Ramzan, Diwali, Gurpurab..Inn Sab Ki Khushiyan Manao "Khwaish"

by khwaish on July 30, 2012, 03:10:00 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2016 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Main Aap Sab Ke saath Ek Aisa Vaakya Share karna Chaahta Hoon
Jis Par Meri Aankhein Nam Ho Gayi Thi..yeh Vaakya Kuch Lamba Hai
Par Isme Bahut Gehrai Aur Zindagi Ki Talk Haqeeqat Basee Hai

Yeh Kal Hi ki Baat Hai..

Main  Ek Retailer Buisnessman Hoon,
Jaise Ramzan Ki Tayaari Sab karte Hai, Naye
Kapde,naye Jhoote,Sab lete Hai, Waise Hi Mere Store Par
Kayi Kisam Ke Khareedar Aate Hai Khareedi Ke Liye,
Mere Store Par Ek Saheb Aaye Apne Do Beto Ke Saath Aaye The
Woh saheb Mujhe Aate Hi Keh Gaye Ke Beta..Mujhe Abhi Ramzan Ki
Aur Bhi Khareedi karni Hai,Jo Bhi Hai Kam Se Kam Daam Ke
Footwear bataana..Maine Kahaa Haanji..Bilkul theek Aap Baithkar dekhiye..
Ussi Dauraan Unke Paas Wali Seats Par Ek family Baithi Thi
Jo Apni Khareedi Kar Rahi Thi.. Yeh Saheb Jinhone Mujhse
Kahaa Tha Ke Kam se Kam daam Ke  Shoes  bataaye, Unke Bete
Utne Hi mehange Cheezein Utha Rahe The..Woh Saheb Apne Beto Ko Mana Kar Rahe The
Ke "Beta Yeh Naa Lo..Bahut Mehanga Hai, Abhi Kapde Bhi Lene Hai."

par Unke Dono Bete Unki Bataon Ko Ansuuni Kiye Jaa Rahe The,Uss Waqt Woh saheb Counter Par Aaye
Aur Mujhse Kehne Lage..Beta..Bache Suun Nahi Rahe Hai,Aap Daam Jitna Ho Sake Kam Kar dijiye..Yeh Unke Kahe
Hue Lafz The Ke "Beta..Meri Yeh Mehange Jhoote lene Wali Haisiyat Nahi.."
Maine Unhe Yehi Kahaa Ji,Main Poori Koshish Karunga Ke Aap Ko Kam Se Kam Daam Mein De Sakoon..
Unke Beto Ne Shoes Final Kiye..Par Woh Saheb Bahut pareshaan Se Nazar Aa Rahe The..Jeb Se Paise Nikaal Kar Giin Rahe The
Ussi Waqt Paas Wale Seats Par Jo Family Baithi Thi..Unki Khareedi Ho Chuki Thi..Woh Counter par Apna Bill Bharne Aaye..Aur Mujhe
Dheere Se Puch baithe Ke Yeh Saheb Ka Bill Kitna Ho raha Hai..maine Kahaa Lagbhag Kuch ____ Hai.Unhone Mujhse Pucha Aap Kitna Kam
kar Sakte Ho..Maine Unhe Mera Best Price Bataya.. Unhone Uss Saheb Ko Bina Kuch Kahe Apne Jeb Se paise Nikaale Aur Unka Bill
Bhi Clear Kar Gaye..Phir, Mujhse Kehne Lage ke main Jab Yahaan Se Jaaunga jab Unhe Bataa Dena Ke Unka Bill Clear Ho chuka Hai..Itna Keh Kar Woh Family Chale Gayi
Kuch Der Baad Yeh Saheb mere paas Aaye Aur Kehne Lage Beta..Mera Budget Itna Nahi hai..Dekhta Hoon Kuch Aur Saste Shoes Dila Deta Hoon Bachon Ko..
Utne Mein Maine Yeh Kahaa Ke Uncle Aapka Bill Koi Aur Saheb Jo Aapke Paas Hi Baithe The Clear kar gaye..Kuch Der main yeh baat kehkar Uss Uncle Ke
Chehre Ki Orre Dekhta Reh Gaya..Unki Aankhein Bhar Aayi Aur Unhone Bhari Awaaz Men Kahaa..

"Beta Ab Bhi Aise Log Zinda Hai iss Liye Yeh Duniya Chal Rahi Hai"..

Woh Manaa kar Rahe the Par Mere Bolne Par Woh Saheb Woh Jhoote Le Gaye..

Zindagi Mein Kabhi Kisi Ki Gar madad Kar Sako To Zaroor Karo Par DusrePar Ehsaan Samajhkar Nahi..Aapme Aur Dusre Men Fark Sirf Itna Hai Ke Aapko Khuda Ne yeh mauka Diya Hai Ke, Aap Kisi Ke Chere Par Muskurahat Ki Wajeh ban Sako..




Pehle pehle To KhwaaboN Ka Dam Bharne Lagti Hai.n
Phir Aankhe.n Palko.n Me.n Chup Kar Rone Lagti Hai.n

Ajeeb Duniya Hai Aur Ajeeb  Hai iss Duniya Ke Log...!!!!
Jeete-Jee kadar Nahi,Marne par Duniya yaad karne Lagti Hai.n

Ek Gareeb Rota Rahaa par Kisi Ne Kuch Suuna Nahi..!!!
Tadap Uthta Hai Dil, Khamoshiyan Bhi Jab Bolne Lagti Hai.N

Chadte Hue Suraj Ki Parastish Kaun Nahi Karta Yahaan
Dekh Kar Aaj Ka Insaan, Insaniyat Bhi  Darne Lagti Hai.n

Kisi Ke Liye Kuch kar Sako To Karo Par Ehsaan Naa Jataao
Ehsaan Jataane Se Andar Ki khoobiyan Bhi Marne Lagti Hai.n

Paisa-Daulat, Ghar-Jaayedaad yeh Zaroori hai par Sab Kuch Nahi..!!!
Kabhi -Kabhi Yeh Sab Cheezein Apno Se Hi Door Karne Lagti Hai.n

"Khwaish" Ramzan, Diwali,Gurpurab,Inn Sab Ki Khushiyan Manao
Par kisi Ke chere Par khili Hui Muskurahat Ki Wajeh Bhi Ban Jaao..

Yaad Rakho Kisi Ki DuayoN Se Zindagi Sawarne Lagti Hai.n


               ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
soudagar
Guest
«Reply #1 on: July 30, 2012, 04:30:27 PM »
Reply with quote
 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut isalute u sir....... aapke lafzo mein gazab ka jadu hai dil mein utarte hi jate hain aapne bahut hi umda baat kahi hai apne qalaam ke zariye....bahut khub ............isme ek sher mujhe b ahut hi zabardast laga...







Paisa-Daulat, Ghar-Jaayedaad yeh Zaroori hai par Sab Kuch Nahi..!!!
Kabhi -Kabhi Yeh Sab Cheezein Apno Se Hi Door Karne Lagti Hai.n

~~~~Khwaish~~~~~


[/quote]
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: July 30, 2012, 05:38:37 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut umda peshkash..bahut bahut badhaai.

Par jo vaakya aapne bataaya,,dil choo lene vaala hai. sirf ek muskaan laane ke liye ek ne dusre ka bill diya...na jaante hue bhi..

par jo jaante hai..vo agar muskarahat bhi cheen le jaaye to kya kahenge usko..par sab tarah ke log hai is duniya me hai.

jyada kuch kahna theek nahee.

aapne bahut accha likha hai..
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: July 30, 2012, 05:58:28 PM »
Reply with quote
Khwaish ji. Aapki khubsurat nazm parhne se pahle hi aap ke bayan kiye hue waqia ne rula diya . Aadmi ki majbooriyon aur bachon ki khwahishon ke beech compromise nahin ho pata hai , lekin aaj bhi log hain jo doosron ko khushi de dete hain . Yahi insanyat ka , har mazhab ka aur khaas taur se is maah e Ramzan ka hukm hai. Jis sharif insan ne ye nek kaam kiya,use mera salaam aur bahut si duaaein.
Logged
pawan16
Guest
«Reply #4 on: July 30, 2012, 05:59:15 PM »
Reply with quote
khawish ji slam hai apko itni pyaari rachna ke liye......i am big fan of ur writing....sach u r a great person.....
  icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut

bhut hi umda rachna hai apki................
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #5 on: July 30, 2012, 06:07:50 PM »
Reply with quote
Main Aap Sab Ke saath Ek Aisa Vaakya Share karna Chaahta Hoon
Jis Par Meri Aankhein Nam Ho Gayi Thi..yeh Vaakya Kuch Lamba Hai
Par Isme Bahut Gehrai Aur Zindagi Ki Talk Haqeeqat Basee Hai

Yeh Kal Hi ki Baat Hai..

Main  Ek Retailer Buisnessman Hoon,
Jaise Ramzan Ki Tayaari Sab karte Hai, Naye
Kapde,naye Jhoote,Sab lete Hai, Waise Hi Mere Store Par
Kayi Kisam Ke Khareedar Aate Hai Khareedi Ke Liye,
Mere Store Par Ek Saheb Aaye Apne Do Beto Ke Saath Aaye The
Woh saheb Mujhe Aate Hi Keh Gaye Ke Beta..Mujhe Abhi Ramzan Ki
Aur Bhi Khareedi karni Hai,Jo Bhi Hai Kam Se Kam Daam Ke
Footwear bataana..Maine Kahaa Haanji..Bilkul theek Aap Baithkar dekhiye..
Ussi Dauraan Unke Paas Wali Seats Par Ek family Baithi Thi
Jo Apni Khareedi Kar Rahi Thi.. Yeh Saheb Jinhone Mujhse
Kahaa Tha Ke Kam se Kam daam Ke  Shoes  bataaye, Unke Bete
Utne Hi mehange Cheezein Utha Rahe The..Woh Saheb Apne Beto Ko Mana Kar Rahe The
Ke "Beta Yeh Naa Lo..Bahut Mehanga Hai, Abhi Kapde Bhi Lene Hai."

par Unke Dono Bete Unki Bataon Ko Ansuuni Kiye Jaa Rahe The,Uss Waqt Woh saheb Counter Par Aaye
Aur Mujhse Kehne Lage..Beta..Bache Suun Nahi Rahe Hai,Aap Daam Jitna Ho Sake Kam Kar dijiye..Yeh Unke Kahe
Hue Lafz The Ke "Beta..Meri Yeh Mehange Jhoote lene Wali Haisiyat Nahi.."
Maine Unhe Yehi Kahaa Ji,Main Poori Koshish Karunga Ke Aap Ko Kam Se Kam Daam Mein De Sakoon..
Unke Beto Ne Shoes Final Kiye..Par Woh Saheb Bahut pareshaan Se Nazar Aa Rahe The..Jeb Se Paise Nikaal Kar Giin Rahe The
Ussi Waqt Paas Wale Seats Par Jo Family Baithi Thi..Unki Khareedi Ho Chuki Thi..Woh Counter par Apna Bill Bharne Aaye..Aur Mujhe
Dheere Se Puch baithe Ke Yeh Saheb Ka Bill Kitna Ho raha Hai..maine Kahaa Lagbhag Kuch ____ Hai.Unhone Mujhse Pucha Aap Kitna Kam
kar Sakte Ho..Maine Unhe Mera Best Price Bataya.. Unhone Uss Saheb Ko Bina Kuch Kahe Apne Jeb Se paise Nikaale Aur Unka Bill
Bhi Clear Kar Gaye..Phir, Mujhse Kehne Lage ke main Jab Yahaan Se Jaaunga jab Unhe Bataa Dena Ke Unka Bill Clear Ho chuka Hai..Itna Keh Kar Woh Family Chale Gayi
Kuch Der Baad Yeh Saheb mere paas Aaye Aur Kehne Lage Beta..Mera Budget Itna Nahi hai..Dekhta Hoon Kuch Aur Saste Shoes Dila Deta Hoon Bachon Ko..
Utne Mein Maine Yeh Kahaa Ke Uncle Aapka Bill Koi Aur Saheb Jo Aapke Paas Hi Baithe The Clear kar gaye..Kuch Der main yeh baat kehkar Uss Uncle Ke
Chehre Ki Orre Dekhta Reh Gaya..Unki Aankhein Bhar Aayi Aur Unhone Bhari Awaaz Men Kahaa..

"Beta Ab Bhi Aise Log Zinda Hai iss Liye Yeh Duniya Chal Rahi Hai"..

Woh Manaa kar Rahe the Par Mere Bolne Par Woh Saheb Woh Jhoote Le Gaye..

Zindagi Mein Kabhi Kisi Ki Gar madad Kar Sako To Zaroor Karo Par DusrePar Ehsaan Samajhkar Nahi..Aapme Aur Dusre Men Fark Sirf Itna Hai Ke Aapko Khuda Ne yeh mauka Diya Hai Ke, Aap Kisi Ke Chere Par Muskurahat Ki Wajeh ban Sako..




Pehle pehle To KhwaaboN Ka Dam Bharne Lagti Hai.n
Phir Aankhe.n Palko.n Me.n Chup Kar Rone Lagti Hai.n

Ajeeb Duniya Hai Aur Ajeeb  Hai iss Duniya Ke Log...!!!!
Jeete-Jee kadar Nahi,Marne par Duniya yaad karne Lagti Hai.n

Ek Gareeb Rota Rahaa par Kisi Ne Kuch Suuna Nahi..!!!
Tadap Uthta Hai Dil, Khamoshiyan Bhi Jab Bolne Lagti Hai.N

Chadte Hue Suraj Ki Parastish Kaun Nahi Karta Yahaan
Dekh Kar Aaj Ka Insaan, Insaniyat Bhi  Darne Lagti Hai.n

Kisi Ke Liye Kuch kar Sako To Karo Par Ehsaan Naa Jataao
Ehsaan Jataane Se Andar Ki khoobiyan Bhi Marne Lagti Hai.n

Paisa-Daulat, Ghar-Jaayedaad yeh Zaroori hai par Sab Kuch Nahi..!!!
Kabhi -Kabhi Yeh Sab Cheezein Apno Se Hi Door Karne Lagti Hai.n

"Khwaish" Ramzan, Diwali,Gurpurab,Inn Sab Ki Khushiyan Manao
Par kisi Ke chere Par khili Hui Muskurahat Ki Wajeh Bhi Ban Jaao..

Yaad Rakho Kisi Ki DuayoN Se Zindagi Sawarne Lagti Hai.n


               ~~~~~Khwaish~~~~~



khawaish sb. aapkii nazm to hotii hii hai achii. per jo bayaan aapne likha hai yaqeena.n aansu aa gaye . ji haan aaj bhi aise loag ALLAH paida karta hai. unn sb ko mera SALAAM aur khuda uss madad karne wale kii madad kare.amin
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #6 on: July 30, 2012, 11:49:47 PM »
Reply with quote
Wakai kisee kee madad es hee tarah kanree chaheeye kee ek hath dey toh dosrey hath ko bhee pataa na lag sakey. Beautiful kalaam.
Logged
suman59
Guest
«Reply #7 on: July 30, 2012, 11:59:00 PM »
Reply with quote
Quote

Kisi Ke Liye Kuch kar Sako To Karo Par Ehsaan Naa Jataao
Ehsaan Jataane Se Andar Ki khoobiyan Bhi Marne Lagti Hai.n

Paisa-Daulat, Ghar-Jaayedaad yeh Zaroori hai par Sab Kuch Nahi..!!!
Kabhi -Kabhi Yeh Sab Cheezein Apno Se Hi Door Karne Lagti Hai.n

Khuwaish jee pehle aapko salaam karte hai. Bahut khoob likhte hai aur yeh kalam bi bahut bahut khoob raha. jyada nahi kahungi but it is true that I am touched. Most of your creations are truly wonderful, excellant  Clapping Smiley
Do write more and more  and love to read you more and more. God bless
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: July 31, 2012, 12:48:21 AM »
Reply with quote
bahut hee khoobsoorat aur heart touching
Logged
Aarish
Guest
«Reply #9 on: July 31, 2012, 02:51:24 AM »
Reply with quote
Good one bohut sabaq amez post hai , is waqya ko share karne ke liye shukriya
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #10 on: July 31, 2012, 03:01:04 AM »
Reply with quote
Main Aap Sab Ke saath Ek Aisa Vaakya Share karna Chaahta Hoon
Jis Par Meri Aankhein Nam Ho Gayi Thi..yeh Vaakya Kuch Lamba Hai
Par Isme Bahut Gehrai Aur Zindagi Ki Talk Haqeeqat Basee Hai

Yeh Kal Hi ki Baat Hai..

Main  Ek Retailer Buisnessman Hoon,
Jaise Ramzan Ki Tayaari Sab karte Hai, Naye
Kapde,naye Jhoote,Sab lete Hai, Waise Hi Mere Store Par
Kayi Kisam Ke Khareedar Aate Hai Khareedi Ke Liye,
Mere Store Par Ek Saheb Aaye Apne Do Beto Ke Saath Aaye The
Woh saheb Mujhe Aate Hi Keh Gaye Ke Beta..Mujhe Abhi Ramzan Ki
Aur Bhi Khareedi karni Hai,Jo Bhi Hai Kam Se Kam Daam Ke
Footwear bataana..Maine Kahaa Haanji..Bilkul theek Aap Baithkar dekhiye..
Ussi Dauraan Unke Paas Wali Seats Par Ek family Baithi Thi
Jo Apni Khareedi Kar Rahi Thi.. Yeh Saheb Jinhone Mujhse
Kahaa Tha Ke Kam se Kam daam Ke  Shoes  bataaye, Unke Bete
Utne Hi mehange Cheezein Utha Rahe The..Woh Saheb Apne Beto Ko Mana Kar Rahe The
Ke "Beta Yeh Naa Lo..Bahut Mehanga Hai, Abhi Kapde Bhi Lene Hai."

par Unke Dono Bete Unki Bataon Ko Ansuuni Kiye Jaa Rahe The,Uss Waqt Woh saheb Counter Par Aaye
Aur Mujhse Kehne Lage..Beta..Bache Suun Nahi Rahe Hai,Aap Daam Jitna Ho Sake Kam Kar dijiye..Yeh Unke Kahe
Hue Lafz The Ke "Beta..Meri Yeh Mehange Jhoote lene Wali Haisiyat Nahi.."
Maine Unhe Yehi Kahaa Ji,Main Poori Koshish Karunga Ke Aap Ko Kam Se Kam Daam Mein De Sakoon..
Unke Beto Ne Shoes Final Kiye..Par Woh Saheb Bahut pareshaan Se Nazar Aa Rahe The..Jeb Se Paise Nikaal Kar Giin Rahe The
Ussi Waqt Paas Wale Seats Par Jo Family Baithi Thi..Unki Khareedi Ho Chuki Thi..Woh Counter par Apna Bill Bharne Aaye..Aur Mujhe
Dheere Se Puch baithe Ke Yeh Saheb Ka Bill Kitna Ho raha Hai..maine Kahaa Lagbhag Kuch ____ Hai.Unhone Mujhse Pucha Aap Kitna Kam
kar Sakte Ho..Maine Unhe Mera Best Price Bataya.. Unhone Uss Saheb Ko Bina Kuch Kahe Apne Jeb Se paise Nikaale Aur Unka Bill
Bhi Clear Kar Gaye..Phir, Mujhse Kehne Lage ke main Jab Yahaan Se Jaaunga jab Unhe Bataa Dena Ke Unka Bill Clear Ho chuka Hai..Itna Keh Kar Woh Family Chale Gayi
Kuch Der Baad Yeh Saheb mere paas Aaye Aur Kehne Lage Beta..Mera Budget Itna Nahi hai..Dekhta Hoon Kuch Aur Saste Shoes Dila Deta Hoon Bachon Ko..
Utne Mein Maine Yeh Kahaa Ke Uncle Aapka Bill Koi Aur Saheb Jo Aapke Paas Hi Baithe The Clear kar gaye..Kuch Der main yeh baat kehkar Uss Uncle Ke
Chehre Ki Orre Dekhta Reh Gaya..Unki Aankhein Bhar Aayi Aur Unhone Bhari Awaaz Men Kahaa..

"Beta Ab Bhi Aise Log Zinda Hai iss Liye Yeh Duniya Chal Rahi Hai"..

Woh Manaa kar Rahe the Par Mere Bolne Par Woh Saheb Woh Jhoote Le Gaye..

Zindagi Mein Kabhi Kisi Ki Gar madad Kar Sako To Zaroor Karo Par DusrePar Ehsaan Samajhkar Nahi..Aapme Aur Dusre Men Fark Sirf Itna Hai Ke Aapko Khuda Ne yeh mauka Diya Hai Ke, Aap Kisi Ke Chere Par Muskurahat Ki Wajeh ban Sako..




Pehle pehle To KhwaaboN Ka Dam Bharne Lagti Hai.n
Phir Aankhe.n Palko.n Me.n Chup Kar Rone Lagti Hai.n

Ajeeb Duniya Hai Aur Ajeeb  Hai iss Duniya Ke Log...!!!!
Jeete-Jee kadar Nahi,Marne par Duniya yaad karne Lagti Hai.n

Ek Gareeb Rota Rahaa par Kisi Ne Kuch Suuna Nahi..!!!
Tadap Uthta Hai Dil, Khamoshiyan Bhi Jab Bolne Lagti Hai.N

Chadte Hue Suraj Ki Parastish Kaun Nahi Karta Yahaan
Dekh Kar Aaj Ka Insaan, Insaniyat Bhi  Darne Lagti Hai.n

Kisi Ke Liye Kuch kar Sako To Karo Par Ehsaan Naa Jataao
Ehsaan Jataane Se Andar Ki khoobiyan Bhi Marne Lagti Hai.n  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Paisa-Daulat, Ghar-Jaayedaad yeh Zaroori hai par Sab Kuch Nahi..!!!
Kabhi -Kabhi Yeh Sab Cheezein Apno Se Hi Door Karne Lagti Hai.n

"Khwaish" Ramzan, Diwali,Gurpurab,Inn Sab Ki Khushiyan Manao
Par kisi Ke chere Par khili Hui Muskurahat Ki Wajeh Bhi Ban Jaao..

Yaad Rakho Kisi Ki DuayoN Se Zindagi Sawarne Lagti Hai.n


               ~~~~~Khwaish~~~~~


Khwaaish ji bahut heart touching dastaan bayan ki hai aapne sach maaniye to ankhein nam ho gai ise padh ke aur qalam bhi aapka bahut bahut behtrien khayalaton se bharpur raha .... Aap aise hi likhte rahiye aur allah apko aur araaish se nawaaze isi duwa ke saath dheron daad aur mubarakbaad qabool kariye...
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: July 31, 2012, 07:28:27 AM »
Reply with quote
icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut isalute u sir....... aapke lafzo mein gazab ka jadu hai dil mein utarte hi jate hain aapne bahut hi umda baat kahi hai apne qalaam ke zariye....bahut khub ............isme ek sher mujhe b ahut hi zabardast laga...







Paisa-Daulat, Ghar-Jaayedaad yeh Zaroori hai par Sab Kuch Nahi..!!!
Kabhi -Kabhi Yeh Sab Cheezein Apno Se Hi Door Karne Lagti Hai.n

~~~~Khwaish~~~~~





Saudagar Ji Aapne Apna Waqt Diya..Aapka Bahut Bahut Shukriya...Yuhi Humesha Apna Saath banaye Rakhiyega..

 icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: July 31, 2012, 08:55:24 AM »
Reply with quote
Apke introduction ne ankhein nam kar di dost..
Aur apki kalam dil ki gehrayion tak uttar gayi hai hamesha ki tarha..
Aksar kuch kalamon par ap tariff nahin karte..kyun ki tariff unn kalamon
kay samne kam hoti hai..Ap sooraj ko roshni nahin dikha sakte..
Bahaut achi kalam hai dost..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #13 on: July 31, 2012, 12:51:09 PM »
Reply with quote
Waah waah waah waah, Pehle to ye waqya dil ko choo gaya aur aapki nazm bhi kaafi sabaq yaafta hai. Bilkul agar ham kisi ki madad kar rahe hain, to uspe ehsaan nahi kar rahe. Iska matlab ye hai ke Khuda ne apne do bando.n mein se ek ko Daulat di aur doosre ko majboor kiya. To jiske paas daulat hai uska farz hai doosro.n pe kharch karna.
Logged
Dil Shah
Guest
«Reply #14 on: August 01, 2012, 11:09:49 AM »
Reply with quote
ankhe bhar ayee khawaish jiiii..... umdaa to he hi... par khas sandesh diya he apne... bachho ko or nojawano ko kii apne maa - baap ki majburiya samje... jidd na kare,,,,!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 02:03:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.173 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer