LAWARISH

by NETRAPAL on July 04, 2007, 12:47:33 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1622 times)
NETRAPAL
Guest
Reply with quote
mai kaya hoo jo apne hee wajood ko dekh kar rota hoo
kyo ayaa mai jamee pe parwar digar se ye poochta hoo

n maa ka pata mujhe, n baap ko dekha tha maine bhee kabhi
jis kachare daan se nikala tha kisine usee se lipat kar mai  rota hoo

jamne ne di to sirf gali hee mujhe, thokro ke siva n diya kuch bhee
logo kee joothan kahate hai mujhe, juthan kha kar hee abtak  jiya hoo

n tha mera koi jamane me kabhi, n ho pya hoo kisi ka mai bhee abhi
nafrat hee dee hai jamne ne mujhe, isee jahar koo peekar mai jinda hoo

kai nam hai jo diye hai samaj ne mujhe, batane se bhee lagta hai dar
gahare hai jakhm seen me bhoot,  sharab se jakhme-dard mita ta hoo

sajatee hai kalyiyaa rakhee se jab rota hoo sooni kalayee pe apnee
n koi hai apna mera kahi, kisi ko bahan kahane se bhee darta hoo

mai kya hoo , apne wajood ko hee abhi tak nai samj payaa mai
kya nam hai mera pata nahi, lawarish ke nam se hee jana jata hoo



Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #1 on: July 05, 2007, 04:05:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "NETRAPAL"
Quote from: "NETRAPAL"
Mai kya hoo jo apne wajood ko dekh kar rota hoo
kyo ayaa mai jamee pe parwar digar se poochta hoo

n maa ka pata mujhe, n baap ko maine dekha tha kabhi
jis kachare daan se nikla tha useese lipat kar rota hoo

jamne ne di to sirf gali hee mujhe, thokro ke sifa kuch bhee nahi
logo kee joothan hee batate hai mujhe, juthan hee kha kar jiya hoo

n tha mera koi jamane me kabhi, n mai ho pya hoo kisi ka abhi
tirskarr hee dekha najor me sabhiee ke nafrat ja jahar hee peeta hoo

kai nam hai mere samaj k diye hoye,   kahane she bhee shamrata hoo
gahare hai jakhm seen me bhoot,  sharab see hee gam bhulata hoo

rota hoo soonee kalayee dekh kar apnee, jab sajti kalyiya  dekhta hoo
n koi hai apna mera kahi, kisi ko bahan kahane se bhee darta hoo

mai kya hoo , apne wajood ko hee  nai samj payaa mai to abhii tak
kya nam hai mera jana nahi , lawarish hee kah ke bolaya jata hoo





bhoot hai is dunya mi lawarish kami nahi hai inkee
we bhught rahe khata n maloom wo khata thee kinkee

har roj sajtee hai mafeele sarmayre daro kee sanj dhal te hee
har roj janm leti hai nanhi jan kachre dano me n malook kinkee

netra......
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #2 on: July 05, 2007, 01:20:33 PM »
Reply with quote
nafrat kee nigaho se dekha jata hai jise
hikarat ka saamna karta hai har roj wo

ghrana karta hai jo pane hee wajood se
marta hai roj n markar bhee har roj wo

aaj bangaya wo jo n bnna chata tha kabhi
masumiyat ko rond dardinda ban gaya hai wo

din beetataa hai hai sarmaye dar me jo
rate rangeen hoti hai maykhane me jiskee
sakee or payalo kee jhankaar me sota hai wo

gandi basti ke ek sun kon me kholi hai jiskee
roj khultee hai subah shayam ko band hojati hai wo

netra....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: July 06, 2007, 12:06:26 AM »
Reply with quote
Good Topic...
And very well Written Netra... =D>
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #4 on: July 06, 2007, 04:02:14 AM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Good Topic...
And very well Written Netra... =D>


thanks shikha ji

netra....
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #5 on: July 06, 2007, 01:14:41 PM »
Reply with quote
hat jate hai sab door ye kon aa rah hai
mat choona jara bhee ise, lawarish ja raha hai

nahi hai hosh ise kuch, kadam ladkhdate hai iske
sahare kise ke kanho ka liye ye kaha ja rha hai

darthee bachee bhee ukee ankho kee chamak dekh kar
mawalee kahate hai ise madhoshi mee sharab ke jo ja raha hai

chahre pe haivaniyat hai ankho me jaljala dikhta hai jiske
aaj n jane kise barbad kanre wo kaha ja raha hai

jala khud jamane, tamanna hai jamane ko jalane kee uskee
apnee hee aag me barso se wo khudee hee jala jar raha hai..

netra.......
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #6 on: July 07, 2007, 11:36:58 AM »
Reply with quote
wo aya hai kha se pata nahi kiseeko
poochte hai sab par wo kya bataye kiseeko

na jane kon chod gayaha tha, par kha nahi pata use
hosh sambhala  tha tabse dekha tha dard mee hi isee ko

chahta tha ye hona kisi ka par n mila koi bhee ise apnaa  sa
jise bhee apnaa kaha usee ne hee  kaha ' lawarish'iseeko

seene mee aag hai bhoot tejab sa diktha hai anko me jske
khoonkar darinda bana diya hai aaj samaa ne hee isko...

netra.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: July 09, 2007, 04:36:05 AM »
Reply with quote
Netra ji kaya likhu ajj apki parshnsa main... apni in rachnao se ajj apne rula diya....

bahoot kadwa such, bahoot he simple words mai apne likh diya hai...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #8 on: July 09, 2007, 07:24:01 AM »
Reply with quote
thanks pooja ji

aap logo se mili prerna se hee thoda bhoot likh pata hoo

netra....
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #9 on: July 10, 2007, 04:14:37 AM »
Reply with quote
line se alag trastee nigaho se khada hai wo
ek massom ja bachh lachar sa dikta ha jo

kuch pane kee ischaa hai ankho me uske
lacharee see dekhtee hai chehere pe jiske

jihdiak deta hai haath thamta hai wo bhee jiska
ro bhee nahi pata bas muskarata hee rahata hai wo

dete hai bachee gali hee use
n khilata hai koi bhee saath use

manjta hai kisei hotal par jhoote bartan kiseeke
unhee kee joothan khaa kar jeeta hai aaj bhee wo

netra....
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #10 on: July 10, 2007, 12:52:04 PM »
Reply with quote
kitna bedard hai too uparwale
kyo kar diya tune mujhe bedardo ke hawale
nahi hai koi meri hasiyat yaha
kyo n socha tha tune yaha bhejne se pahale

jindgee to dee tune mujhe
par kara tune kiske hawale
koi to deta nam mujhe bhee
to na haste mujhpe ye duniya wale

hansta to too bhee hai khilona samaj kar mujh pe
dekh kya dasha karte hai roj mere ye duniya wale



netra...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: July 11, 2007, 03:05:05 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Netra ji... apki kalam ko mera salam... bahoot hi acha likhte hai app...


Lachar bebas sa wo jo khara hai
Ek cone mai lawaris sa parda hai

Koi bhi naam se uske hai log pukare
Her ek ke samne bejuban sa khrda hai

Karta hai kaam her ek ke bhag bhag kar
Apne paro per jaise janam late hai kharda hai

Jhuthan hai jiska naseeb, galia kismat
Jamane ke samne, kai sawal liye kharda hai
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #12 on: July 11, 2007, 09:13:03 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob Netra ji... apki kalam ko mera salam... bahoot hi acha likhte hai app...


Lachar bebas sa wo jo khara hai
Ek cone mai lawaris sa parda hai

Koi bhi naam se uske hai log pukare
Her ek ke samne bejuban sa khrda hai

Karta hai kaam her ek ke bhag bhag kar
Apne paro per jaise janam late hai kharda hai

Jhuthan hai jiska naseeb, galia kismat
Jamane ke samne, kai sawal liye kharda hai


bhoot khoob......aapne bhee samjaha dard lawarish ka pooja ji.

kyo banye is jaha me tune ye  mahlo wale
dil to dala hota seene me unke tune
 karne se pahale mujhe unke hawale

thokare hee marte hai gareeb ko
rone tak bhee nahi dete ye use
rok le khuda unhe ab to...........
kise gareeb ko barbad hone se phale

rondte hai kisi gareeb ko uskee majbooree ko kharidkar
chod dete hai use, bhool kar bhee dekhte tak nahi
wo gareeb bhee dhote hai kise badnaseeb ko kuch mahine
fir kar dete hai use kisee kudedaan ke hawale

netra.....



Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #13 on: July 11, 2007, 12:48:16 PM »
Reply with quote
lagtee jab  chot to kyo rote ho dard se tum
bhool gaye kisi ko  ghav dene ke bad tum

ankh me ansoo liye ghoomta tha jab who
hanste the bebasee par usee ke tab tum

aaj layak iske kee jawab de sake wo tumko
lachar hoo tum hokar budhe jarjar kaya se
hasata bebase pe aaj tumhari to kyo rote ho tum

netra....
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #14 on: July 12, 2007, 04:32:37 AM »
Reply with quote
masoomiyat hee dekhtee hai rukh par uske
gor se deho to jahar hee jagar diktha hai ankho me uske

nanha bachpan hai jise jeeta hai boodhape kee tarah wo
jab bolta hai wo to hairan hote hai sab bolane  se uske

nanhi see chahat bastee kai dil me kai uske bhee
hai kon uska jo karega cahato ko pooree uskee

swart se bahre jamane me na hota hai koi apno ka bhee
dekhe ga kon jahk kar nanse se dil me uske

netra....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 03:48:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer