Nithari Ke Kankaal

by javedarshad on January 16, 2007, 08:50:14 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 621 times)
javedarshad
Guest
Reply with quote
Insaano Ki
Barbariyat se
Dil bahut
Malool hai
Cheekh cheekh ke
Pooch raha hai
Yeh jismon ke saudager
Ye aaza ke buopari
Yeh daulat ke pujari
Dikhave ke
Zahnee bimar
Mulk ka Taqaddus
kyon pamaal karte hain
Apni zahni, jismani aur duniyavi
Hawis ki khatir
Masoom khilti kaliyoon ko
Sisakte, murjhaye
Lawaris se bachche
Jinhain
Zindagi ki bahar ne
Khizaan se santh ganth kar ke
Duniyan ke zindaan main
Qayamat se paishter
Zindagi ke jahannumi
Sholon ke hawale kar diya hai
Jin ke aaba-o- ajdad
Amiron ke atishdanon main
Ghurbat ki lakdiyan ban kar
Unke jismon ko garmate aaye hain
Aaj inki maain inki haddiyon ko
Gale ka tauq banaye
Khali jholiyan phailaye
Samaaj ke rakhwalon se
Shaher ke muhaffizon se
Apna gosht mang rahin hain
Jo sarmayadar gidh noch le gaye hain
In khoni aankhun ke
Hathon main aik sawal hai
In oonchi oonchee
Haweli ke bachche
Teen din main
Zinda-o-salamat
Tadapti maan ki aaghosh main
Dal dete ho
Aur haweli ke saiye main
PALNE WALON KE KANKAL
TEEN SAAL MAIN BHI
 NAHIN MILTE
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
main to hooN sirf ek KANKAAL....!! by ghayal_shayar in Miscellaneous Shayri
sabreena
Guest
«Reply #1 on: November 20, 2007, 08:06:28 AM »
Reply with quote
wah-wah jii bohot achha likha hai aapne
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: September 27, 2008, 02:29:25 PM »
Reply with quote
Shukria Sabreena ji


javed
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3 on: September 27, 2008, 02:36:06 PM »
Reply with quote
javed sahab,
itni behtreen rachna pe meri nazar ab tak nahi jaa payi maafi chahta hun...aapne is dukhad ghatna ko sabke samne ek "shayar" ki nazar se dekha hai, aapki paini najar aur paini kalam ke kayal hue bekarar,
likhte rahen
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: September 27, 2008, 09:23:59 PM »
Reply with quote
Javed Ji,

Bohot hi khoob...jitni taareef ki jaaye kam hai  Applause Applause Applause

Logged
javedarshad
Guest
«Reply #5 on: September 27, 2008, 11:08:38 PM »
Reply with quote
Beqarar Aur Talat Saheba
Adaab

Aap logon ki sataish aur Himmat afzai ka shukria



Javed
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: September 28, 2008, 02:53:15 AM »
Reply with quote
Bahut bahut accha likha hai aapne Jawed ji.  Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 07:01:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer