahut shukriya , Qalb ji.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #6 on: July 09, 2012, 11:03:48 AM »
Reply with quote
Bhai jaan pataa naheen ye khumar jootoN ka hamse padhne se kaise choot gayaa. khair aaj khushqismatee se padhaa mazaa aa gayaa dheron daaad aur mubarakbaad aap khush rahe.
Logged
shara63
Guest
«Reply #7 on: December 11, 2012, 07:34:45 AM »
Reply with quote
Hasan sb, ye joote to kaheen zyadah fauladi aur karamati nikle....kya qahar burpa kiya hai aapke in jooton ne..beshak - 'Ajeeb  thhee  teri eejaad  Muntazir  Zaidi ,
Palak jhapakte Chadhaaya bazaar jooto.n ka!

Meri kya bisaat jo Aaftaab ko raushni dikhaun, alfaaz nahi hain aapki tareef ko...bahut pahle se qaayal thi main aapki is qaabliyat ki..aur ab in jooton ki maar ne to bilkul pukhta kar dia!

meri dili Mubarakbaad aur dheron daad...khuda aapko hamesha achchha rakhe!

Logged
mkv
Guest
«Reply #8 on: December 11, 2012, 08:39:52 AM »
Reply with quote
Aadaab Sir
miss kar gaya ye post.
shuru shuru ki baat hai..
aaj hi dekha..us samay to wah wah likhna bhi nahi aata tha..
matla aur maqta..laajavaab
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: December 11, 2012, 06:10:25 PM »
Reply with quote

[/quote]
Hasan sb, ye joote to kaheen zyadah fauladi aur karamati nikle....kya qahar burpa kiya hai aapke in jooton ne..beshak - 'Ajeeb  thhee  teri eejaad  Muntazir  Zaidi ,
Palak jhapakte Chadhaaya bazaar jooto.n ka!

Meri kya bisaat jo Aaftaab ko raushni dikhaun, alfaaz nahi hain aapki tareef ko...bahut pahle se qaayal thi main aapki is qaabliyat ki..aur ab in jooton ki maar ne to bilkul pukhta kar dia!

meri dili Mubarakbaad aur dheron daad...khuda aapko hamesha achchha rakhe!

Bhai shara saheb.aapka bahut shukriya ki aap ne waqt diya. Lekin sharmindagi bhi mahsoos kar raha hoon.Bhai hum sub apne apne andaz mein izhaar e khayal karte hain.choonki eik hi mouzoo tha is liye mujhe bhi ye kalaam yaad aa gaya aur aapse share karne ko jee chaaha.eik baar phir aap ka shukriya.
Logged
shara63
Guest
«Reply #10 on: December 12, 2012, 10:32:14 AM »
Reply with quote
Hasan sb adaab, muaafi chahoongi..magar maieN  ek baat kahna chahti hooN  ke jooton ki maar se gadhe ko insaan banne ki baat toh suni thi magar jooton ki maar se shara bahan ko shara bhai bante abhi abhi dekha hai....ab dekheN aage aur kya kya hota hai?

baharhaal jo bhi ho Aapke fan koi jawaab nahi..main ek ek kar aapke saare posts padh rahi hooN..aur mere zahan se Meer, momin, gahlib, Faiz-o-faraz sab dheere dheere dhuNdhlaate jaa rahe haiN aur un sab ke oopar janaab Hasan ghaalib hote jaa raheN haiN....Yoindia ki behad shukraguzaar hooN ke usne aap jaisi shakhsiyat se roobaroo hone ka mauqa diya..aur aapko itni umda poetry yahaaN par humse share karne ke liye bahut bahut shukria!!
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: December 12, 2012, 11:20:39 AM »

Mohtarma ,  bahut  sahi  farmaya  . Waqai yeh ghalti to ho gai .Lekin kya karoon ,Is web per bahut se aise naam hain jinse yeh pata nahi chal paata ki woh mohtaram hain ya mohtarma . kabhi tajassus mein agar profile khol kar dekhiye to bahuton ke gender main kuchh darj nahi hota .  Iska koi ghalat interpretation lene ke bajai yeh behtar samajhta hoon ki naam ke aage " jee " likh diya jai jo dono cases mein chal jaata hai . Yahi main bhi karta hoon . Haan aapke case mein chook ho gai aur 'Jee' ke bajai Bhai likh diya . Baharhaal , aap bhi lagta hai koi mouqa nahi chookti hain .Doosra para bhi aapki intahai aalazarfi ka mazhar hai .Waise achha laga aapka jawaab parhke.bahut duaaein.

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 05:16:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer