Mujhe Bhi Dard Hota Hai - By Songwriter_123

by songwriter_123 on August 05, 2011, 06:02:52 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1210 times)
songwriter_123
Guest
Reply with quote
Hi Friends,


Daily crores of trees are cut and been used for many purposes , i had tried to write this poem on behalf of a tree, hope you all will like this


Mujhe Bhi Dard Hota Hai


Mere daali  roopi haatho ko kaata
Mere jadein roopi  pairo ko kaata
Kaat ke palang banaya
Darwaje banaye aur ghar me show case bana ke mujhe sajaya


Jaan nahi bejaan hu yeh kehte hai sab
Insaan nahi kaagaj banana wala samaan  hu yeh kehte hai sab
Kaun samjhaye ki  jaan nahi hoti to kaise main badhta
Phool  aur fal dekar kaise main sabka peth bharta


Haan woh bhool gaya  mujhme jaroor aawaz daalna
Par iska matlab nahi usko main yaad nahi
Dekh raha wo upar se mujhe katthey hue
Baccho ki kitaab aur mujhse hi apna mandir bante hue


Pedd hu pedd ki aawaaz, to sirf wahi sunta hai
Chalti jab mujhpe kulhariyan , to sirf wahi rota hai
Kehta hai kaisa maine tujhko dard diya
Aawaaz to le li aur apne hi insaano se katne ka sard diya


Kabhi koi sune teri to unhe yeh batla dena
Jo tu khatam ho gaya duniya se to ye shristi ne bhi nahi bachna
Chahte hai wey jeena to tera saath hi hoga
Tu khatam ho gaya to unka ghar bhi kabhi aabad na hoga


Bolna unhe tumhe kharonch bhi lage to kaise dard hota hai
Yaha to dard ke saath saath mera bin bolne wala dil bhi rota hai
Main chala jauga nahi to ek din yaha se door
Phir tum bhi aana mujhse milne swarg me jaroor


Haan maine kaala hoon par dil ka kaala nahi
Tumne kaanta mujhe par main tumhe kaatuga nahi
Waha bhi tumhe main aise hi phool aur fal duga
Tum ek baar pyaar se bolna , main phir se tumhare saath dharti pe chal duga


Composed by Aamit


------------------------------------------------------------------------------------




Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dard mujhe bhi hota nahi by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Mujhe Tention Ne Maara - By Songwriter_123 by songwriter_123 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Mujhe Tention Ne Mara - By Songwriter_123 by songwriter_123 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Aids , Mujhe Kyu - By Songwriter_123 by songwriter_123 in Shayri-E-Dard
Dard Mujhe Hota Hai by songwriter_123 in Share:Poetry of Separation
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #1 on: August 05, 2011, 06:06:27 AM »
Reply with quote
Amit ji bahut khoob.
prakriti ke dil ki awaz aapne bahut khoob sunai hai.
bahut khoob zazbaat.
ye sahi hai ki hum aishwarya ki zindagi jeene ki khwaish mein andhe ho chuke hai,
 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2 hello2
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 41 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #2 on: August 05, 2011, 06:26:07 AM »
Reply with quote
GD
Hi Friends,


Daily crores of trees are cut and been used for many purposes , i had tried to write this poem on behalf of a tree, hope you all will like this


Mujhe Bhi Dard Hota Hai


Mere daali  roopi haatho ko kaata
Mere jadein roopi  pairo ko kaata
Kaat ke palang banaya
Darwaje banaye aur ghar me show case bana ke mujhe sajaya


Jaan nahi bejaan hu yeh kehte hai sab
Insaan nahi kaagaj banana wala samaan  hu yeh kehte hai sab
Kaun samjhaye ki  jaan nahi hoti to kaise main badhta
Phool  aur fal dekar kaise main sabka peth bharta


Haan woh bhool gaya  mujhme jaroor aawaz daalna
Par iska matlab nahi usko main yaad nahi
Dekh raha wo upar se mujhe katthey hue
Baccho ki kitaab aur mujhse hi apna mandir bante hue


Pedd hu pedd ki aawaaz, to sirf wahi sunta hai
Chalti jab mujhpe kulhariyan , to sirf wahi rota hai
Kehta hai kaisa maine tujhko dard diya
Aawaaz to le li aur apne hi insaano se katne ka sard diya


Kabhi koi sune teri to unhe yeh batla dena
Jo tu khatam ho gaya duniya se to ye shristi ne bhi nahi bachna
Chahte hai wey jeena to tera saath hi hoga
Tu khatam ho gaya to unka ghar bhi kabhi aabad na hoga


Bolna unhe tumhe kharonch bhi lage to kaise dard hota hai
Yaha to dard ke saath saath mera bin bolne wala dil bhi rota hai
Main chala jauga nahi to ek din yaha se door
Phir tum bhi aana mujhse milne swarg me jaroor


Haan maine kaala hoon par dil ka kaala nahi
Tumne kaanta mujhe par main tumhe kaatuga nahi
Waha bhi tumhe main aise hi phool aur fal duga
Tum ek baar pyaar se bolna , main phir se tumhare saath dharti pe chal duga


Composed by Aamit


------------------------------------------------------------------------------------





Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: August 05, 2011, 06:55:03 AM »
Reply with quote
very good
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #4 on: August 05, 2011, 10:12:26 AM »
Reply with quote


Wah..!! Bahut Khoob .. icon_salut icon_salut

Ish dard ko dekh dard hota hai..
kaise log itne matlabi ho gaye ke..
unhe zinda rakhne wale ko hi maar rahe hai..

bahut hi achha likha hai aapne..
Mubarak baad kubul kare.. Usual Smile

Aise hi likhte rahe..
Shukriya
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: August 05, 2011, 02:36:29 PM »
Reply with quote
Amit Jee Aadaab!

Bahut achche khayaal hai janab.. aur behad
khoob kaha hai aapne... Usual Smile

Humari daad O mubarakbad kabul kijiye..
Aur duaa karte haiN aapke is massage ko
Sabhi achche se samjh leN... Usual Smile

Likhate rahiye... Aate rahiye... Usual Smile
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 01:09:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer