Kisi Ke Kalaam Ko Apna Bataana Jurm Hai....Khwaish

by khwaish on September 18, 2012, 09:14:42 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1325 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
Reply with quote
As a Poet, Hum Woh Likhte Hai Jo Humaare Jazbaat, Humare
Ehsaas Hote Hai, Agar Koi isse Padhta Hai Aur Saraata Hai
To Har Poet Ke Liye Yeh Khushi Ki baat Hoti Hai Par Agar
Kisi Ke Kalaam Ke Kuch Lafzon Ko Idhar-Udhar kar Dena Aur
Phir usse Apna Kalaam keh Dena Kisi Gunaah Se Kam Nahi
Aur Jab Log Uss Kalaam Ko padhte Hai, Dil Se taareef karte Hai,
To Kya Woh Be-Imaani ka Ehsaas Yeh Sab Karne WaloN Ke Dil MeN Nahi Hota

Acha Shayar Acha Insaan Waheen Hai Jo AUron ko Padhkar KuchSeekhe
Par Auron ke Kalaam Ko churaana Aur Usse Apna bataana Kisi Bhi Jurm Se kam Nahi..
Bade Afsos Ke Saath Mujhe Kisi
Ka Naam Lena Padh raha Hai Jo yeh kar Rahe The " Mohd Touhid JI"..
yahaan par mere likhne ka yehi maqsad hai ke aaj yeh sab padhkar
Isse Roka jaaye...Main Chaahta To Aapke F.b Ke wall Par bhi yeh sab
Keh Sakta Hoon Par Pehle Aapko Yaa Samjhaana Behtar Mehsoos Hua..Uss Shayar Ko Izzat Dijiye Jo Aapke Dil Ko Chuuta Hai,Par uska naam, Usske jazbaat Ko Apna Naa Kahe..Yeh Saraasar Galat Hai

Tohid Ji Aapke jawaab ka Intezaar Rahega...Uss Jawaab Ke baad hi Faisla Liya Jaayega Ke Aage Kya Kiya Jaaye......

Yeh Link Aapke wall Page Ki, Jisme Mere Bahut se kalaam, Shireen Hakani Ji Ki Ek Nayi kalaam Ko Aapne Bahut Se Loge Mein Tag Karke,Isse  "Apni" Kehkar Taarife Batori....

http://www.facebook.com/touhid.mohammad
Report to monitor   Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #1 on: September 18, 2012, 09:23:29 AM »
Reply with quote
Aap bilkul sach keh rahe hai... Is site par aane ka maqsad hi yahi hai ki aap apne jazbaat, apne kalaam logo tak laye. Har ek Sher, Ghazal writer ke dil se nikalti hai, Use chori karna aur apne naam se post karna bohat hi buri baat hai...

Touhid Ji, Agar aap ko koi post behad pasand aati hai toh beshak use post kare aap ke site, ya Facebook page par, aap chahe toh humara naam bhi na likhe, par use apne name se post karna thik nahi hai....

Kya pata aap dusro ke post yaha par apni keh kar post karte ho aur tareef batorte ho...

Ek writer ke liye kalam se bad kar aur koi takat nahi hoti, usi ke saath bemaani ki jaye yeh mujhe gawara nahi hai...

Aap ke reply ka intezaar rahega Touhid jee!!!

Report to monitor   Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #2 on: September 18, 2012, 09:33:46 AM »
Reply with quote
As a Poet, Hum Woh Likhte Hai Jo Humaare Jazbaat, Humare
Ehsaas Hote Hai, Agar Koi isse Padhta Hai Aur Saraata Hai
To Har Poet Ke Liye Yeh Khushi Ki baat Hoti Hai Par Agar
Kisi Ke Kalaam Ke Kuch Lafzon Ko Idhar-Udhar kar Dena Aur
Phir usse Apna Kalaam keh Dena Kisi Gunaah Se Kam Nahi
Aur Jab Log Uss Kalaam Ko padhte Hai, Dil Se taareef karte Hai,
To Kya Woh Be-Imaani ka Ehsaas Yeh Sab Karne WaloN Ke Dil MeN Nahi Hota

Acha Shayar Acha Insaan Waheen Hai Jo AUron ko Padhkar KuchSeekhe
Par Auron ke Kalaam Ko churaana Aur Usse Apna bataana Kisi Bhi Jurm Se kam Nahi..
Bade Afsos Ke Saath Mujhe Kisi
Ka Naam Lena Padh raha Hai Jo yeh kar Rahe The " Mohd Touhid JI"..
yahaan par mere likhne ka yehi maqsad hai ke aaj yeh sab padhkar
Isse Roka jaaye...Main Chaahta To Aapke F.b Ke wall Par bhi yeh sab
Keh Sakta Hoon Par Pehle Aapko Yaa Samjhaana Behtar Mehsoos Hua..Uss Shayar Ko Izzat Dijiye Jo Aapke Dil Ko Chuuta Hai,Par uska naam, Usske jazbaat Ko Apna Naa Kahe..Yeh Saraasar Galat Hai

Tohid Ji Aapke jawaab ka Intezaar Rahega...Uss Jawaab Ke baad hi Faisla Liya Jaayega Ke Aage Kya Kiya Jaaye......

Yeh Link Aapke wall Page Ki, Jisme Mere Bahut se kalaam, Shireen Hakani Ji Ki Ek Nayi kalaam Ko Aapne Bahut Se Loge Mein Tag Karke,Isse  "Apni" Kehkar Taarife Batori....

http://www.facebook.com/touhid.mohammad

i am totally puzzled to know this icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
Report to monitor   Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #3 on: September 18, 2012, 09:40:58 AM »
Reply with quote
SHAME SHAME SHAME
Report to monitor   Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009

View Profile
«Reply #4 on: September 18, 2012, 03:12:00 PM »
Reply with quote
maafi chahunga khwaish ji.. magar aapke har post pe maine .N.M. likha hai...
Report to monitor   Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009

View Profile
«Reply #5 on: September 18, 2012, 03:15:29 PM »
Reply with quote
aur apni har post pe mera naam likha hai..
aapne sayad dekha nahi thik se.. plz fir se dekhe..
aur sab shame shame kehne lage...
jara thik se dekhiye.. manta hu ki aap logo ki post bahut achhi hoti hai.. isiliye uspe share karta hu.. aur sath me .N.M. bhi likhta hu..
Report to monitor   Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #6 on: September 18, 2012, 03:21:12 PM »
Reply with quote
maafi chahunga khwaish ji.. magar aapke har post pe maine .N.M. likha hai...

Touhid Ji Yeh Kaisa N.M Hua, jiske Baad Aapne Shayar Ka Naam Hataa Kar APna Naam Likh Diya...For Example..

Kaam Ab Koi Naa Aayega Bas Ek Dil Ke Sivaa.,
kahaan Hai Mera Thikaana Tere Mehfil Ke Sivaa..

Ek Kadam Tera Ek kadam Mera, Yehi Anjaam-e-Safar Ho.,
Tu Saath Ho To kahin Aur Nazar Nahi Meri Manzil Ke Sivaa..

Usse Ek Jhalak Dekha To Uss Par Marr-Mita Hoon.,
Yeh Sab Ko Khabar Hai, Sirf Mere Uss Qaatil Ke Sivaa..

"Touhid" Kyon Dekhte Ho Woh Khwaab Jo Tootenge Zaroor.,
Mohabbat Mein Kuch Bhi Nahi Haasil Dard-e-Dil Ke Sivaa...

N.M KA MATLAB HOTA HAI NOT MINE..PHIR NOT MINE KEHKAR "TOUHID" KE TAKHALLUF SE MAQTE KA SHER LIKHE HO..??

Yaa To N.m Kehkar Jaise kalaam hai waise rehne dijiye..Uss Par Shayar Ka Naam Kyon Badla Gaya??

Aur Phir Jab Aapko Comments Mile, Aapne Isse Apne Jazbaat kehkar Sab ka Shukriya Ada Kiya..Woh Kaise??

Aap Khud Jaakar Inn Sab Cheezon Par Dhyaan Dijiye..Apni Galti Ka Ehsaas Kijiye..

Mujhe Aapse Aur Koi Shikayat Yaa Problem Kabhi Nahi Thi..Par Agar Hum Shayar Hokar Yeh Baat nahi Samjhenge To Aage Jaakar Har Insaan Isse Iss Tareeke Se pesh Karega Aur kahega Yeh Mera Likha Hai?? Zarra Sochiye..Phir Jawaab Dijiye
Report to monitor   Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009

View Profile
«Reply #7 on: September 18, 2012, 03:36:15 PM »
Reply with quote
bilkul sahi kaha aapne khwaish ji...

hoon mai gunahagaar.. jurm kiya hai maine kisi aur ki shayari ko apna keh ke.. mai aap sabse aur yoindia ke har ush member se maafi chahta hoon jiske dil ko maine thes pahuchayi..

kehte hai jakhm jab naasoor ban jata hai to uska ilaaz nahi ho pata.. mai v usi tarah ek bimari hu yoindia pe...

aur apne ish ghalti ko sudharne ka bas ek hi raasta hai...
aaj aap sabse maaafi mangte hue haath jodte hue aap sabko alvida karta hoon...

aap sabse mujhe bahut pyar mila.. bahut khushi mili...
lekin aaj inn baato ka koi fayada nahi.. kyonki har ghalti ki koi na koi saza jarur hoti hai.. mere liye v yahi saza hai ke ab aur yoindia pe apni gandi shakl na dikhau...

aap sab apna khayal rakhiyega..
khuda hafiz...
Report to monitor   Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #8 on: September 18, 2012, 03:46:14 PM »
Reply with quote
bilkul sahi kaha aapne khwaish ji...

hoon mai gunahagaar.. jurm kiya hai maine kisi aur ki shayari ko apna keh ke.. mai aap sabse aur yoindia ke har ush member se maafi chahta hoon jiske dil ko maine thes pahuchayi..

kehte hai jakhm jab naasoor ban jata hai to uska ilaaz nahi ho pata.. mai v usi tarah ek bimari hu yoindia pe...

aur apne ish ghalti ko sudharne ka bas ek hi raasta hai...
aaj aap sabse maaafi mangte hue haath jodte hue aap sabko alvida karta hoon...

aap sabse mujhe bahut pyar mila.. bahut khushi mili...
lekin aaj inn baato ka koi fayada nahi.. kyonki har ghalti ki koi na koi saza jarur hoti hai.. mere liye v yahi saza hai ke ab aur yoindia pe apni gandi shakl na dikhau...

aap sab apna khayal rakhiyega..
khuda hafiz...

Touhid Ji...Galti kisse Nahi Hoti..??

Aapka Abhi iss Waqt Sirf yeh Jawaab Hona Chahiye Ke.."Jo Hua Hai, Galat Hua Hai..Aage Khayal Rakha jaayega..Apni Galti ka Ehsaas Karna Hi Bahut Badi Baat Hoti hai Par Andar Yeh jazba Bhi Rehna Chaahiye Ke Main Yahaan Rehkar Aise kalaam Pesh karunga Ke Meri Iss Khata Ko sab Bhool Jaayenge...

Guzaarish Hai Ek Baar Aisa Soch kar Dekhiyega Yeh Sab Main is Liye Keh Raha Hoon ke Main Nahi Chaahta Ke Aap Haar Maankar Yoindia Chorr Kar jaaye..Aap Mein Kaabliyat Hai To Phir Ruswaa Hokar Jaana Kyon?? 
Report to monitor   Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #9 on: September 18, 2012, 05:47:43 PM »

naaaaaaaaaice wording and well said[/color]i do appreciate your approach Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Report to monitor   Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #10 on: September 18, 2012, 05:51:22 PM »
Reply with quote
bilkul sahi kaha aapne khwaish ji...

hoon mai gunahagaar.. jurm kiya hai maine kisi aur ki shayari ko apna keh ke.. mai aap sabse aur yoindia ke har ush member se maafi chahta hoon jiske dil ko maine thes pahuchayi..

kehte hai jakhm jab naasoor ban jata hai to uska ilaaz nahi ho pata.. mai v usi tarah ek bimari hu yoindia pe...

aur apne ish ghalti ko sudharne ka bas ek hi raasta hai...
aaj aap sabse maaafi mangte hue haath jodte hue aap sabko alvida karta hoon...

aap sabse mujhe bahut pyar mila.. bahut khushi mili...
lekin aaj inn baato ka koi fayada nahi.. kyonki har ghalti ki koi na koi saza jarur hoti hai.. mere liye v yahi saza hai ke ab aur yoindia pe apni gandi shakl na dikhau...

aap sab apna khayal rakhiyega..
khuda hafiz...

M.T YOU FELT SORRY IS ENOUGH. NO ONE IS GOING TO EXECUTE YOU. KEEP WRITING. AND YOU ALSO COMPOSE NAAAICELIIIIIII. ITS A SERIOUS MATTER NOT FOR YOU FOR ALL OF US.AND MR KHAWAISH IS NOT SAYING THAT YOU HAVE COMMITTED ANY SIN. JUST DO'NT IGNORE TO PAY RESPECT TO REAL COMPOSER OF THE POEM AS SAID.
Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Report to monitor   Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #11 on: September 23, 2012, 01:27:16 PM »
Reply with quote
khwahish ji ki baaton ka marm samjhe, ye ek tarah se parivaar ke bheetar hone wali charcha matr hai,
sabk len hame aapki likhi ghazlon ka intzaar rahega,

bhai shihab ne bhi bahoot tafseel se bataya hai umeed hai aap bat ki gahraai samjhenge,

Report to monitor   Logged
suman59
Guest
«Reply #12 on: October 01, 2012, 03:26:51 PM »
Reply with quote
khwaish jee jo hum likhte hai yeh sirf HAMARA HI hai kehne ke liye kya proof hamare pass hota hai? maine apni post ko 3/4 jagah mein dekha hai kisi aur ke id se. aaj Touhid jee ko hum yoindia se jaante hai but kuch aise site per hamara likha kalam ko apni kehkar post karte hai. hum kin kin logon se pooche aur jawab mange?

yeh net hai na, yahan copy paste aram se ho jaata hai. hum kuch nahi kar sakte.
felt very sad to read this.
Report to monitor   Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 10:43:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer