Ek pehchan mujhse bhi...

by asif biswas on July 09, 2019, 12:03:52 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 777 times)
asif biswas
Guest
Dosto namaskar assalaawalekum hello main hoo asif biswas....jise aap log kareeban shayad 10 saal se jaante ho....yakeenan ye 10 saal kaise guzar gaye? wo bhi yoindia ke saath maalum nahi jaha maine kalam pakadna sikha jahan maine kahaniya likhna sikha....jahan se main ek amateur writer se ek professional writer mein tabdil hua...it's really really proud to be on a platform where u have learnt a lot of things....as i was so passionate about story writing ki socha nahi tha ki kabhi writer ban jaunga....

itne waqt se main sirf kahaniya likhta aaya hoo lekin kisi ko mere baarein mein maalumat zyada nahi hai....khair main hi batata chalu maine yoindia forum mein stories likhna mehez 14 saal ki umar se shuru ki thi....aur isse pehle maine kuch ek thriller story se apni writing ki shuruwat ki jiska naam tha 'ek aurat ki chahat love lust and murder'....uske baad wo pehla anubhav tha jab maine ek bare logo waali kahani likhi thi jsimein thrill tha adultery concept tha jo ki yakeenan kaafi azab baat thi...

uske baad yoindia pe dev ki love story by shally naam ki ek writer ki kahani maine yaha padhi thi uske baad hi jaise yoindia se main tarruf ho paya...yaha maine paya ki zyadatar shayariya hai to maine socha kyu na yahi se dev ki love story ke baad koi apni stories shuru karu....haalaki dev ki love story aaj bhi adhuri hi hai khair toh fhir maine yaha se apni kahani ki shuruwat apni pehli 2010 ki thriller story khooni dil se shruuwat ki....mujhe oos waqt sahi se likhna bhi nahi aata tha kyunki wo mera anubhav shuru hua tha...

khooni dil ke safalta ke baad maine horror stories ki taraf apna rukh kiya oosi dauran maine ek anay site ko join kiya aur waha ke liye kahaniya likhi jo aaj itne waqt baad band ho chuki hai...uske baad 2010 se main lagatar har saal yoindia ke liye kahani likhte aaya chahe wo horror romantic drama ya fhir thriller rahe...yahi se mujhe pehchan mili logo ne meri official fb id pe bhi mujhse baat ki oonhein yakeen nahi hua ki ye main hi hoo jo yoindia pe itne waqt se kahaniya likh raha hoo....aur wo mere horror stories ke bahut diwaane they aur yahi wajah thi ki aaj bhi aap google pe search kare to asif biswas type karte hi aapko asif biswas ki stories,asif biswas ki daravni kahaniya ya asif biswas ki all stories kuch aise options likha aayega khair ye shayad yoindia ka fazal tha allah ka karam tha jo itne waqt mein main itna famous hua

haalaki maine yoindia se zyada anay sites pe kahaniya likhi hai aur erotica writer bhi raha hoo jo kahaniya zyadatar site ke band hone pe idhar udhar chori karke post kar di gayi hai dukh hota hai par jab aap itni mehnat karke kahi likhte ho aur wo site ekdum se band ho jaaye to yakeenan bahut dukh hota hai...

khair mujhe ab bhi yaad hai ki 2010 ke dauran maine ek horror story ''fear- a disloyal love'' horror story likhi thi aur us dauran mere ek reader they jo parwaz naam ke they aaj bhi oonka comment oos story forum pe hai ki mujhe yakeen hota hai ki ek 14 saal ka ladka aisa kuch likh sakta hai jo ki lagta hai kisi bade aadmi ne likha ho mere liye wo sabse memorable baat thi aur oonhone ye bhi kaha tha ki yaha aapke jaise writers bahut kam hai...oos din ke baad se mujhmein aur confidence aaya readers judte gaye main yoindia pe likhta raha aur aaj itne waqt baad kahaniya almost chodh dene ke baad bhi jaise yoindia se guzarna kabhi main bhula nahi

main to chahta hoo ki yoindia ko mujhse bhi acche writers mile...readers oonhein support kare comment kare oonke kahaniyo pe aur oonhein aise hi motivate kare....

Aap log ko malum chal hi gaya hoga ki main writer kaise bana? yoindia se shuruwat aur fhir alag alag forum pe kahaniya...sirf kahaniya likha nahi hoo balki meri ek story ko audio ka bhi roop mila hai jo ki main nahi chahta tha ho par bhagyavarsh ittefaq se ho gaya tha jise main yaha mention nahi kar sakta...maine apne bengali language pe bhi kahaniya likhi...jismein itni apaar safalta mujhe nahi mili bengali readers bhi jo mere hindi kahaniya hoti thi oonhein padhte they...yoindia aisa forum hai jaha har desh ke log padhte hai ye main kehta hoo..pakistan india obviously..aur bangladesh aur bhi kayi desho se log jo hindi readers hai wo padhte hai....

ab personally kahu toh ibne safi ki diler mujrim padkar jab maine delhi ek publishing house ko kaha tha ki aap meri ek kahani ko chaapiye to oonhone urdu font mein kahani maangi thi jo ki mujhe likhni aati nahi thi aur na mujhe urdu ka itna anubhav hai to oos rejection ke baad internet se rubaru hone ke baad jab websites pe likhne laga to overall har jagah pehchan ban gayi jo ki waaqayi ek fakr ki baat thi jo ki shayad meri oos ek chapi kitaab se mujhe nahi mil sakti thi...

agar present ki baat kahu to maine kahaniya likhna chodh diya kyunki jis website pe main zyadatar likha tha wo site band ho chuki thi aur meri overall 20 above stories deleted ho chuki thi jinhein maine ek aad recover karke yaha post kiya jaise dardnaak cheekh aur hifazat a thriller love tale....aur bahut si kahaniya anay forum pe copied posted mili to mera dil tut gaya haalaki personally main kaafi depress rehta hoo kyunki zindagi ke upside downs bahut zyada hai to ek lekhak kabhi utna concentration se likh hi nahi sakta main guarantee deta hoo aur jo likh le oos haal mein bhi wo sach mein legend hai...

surendra mohan pathak jo ki crime thriller novelist ek legend hindi writer oonko main apna guru maanta hoo mujhe ibne safi ki bhi novels bahut acchi lagti hai in sabse aapko kuch sikhne ko milta hai halaki jab maine shuruwat ki to aap padh sakte hai ki kitni galtiya mistakes errors meri kahani mein hai par hum galtiyo se sikhte hai yahi maine yaha sikha hai oonhein galtiyo se aaj main kahi na kahi as a story writer jaana jata hoo toh yahi ek bahut bari baat hai...stories ke baad maine yaha ke members ki tarah shayari bhi koshish ki haalaki meri kuch shayari mein dard tha due to my personal experience of love hahahaha so haalat se hi insan sab sikh jata hai maine shayari sikh li aur stories to anubhav ne kara diya  Usual Smile

toh umeed karta hoo ki in future yuhin aata rahu aur aap sabko apni nayi nayi kahaniyo se rubaru karata rahu....aasha karta hoo mujhse huyi jaan pehchan se aap rubaru huye honge yoindia live long...aap sab members yuhi aate rahe aur apna contribution bhi de in the form of stories,shayaris etc aur yoindia ka shukarguzar karunga ki oonhone mujhe ek pehchan di...thanks for reading guys take care bye...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
PEHCHAN LO........ by masud in Shayri for Khumar -e- Ishq
pehchan by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
pehchan lo by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
PEHCHAN.mb by marhoom bahayaat in Miscellaneous Shayri
pehchan by saahill in Share:Love Poetry
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: July 09, 2019, 03:43:34 PM »
Shukria main ne aapko YoIndia par parhhaa hai.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: July 09, 2019, 05:51:22 PM »
Shukria main ne aapko YoIndia par parhhaa hai.

Thanks janaab
Logged
Nahid Ayaz
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
16 hours and 0 minutes.
Posts: 85
Member Since: Aug 2019


View Profile
«Reply #3 on: October 17, 2019, 07:52:54 PM »
 Clapping Smiley love4 you are the best one writer or shayar....  i hope good luck in future more people added u bcz of ur passion of unique writing style...bro


your  sis..
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: October 25, 2019, 06:17:12 PM »
Clapping Smiley love4 you are the best one writer or shayar....  i hope good luck in future more people added u bcz of ur passion of unique writing style...bro





your  sis..
Quote from: Nahid Ayaz link=topic=128384.msg1593920#msg1593920
date=1571341974

 Clapping Smiley love4 you are the best one writer or shayar....  i hope good luck in future more people added u bcz of ur passion of unique writing style...bro


your  sis..


Thank you for ur beautiful words sis  notworthy
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 02:45:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer