Competition for the Month of Sept.09 On nazm

by javedarshad on September 01, 2009, 01:22:16 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 7956 times)
javedarshad
Guest
This month ie. for the Month of September 2009, we have competition on Nazm. This competition again like previous one, we are giving you an introduction for the Nazm so that participants can also get to know about Nazm.  In last competition many members who regularly write on Yoindia Shayariadab had not given their entries but hopefully this time everyone take part in the


More than a competition, this is a learning experience for us. Through this Yoindia is trying to spread knowledge about urdu poetry . So the details for the competition follows after the Introduction to Nazm.

What is Nazm - Nazm kya hai - An Introduction

Nazm ke lughavi maa'ni hain "Ladi" Ya pirona.(Its meaning literally means a series / chain). Nazm ko aik hee mazmoon (subject) per bayaan kiyaa jaataa hai. is kaa har shai'r ek doosre se (jude hua )wabasta  hotaa hai aur sab mil kar aik hi mazmoon (subject) bayaan karte hain aur nazm ka aik hi unwaan hotaa hai.

Nazm mein Maqte kee koi pabandee nahin hotee. Yanee akhir main aap jo takhaloos aakhri shair mein likhte  hain wo zaruri nahi hai.

Nazm mein tasalsul yaani ki "Flow" bahut zaroori hai ,aur padhne wale ko bandhe rakhna nazm ke behtareen hoone khususiyat hai.

Ismain bahr ya radeef o qaifiye ke koi khaas ahmiyat nahin hai.

Aaj ke daur ki nazm khalis taur pe aazad nazm hai yaani nazm koi ek bandha hua pattern nahi hai, zyadatar aaj ke shayar Azaad Nazm ya dusre lafzon main wo nazm ka pattern jo aapko bandhe rakhe, jisme tasalsul (flow) how per koi definitive pattern nahi hai. Nazm ki tashreeh aaj ke daur mein kerna zara mushkil hai her jogadri ka apna aik nuktaiye nazer hai jis ko woh dosre per thoopne ki Nakaam koshish karta hai.

Doosre bhi aqsaam hain jinmein loog misron ko aik doosre ke humwazan aur mumkinah qafiye se humpalla kerte hain aur ziyadater her shair usi wazan ka ho zaroori nhain hai bas jo subject ya mazmoon hai uska tasalsul na tute. Yaani kuch log aise bhi hai jo nazm main kaafiya aur sher ko balance rakhte hai kuch hadd tak. Yaani unki nazm ke pehle 2 se 4 misre humpalla aur humwazan hote hain leekin jadeed yaani aajkal iss qavaied ko tood diya gaya hai aur her shayar ka nazm kehne ka apna andaaz hai.

Yahan ek Nazm aapki sahuliyat ke liye pesh hai joki mahshoor urdu shayar Iftikaar Arif ne likhi hai.

Pata nahin kyon…..
Pata nahin kyon main chaheta hoon, ke jab bhi koi khwab dekhoon
To raat meri amanatein meherbaan suraj ko saunp jaye
Pata nahin kyon main chaheta hoon
Pata nahin kyon main chaheta hoon, jab duaon ko haath uthe to
Koi mere bulaand haathon mein phool rakh de
Pata nahin kyon main chaheta hoon
Pata nahin kyon main chaheta hoon, ke ab mere aahed ke muqadar mein jitney aasun hai
Meri aakhon mein jasb ho jaye, aur tarkash mein jitney teer hain
Mere seene mein toot jaye
Pata nahin kyon main chaheta hoon





Aap ki aasani ke liye nazm aur daal raha hun


Kaun ho tum
Jo khawabon mein samana chahete ho
Kaun ho tum
Jo murda dil ko zinda kerna chahete ho

Shaid tum ko ilm nahin
Yeh luti Hasratoon ke
Nakaam armaanooN ke
KangalooN ki basti hai
Yahan nahin kahin
Piyaar hi bheek mein milta hai
Aur nahin kahin
JazbooN ki qadr hooti hai

Han ager tum ko
Chakna choor khuwab dekhna hain
To zaroor aau
Han ager tum ko
Tadapte Ehsasaat dekhna hain
To zaroor aau

Zindagee ke Ubelte nasoor zaroor dikha sakte hain
In nasooron se riste huye betabeer khuwab,
Tadapte jazbaat zaroor dikha sakte hain

Yahan ke maikade bhi ajeeb hain
HathooN mein hasratooN ke jaam
Koii Apni aabroo peeta hai
Koii apni hammiyat peeta hai
Koii apni begunahi peerta hai

Yahan ke Qabristanoon mein
Zindagee ne tarah tarah ke mazaarsaja rakhain hain
Kaheen chahatain dafn hain
Kahain ummeedoon ka marqad hai
Kaheen aarzuoon ka mazar hai
Kaheen khuwaboon ki panah gah hai

Tu kaun hai jo is
base basaiye qabristaan mein
Weerani phailane aaya hai
Yahan koii dil pighalne wala nahin
Kuin ke azal se sare dil murda hain
Khuda ne in ujde ,khizaan raseeda
Jazbaat, Ehsasaat aur Khuwaboon ko
Aisa mukammal ikhtiyaar diya hai
Ke kisi chaman mein bahar aahi nahin sakti
Aai mere khuwaboon mein samane wale
Aai mere dil mein basera dhoondne wale
Ja jaker apni tadapti khushiyooN ko
Jake Gale laga le
In khizaan raseeda wadiyoon se
Bahut door apna nasheman banaley

Javed

Aik Aur Nazm  ( Parveen Shakir Saheba ki)

Aik taraf suhaag hai`
Aur doosri taraf
Rooh ko jalane wali aag
Khud per barf girte dekhti rahun
Keh raushni ka hath thaam loon
Aai Khuda-e-aab-o-naar
Mera faisla suna
Zinda dafan hun
Keh zindagee ka hath thaam loon


Further Explanation of Nazm

To explain more, Nazm in Urdu language is basically a form of poetry that has a smooth flow of rhyme and rhythm and is written in verses. These verses are usually in continuity to maintain a flow of thought, unlike Ghazals, in which verses have their independent meaning and can portray feelings independently without depending on the next of verses.

The pattern of writing ghazal is changed in new world. The Nazm in Modern world is more liberal. In older times, the Nazm used to have some rythm and some sort of pattern which was visible in writing of most of the poet of that time. But Now a Nazm means a poetry which is on single subject but without any boundation and or restriction.

Several poets have developed their own style and they tend to follow their own pattern. Hence, there is no definitive guide to explain a Nazm. If you have something to write and you are ble to maintain a poetic flow in it then its a Nazm in modern world. Other than Ghazal, Nazm is one of the most famous and widely used form of Urdu Poetry.

You can understand a Nazm by reading famous poet and if you want to write then try to follow a poetic pattern in it and read it yourself and if you find it in flow and you are able to read it without any break then its your Nazm. Remember, a Nazm has no boundation of Maqta and not even Radeef Kafiya but you can use it on your wish and requirements.

This sum up my explanation for Nazm, however if you have any question or doubt then feel free to ask. If any suggestion then would like to add it here. Now lets move to the rules.

Some Rules Regarding Submission
1. Only one Nazm per member is allowed.
2. You can only submit a new fresh Nazm, old posts  or already published Nazms are not allowed.
3. If there is any mistake (u think ) there , then can be corrected , however, you can not change your submitted Nazm with another one.
4. Nazm main kam se kam  5 misre hona zaroori hain ie. roughly should have 5 stanzas at minimum, for maximum there is no limit.
5. Only submit your original Nazm, if you submit Nazm of any other poet then you will be disqualified.
6. Its a request to read Introduction to Nazm so that you can submit a Quality Nazm, submissions those are not in proper format will be disqualified.
7. There is no definitive subject, you can submit Nazm on any topic.

Winners and Prizes
1. Judges will select top 3 Nazm.
2. Winners will be given certification and there will be some prizes too (we are still working on them).
3. Decision of the Judges will be the last decision, no one can challenge it.
4. This time submission of Nazm/ Poetry will be via PM, Please send your Nazm through PM to "iAdmin".

Aur koi baat rah gayee ho to pochne mein koi hichkichahat na kare nacheez hazir hai. Agar Nazm ke baare main koi sawaal jawaab ho toh aap Yahaan pooche
Note: You can only submit Nazm when you are logged in to Yoindia
CLICK HERE TO SUBMIT Your Nazm NOW through PM
Shukria
Javed



This time all submission will be accepted through PM ie. send PM to iAdmin with Subect : Nazm Contest Sept 2009.
You may use this thread as discussion / question - answer related to the contest.





Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #1 on: September 01, 2009, 01:57:59 PM »
main hissa le sakti hu naa javed ji....iss baar non posted nazam hi post karungi...
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: September 01, 2009, 02:26:54 PM »
kuin nahi isi liye hai sab hissa lain



tx
Logged
sapana
Guest
«Reply #3 on: September 06, 2009, 04:38:22 PM »
Javedbhai,

aapse saval tha ki meri koi gazal jo yoindiame published nahi hui lekin mere blogme publish hui hai voh gazal hissa le sakati hai?

sapana
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #4 on: September 06, 2009, 04:43:00 PM »
Han aap apni nazm yahan post ker sakti hain
yeh comp. ab nazm ka hai ghazal ka nahin




javed
Logged
sjid hadayat
Guest
«Reply #5 on: September 07, 2009, 11:14:14 AM »
Sub doston ki khahish pay mien apni nazaam Competition mien Shamil ker rahah hon umeed hay aap logon ko bhe pasand aay gi..

Ager tu ju chahay

Ager tu ju chahay

Mera ji tu chahay
Ye chanda sitaray
aanchal pay tumharay
mien taanQ doun.....
 
Mera ji tu chahay
Ye saray nazaray
tumhien apnay rub say
Mien maang doun.....
 
Ye chanda sitaray
Ye saray nazary
tumhien sounp ker
ager  tu ju chahay
tumhien apnay Rub say
Mien Maang Loun?


(Poet: Sajid Hadayat)
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #6 on: September 07, 2009, 06:39:22 PM »
Mr. Sajid Hadayat, I have to mention once again that this time submission should be through PM but not as reply here. Also your Nazm is too short for submission, it should have atleast 5 misre.

Logged
MHussain
Guest
«Reply #7 on: September 07, 2009, 07:50:28 PM »
Very good such contests can boost members moral and courage.
Well written tutorial Mr. Javed.
Best wishes, do your home work before submission, it will increase your chances of to become winners.
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #8 on: September 07, 2009, 09:31:53 PM »
Shukria Husain Sb


Bhai aap loog PM per rawana karain post
koi sawal ho to yahan post karain


Han aik baat aur last date of submission is last day of Month Yani Sept.09
javed
Logged
fairykhan
Guest
«Reply #9 on: September 18, 2009, 06:17:14 AM »
PM KIA MTLB....
MATLAB KAHAN POST KAREN..INFACT ABHI MUJE YAHAN KI ITNI INFORMATION NAI HAI...AP PLZ MERA MAZAK NAI URANA KABI ISY ITNA B NAI PATA...PLZ GUIDE ME...JAVED SAHEB
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #10 on: September 18, 2009, 09:12:56 AM »
Fairy ji

Is mein mazaq udane ki kaun si baat hai. bahut si batain humko bhi nahin pata to poocha hi kerte hain.
Han ager aap ne Nazm ki posting ke bare main pahli posting ager ghaur se padh li hooti to pareshani na hooti.
ab aap 1st posting per jain wahan aik link hai us per click ker ke Post ker sakti hain

Kisi bhi qism ki baat ho be takaluf pooch liya karain.
shukria

javed
Logged
Taasir siddiqui
Guest
«Reply #11 on: September 28, 2009, 06:11:03 AM »
MAIN taasir siddiqui apni nazm pm ke through submit nahin kar pa raha, why pm is not allowed to me? pls reply
Logged
Taasir siddiqui
Guest
«Reply #12 on: September 28, 2009, 06:17:28 AM »
javed sahab ab tak main aap ko do mail bhej chuka hun lekin aap ne jawab dene ki zehmat nahin uthai kya koi khafgi hai humse.  kuch sawalaat hain zehan me ussi ke bare aap ko mail bheja hai. koshish karen hume bhi aapki islaah mayassar ho. shukriya!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #13 on: September 28, 2009, 06:23:03 AM »
Sir kya hume itna batayenge ki is compition ke liye hume kahi jana hoga kya plz sir help me hum bhi apni nazam jarrur pesh krna chahenge plz help me javed ji ?
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: September 28, 2009, 06:31:11 AM »
MAIN taasir siddiqui apni nazm pm ke through submit nahin kar pa raha, why pm is not allowed to me? pls reply

Taasir Siddiqui ji, aapko PM mila mera? Kya aap samaj gaye?
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 10:20:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer