~*~ Yeh kya likh gaya ~*~ by Rahim

by dead heart on September 13, 2011, 02:20:48 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1290 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Hairan hoon, paise ne insaan ko iss kadar kaise badal diya,
Insaan chand paison kay liye, kaudi kay bhau bik gaya..

Aye the toh maa ne sikhaya tha ‘beta sabse uper ek Khuda hai,’
Zalim iss dunia main insaan paise ko Khuda kehna seekh gaya..

Log kehte the woh bane the shabnam jitni pak mitti se,
Muflisi kay sabab yahan, nek woh insaan bhi bik gaya..

Jisne bhigo diya apni rooh ko siyasat kay kichad main,
Bas ek wohi shaks system main, sukun o aram se tik gaya..

Aj bhi mazbut aur nek ehsaason par zinda hai ‘Khamosh’,
Main unn main nahin jo nekiyon kay badle, gunahon kay liye bik gaya..

Nanhe lachar kadmon se zindagi ki shuruwat hui thi,
Baap se darr lagta tha, maa kay anchal main chupa karte the,
Woh dinn the jab maa kay bina jeena bhi kya jeena tha,
Mager aj..wah re Khudai kay insaan akele jeena seekh gaya..

Wakei kuch galat mager mazbut gunaahon se bhari hai dunia,
Isse darshate , najane ‘Khamosh’ yeh kaisa kalam likh gaya..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: September 13, 2011, 03:53:36 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Rahim Sahaab Aadaab!


Behad khoob aur umdaa kalaam likh diyaa aapne..
Just mindblowing... Janab...

Aur bhi khayaal add karte to mazaa aa jata...
Humari dili daad O mubarakbad kabul kijiye..

Aaj aise hi khayaal meiN the keY yaar yeH paisa banaaya
kisne hoNga...  Is it SO!
Zarur woH aisa shateer hoNga ke insaaN ko gulaam banaane
ka tareeka usne socha hoNga....  In hi khayaaloN meiN
Kuch ashaar humare bhi zaheN meiN bante chale gaye..
So sab se pahele aapki hi nazar kar dete hai.. Usual Smile



WoH aise ban gaya hai jaise koyiN bhagwaan hai
Is jahaaN meiN paise ke piche har insaan hai

ChutkiyoN meiN hal ho jaati hai unki masaaileN
Bus paisa dikhaao unko jo bhi pareshaan hai

Budhe bachche nou jawaan mard ho yaa aurat hoN
Duniyaa meiN kouN baato paise se anjaan hai


         



Likhate rahiye... Aate rahiye..
Khuda Hafez...          

Logged
sarfira
Guest
«Reply #2 on: September 13, 2011, 04:33:18 PM »
Reply with quote
wah Rahim sahab waah--

aapki ye baat anokhi hai ki aap !khamosh! rah kar baht kuch kah jate hain

aur janaab kya khoob kahte hain wah wah--

apni kalaamo me aap kuch english words put karte hain jo bht khub hota hai.

daad kubul karen Sahab
dil se daad
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: September 13, 2011, 06:53:07 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Rahim Sahaab Aadaab!


Behad khoob aur umdaa kalaam likh diyaa aapne..
Just mindblowing... Janab...

Aur bhi khayaal add karte to mazaa aa jata...
Humari dili daad O mubarakbad kabul kijiye..

Aaj aise hi khayaal meiN the keY yaar yeH paisa banaaya
kisne hoNga...  Is it SO!
Zarur woH aisa shateer hoNga ke insaaN ko gulaam banaane
ka tareeka usne socha hoNga....  In hi khayaaloN meiN
Kuch ashaar humare bhi zaheN meiN bante chale gaye..
So sab se pahele aapki hi nazar kar dete hai.. Usual Smile



WoH aise ban gaya hai jaise koyiN bhagwaan hai
Is jahaaN meiN paise ke piche har insaan hai

ChutkiyoN meiN hal ho jaati hai unki masaaileN
Bus paisa dikhaao unko jo bhi pareshaan hai

Budhe bachche nou jawaan mard ho yaa aurat hoN
Duniyaa meiN kouN baato paise se anjaan hai


         



Likhate rahiye... Aate rahiye..
Khuda Hafez...           


Janab Parwaaz sahab,
Teh teh dil se shukriya..
Aur bhi khayal..umm bas itna hi likh saka..
Apne saath diya, bahaut mayne rakhta hai..

Apki lines, parr kar dil khush hogaya..
Bahaut khubsoorat aur sach likha hai..
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: September 13, 2011, 07:57:13 PM »
Reply with quote
wah Rahim sahab waah--

aapki ye baat anokhi hai ki aap !khamosh! rah kar baht kuch kah jate hain

aur janaab kya khoob kahte hain wah wah--

apni kalaamo me aap kuch english words put karte hain jo bht khub hota hai.

daad kubul karen Sahab
dil se daad
Janab,
Apka teh teh dil se shukriya..
Yeh toh dekhne wale ki nazar hai jo kisi
ko acha toh kisi ko bura banati hai..
Ap itna pasand karte ho humari kalamon ko,
main iss baat ka apse shukriya karta hoon..
Bas yunhi saath dete rahiyega..
Aur english words ki baat rahi, toh haan kabhi
kabhi use kar leta hoon..
Khush rahiye..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: September 14, 2011, 09:07:53 AM »
Reply with quote
Hairan hoon, paise ne insaan ko iss kadar kaise badal diya,
Insaan chand paison kay liye, kaudi kay bhau bik gaya..

Aye the toh maa ne sikhaya tha ‘beta sabse uper ek Khuda hai,’
Zalim iss dunia main insaan paise ko Khuda kehna seekh gaya..

Log kehte the woh bane the shabnam jitni pak mitti se,
Muflisi kay sabab yahan, nek woh insaan bhi bik gaya..

Jisne bhigo diya apni rooh ko siyasat kay kichad main,
Bas ek wohi shaks system main, sukun o aram se tik gaya..

Aj bhi mazbut aur nek ehsaason par zinda hai ‘Khamosh’,
Main unn main nahin jo nekiyon kay badle, gunahon kay liye bik gaya..

Nanhe lachar kadmon se zindagi ki shuruwat hui thi,
Baap se darr lagta tha, maa kay anchal main chupa karte the,
Woh dinn the jab maa kay bina jeena bhi kya jeena tha,
Mager aj..wah re Khudai kay insaan akele jeena seekh gaya..

Wakei kuch galat mager mazbut gunaahon se bhari hai dunia,
Isse darshate , najane ‘Khamosh’ yeh kaisa kalam likh gaya..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

Bahut Bahut Khoob Bhai Rahim..

Bahut Acha Likha hai aapne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: September 14, 2011, 02:01:34 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Bhai Rahim..

Bahut Acha Likha hai aapne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukriya Shukriya Khwaish dost..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 06:35:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer