about myself...

by Pallavi Gupta on April 26, 2010, 06:02:10 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1043 times)
Pallavi Gupta
Guest
Hello.....all the POETS of Yoindia....

I am Pallavi. I am not a poet but just write what comes in my mind at my workplace or wen i sit lonely.

Its first time when i share my poems with all.So, if u all think that i need improvement than suggest me. Its not my profession, i am just writing coz i think its a good way to refresh our mind.

Whenever i start writing, i forget the world,i forget what happened around me.....i write by my heart....& i think that a good poet can't write good poem if he/she think by using brain.....poem is the feeling which comes from heart..... Usual Smile

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: April 26, 2010, 06:47:49 PM »
Hi Pallavi ji,

Welcome to Yoindia. I have seen your poems. You write good. Here most of us are not professional poets. Same goes for me. It's just a hobby or u can say a way to get lost.

Yes good poems are made only when the words come straight from the heart. Poems never get their sweetness when we write from our mind. There is a huge gap between our heart and mind.  You have truly said that poem is the feeling that comes from the heart.

Keep writing and hope would see more and more of your poems in our world of "YO". All the best.

with warm regards
Kapil
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: April 27, 2010, 07:17:00 AM »
Welcome to Yoindia Pallavi Ji

Aap ki peshkash bahut achchhi hain
Bas yun hi likhte rahiye
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: April 27, 2010, 11:26:32 AM »
Pallavi ji Yoindia mein aapka SWAAGAT hai. Seekhne se sab kuchh aa jaata hai. Kavita likhne ke baare mein aapne sahi farmaya ke ye dimagh se nahi dil se likhi jaati hai. Kavita seekhne ka ek aasaan tariqa hai mash-hoor shayaron/kaviyon ki rachnayen padhna aur un par vichaar karna. Definitely you will feel improvement. Thanks.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: July 05, 2010, 04:29:24 PM »
Shayeri ke baare meN mera apna nazariya hai. Ho sakta hai kuchh logoN se alag bhi ho.
MaiN samajhta hoN ke kisi na kisi cheez se mutassir ho kar bhaavnaayeN, feelings,aur jazbaat har insaan ke dil meN paida hote haiN, lekin in jazbaat aur feelings ke dil meN paida hone par har insaan ko shaayer ya poet nahiN keh sakte.
Poet usko kehte haiN jo apni bhaavnaaoN/feelings ko(aik khaas andaaz meN)doosroN ko samjhaane ka hunar rakhta ho, jis ke liye use shabdoN (words) ki zuroorat hoti hai. Words insaan ki zubaan(language)par depend hote haiN. Aur zubaan ko adabiyyat aur qavaaid ke saath (with rules & Regulations)use karne ke liye dil ki nahiN dimaagh ki zuroorat hoti hai.
 To poetry sirf bhaavnaaoN ya feelings ko nahiN keh sakte. balke poetry bhaavnaoN aur-un bhaavnaaoN ko doosroN tak pahuNchaane waale-shabdoN se milkar banti hai. is liye ye kaha jaa sakta hai ke poetry meN dil aur dimaagh donoN ka apna apna kaam hai. Agar achchhi bhaavnaayeN haiN aur achchhe shabd nahiN haiN to baat(shayery) asar(hit) nahiN karti. Isi tarah agar achchhe shabd haiN lekin achchhi feelings nahiN haiN tab bhi baat(poetry)samajh meiN nahiN aati.
Feelings aur words donoN se milkar shayeri banti hai aur is ke liye kisi aik se kaam nahiN chal sakta dil aur dimaagh donoN ki zuroorat hai.
Ye kaha jaa sakta hai ke poetry ke liye pehle feelings, phir words. Lekin donoN aik doosre ke liye zuroori haiN.
Agar zara aur jur at(himmat) karke kahoN to ghalat na hoga ke "poetry kabhi 2 feelings(dil) par depend na hokar tasavvur/imagination(dimaagh par depend hoti hai, jis ka dil se koi link nahiN hai...........................................
................................................. .......mere nazariye ke baare meN aap ka jo bhi khayaal ho zuroor likhiyega. Aap ke comments mere liye bohot laabh daayak aur mufeed ho sakte haiN.
Aap sab ka Dost   
  Haider
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #5 on: July 09, 2010, 04:44:06 PM »
Haider

U r rt


sahyeri ke liye bhi sahi lafz aur pabandiyab zaroori hai.Uske baghair shayeri nahin ho sakti
is se apne ko alag rakhne walon hi azaad nazm ko raij kiya hai. jis se shayeri ka door ka bhi wasta nahin hai



javed
 
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: July 10, 2010, 11:21:56 AM »
Haider

U r rt


sahyeri ke liye bhi sahi lafz aur pabandiyab zaroori hai.Uske baghair shayeri nahin ho sakti
is se apne ko alag rakhne walon hi azaad nazm ko raij kiya hai. jis se shayeri ka door ka bhi wasta nahin hai



javed
 
Javed Arshad saahib Aadaab !
MoHtaram Mujhe aap ki be chaaragi pe intihaayi afsos hai. Wo is liye ke aap apni baat waazeh nahiN kar paa rahe haiN. Jo kuchh aap ne kaha hai us se mera kitna ta'lluq hai, aur maiN kis tarah qawaaid ki ria'ayat nahiN karta, mataalib o mafaaheem ke ia'tibaar se ya shraait e a'ammah ke ia'tibaar se aap meri kisi kaavish meN nishaan dehi to kareN ke yeh baat is tarah qawaaid ke khilaaf hai, tabhi to maiN aap ko kuchh jawaab doNga aur tabhi to aap ki baat saabit hogi.
Aap isi tarah bila vajah apne aap ko kyoN pareeshaan kar rahe haiN? Kuchh suboot pesh karo bhai.
Aur yaad rakhna ke abhi maiN aap ki kaavishaat ke baare meN baRe nek aur musbat khayaal liye huve hoN.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 03:21:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.333 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer