competitions?

by bekarar on October 05, 2008, 03:19:26 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 3982 times)
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #15 on: November 19, 2010, 11:03:55 AM »
ye mukabla kabhi shuru anhi ho paya kyaa...

nahi hua to ab kar lo~

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Competitions are back with new charm:Kindly nominate by iAdmin in Yoindia's News and Announcement
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: November 19, 2010, 11:14:46 AM »
No Comments
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #17 on: March 17, 2011, 04:51:34 PM »
I Agree.....
There should be competitions.....
Its must for Decorating your poetry talent....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #18 on: December 27, 2011, 06:24:06 PM »
Sanjeev Bhai Aadaab!


Janab bada achcha socha hai aapne ke koi competition ka jari karna
zaruri hai.. hume bhi lagta hai ke yahaaN koi adabi aur ilmi muqablaa ho..
Waise bhi yahaaN regular aane waale secdoN member's hai jo kuch likhate
to nahi hai par padhne ka lutf lete haiN... Aur jo naye sikhane wale haiN
aise muqaabloN se jaldi sikh lete haiN.. Usual Smile

Hum aapki baat se sehmat haiN dekheN Admin Sahaab kia rai dete haiN.. Usual Smile

Hope hum yahaaN jald hi competition ki shuruaat kareNge. Usual Smile
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP   



Ahl e bazm Aadaab!
BaRi Khushi ki baat hai dosto ! KyoN ke ye muqaabila i'lmi aur adabi hai, is se sab ko hi faayeda hoga. Baat sirf jeetne ya haarne ki nahiN, balke kuchh seekhne aur sikhaane ki hai. Agar is muqaabile ko saheeh zawaabit o qawaaid ke saath shuroo kiya jaaye to yaqeenan ye bohot mufeed saabit hoga.
Lekin....
1-muqaabila kis ka hai? Nazm, nasr, ghazal, qata, rubaayi....... Sinf e sukhan mua'yyan honi chaahiye.
2-muqaabile meiN jo sinf e sukhan di gayi hai us ke a'laawah deegar asnaaf ko muqaabile se khaarij kiya jana chaahiye.
3-Muqaabile ke liye muqarrar sinf e sukhan ke lawaazimaat( sharaait) ki wazaahat ki jaaye, taake shareek hone waale afraad ye samajh leN ki kya pesh karna hai aur kya pesh nahiN karna hai.
4-Taake muqaabile ka saheeh result nikaala jaa sake, judges ka intikhaab bhi soch samajh kar kiya jana chaahiye. Mera maqsad ye hai ke jo judge ho use kam se kam ye to pata hona chhahiye ki muqaabila kis cheez ka hai? Us ke kya sharaait hain? Aur jis kalaam ko us ne chuna hai, wo doosroN se kis liye behtar hai?
Aur isi tarah muqaabile ko mufeed banaane ke liye aik naya poll lekar sab ki raaye jaan lene ke baad kaam shuroo karna chaahiye.

Sab ka khair khwaah  :  Haider

Gulaam Hyder Sahaab aadaab O Salaam!


Aap jaise khub sukhanwar bhi is mehfil meiN hai jaankar badi khushi huyi..
Janab aapki baatoN se hum sow fisad ittefaq rakhteN hai par.. mehfil ke
digar ahbaab aur naye likhane waaloN ko nazar andaaz nahi kiyaa jaa sakta..

So muqaable ke baare meiN aur sochna padeNga hume.. Usual Smile
Khair aate rahiye .. Khush O aabaad rahiye..
Khudaa Hafez.. Usual Smile     

Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #19 on: November 08, 2012, 12:54:36 AM »
is post ko ab bahut waqt ho chuka hai, par shayad koi faisla hi nahi ho paya, waise maiN parwaaz sahab ki baat se poori tarah se sehmat hooN, aur Admin sahab se darkhwast karta huN ki aisa kuch jald hi shuru kareN, kyuNki isse naye seekhne waaloN ko bahut kuch seekhne ko milegaa...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #20 on: November 13, 2012, 10:28:06 AM »
Lucky Jee Aadaab!


Aapki sahmati aur saath ke liye bahut bahut shukriyaa...
Par shayad hume nahi lagta ke ab yahaaN kuch aisa hoNga
itne mahinoN bad bhi yahaaN kisi member ne koi jawaab nahi
diyaa aur aik topic chalaya gaya tha wahaaN bawaal ho gaya..

So ab hum bhi is ke haq meiN nahi rahe... Hum nah chahte ke humari
yeH khoob mehfil kisi bawaal ka maidaan bane... sow is par
HUmari bhi rai badal gayi hai...

Muafi chahte haiN aapse... ke hum ab is haq meiN nahi rahe....
Aate rahiye shaad O aabaad rhaiye..

Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #21 on: November 28, 2012, 05:02:15 PM »
par bhai jaan, member of the month vagairah hona chahiye, saath hi members cud be provided with a tag which they may even use over FB, that will help promote the site FB... Usual Smile
Logged
laaiba
Guest
«Reply #22 on: December 01, 2012, 05:35:44 PM »
bsically yeh aik shayeri ki site hai iss liye competions bhi shayeri pr hone chahiye jaise tarahi ghazal, nazm o ashaar etc,....
jo winer ho unko members of the month ke titles diye ja sakte hain,.....admin or mods ko iss pr sochna chahiye,........
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #23 on: December 01, 2012, 05:51:00 PM »
laaiba ji main aapse poori tarah sehmat huN, par shayad puraane kuch waaqiyoN ke kaaran aisa karne me kuch mushkilen aa rahi haiN...
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #24 on: January 18, 2015, 10:44:08 AM »
Mujhe lagta hai ye bahut hi achhi baat hai, competitions are good things, the only thing is that it should be conducted and taken in a sportive manner.
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 05:20:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer