ASIF
Shayari Qadrdaan
 
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 4 hours and 22 minutes.
Posts: 209 Member Since: Feb 2021
|
Hello dosto kaise hai aap sab? Main Asif biswas aapka yoindia ka purana lekhak jo pichle ek dashak se yoindia par year 2010 se likhta aaya hai dhairo kahaniya aur sirf yoindia par nahi kayi anay forums par bhi jinka wajud ab nahi hai aur unke sath meri un kahaniyo ka wajud bhi nahi hai haalaki wo kahaniyo ka genre alag tha par yoindia pe meri stories ab bhi sadabahar hai aur yoindia ki aise hi Lambi umar ki kamna hai,
"Crime Thrill universe" kya hai? Ye meri ek aisi likhi tamam crime thriller stories ki ek franchise ban chuki hai jismein taqreeban 6 kahaniya likhe hai, aur ye kahaniya ekdusre se judi huyi hai jin wajaho se ek aakhir ke do kahaniyo mein in tamam kahaniyo ke kirdar aapas mein ja connect hote hai,
Aajkal shared universe ya keh lijiye toh multiverse ka daur hai, aap filme dekhte hai comics padhte hai unhi se taluq jo superheroes ya koi kalpanik kirdar hote hai unka dusre aehem kirdar se mil jana unexpectedly aur ek nayi storyline ke tehet movie banna ya comics aana ya koi story banna oose hum shared universe ka ek hissa samjhte hai aur kehte hai
Aur ye shuruwat Hollywood ne ki hai Avengers jaise sucessful superheros franchise se, jo ki aamtaur par comics mein hum dekhte hi hai, jaise Batman ka Superman se mil jana, kisi horror kirdar jaise Jason voorhees ka Freddy Krueger jaise sapno ke bhayank katil se mil jaana theek waise hi, ab ye cheez india ke South cinema aur bollywood mein toh aa hi chuki hai jo aajkal ko filmo mein hum dekh hi sakte hai,
Khair yaha baat meri kahaniyo ki ho rahi thi inhi se inspired hokar maine ek crime thrill universe franchise paida ki hai, pehli kahani "hifazat" se shuru hoti hai aur fhir 2 saal baad "bedard" aati hai, haalki "anjaan" aur "firaaq" tak ye tamaam kahaniya aapas mein judti nahi hai, keh sakte hai ye standlone crime thrill stories hoti hai, Inka theme ek hota hai jaha koi sociopath criminal hai to kahi obsessed psychopath criminal, aur tamam kahaniyo mein crime lords aur unke criminal activities ko darshaya gaya hai, aisi crime thrill likhne ko wajah Shri Surendra Mohan Pathak ji they jinki kahaniyo aur pulp fiction crime thrills writing style ko padhkar maine "horror" se kuch waqt ka kinara kiya,
Aur socha ki "geraft" se main in tamam kahaniyo ka sisila ek jagah sthapit kar du, fhir is crime thrill franchise ke finale jise aakhirat ki kahani aap "inteqam" keh sakte hai oose maine pichle saal 2024 mein mukammal kiya hai,
1) hifazat a thrill love tale (short story first installment) 2) bedard 3) anjaan 4) firaaq 5) Geraft 6) Inteqam (finale of crime thrill universe)
Ab tak likhi yahi meri tamaam kahaniya hai jo crime thrill universe ko present karti hai in sab tamaam kahaniyo ko agar aapko padhna hai toh "inspirational stories aur real life incidences" aur "general stories" section pe jaake padhe
|